100 Q & A - About Barmati Panth by MGSRC

You might also like

Download as doc or pdf
Download as doc or pdf
You are on page 1of 13

Dharam achaar Karam joaar 100 QUESTIONS & ANSWERS

ABOUT

BARMATI PANTH
(E-BOOK Roman Urdu/Hindi Version)
This is an Electronic Version of the Book Barmati Panth Ke Baarey Mein Sou (100) Sawalaat Aur Un Ke Jawabaat published in Sept, 2011 in Karachi.

Issued & Published by

MGSRC
MAHESHWARI GINAN STUDY & RESEARCH CENTRE
| Pakistan India |

E-Book 100 Questions & Answers About Barmati Panth Published by MGSRC
2011-12, MGSRC - All rights reserved.

Book Title: Compiled by: Proof Reading:

100 Questions & Answers about Barmati Panth Mahesh Narayan Kochra Lakshman Keshavjee Bachra Lakshman Devjee Dhera Sunil Devjee Dhera Suresh Asmal Aamna September, 2011 September, 2012 Kishan Arjun Matang Maheshwari Ginan Study & Research Centre MGSRC Maheshwari Educational Institute, (Charinal), Lee Market, Karachi, Pakistan.

Composing: Publishing Date: E-Book Issuing Date: Publisher: Available at:

Page - 2

E-Book 100 Questions & Answers About Barmati Panth Published by MGSRC

| GANESH NAMO SAT GURU JI SAANR |


Jaas Ganrpat Sarevanta Taas Tanraan Beta Budhvanta Kanr Kothaar Uni Ja Bharyaa Baavo Dinen Te Bouri Mattaa Baavo Samaryo Suren Jo Saami Aanken Taareendo Baavo Antarjaami Taas Tanraan Koye Liye Naa Lopey Karor Chhatri Har Tinni Ke Sonpey

Agochar Ved Agam Puraan Naad Gyaan Jo Gurensh Saar Bhanren Tirlochan Dev Gurens Ke Pujiyo Gavri Jo Putar Guren Jo Bhandaar

Page - 3

E-Book 100 Questions & Answers About Barmati Panth Published by MGSRC

Q1. Jab hum kisi se miltey hain to kya kehtey hain? Ans: DHARAM AACHAAR. Q2. Dharam Aachaar ke jawaab mein humen kya kehna chahiye? Ans: KARAM JOAAR. Q3. Dharam Aachaar ka kya matlab hai? Ans: Ishwar ke banaaye gaye Qaanoon ko DHARAM kehte hain or is Qaanoon par amal kerney ko AACHAAR kehtey hain. Q4. Karam Joaar ka kya matlab hai? Ans: KARAM ka matlab hai Amal (Act) or JOAAR ka matlab hai Arpan karna / Naman karna. Yaani, Aey Ishwar mein apney sabhi Karam tumhen Arpan karta hun / Tumhara Naman karta hun. Q5. Humein koi bhi kaam shuru karne se pehley kya kehna chaiye? Ans: PASAA. Q6. PASAA ka kya matlab hai? Ans: Alakh Dev ke Hukum se. Q7. Humein khaana khaaney se pehle kya kehna chaiye? Ans: PASAA, PASAA ALAKH JEE. Q8. Din or Raat mein kitne Pehar (Por) hotey hain? Ans: Aath (8) Pehar (Por). Q9. Hum par Din mein kitni baar AARAADH farz hai? Ans: 2 (do) Baar. Q10. Hum kis waqt AARAADH kartey hain? Ans: Hum PIRBHAAT yani Subhaa Sawerey or SANJAA yaani Shaam ke Waqt AARAADH kartey hain. Q11. Humein AARAADH karne se pehley kya karna chahiye? Ans: SANAAN karna chahiye. Q12. Hum sab se pehley kis ka NAMAN kartey hain? Ans: Shri Lurang Dev ka. Q13. Hum kis par PATRI charhatey hain? Ans: Shri Lurang Dev par.

