Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 4

Khudaa jaane kahaa.N hai 'Asghar'-e-diivaanaa baraso.

n se
Khudaa jaane kahaa.N hai 'Asghar'-e-diivaanaa baraso.n se ki us ko Dhuu.NDhate hai.n ka'abaa-o-butaKhaanaa baraso.n se ta.Dapanaa hai na jalanaa hai na jalakar Khaak honaa hai ye kyo.n so_ii hu_ii hai fitrat-e-paravaanaa baraso.n se [fitrat=nature; paravaanaa=moth] ko_ii aisaa nahii.n yaarab ki jo is dard ko samajhe nahii.n maaluum kyo.n Khaamosh hai diivaanaa baraso.n se [yaarab=O God (it is used as an interjection)] hasiino.n par na ra.ng aayaa na phuulo.n me.n bahaar aa_ii nahii.n aayaa jo lab par naGmaa-e-mastaanaa baraso.n se [lab=lip; naGmaa=song/melody; naGmaa-e-mastaanaa=happy song]

ik aalam-e-hairat hai fanaa hai na baqaa hai


ik aalam-e-hairat hai fanaa hai na baqaa hai hairat bhii ye hai ki kyaa jaaniye kyaa hai sau baar jalaa hai to ye sau baar banaa hai ham soKhtaa jaano.n kaa nasheman bhii balaa hai hoTho.n pe tabassum hai ki ek barq-e-balaa hai aa.nkho.n kaa ishaaraa hai ki sailaab-e-fanaa hai sunataa huu.N ba.De gaur se afasaanaa-e-hastii kuchh Khvaab hai kuchh asl hai kuchh tarz-e-adaa hai hai tere tasavvur se yahaa.N nuur kii baarish ye jaan-e-hazii.n hai ki shabistaan-e-hiraa hai

ye mujh se puuchhiye kyaa justajuu me.n lazzat hai


ye mujh se puuchhiye kyaa justajuu me.n lazzat hai fazaa-e-dahar me.n tahaliil ho gayaa huu.N mai.n [justajuu=search; lazzat=taste; dahar=world; tahaliil=immersed] haTaake shiishaa-o-saagar hujuum-e-mastii me.n tamaam arsaa-e-aalam pe chhaa gayaa huu.N mai.n [arsaa-e-aalam=whole world] u.Daa huu.N jab to falak pe liyaa hai dam jaa kar zamii.n ko to.D gayaa huu.N jo rah gayaa huu.N mai.n [falak=sky] rahii hai Khaak ke zarro.n me.n bhii chamak merii kabhii kabhii to sitaaro.n me.n mil gayaa huu.N mai.n samaa gaye merii nazaro.n me.n chhaa gaye dil par Khayaal karataa huu.N un ko ki dekhataa huu.N mai.n

ye raaz hai merii zindagii kaa


ye raaz hai merii zindagii kaa pahane huye huu.N kafan Khudii kaa phir nashtar-e-Gam se chhe.Date hai.n ik tarz hai ye bhii dil dahii kaa o lafz-o-bayaa.N me.n chhupane vaale ab qasd hai aur Khaamoshii kaa maranaa to hai ibtadaa kii ik baat jiinaa hai kamaal mu.ntahii kaa haa.N siinaa gulo.n kii tarah kar chaak de mar ke sabuut zi.ndagii kaa

You might also like