Download as txt, pdf, or txt
Download as txt, pdf, or txt
You are on page 1of 6

Duniya mein kaun kaun na yak baar ho gaya, Par munh phir is tarf na kiya us ne jo gaya.

Phirti hai meri khaak saba dar-b-dar liye, Ai chashm-e-ashkbaar yeh kya tujh ko ho gaya. Aagah is jahaan mein nahin ghair be khudaan, Jaaga wahi idhar se jo mund ankh so gaya. Tufaan-e-Noah ne to dubai zamin faqt, Main nang-e-khalq saari khudaai dabo gaya. Barham kahin na ho gul-o-bulbul ki asshti, Darta hun aaj baagh mein woh tund khu gaya. Waiz kise darawe hai yom-ulhisab se, Giriya mera to naama-e-aamal dho gaya. Phulenge is zabaan mein bhi gulzar-e-maarfat, Yaan main zamin-e-sheir mein yeh tukhm bo gaya. Aya na aitdaal par hargiz mazaaj-e-dahar, Main garche garm-o-sard-e-zamana samo gaya. Ai Dard jis ki ankh khuli is jahan mein, Shabnam ki tara jaan ko apni woh ro gaya.

Tujhi ko jo yaan jalwa farma na dekha, Baraabar hai duniya ko dekha na dekha. Mera ghuncha-e-dil hai woh dil-grifta, Ke jis ko kaso ne kabhi wa na dekha. Aziat, musibat, malaamat, balaaen, Tere ishq mein ham ne kya kya na dekha. Kiya mujh ko daghon ne sarv-e-chiraghan, Kabho tu ne aakar tamaasha na dekha. Taghaful ne tere yeh kuchh din dikhae, Idhar tu ne lekin na dekha, na dekha. Hijaab-e-rukh-e-yaar the aap hi ham, Khuli aankh jab, koi parda na dekha. Shab-o-roz ai Dard darpai hun uske, Kaso ne jise yaan samjha na dekha. Chaman mein subah yeh kahti thi ho kar chashm-e-tar shabnam, Bahaar-e-baagh to yun hi rahi, lekin kidhar shabanam. Arq ki bund us ki zulf se rukhsaar par tapki, Taajjub ki hai jaage yeh pari khurshid par shabnam. Hamen to baagh tujh bin khaana-e-maatam nazar aya, Idhar gul phaarte the jeb, roti thi udhar shabnam.

Kare hai kuchh na kuchh taasir suhbat saaf tabon ki, Hui aatish se gul ke baithte rashk-e-sharar shabnam. Bhala tuk subah hone do ise bhi dekh levenge, Kisi ashiq ke rone se nahin rakhti khabar shabnam. Nahin asbaab kuchh laazim subak saaron ke uthne ko, Gayi ur dekhte apne baghair az baal-o-par shabnam. Na paaya jo gaya is baagh se hargiz suraagh uska, Na palti phir saba idhar, na phir aai nazar shabnam. Na samjha Dard ham ne bhed yaan ki shadi-o-gham ka, Sahr khandaan hai kyon, roti hai kis ko yaak kar shabnam. Apne taeen to har ghari gham hai, alam hai, daagh hai, Yaad kare hamen kabhi kab yeh tujhe dimagh hai. Ji ki khushi nahin giro sabzaa-o-gul ke haath kuchh, Dil ho shagufta jis jagah woh hi chaman hai baagh hai. Kis ki yeh chashm-e-mast ne bazm ko yun chhaka diya, Masl-e-habaab sar nagun sharam se har ayaagh hai. Jalte hi jalte subah tak guzri use tamaam shab, Dil hai ke shola hai koi, shama hai ya chiragh hai. Paiye kis jagah bata ai but-e-bewafa tujhe, Umr-e-guzashta ki tara gum hi sada suraagh hai. Sair-e-bahaar-o-baagh se ham ko maaf kijiye, Us ke khayaal-e-zulf se Dard kise faraagh hai ?

Mera ji hai jab tak teri justju hai, Zabaan jab talak hai yehi guftgoo hai. Khuda jane kya hoga anjaam is ka, Main besabar itna hun woh tund khu hai. Tamanna hai teri agar hai tamanna, Teri aarzoo hai, agar aarzoo hai. Kiya sair ham ne gulzaar-e-duniya, Gul-e-dosti mein ajab rang-o-boo hai. Ghanimat hai yeh deed wa deed-e-yaarraan, Jahan mund gayi aankh, mein hun na tu hai. Nazar mere dil ki pari Dard kis par, Jidhar dekhta hun wohi rubroo hai.

