Falak Ke Nazaro Zameen Ki Baharo

You might also like

Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 1

Falak ke nazaro zameen ki baharo, Sub Eidein manao Huzoor agaye hain.

Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain. Uttho bay karao, chalo bay saharo, khabar ye sunao Huzoor agaye hain. Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain. Anokha niraala woh zee shaan ayaa, Woh saray Rasoolaun ka Sultan ayaa, Aray baadshaho aray kaj kulaho,

Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain. Kahaan mai Zahuri, kahaan unki batein, Karam hi karam hain, ye din aur ratein, Jahaan pay bhi jaao, dilaun ko jagao, yah kehtay hi jaao, Huzoor agaye hain. Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain. Hawaun mein jazbaat hain Marhaba ke, fizaun mein naghmaat SalleAlla ke, Daroodaun ke gajrey salamaun ke tohfay, Nigahein jhukao Huzoor agaye hain. Ghulamo sajaao, Huzoor agaye hain. Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain. Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain Sama hai sana e Habeeb e Khuda ka, Yeh Milad hai Sarwaray Ambiya ka, Nabi kay gadao, sab eik doosray ko, Mubarak yeh sunao, Huzoor agaye hain. Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain. Huwaa char su Rahmataun ka basayra, Ujaala ujaala, sawera sawera, Halima ko pohnchi khabar Aaminah ki, mere ghar main khair ul wara agaye hain.

You might also like