Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 22

Adam Gondvi , whose real name was Ram Nath Singh was born on 22nd October, 1947 in

Aatta Gram, paraspur, Dist Gonda in Uttar Pradesh. He passed away in Lucknow on 18th
December 2011 in Lucknow,UP.
Some of his poems are given which I have transliterated in Roman

1.



, ,

-


-

Ghazal ko le chalo ab gaaon ke dilkash nazaron men


Musalsal fan ka dam ghut ta hai in adabi idaron men
Naa inmen who kashish hogi na buu hogi, naa ranaaiyi
khilenge phool beahak lawn ki lambi qataron men
Adeebon thos dharti ki satah par laut bhi aao
mulamme ke ilAwa kya hai falak ke chaand sitaaron men
Rahe muflis guzarte be-yaqeeni ke tajurbe se
badal denge ye in mahlon ki rangeen mazaron ko
Kahin par bhukhmari ki dhoop teekhi ho gayi shayad
jo hai sangeen kesaaye ki charcha ishtaharon men

Ghazal ko le chalo ab gaaon ke dilkash nazaaron men


Musalsal fan ka dam ghut ta hai in adabi idaaron men
Na inmen who kashish hogi na buu hogi, na ranaayi
Khilenge phool beshak lawn ki lambi qataaron men

Adeebo, thos dharti ki satah par laut bhi aao


Mulamme ke siwa kya hai falak ke chaand-taaron men
Rahe muflis guzarte be-yaqeeni ke tajurbe se
Badal denge ye in mahlon ki rangeeni mazaaron men
Kahin par bhukhmari ki dhoop teekhi ho gayi shaayad
Jo hai sangeen ke saaye ki charcha ishtahaaron men



-

Jo Dalhousie nahin kar paaya woh yeh hukkam kar denge


commission do tau Hindustan niilaam kar denge
Yeh vande Matram ka geet gaate hain subah uth kar
magar bazaar men cheezon ka dugna daam kar denge
sadan men ghuskar agar bach gayi kursi tau dekhoge
woh agli yojna men ghuuskhori aam kar denge


sau main sattar aadmi
filhaal jab nashaad haiN
dil pe rakh kar haath kahiye
desh kya azaad hai
Kothiyon se mulk ke
Meyaar ko mat aankiye
Asli Hindustan tau
Footpath pe aabaad hai

Bhookh ka ehsaas ko sher o sukhan tak le chalo


Yaa adab ko muflison ki anjuman tak le chalo
Jo ghazal mashuq ke jalvon se waqif ho gayi
Usko ab bewa ke maathe ki shikan tak le chalo
Mujhko najmo-zabuut ki taaliim dena baad men
Pahle apni rahbari ko aacharan tak le chalo
Gangajal ab burjua tahzeeb ki pehchaan hai

Tishnagi ko vodka ke aacharan tak le chalo


Khud ko zakhmi kar rahe hain ghair ke dhoke men log
Iss shehar ko raushni ke bankpan tak le chalo



Muktikaami chetna abhyarthana itihaas ki
Yeh samajhdaron ki duniya hai virodhabhaas ki
Aap kahte hain jisse iss desh ki swarnim atiit
Who kahaani hai maihaz pratirodh ki, santraas ki
Yaksh prashanon men ulajh ke tah gayi buudhi sadi
Yeh pratiksha kii ghadii hai kya hamaari pyaas kii?

Iss vyavastha ne nayi piidhii ko aakhir kya diya


Sex kii rangiiniyan yaa goliyan sulfaas kii
Yaad rakhiye yun nahi dhalta hai kavita men vichaar
Hota hai paripaak dhiimi aanch par ehsaas ka

Vikat baadh ki karun kahaani nadiyon ka sanyaas likha hai


Buudhe bargad ke valkal par sadiyon ka itihaas likha hai
Kruur niyati ne iski kismet se aisa khilwad kiya hai
Man ke prishton par shankutal andheron par santras likha hai
Chaaya madir mahakti rahti goya Tulsi ki chaupai
Lekin swapnil smritiyon men Sita ka banvaas likha hai
Nagfani jo utha rahe hain,gamlon men gulab ke badle
Shaakhon par uss shapit piidhi ka khandit viswas likha hai
Luu keg arm jhakoron se jab pachua ko jhulsa jaati
Is men mere tanhai ke maruthal men madhumaas likha hai