Page - 4

E-Book 100 Questions & Answers About Barmati Panth Published by MGSRC

Q14. Maala (Maara) se hum kya kaam letey hain? Ans: Mala / Maara se hum apne Prabhu Alakh Dhani Matang Dev ka naam japtey hain. Q15. Shri Lurang Dev ki sewa kyun ki jaati hai? Ans: Shri Lurang Dev ki sewa is liye ki jaati hai ke Shri Lurang Dev soyam Ganesh ke Avataar hain. Shri Lurang Dev 36 Karor Devi Devtaon ke Baadshah hen. Ann, Dhan or Zindagi ki Saari Zaruraten Shri Lurang Dev poori kartey hain. Woh kamzor insaanao ka sahaara hai aur Gati Mati deney wala hai. Shri Lurang Dev dukhon ko mitaa kar Sukh deney wala hai. Woh bhookh or Gareebi ko dur karta hai. Shri Lurang Dev ki sewa karney waley Shishya (Students) zindagi ke har medaan mein Safaltaa haasil kartey hain. Q16. Aaraadh kyun ki jaati hai? Ans: Aaraadh insaan or Ishwar k darmiyaan milaap ka zariyaa hai. Aaraadh se hum Ishwar Dhani Matang se miltey hen. Aaraadh 84 Laakh key pheron se bachaati hai. Aaraadh karney waley insaan Jug Panchorath mein Param-Aatmaa Muru Raja se milen ge. Q17. DHAAM kis ko kehtey hain? Ans: PAVITAR ASTHAAN ko DHAAM kehtey hain. Q18. Humarey kitney Dhaam hain? Ans: Humarey 04 Chaar Dhaam hain. Q19. Humarey kitney Dev hain? Ans: Humarey 04 Chaar Dev hain. Q20. Humarey Chaaron Devon ke kya Naam hain? Ans: Shri Matang Dev, Shri Lurang Dev, Shri Matai Dev or Shri Mamai Dev. Q21. Humarey Shri Matang Dev ki Maata Shri ka kya naam hai? Ans: MAATA JASDEY DEVI. Q22. Humarey Shri Matang Dev ke Pitaa Shri ka kya naam hai? Ans: Shri Maatra Rikh (Shri Maatra Rishi) Q23. Humarey Shri Matang Dev ke Bhaai ka kya naam hai? Ans: Thaakro Q24. Shri Matang Dev ne kitne Vivaah kiye? Ans: 02 (Two).

Page - 5

E-Book 100 Questions & Answers About Barmati Panth Published by MGSRC

Q25. Shri Matang Dev ki Dharam Patniyon ke kya naam hain? Ans: (a) Maata Lakhrayin Devi, (b) Maata Sekdey Devi. Q26. Shri Matang Dev ke kitney Betey or Betiyaan hain? Ans: Shri Matang Dev ke 02 Betey or 04 Betiyaan hain. Q27. Shri Matang Dev ke Do (02) Beton ke kya naam hain? Ans: (a) Shri Lurang Dev, (b) Shri Murand Dev. Q28. Shri Matang Dev ki 04 Chaar Betiyon ke kya naam hain? Ans: (a) Kapur Devi, (b) Sita Devi, (c) Pundey Devi, (d) Punaa Devi. Q29. Mata Kapur Devi ke Pati ka kya naam hai? Ans: Raja Sundhraa. Q30. Mata Sita Devi ke Pati ka kya naam hai? Ans: Ratan Gachaa. Q31. Mata Pundey Devi ke Pati ka kya naam hai? Ans: Laal Chandey. Q32. Mata Punaa Devi ke Pati ka kya naam hai? Ans: Parlaal Chandey. Q33. Shri Lurang Dev ke Pita Shri ka kya naam hai? Ans: Shri Matang Dev. Q34. Shri Lurang Dev ne kitney Vivaah kiye? Ans: 02 (Two). Q35. Shri Lurang Dev ki Dharam Patiyon ke naam kya hen? Ans: (a) Punrakh Dev, (b) Tharai Devi. Q36. Shri Lurang Dev ke kitne Betey hain? Ans: Shri Lurang Dev ka sirf ek hi Beta hai. Q37. Shri Lurang Dev ke Betey ka naam kya hai? Ans: Shri Matai Dev. Q38. Shri Matai Dev ki kitni Dharam Patniyaan hain? Ans: 01 (One). Q39. Shri Matai Dev ki Dharam Patni ka kya naam hai? Ans: Maata Renraa Devi.
Page - 6

