Qambar Ali Kyani 2013 - 2014

You might also like

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 14

Qambar Ali Kyani Nauhas 2013 - 2014

Contents
1. Aai Qatil E Shabbir (A.s.) Tu Kya Kaat Raha Hai ..................... 3 2. Tu Aale Mohammad (A.s.) Ki Wafadar Hai Fizza ...................... 5 3. Aai Nafs E Mutmain (A.s.) ................................................................... 7 4. Zainab (S.a.) Ki Nazar Dhoond Rahi Hai ....................................... 9 5. Chadarein Sar Pe Nahi Sath Alamdar (A.s.) Nahi .................. 11 6. Kaha Yeh Din Ne Nikal Kar Safar Mein Hai Zainab (S.a.) .. 13

1. Aai Qatil E Shabbir (A.s.) Tu Kya Kaat Raha Hai


Khanjar Se Aayat E Kaat Raha Hai..2 Aai Qatil E Shabbir (A.s.) Tu Kya Kaat Raha Hai..2 Dar Asl Payambar (S.a.w.w.) Ka Gala Kaat Raha Hai Aai Qatil E Shabbir (A.s.)Tu Kya Kaat Raha Hai..2 Jari Hai Labe Shah (A.s.)Tasbeeh E Ilahi..2 Sheh Rag Nahi Tu Zikre Khuda (S.w.t.) Kaat Raha Hai Aai Qatil E Shabbir (A.s.)Tu Kya Kaat Raha Hai..2 Naize Ki Ani Chaadar E Zainab (S.a.) Me Aadi Hai..2 Naiza Sar E Zainab (S.a.) Ki Rida Kaat Raha Hai Aai Qatil E Shabbir (A.s.)Tu Kya Kaat Raha Hai..2 Ulfat Se Jinhe Choomte Rehte The Payambar (S.a.w.w.)..2 Un Hathon Ko Yeh Kaun Khada Kaat Raha Hai Aai Qatil E Shabbir (A.s.)Tu Kya Kaat Raha Hai..2 Masooma (S.a.) Ke Zakhmon Me Padhe Ret Ke Zarre ..2 Har Zarra Hi Kaate Ki Tarha Kaat Raha Hai Aai Qatil E Shabbir (A.s.)Tu Kya Kaat Raha Hai..2 Aai Allah (S.w.t.) Tere Deen Ka Nasir Hai Yeh Kunba..2 Chup Chap Jo Arkaro Jafa Kaat Raha Hai Aai Qatil E Shabbir (A.s.)Tu Kya Kaat Raha Hai..2 Ek Tarf To Zanziron Ne Aabid (A.s.)Ko Sataya..2 Gam Bali Sakina (S.a) Ka Juda Kaat Raha Hai
3

Aai Qatil E Shabbir (A.s.)Tu Kya Kaat Raha Hai..2 Jari Hai Labe Shah (A.s.) Pe Tasbi He Ilahi Sheh Rag Nai Tu Zikre Khuda (S.w.t.) Kaat Raha Hai Aai Qatil E Shabbir (A.s.)Tu Kya Kaat Raha Hai..2 Taukeer Dua Aamad E Mahdi (A.t.f.s.) Ki Kia Kar Yeh Wakt Kathin Maula Tera Kaat Raha Hai Aai Qatil E Shabbir (A.s.)Tu Kya Kaat Raha Hai..2

2. Tu Aale Mohammad (A.s.) Ki Wafadar Hai Fizza


Wafadar Hai Fizza , Wafadar Hai Fizza ..2 Tu Aale Mohammad (A.s.) Ki Wafadar Hai Fizza..2 Is Ujde Hue Ghar Ki ..2 Azadar Hai Fizza Tu Aale Mohammad (A.s.) Ki Wafadar Hai Fizza..2 Bazar Me Zainab (S.a.) Ke Tera Aage Who Chalna Sub Maar Laino Ki Zaieefi Me Woh Sehna Yeh Tei Mawaddat Hai Tera Pyar Hai Fizza Tu Aale Mohammad (A.s.) Ki Wafadar Hai Fizza..2 Yeh Mera Aqeeda Hai Jo Likhta Hun Mai Wallah Tu Ban Ke Chali Shaam Main Zainab (S.a.) Ka Mussala Mushkil Me Tu Makhduma Ki Gamkhwar Hai Fizza Tu Aale Mohammad (A.s.) Ki Wafadar Hai Fizza..2 Ki Tu Ne Pasand Fatema Zehra (S.a.) Ki Gulami, Nabion Ke Tu Jaisi Hai Aqeedat Se Salami Laraib Salami Ki Tu Haqdar Hai Fizza Tu Aale Mohammad (A.s.) Ki Wafadar Hai Fizza..2 Haye Sham Ke Har Mood Pe Yeh Tune Kaha Hai Tatheeer Ke Waris Ke Nahi Sar Pe Rida Hai Aai Shamion Chadar Ki Talbgar Hai Fizza Tu Aale Mohammad (A.S.) Ki Wafadar Hai Fizza..2 Zehra (S.a.) Ne Kaha Fizza Meri Jaan Ki Tarha Hai Aulad E Ali (A.S.) Kehti Thi Tu Maan Ki Tarha Hai
5