tujhi ko jo yan jalwa farma na dekha barabar hai duniya ko dekha na dekha mera guncha-e-dil hai woh dil-girifta k jis ko kaso ne kabhi wa na dekha aziat, musibat, malamat, balayen tere ishq main ham ne kya kya na dekha kiya mujh ko dagon sarw-e-chiragan kabho tu ne akar tamasha na dekha tagaful ne tere ye kuch din dikhaye idhar tu ne lekin na dekha, na dekha hijab-e-rukh-e-yar the ap hi ham khuli ankh jab, koi parda na dekha shab-o-roz aye Dard darapai hun us ke kaso ne jise yan samjha na dekha meraa jii hai jab tak terii justajuu hai zabaan jab talak hai yahii guftaguu hai Khudaa jaane kyaa hogaa a.njaam is kaa mai.n besabar itanaa huu.N wo tu.nd Khuu hai tamannaa hai terii agar hai tamannaa terii aarazuu hai, agar aarazuu hai kiyaa sair hamane gulzaar-e-duniyaa gul-e-dostii me.n ajab rang-o-buu hai Ganimat hai ye diid waa diid-e-yaaraa.N jahaa.N mu.nd gayii aa.Nkh, mai.n huu.N na tu hai nazar mere dil ki pa.Dii "dard" kis par jidhar dekhataa huu.N wahii ruu-ba-ruu hai agar yo.n hii ye dil sataataa rahegaa to ik din meraa jii hii jaataa rahegaa mai.n jaataa huu.N dil ko tere paas chho.De merii yaad tujhako dilaataa rahegaa galii se terii dil ko le to chalaa huu.N mai.n pahu.Nchuu.Ngaa jab tak ye aataa rahegaa qafas me.n ko_ii tum se ai ham-safiiro.n Khabar kal kii hamako sunaataa rahegaa [qafas=cage; ham-safiiro.n=co-inhabitants] Khafaa ho ki ai "Dard" mar to chalaa tuu kahaa.N tak Gam apanaa chhupaataa rahegaa

apane taaii.n to har gha.Dii Gam hai, aalam hai, daaG hai yaad kare hame.n kabhii kab ye tujhe dimaaG hai ji kii Khushii nahii.n giro sabz-o-gul ke haath kuchh dil ho shaguftaa jis jagah wo hii chaman hai baaG hai kis kii ye chashm-e-mast ne bazm ko yuu.N chhakaa diya masl-e-habaab sar nagu.N sharam se har ayaaG hai jalate hii jalate subah tak guzarii use tamaam shab dil hai ke sholaa hai koii, shamaa hai yaa chiraaG hai paaiiye kis jagah bataa aye but-e-bewafaa tujhe

umr-e-guzashtaa kii tarah gum hii sadaa suraaG hai sair-e-bahaar-o-baaG se ham ko maaf kiijiiye us ke Khayaal-e-zulf se dard kise faraaG hai? chaman me.n subah ye kahatii thii ho kar chashm-e-tar shabanam bahaar-e-baaG to yuu.N hii rahii lekin kidhar shabanam arq kii buu.nd us kii zulf se ruKhasaar par Tapakii taajjub kii hai jaage ye pa.Dii Khurshiid par shabnam hame.n to baaG tujh bin Khaanaa-e-maatam nazar ayaa idhar gul phaarate the jeb, rotii thii udhar shabanam kare hai kuchh na kuchh taasiir sohabat saaf taabo.n kii huii aatish se gul ke baiThate rashq-e-sharar shabnam bhalaa tuk subah hone do ise bhii dekh leve.nge kisii aashiq ke rone se nahii.n rakhati Khabar shabnam nahii.n asbaab kuchh laazim subak saaro.n ke uThane ko gaiii u.D dekhate apane baGair az baal-o-par shabnam na paayaa jo gayaa is baaG se hargiz suraaG usakaa na palTii phir sabaa idhar, na phir aaii nazar shabnam na samajhaa Dard hamane bhed yaa.N kii shaadii-o-Gam kaa sahar khandaan hai kyo.N rotii hai kis ko yaak kar shabanam

duniyaa me.n kaun kaun na yak baar ho gayaa par muu.Nh phir is tarf na kiyaa us ne jo gayaa phiratii hai merii khaak sabaa dar-ba-dar liye aye chashm-e-ashkabaar ye kyaa tujh ko ho gayaa aagaah is jahaa.N me.n nahiii.n Gair be Khudaa.N jaagaa wahii idhar se jo muu.Nd aa.Nkh so gayaa tuufaan-e-noah ne to Dubaaii zamiin faqat mai.n nang-e-khalq saarii Khudaaii Dubo gayaa baraham kahii.n na ho gul-o-bulbul kii aashatii Darataa huu.N aaj baaG me.n wo tu.nd khuu gayaa waaiz kise daraawe hai yom-ulhisaab se giriyaa.N meraa to naamaa-e-aamal dho gaya phule.nge is zabaa.N me.n bhii gulzar-e-maarafat yaa.N mai.n zamiin-e-sher me.n ye tukhm bo gayaa aaya na aitadaal par haragiz mazaaj-e-dahar mai.n garche garm-o-sard-e-zamaanaa samo gaya aye "Dard" jis kii aa.Nkh khulii is jahaa.N me.n shabanam kii tarah jaan ko apanii wo ro gayaa