Ardhtripti uddam vaasna yeh manav jeevan ka sach hai


Dharti ke iss khandkavya par virahdagdh achwaas likha hai



, ,
,



Veda men jinka hawala hashiye par bhi nahi
Ve abhaage aastha vishwaas lekar kya Karen
Lokranjan ho jahan shambuk- vadh ki aad men
uss vyavastha ka ghrindit itihas lekar kya Karen
Kitna pragatimaan raha bhoge huye shann ka itihaas
Traasdi,kunthaa,ghutan,santraas lekar kya Karen
Budhijeevi ke yahan suukhe kaa matlab aur hai
Thuunth se bhi sex ka ahsaas lekar kya karen
garm roti ka ehsaas pagal bana deti mujhe
paarlaukik pyaar ka madhumaas lekar kya Karen


woh jiske haathen chaale hain pairon men biwaai hai
ussi ke dam se raunak aapke bangle men aayi hai

, ,
,
;

, ,

,
, -

Hindu yaa Muslim ke ahsasaat ko mat chediye
apni kursi ke liye jazbaat ko mat chediye
Hum men koi huud, koi shaq, koi mangol hai
dafn hai jo baat, uss baat ko mat chediye
Galtiyaan Babar ki thi ; Jumman ka ghar phir kyun jale
aise nazuk waqt men haalat ko mat chediye
Hain kahan Hitler, Halaaku, Jaar (?) yaa Changez Khan
Mit gaye sab qaum ki auqaat ko mat chediye

Chediye ik jung, mil jul kar garibi ke khilaaf


Dost, mere mazhabi nagmaat ko mat chediye


-
-

Jiske sammohan men pagal dharti hai aakash bhi hai


Ek paheli-si duniyaa ye galp bhi hai itihaas bhi hai
Chintan ke sopaan pe chadhkar chaand-sitaare choo gaye
Lekin man ki gahrayi men moti sii bu-baas bhi hai
Indradhanush ke pul se guzar kar iss basti taka aye hain
Jahan bhookh ki dhoop saloni chanchal hai bindaas bhi hai
Kankreet (concrete) ke iss jangal men phool khile par gandh nahin

Smritiyon ki ghaati men yun kahne ko madhumaas bhii hai

Jism kyaa hair ruh tak sab kuch khulaasa dekhiye


Aap bhi iss bhiid men ghuskar tamaasha dekhiye
Jo badal sakti hai iss puliya ke mausam ka mizaaj
Uss yuwa piidhi ke chehre kii hataash dekhiye
Jal raha hai desh yeh bahla rahi hai qaum ko
Kis tarah ashleel hai, kavita kii bhaasha dekhiye

Matsyagandha phir koi hogi Rishi kaa shikaar


Duur tak phaila huwa gehra kuhaasa dekhiye

Gar chand twarikhi tahrir badal doge,


kya inse kisi qaum ki taqdir badal doge?
Jais se woh Hindi ki dariya jo bah ke aayi
Modoge uskii dhaara yaa neer badal doge
Jo aks ubharta hai RasKhan ki nazmon men
Kya Krishna ki wo mohak tasweer badal doge
Tareekh batati hai tum bhi tau lutere thay
Kya Dravidon se cheenii jageer badal doge

,
- '


tumhari fiiloN me Gaon ka mausam Gulaabi hai
magar ye aankde jhuthe hain ye dava kitaabi hai
udhar jamhuriyat ka dhol pitey ja rahe hain vo
idhar parde ke piche barbariyat hai,Nawaabi hai
lagee hai hod si dekho ameeri aur gareebi me
ye Gandhivaad ke dhanche ki Buniyadi kharaabi hai
tumhari mez Chaandi ki tumhare Jaam sone ke
yahan Jumman ke ghar me aaj bhi phooti Raqaabi hai !!!

- ,

-.