E-Book 100 Questions & Answers About Barmati Panth Published by MGSRC

Q40. Shri Matai Dev ke kitne Betey hain? Ans: (a) Shri Mohan, (b) Shri Beejak. Q41. Shri Beejak ko hum kis naam se pukaartey hain? Ans: Shri Beejak ko hum Shri Mamai Dev ke naam se pukartey hain. Q42. Shri Mamai Dev ke Pita Shri ka kya naam hai? Ans: Shri Matai Dev. Q43. Shri Mamai Dev ki Dharam Patniyon ke kya naam hain? Ans: Shri Mamai Dev ki 04 Chaar Dharam Patniyaan hain: (a) Maata Bhindey Devi, (b) Maata Bhuri Devi, (c) Maata Menral Devi, (d) Maata Heeradey Devi. Q44. Shri Mamai Dev ke kitne Betey aur Betiyaan hain? Ans: 06 (Six) Betey or 02 (two) Betiyan. Q45. Shri Mamai Dev ke 06 Beton ke naam kya hen? Ans: (a) Shri Matiya Dev, (b) Shri Bhagwant Dev, (c) Shri Mahadey Dev, (d) Shri Marchand Dev, (e) Shri Megharand Dev, (f) Shri Laalan Dev. Q46. Shri Mamai Dev ki 02 Betiyon ke kya naam hain? Ans: (a) Maata Papai Devi, (b) Maata Paandanr Devi. Q47. Konsi 04 Chaar Deviyon ka Shri Mamai Dev ne Subhaa Shaam Samran (Naam Pukaarne) ka Hukum diya hai? Ans: (a) Maata Jasdey Devi, (b) Maata Lakhrayin Devi, (c) Maata Punrakh Devi, (d) Maata Renraa Devi. Q48. SEMBH KARAM hum kis ko kehtey hain? Ans: Shri Matang Dev ko. Q49. JYOT KARAM kis ki taraf Ishaara hai? Ans: Shri Lurang Dev ki taraf. Q50. SAT WAADI KARAM kisey kehtey hain? Ans: Shri Matai Dev ko. Q51. Hum NIJJ KARAM kis ko kehtey hain? Ans: Shri Mamai Dev ko. Q52. Jaater (Yaatra) kyun ki jaati hai? Ans: Apney aap ko Ishwar ko Arpan karney or apney Karmon ko sudhaarney ke liye Yaatra ki jaati hai.
Page - 7

E-Book 100 Questions & Answers About Barmati Panth Published by MGSRC

Q53. SENRI ko hum or kis naam se pukaartey hain? Ans: Senri Ganga, Senri Mata, Senri Matang. Q54. Senri Ganga ka sanaan hum kis liye kartey hain? Ans: Senri Ganga ka sanaan hum khud ko 84 Laakh ki Yoni or Janam Maran ke Pheron se Mukht karney ke liye kartey hain. Q55. BAARAI ke waqt LODEY par kon betha hua hota hai? Ans: BAARAI ke waqt LODEY per Dharam Guru betha hota hai. Humari Aankhen tou Dharam Guru ko dekhti hain magar Giyaan ki aankhon se dekha jaaye tou Soyam Shri Matang Dev LODEY per biraajmaan hotey hain. Q56. Humen KAANGANR kis haath se bharwaana chahiye? Ans: Seedhey Haath (Right Hand) se. Q57. BAARAI ko hum or kis naam se pukaartey hain? Ans: BARMATI / MAHESH PANTH. Q58. Shri Mamai Dev ne pehli baar BAARAI kis din di thi? Ans: KAARTIK mahiney ke PONAM waley din. Q59. Duniya mein total kitni Dishaayen (Directions) hain? Ans: 04 Chaar Dishaayen / 04 Directions. Q60. 04 Chaar Dishaaon / Directions ke naam kya kya hen? Ans: (a) Purab (Mashriq-East), (b) Pachhim (Maghrib-West), (c) Utar (Shumaal-North), (d) Dakhinr (Junoob-South). Q61. Pachhim Dishaa (West) mein kis ka Waasa hai? Ans: Shri Matang Dev ka. Q62. Purab Dishaa (East) mein kis ka Waasa yaani kon mojood hai? Ans: Shri Lurang Dev ka. Q63. Utar Dishaa (North) mein kis ka Waasa hai? Ans: Shri Matai Dev ka. Q64. Dakhinr Disha (South) mein kis ka Waasa hai? Ans: Shri Mamai Dev ka. Q65. Shri Matang Dev ka Asthaan kahaan hai? Ans: Senri Thar (Sindh) mein.
Page - 8