ham tujh se kis havas kii falak justajuu kare.n dil hii nahii.n rahaa hai jo kuchh aarazuu kare.n miT jaaye.n ek aan me.n kasarat namayaa.N ham aa_iine ke saamane aa kar jo huu kare.n taar-daamani pe sheiKh hamaarii na jaa_iio daaman nicho.D de.n to farishte vazuu kare.n sar taa qadam zabaa.N hai juu.N shamaa go ke ham par ye kahaa.N majaal jo kuchh guftaguu kare.n har cha.nd aa_iinaa huu.N par itanaa na qabuul muu.Nh pher le vo jisake mujhe ruu-ba-ruu kare.n ne gul ko hai sabaat ne ham ko aitabaar kis baat par chaman havas-e-rang-o-buu kare.n hai apanii ye salaah ke sab zahidaan-e-shahar ai "Dard" aa ke bet-e-dast-e-sabuu kare.n

jag me.n aakar idhar udhar dekhaa tuu hii aayaa nazar jidhar dekhaa jaan se ho gaye badan Khaalii jis taraf tuune aa.Nkh bhar ke dekhaa naalaa fariyaad aah aur zaarii aap se ho sakaa so kar dekhaa un labo.n ne kii na masihaa_ii ham ne sau -sau tarah se mar dekhaa zor aashiq mizaaj hai ko_ii "Dard" ko qisaa-e-muKhtasar dekhaa

tujhii ko jo yaa.N jalwaa farmaa na dekhaa baraabar hai duniyaa ko dekhaaa na dekhaa meraa Gu.nchaa-e-dil hai woh dil-girifataa ke jis ko kaso ne kabhii waa na dekhaa aziat, musibat, malaamat, balaaye.n tere ishq me.n ham ne kyaa kyaa na dekhaa kiyaa mujh ko daaGo.n sarv-e-chiraaGaa.N kabho tu ne aakar tamaashaa na dekhaa taGaaful ne tere ye kuchh din dikhaaye idhar tu ne lekin na dekhaa, na dekhaa hijaab-e-ruKh-e-yaar the aap hii ham khulii aa.Nkh jab, koii paradaa na dekhaa shab-o-roz aye "Dard" darapaaii huu.N us ke kaso ne jise yaa.N samajhaa na dekhaa

tum aaj ha.Nsate ho ha.Ns lo mujh par ye aazamaaish naa baar baar hogii mai.n jaana taa huu.N mujhe Khabar hai ki kal fazaa Khushagavaar hogii rahe muhabbat me.n zindagii bhar rahegii ye kashamakash baraabar naa tumako qurabat me.n jiit hogii naa mujhako furaqat me.n haar hogii hazaar ulfat sataaye lekin mere iraado.n se hai ye mumakin agar sharaafat ko tumane chhe.Daa to zindagii tum pe vaar hogii

------------------------------------

Mir taqi mir la;z;zat se nahii;N ;xaalii jaano;N kaa khapaa jaanaa kab ;xi.zr-o-masii;haa ne marne kaa mazaa jaanaa kab bandagii merii-sii bandah karegaa ko))ii jaane hai ;xudaa is ko mai;N tujh ko ;xudaa jaanaa gardan-kashii kyaa ;haa.sil maanind bagole kii

us dasht me;N sar gaa;Re juu;N sail chalaa jaa naa ay shor-e qiyaamat ham sote hii nah rah jaave;N is raah se nikle to ham ko bhii jagaa jaanaa kab miir basar aa))e tum vaise farebii se dil ko to lagaa bai;The lekin nah lagaa jaanaa

nikle hai chashmah jo ko))ii josh-zanaa;N paanii kaa yaad-dah hai vuh kisuu chashm kii giryaanii kaa darhamii ;haal kii hai saare mire diivaa;N me;N sair kar tuu bhii yih majmuu((ah pareshaanii kaa us kaa mu;Nh dekh rahaa huu;N so vuhii dekhuu;N huu;N naqsh kaa saa hai samaa;N merii bhii ;hairaanii kaa shab-e hijr me;N kam ta:zallum kiyaa kih hamsaa))igaa;N par tara;h;hum kiyaa kahaa mai;N ne kitnaa hai gul kaa ;sabaat kalii ne yih sun kar tabassum kiyaa zamaane ne mujh jur((ah-kash ko nadaan kiyaa ;xaak-o-;xisht-e sar-e ;xum kiyaa jigar hii me;N yak qa:trah ;xuu;N hai sirishk palak tak gayaa to talaa:tum kiyaa

You might also like