Aflaq Se Uncha Tera Kirdar Hai Fizza Tu Aale Mohammad (A.s.) Ki Wafadar Hai Fizza..2 Paon Me Waram Kaanton Ka Talwon Me Basera Sang Bari E Ummat Se Badan Zakhmi Hai Tera Is Haal Me Bhi Haq Ki Tu Lalkar Hai Fizza Tu Aale Mohammad (A.S.) Ki Wafadar Hai Fizza..2 Tauqeer Tere Dar Ka Hai Adna (S.a.w.w.) Sawali Dukh Door Karo Aale Nabi Palne Wali Dar kar Tere Rauze Ki Deedar Hai Fizza Tu Aale Mohammad (A.s.) Ki Wafadar Hai Fizza..2 Is Ujde Hue Ghar Ki Azadar Hai Fizza Tu Aale Mohammad (A.s.) Ki Wafadar Hai Fizza..2

3. Aai Nafs E Mutmain(A.s.)


Wa Husaina (A.s.) Wa Husaina (A.s.)..2 Ya Aaiyato Han Nafs Ul Mutaminnaa..2 Aai Nafs E Mutmain, Aai Nafs E Mutmain..2 Aabad Tu Ne Kardiya Islam Ka Chaman Aai Nafs E Mutmain, Aai Nafs E Mutmain..2 Tu Ne Hayat Baksh Di Allah (S.w.t.) Ke Deen Ko Sajde Salam Karte Hai Teri Jabeen Ko Mamnoon Tera Kibriya Aai Jaan E Panjetan Aai Nafs E Mutmain, Aai Nafs E Mutmain..2 Deen Ke Baqa Ke Waste Soya Nahi Hai Tu Lashe Uthae Aankhon Se Roya Nahi Hai Tu Tere Azeem Sabr Pe Sajdey Kare Zaman Aai Nafs E Mutmain, Aai Nafs E Mutmain Sbro Raza Ka Fakhr Ibadat Ki Jaan Tu Quran Keh Raha Hai Ke Tilawat Ki Shaan Tu Khutba Tera Azeem Hai Mazloom Bewatan Aai Nafs E Mutmain, Aai Nafs E Mutmain Gurbat Teri Bhula Na Sakengi Yeh Qaiyanat Tere Labon Ki Pyas Pe Tadpengi Ab Furat Naize Pet Era Sar Tha Zameen Pe Pada Tha Tan Aai Nafs E Mutmain, Aai Nafs E Mutmain Tujhpar Laeen Shimr (La) Ne Khanjar Chala Diya Kyun Na Kahu Ke Deen Ka Kaaba Gira Diya
7

Sattar Kadam Se Dekh Rahi Thi Teri Bahan Aai Nafs E Mutmain, Aai Nafs E Mutmain Tauqueer Rahe Sham Pe Zainab (S.a.) Thi Jub Chali Bhai Ka Lasha Dekha To Yeh Keh Ke Ro Padi Hoti Meri Rida To Banati Tera Kafan Aai Nafs E Mutmain, Aai Nafs E Mutmain Aabad Tune Kardiy Islam Ka Chama Aai Nafs E Mutmain, Aai Nafs E Mutmain

