Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 3

Nasir Kazmi Poetry

Duniya Ke Sitam Yaad Na Apni Wafaa Yaad Ab Mujh Ko Nahi Kuch Bhi Mohabbat Ke Siwa Yaad Mein Shikwah Ba Lab Tha, Mujhe Ye Na Bhi Raha Yaad Shayad Ke Mere Bhoolnay Waalay Ne Kia Yaad Kia Jaaniye Kia Ho Gaya Arbaab-e-Junoo.n Ko Jeenay Ki Adaa Yaad Na Marnay Ki Adaa Yaad Kia Lutf Ke Mein Apna Pataa Aap Bataaon Kijiye Koi Bhooli Howi Khaas Apni Adaa Yaad Muddat Howi Ek Haadsa-e-Ishq Ko Laikin Ab Tak Hai Tere Dil Ke Dharaknay Ki Sadaa Yaad

__________________________________________Diyaar-e-Dil Ki Raat Mein Charaagh Sa Jalaa Gaya Mila Nahi Tou Kia Howa, Wo Shakal Tou Dikha Gaya Wo Dosti Tou Khair Ab Naseeb-e-Dushmanaa.n Howi Wo Choti Choti Ranjishon Ka Lutf Bhee Chala Gaya Judayion Ke Zakham Dard-e-Zindagi Ne Bhar Dye Tujhe Bhee Neend Aa Gayi Mujhe Bhi Sabar Aa Gaya Pukaarti Hain Fursatain Kahan Gayin Wo Sohbatain Zamee.n Nigal Gayi Unhain Ke Aasmaan Khaa Gaya

Kabhi roye, kabhi tujh ko pukaara, Shab-e-furqat bari mushkil se guzri.. Kuch Tou Ehsaas-e-Ziyaan Tha Phele Dil Ka Ye Haal Kahan Tha Phele Ab Tou Manzil Bhi Hai Khud Garm-e-Safar Har Qadam Sang-e-Nishaan Tha Phele Safar-e-Shoq Ke Farsang Na Pooch Waqt Be-Qaid Makaan Tha Phele Ye Alag Baat Ke Gham Raas Hai Ab Is Mein Andaisha-e-Jaan Tha Phele Yun Na Ghabraye Howay Phirtay Thay Dil Ajab Kunj-e-Amaan Tha Phele Ab Bhi TU Paas Nahi Hai Laikin Is Qadar Door Kahan Tha Phele Dairay Daalay Hain Bagolon Ne Jahan Os Taraf Chashm-e-Rawaan Tha Phele Har Kharab Ye Sadaa Deta Hai Mein Bhi Aabaad Makaan Tha Phele Kia Se Kia Ho Gayi Dunya Pyaaray TU Waheen Per Hai Jahaan Tha Phele Ham Ne Aabaad Kia Mulk-e-Sukhan Kaisa Sunsaan Samaa Tha Phele Ham Ne Bakshi Hai Khamoshi Ko Zabaan Dard Majboor-e-Fugaan Tha Phele Ham Ne Roshan Kia Maamoor-e-Gham Warna Har Simt Dhuwaan Tha Phele Gham Ne Phir Dil Ko Jagaya Nasir Khana-e-Barbaad Kahan Tha Phele Sheher mein humdum puraaney bohat they Nasir, Waqt padne par na kaam aaya koi..

Jab tak ham masroof rahe yeh dunya thi sunsaan, Din dhalte hi dheyaan mein aye kese kese log .. _____________________________________________