E-Book 100 Questions & Answers About Barmati Panth Published by MGSRC

Q66. Shri Lurang Dev ka Asthaan kis jaga hai? Ans: Tharai (Sindh) mein. Q67. Shri Matai Dev ka Asthaan kahaan hai? Ans: Baadhraa (Sindh) mein. Q68. Shri Mamai Dev ka Asthaan kahaan hai? Ans: Makli-Thatta (Sindh) mein. Q69. Jug / Yug kisey kehtey hain? Ans: Dor / Zamaney (Era / Age / Period) ko Jug kehtey hain. Q70. 04 Chaar Jugon ke naam kiya hain? or Shri Mamai Dev ne mustakbil (Future) ke kitney Jugon ki Quantity bataayi hai? Ans: 04 Chaar Jugon ke naam ye hain: (a) Kirta jug, (b) Tentra jug, (c) Duwhaa jug, (d) Kar Jug (Kalyug). or Shri Mamai Dev ne Future ke 1440 Jugon ki Quantity bataayi hai. Q71. KAL JUG ke khatam honey ke baad konsa Jug aaye ga? Ans: Jug Panchorath. Q72. Jug Panchorat mein Ishwar kis naam se Avatar dhaaran karen gey? Ans: Shri Muru Raja ke naam se. Q73. Shri Muru Raja kis ke Avatar hongey? Ans: Shri Muru Raja, Shri Dhani Matang Dev ke 11th Avatar hongey. Q74. KIRTA JUG mein Alakh Shri Dhani Matang Dev ne kitney Avatar liye? Ans: 04 Chaar Avatar. Q75. Kirta Jug mein Shri Dhani Matang Dev ke 04 Chaar Avataron ke naam kiya hain? Ans: (a) Shri Machh, (b) Shri Koram, (c) Shri Vaaraah. (d) Shri Narsingh. Q76. TENTRAA JUG mein Alakh Shri Dhani Matang Dev ne kitney Avatar liye or un ke naam kya hen? Ans: 03 Teen Avatar liye or un ke naam yeh hen: (a) Shri Vaaman (b) Shri Parshuram (c) Shri Ram Q77. DUWHAA JUG mein Alakh Shri Dhani Matang Dev ne kitney Avatar liye or un ke naam kya hen? Ans: 02 Do Avatar liye or un ke naam yeh hen: (a) Kaan (Shri Krishan) (b) Shri Buddh (Buddha)

Page - 9

E-Book 100 Questions & Answers About Barmati Panth Published by MGSRC

Q78. KAL JUG mein Alakh Shri Dhani Matang Dev ne kitney Avatar liye or un ke naam kya hen? Ans: Sirf Ek (01) Avatar Karki Paatar (Kalki Avatar) Shri Dhani Matang Dev Q79. Shri Dhani Matang ke Kul kitney Avatar hen? Ans: Dus (10) Avatar Q80. Shri Dhani Matang Dev ke Dus (10) Avataron ke naam kya hen? Ans: (1) Machh (2) Koram (3) Vaaraah(4) Narsingh (5) Vaamanr (6) Parshuram (7) Shri Ram (8) Kaan (Kirshan) (9) Buddh (10) Karki Paatar Q81. Konsi do (02) cheezon per Shraddha rakh kar hum Maheshwari / Maaisri kehlaatey hen? Ans: 1) Shri Dhani Matang Dev ko 10th (Duswaan) Avatar maan kar, 2) Shri Dhani Matang ke Gyaan (Vachan) ko Maan kar / Emaan rakh kar Q82. Humarey Saal (Year) ke kitney Mahiney (Months) hotey hen? Ans: Humarey Saal (Year) ke 12 (Baarah) Mahiney (Months) hotey hen: (1) Chetar (2) Vaisaakh (3) Jeth (4) Aasaath (5) Siraavanr (6) Badro (7) Aso (8) Kaartik (9) Naari/Maghsar (10) Pos (11) Maagh (12) Faganr Q83. Hum Shri Dhani Matang Dev ki Yaatra konsey Mahiney mein kartey hen? Ans: Vaisaakh mein Q84. Hum Shri Lurang Dev ki Yaatra konsey Mahiney mein kartey hen? Ans: Chetar mein Q85. Hum Shri Matai Dev ki Yaatra konsey Mahiney mein kartey hen? Ans: Faganr mein Q86. Hum Shri Mamai Dev ki Yaatra konsey Mahiney mein kartey hen? Ans: Vaisakh mein Q87. Hum Ginaan ke saarey Vedon ko kis naam se pukaartey hen? Ans: Atharman Ved Q88. Atharman Ved kis ne bayaan farmaya hai? Ans: Shri Matang Dev ne. Q89. Atharman Ved ko Vistaar (Detail) mein kis ne bataya? Ans: Shri Mamai Dev ne.