Kaju bhune hain plate me whiskey gilaas me


utra hai Ram rajya vidhayak niwas mein
Pakke samaajwaadi hain taskar ho yaa dakait
Itna asar hai khaadi ke ujale libaas men

Azaadi ka who jashn manaaye tau kis tarah


Jo aa gaye footpath par ghar ki talash men
Paise se aap chaahe tau sarkar gira den
Sansad badal gayi hai yahan ki nakhaas men
Janta ke paas ek hi chaara hai baghavat
Yeh baat kah raha hun main hosh o havaas men


- -

''

Jo mahlon ki bulandi se na lafzon ke nageeno se


Tamaddun men nikhaar aata hai gheesu ke paseene se
Ki ab markaz men roti hai, muhabbat haashiye par hai
Utar aayi gazal is daur men kothi ke ziine se
Adab ka aaiina un tang galiyon se guzarta hai
Jahan bachpan sisakta hai lipat kar maa ke sine se
Bahaar e bekiraan men taa qayamat ka safar thahra
Jisse saahil ki hasrat ho utar jaaye safiine se
Adeebon ki nayi piidhii se meri yeh guzarish hai
Sajo kar Rakhen dhumil ki virasat ko kareene se



Aaiye mehsoos kariye zindagi ke taap ko
Main chamaaron ki gali tak le chalunga aapko



Jis gali men bhukhmari ki yaatna se uub kar
Mar gayi Phuliya bechari ik kuyen men duub kar

Hai sadhi sir par Binauli kandiyon ki tokri


Aa rahi hai saamne se Harkhuwa ki chokri


Chal rahi hai chhand ke aayaam ko deti Disha
Main isse kahta hun Sarjuu paar ki MonaLisa
-

Kaisi yeh bhaybhiit hai hirni sii ghabraayi huyi
Lag rahi hai jaise kali bela kii kumbhlayi huyi


Kal ko yeh vachaal thi par aaj kaisi maun hai
Jaante hoi ski khamoshi ka karan kaun hai



Thay yehi saawan ke din Harkhu gaya tha haat ko
So rahi buudhii ausaare men bichaaye khaat ko


Duubti suraj ki kirane khelti thi ret se
Ghaas ka ghatthar liye woh aa rahi thi khet men


Aa rahi thi who chali khoyi huyi jazbaat men
Kya pata usko ki koi bhediya hai ghaat men



Honi se bekhabar Krisna bekabar raahon men thi
Mod par ghumii tau dekha ajnabi baahon men thi

, ,
Chiikh nikli bhi tau honton men ghut kar rah gayi
Chatpatayi pahle, phir dhiilii padi, phir dhay gayi


Din tau Sarju ke kachaaron men thaa kab ka dhal gaya
Vaasna ki aag men kaumaarya uska jal gaya


Aur us din yeh haveli hans rahi thi mauj men
Hosh men aayi tau Krishna thii pita kii god men



Jud gayi bhiid jis men zor thaa sailaab thaa
Jo bhi thaa apni sunaane ke liye betaab thaa

, ' ,


Badh ke Mangal ne kaha, kaka tu kaise maun hai
Pooch tau beti se aakhir who darinda kaun hai

Koi ho sungharsh se hum paanv modenge nahii


Kachchca khaa jaayenge zinda unko chodenge nahii

-
'
Kaise ho sakta hai honi kahke hum taala Karen
Aur yeh dushman bahu-beti se munh kaala karen

- ',

'
Bola Krishna se behan, so jaa mere anurodh se
Bach nahi sakta hai who paapi mere pratishod se


Pad gayi iski bhanak thii thakuron ke kaan men
Ve ikathhe hog aye sarpanch ke daalaan men



Drishti jiski hai jami bhaale ki lambi nok par
Dekhiye Sukhraj Singh bole hain kheni thok kar
' !



