Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 2

Bata rahi hain

mujhy kinare ki kab tamana hai tera zaroori hai paar jana magaer ye deiko k aaj darya chadha howa hai bipharte darya ki sorkh mojain bata rahi hain khiraj mangy hai aaj darya mari jo mano too aisa kar loo mujhy sharik e safar bana loo khiraj mangy jo tum se darya mujhy bhanwar mein utaar deina tera zaroori hai paar jana

Agar Kabhi meri yaad aye


Agar Kabhi meri yaad aye Agar kabhi meri yaad aaye Tau chaand raaton ki dil geer roshni main Kisi sitaarey ko dekh lena Agar voh Nakhl-e-Falak se urr kar tumhaarey qadmon main aagirey Tau yeh jaan le na Voh ista'ara tha merey dil ka Agar na aaye? Magar yeh mumkin hi kis tarah hai k tum kisi per nigaah daalo Tau uski deewar e jaan na tootey Voh apni hasti na bhool jaaye!!! Agar kabhi meri yad aye Agar kabhi meri yaad aaye Gureiz karti hava ki lehron pey haath rakhna Main khushbu'on main tumhein miloon ga Mujhey gulaabon ki pattiyon main talaash karna Main Oas qatra k i-non main tumhein miloon ga Agar sitaaron main, Oas qatron main, khushboon main Nah paao mujhko Tau apney qadmon main dekh lena

Main gird hoti masafaton main tumhein miloon ga Kahin pe roshan chiraagh dekho tau jaan lena Keh har patangey k saath main bhi sulag chuka hun Tum apney haathon se in patangon ki khaak darya main daal dena Main khaak ban kar samandero main safar karoon ga Kisi na dekhey huwe jazirey pe rukk kar tumhein sadaayen doon ga

Samandaron k safar pe niklo Tau is jazirey pe kabhi utarna...!!!

You might also like