Page - 10

E-Book 100 Questions & Answers About Barmati Panth Published by MGSRC

Q90. Shri Mamai Dev ne humen Atharman Ved kesey samjhaaya? Ans: Shri Mamai Dev ne humen Atharman Ved ko 09 Laakh Vedon mein yaani 09 Laakh Baaton mein kanthan kar ke samjhaaya. Q91. Shri Mamai Dev kon kon si Zabaanon (Languages) ke maahir hen? Un mein se kuch zabaanon ke naam bataiye. Ans. Gujratri Sanskrit Hindi Sindhi Kutchi Haalari Q92. Shri Mamai Dev ne kis zabaan mein Giyaan ko kanthan kiya hai? Ans. Purbhi Zabaan mein jo ke Gujratri, Hindi, Sanskrit, Sindhi, Kutchi aur Haalaari ke Shabdon (Words) se mil kar bani hai. Q93. Devtaaon ki taadaad (Quantity) kitni hai or un ke Sardaar yaani Aagewaanr kon hen? Ans. Devtaaon ki taadaad (Quantity) 36 Karor hai or in ke Sardaar (Aagewaanr) Soyam Shri Lurang Dev hen. Q94. Shri Mamai Dev ne kis tarteeb (Arrangement) se Ginan ko kanthan kiya hai? Ans. Wagat Noraan Daam Sangar Ramtanri Aagam Vaanri Q95. Shri Mamai Dev ek or khaas zabaan bolney ke maahir hen. Kya aap bata saktey hen konsi zabaan? Ans. Ji haan! Shri Mamai Dev Jaanwaron ki Zabaan bhi jaantey hen. Q96. Konsey Jaanwar se Shri Mamai Dev ne us ki apni zabaan mein Baat Cheet ki hai? Ans. Bhagaari (Bheriyaa) Wolf Q97. Ginan mein Shri Dhani Matang Dev ko aur kon kon se Naamon se pukaara gaya hai? Ans. - Samrath Matang - Damru Matang - Sembh Karam - Har Matang - Narayan Dev - Agam Matang - Apaar Matang - Muraar Dev - Nijanr Matang - Nirakaar Matang - Niradhaar Matang - Moor Matang Q98. Ginan mein Shri Lurang Dev ko aur kon kon se Naamon se Pukaara gaya hai? Ans: - Gurensraa - Ratan Tej - Daawal Dev - Soondhaaro - Gavri Nandan - Veer Viraang - Sangh Gajaadar - Gemarvantaa
Page - 11

E-Book 100 Questions & Answers About Barmati Panth Published by MGSRC

Q99. Jab GAT per musibat aayi tou Shri Mamai Dev ne kis ko pukaara? Ans: Shri Mamai Dev ne GAT ko musibaton aur Aafaton se bachaney ke liye Shri Dhani Matang Dev ko pukaara. Q100.Shri Dhani Matang Dev, Shri Lurang Dev, Shri Matai Dev aur Shri Mamai Dev ki Qurbaaniyon ke badley humen kya karna chahiye? Ans: Humen in Chaaron Devon ke Giyaan ko Sun kar aur us per Amal (Kriyaa) kar ke dosrey Maheshwariyon tak puhunchaana chahiye.

TRANSLATIONS FROM VEDAS OF GINAN


Matang Dev is Andherey Jug ki Roshni hen. Matang Dev ka Noor 7 Deep,12 Khand aur 21 Brahmaand mein phelaa hua hai. ******************************** Matang Dev sabhi ke Dilon ki Baat jaantey hen. ******************************** Aey Ishwar!! Hum sab se pehley teri Aaraadhna kartey hen. Aey Sehnri ke Raja (Matang Dev) Humari Zindagi mein aa kar tu hi basna, tumhen humari zindagi, maut aur janmon ki khabar hai. ******************************** Gyaan (Knowledge) haasil karo, is se tumhen Bodh (Aqal) milegi jis se tum Kriyaawaan (Baa-amal) ban jaao ge. ******************************** Mamai Dev ke Vachnon (Gyaan) se Jism (Body) aur Sar (Mind) Roshan ho jaatey hen. ******************************** Mein ne Sachey Insaanon ko Gyaan diya hai jo Maut ke waqt mere paas hongey.

The End
Page - 12

E-Book 100 Questions & Answers About Barmati Panth Published by MGSRC

MGSRCs further E-Books: Gur Maam Quotations - Season 1


(Illustrated/Pictured & Roman Hindi-Urdu Version)
It is a collection of 25 Gur-Maam Quotations with Pictures. These quotations are excerpted from the Vedas of Shri Mamai Dev, the Spiritual Guide of Barmati Panth.

http://www.scribd.com/doc/101251250/Gur-Maam-Quotations-Season-1-Roman-Hindi-Urdu

Stay Connected with MGSRC Facebook Page for more updates:

https://www.facebook.com/MGSRC
Ask your friend to introduce you in a MGSRC Facebook Group.

MGSRC
MAHESHWARI GINAN STUDY & RESEARCH CENTRE
| Pakistan India | Page - 13

You might also like