Kya kahen sarpanch Bhai! Kya zamana aa gaya
Kal talak jo paanv ke neeche thaa rutba paa gaya


Kahti hai sarkar ki aapas men miljul kar raho
Suwar ke bachchon ko ab kori nahi karijan kaho


Dekhiye naa yeh jo Krishna hai chamaron ke yahan
Pad gayi hai seep ka moti ganwaaron ke yahan


,
Jaise barsati nadi alhad nashe men chuur hai
Na putthhe pe haath rakhne deti hai, magroor hai


Bhejta hai nahin sasuraal isko Harkhuwa
Phir koi baahon men isko bhiinch le tau kya huwa

-
Aaj sarju paar apne Shyaam se takra gayi
Jaane anjaane wo lajjat zindagi ki paa gayi



Wo tau Mangal dekhta tha baat aage badh gayi
Warna wo mardud in baton ko kahne se rahi


Jaante hain aap Mangal ek hi makkar hai
Karkhu uski shai pe thane jaane ko tayyar hai

-

'
Kal subah garden agar napti hai bte-baap ki
Gaon ki galiyon men kya izzat rahegi aapki



Baat ka lahja tha aisa taav sabko aa gaya
Haath munchon par gaye mahaul bhi sanna gaya

,
Shandik aavesh jis men har yuwa taimur thaa
Haan, magar honi ko tau kuchh aur hi manzoor thaa


Raat jo aaya na ab tufaan wo purzor thaa
Bhor hote hi wahan ka drishya bilkul aur thaa


Sir pe topi baint kii laathi sambhaale hatah men
Ek darjan that sipaahi Thakuron ke saath men

' '
Gher kar basti kaha halke ke Thanedaar ne
Jiska Mangal naam hai wo vyakti aaye saamne


Nikla mangal jhonpdi ka palla thoda kholkar
Ik sipaahi ne tabhi laathi chalayi daud kar

, '
?'
Gir pada mangal tau maatha boot se takra gaya
Sun pada sir, Maal wo chori ka tu ne kya kiya?
' ?'

,
Kaisi chori maal kaisa? Usne jaise hi kaha
Ek laathi phir padi bas, hosh phir jaata raha


Hosh khokar wo pada thaa jhonpdi ke dwaar par
Thakuron se phir Daaroga ne kaha lalkaar kar
"
!

"
Mera munh kya dekhte ho! Iske munh men thook do
Aag lagaao aur iski jhonpdi bhi phook do.


Aur phir pratishodh ki aandhi vahan chalne lagi
Besahara nirbalon ki jhonpdi jalne lagi


Doodhmuha bachcha wa budhdha jo wahan khere men thaa
Wo abhaaga diin hinsak bhiid keg here men thaa


Ghar ko jalta dekh kar wo hosh ko khone lage
Kuchh tau man hi man magar kuchh zor se rone lage

'

'
Kah do in kutte ke pillon se ki itraaye nahi
Hukm jab tak main naa duun koi kahin jaaye nahi

-


Yeh daroga ji thay munh se shabd jhadte phool-se
Aa rahe tahy thelte logon ko apni rule se
, '

'
Phir dahaade ,Inko dandon se sudhaara jayega
Thakuron se job hi takraya wo maar jayega
, '

'
Ik sipaahi ne kaha , cycle kidhar ko mod den,
Hosh men aaya nahin Mangal kaho tau chod den
, '



Bola Thanedaar, Murghe ki tarah mat baang do
Hosh men aaya nahi tau laathiyon pat taang lo.

'
Yeh samajhte hain Thakur se uljhana khel hai
Aise paaji ka thikaana ghar nahin jail hai.

' '
Poochte rahte hain mujhse log aksar yeh sawaal
Kaise hain kahiye sarju paar ki Krishnaa ka haal.


Unki utsukta ko shehri nagntaa ke jwaar ko
Sarr rahe jantantra ke makkar parokaar ko


Dharm, sanskriti aur naitikta ke thekedaar ko
Praant ke mantriganon ko Kendra ki sarkaar ko



Main nimantran de raha hun aaye mere gaaon men
Tat pe nadiyon ke ghani amaaraiyon ki chaanv men


Gaanv jismen aaj Paanchaali ughaadi jaa rahi
Yaa ahinsa ki jahan par nath utaari jaa rahi


Hai taraste kitne hi Mangal langoti ke liye
Bechti hai jism kitni Krishna roti ke liye



-
-

- -
- - -

- -
- - -

You might also like