Juda huye hain bohat log ik tum bhi sahi, Zara si baat pe kya zindagi haraam karain.. ____________________________________________ Teri Zulfon Ke Bikharnay Ka Sabab Hai Koi Aankh Kehti Hai Tere Dil Mein Talab Hai Koi Aanch Aati Hai Tere Jism Ki Uryaani Se Pairhan Hai Ke Sulagti Howi Shab Hai Koi Hosh Uraanay Lageen Phir Chaand Ki Thandi Kirnain Teri Basti Mein Hun Ya Khwaab-e-Tarb Hai Koi Geet Banti Hai Tere Sheher Ki Bharpoor Hawa Ajnabi Mein Hee Nahi TU Bhee Ajab Hai Koi Lye Jaati Hain Kisi Dehaan Ki Lehrain Nasir Door Tak Silsila Taak-e-Tarb Hai Koi Hoti Hai Tere Naam Se Wehshat Kabhi Kabhi Barham Hui Hai Yun Bhi Tabiyat Kabhi Kabhi Ay Dil Kise Naseeb Ye Taufeeq-e-Iztiraab Milti Hai Zindagi Main Ye Raahat Kabhi Kabhi Tere Karam Se Ay ALm-e-Husn-e-Aafreen Dil Ban Gaya Hai Dost Ki Khilwat Kabhi Kabhi Dil Ko Kahan Naseeb Ye Taufeeq-e-Iztiraab Milti Hai Zindagi Main Ye Raahat Kabhi Kabhi Josh-e-Junoon Main Dard Ki Tugyaniyon K Saath Ashkon Main Dhal Gai Teri Surat Kabhi Kabhi Tere Qareeb Reh k Bhi Dil Mutmayin Na Tha Guzri Hai Mujh Pe Ye Qayamat Kabhi Kabhi Kuch apna Hosh Tha Na Tumhara Khayaal Tha Yun Bhi Guzar Gai Shab-e-Furqat Kabhi Kabhi Ay Dost Ham Ne Tark-e-Muhabbat Ke Bawajood Mehsoos Ki Hai Teri Zarurat Kabhi Kabhi Be-Karaan Tanhaayion Ka Silsila Reh Jaaye Ga Tere Mere Darmiyaan, Bas Ik Khalaa Reh Jaaye Ga Aks Beh Jaayein Ge Saaray Dhoop Ke Sailaab Mein Aur Koi Paanion Mein Jhaankta Reh Jaaye Ga Mujh Ko Mere Hamsafar Aisa Safar Darpaish Hai Raasta Kat Bhee Gaya Tou Faasla Reh Jaaye Ga Loog So Jaayein Ge Khamoshi Ki Chaadar Orh Kar Chaand Soonay Aanganon Mein Jaagta Reh Jaaye Ga Jo Kubhi Os Ne Parheen Theen Mujh Se Nasir Maang Kar Naam Mera Un Kitaabon Mein Likha Reh Jaaye Ga Yaad Aata Hai Roz-o-Shab Koi Ham Se Rootha Hai Be-Sabab Koi Lab-e-Jo Chhaon Mein Darakhton Ki Wo Mulaaqaat Thi Ajab Koi Jab Tujhe Pehli Baar Dekha Tha Wo Bhee Tha Mausam-e-Tarb Koi Kuch Khabar Le Kar Teri Mehfil Se Door Betha Hai Jaan-e-Balab Koi Na Gham-e-Zindagi Na Dard-e-Firaaq Dil Mein Yunhi Si Hai Talab Koi Yaad Aati Hai Door Ki Baatain Pyaar Se Dekhta Hai Jab Koi

Chout Khaayi Hai Baar-Haa Laikin Aaj Tou Dard Hai Ajab Koi Jin Ko Mitna Tha Mit Chukay Nasir Un Ko Ruswa Karay Na Ab Koi Tere Milnay Ko Be-Kal Hogaye Hain Magar Ye Loog Paagal Hogaye Hain Bahaarain Le Ke Aaye Thay Jahaan Tum Wo Ghar Sunsaan Jangal Ho Gaye Hain Yahaan Tak Barh Gaye Aalaam-e-Hasti Ke Dil Ke Honslay Shal Ho Gaye Hain Unhain Sadyon Na Bhoolay Ga Zamaana Yahaan Jo Haadsay Kal Ho Gaye Hain Jinhain Hum Dekh Kar Jeetay Thay Nasir Wo Loog Aankhon Se Ojhal Ho Gaye Hain Dil DhaRakne Ka Sabab Yaad Aaya Wo Teri Yaad Thi Ab Yaad Aaya Aaj Mushkil Tha Sambhalna Ay Dost TU Musibat Main Ajab Yaad Aaya Din Guzra Tha Bari Mushkil Se Phir Tera Waada-e-Shab Yaad Aaya Tera Bhula Hua Paimaan-e-Wafa Mar Rahenge Gar Ab Yaad Aaya Phir Loog Nazar Se Guzre Phir Koi Sheher-e-Tarab Yaad Aaya Haal-e-Dil Hum Bhi Sunate Laikin Jab Wo Rukhsat Howa Tab Yaad Aaya Baith Kar Saaya-e-Gul Main Nasir Hum Bohat Roye Wo Jab Yaad Aaya naye kapre badal kar jaun kahan aur bal banaun kis k liye wo shakhs to shahar hi chor gaya ab khak uraun kis k liye jis dhup ki dil ko thandak thi wo dhup usi k sath gai in jalti bujhti galiyon main ab khak uraun kis k liye wo shahar main tha to us k liye auron se milna parta tha ab aise-waise logon k main naz uthaun kis k liye ab shahar main is ka badal hi nahi koi waisa jan-e-gazal hi nahi aiwan-e-gazal main lafzon k guldan sajaun kis k liye muddat se koi aya na gaya sunsan pari hai ghar ki faza in khali kamron main ?Nasir? ab shamma jalaun kis k liye

You might also like