4. Zainab (S.a.) Ki Nazar Dhoond Rahi Hai


Zainab (S.a.) Ki Nazar Dhoond Rahi Hai..2 Zainab (S.a.) Ki Nazar Dhoond Rahi Hai..2 Masooma (S.a.) Ko Zainab (S.a.) Ki Nazar Dhoond Rahi Hai..2 Bikhre Hue Lashe Hai, Jidhar Dhoond Rahi Hai Masooma (S.a.) Ko Zainab (S.a.) Ki Nazar Dhoond Rahi Hai Laila (S.a.) Se Kaho Chand Se Bete Ko Chupa Le..2 Barchi Tere Akbar (A.s.) Ka Jigar Dhoond Rahi Hai Masooma (S.a.) Ko Zainab (S.a.) Ki Nazar Dhoond Rahi Hai Do Kurte Jale, Jhule Ki Kutch Raakh Hai Asgar (A.s.)..2 Maan Teri Yehi Rafte Safar Dhoond Rahi Hai Masooma (S.a.) Ko Zainab (S.a.) Ki Nazar Dhoond Rahi Hai Jo So Gaie Islam Ki Qandile Jala Kar..2 Un Pyason Ko Ab Tak woh Nahar Dhoond Rahi Hai Masooma (S.A.) Ko Zainab (S.a.) Ki Nazar Dhoond Rahi Hai Tum Jaisa Moazain To Nasibon Se Hai Milata Akbar (A.s.) Tujhe Abtak Yeh Fajar Dhoond Rahi Hai Masooma (S.a.) Ko Zainab (S.a.) Ki Nazar Dhoond Rahi Hai Jalte Hue Khaimo Se Mohammad (S.a.w.w.) Ki Nawasi..2 Bhaiya Tera Beemar Pisar Dhoond Rahi Hai Masooma (S.a.) Ko Zainab (S.a.) Ki Nazar Dhoond Rahi Hai Laila (S.a.) Se Kaho Chand Se Bete Ko Chupa Le..2 Barchi Tere Akbar (A.s.) Ka Jigar Dhoond Rahi Hai
9

Masooma (S.a.) Ko Zainab (S.a.) Ki Nazar Dhoond Rahi Hai Aai Matami Tauqueer Teri Kitni Buland Hai..2 Zehra (S.a.) Tere Ashkon Ke Gohar Dhoond Rahi Hai Laila (S.a.) Se Kaho Chand Se Bete Ko Chupa Le..2 Barchi Tere Akbar (A.s.) Ka Jigar Dhoond Rahi Hai Masooma (S.a.) Ko Zainab (S.a.) Ki Nazar Dhoond Rahi Hai

10

5. Chadarein Sar Pe Nahi Sath Alamdar (A.s.) Nahi


Chadarein Sar Pe Nahi Sath Alamdar(A.s.) Nahi..2 Desh Begana Yehan Koi Madadgar Nahi Chadarein Sar Pe Nahi Sath Alamdar(A.s.) Nahi..2

Shamion (L.a.) Sharm Karo Door Hato Parda Karo..2 Zehra Sani (S.a.) Hai Kabhi Ayie Yeh Bazar Nahin..2 Chadarein Sar Pe Nahi Sath Alamdar (A.s.) Nahi..2 Aai Shimar (L.a.) Zulm Na Kar Ro Key Yeh Fizza Ne Kaha..2 Taziane Ke Kabil Aabid E Beemar (A.s.) Nahi..2 Chadarein Sar Pe Nahi Sath Alamdar(A.S.) Nahi..2 Teesra Din Hai Dare Saad Pe Zainab (S.a.) Hai Khadi..2 Hai Abhi Dair Saja Sham Ka Darbar Nahi..2 Chadarein Sar Pe Nahi Sath Alamdar(A.s.) Nahi..2 Kyun Na Har Gaam Mujhe Khoon Rulae Ghairat..2 Meri In Aankhon Ne Dekhe Kabhi Baazar Nahi..2 Chadarein Sar Pe Nahi Sath Alamdar(A.s.) Nahi..2 Aai Muslmano Humein Chand Ridaen Dedo ..2 Mangta In Ke Siva Kutch Bhi Yeh Beemar (A.s.) Nahi Chadarein Sar Pe Nahi Sath Alamdar(A.s.)Nahi..2 Teesra Din Hai Dare Saad Pe Zainab (S.a.) Hai Khadi..2 Hai Abhi Deer Saja Sham Ka Darbar Nahi..2
11

Chadarein Sar Pe Nahi Sath Alamdar(A.s.)Nahi..2 Chaderein Gar Nahi Dete To Batao Mujhko..2 Kya Nabi Zadian (S.a.) Yeh Purse Ki Haqdar Nahi..2 Chadarein Sar Pe Nahi Sath Alamdar(A.s.)Nahi..2 Desh Begana Yehan Koi Madadgar Nahi Chadarein Sar Pe Nahi Sath Alamdar(A.s.) Nahi..2

12

6. Kaha Yeh Din Ne Nikal Kar Safar Mein Hai Zainab (S.a.)
Zainab (S.a.), Haye Zainab (S.a.)..2 Haye Zainab (S.a.)..2 Kaha Yeh Din Ne Nikal Kar Safar Mein Hai Zainab (S.a.)..2 Kaha Yeh Raat Ne Dhal Kar..2 Safar Mein Hai Zainab (S.a.) Kaha Yeh Din Ne Nikal Kar Safar Mein Hai Zainab (S.a.)..2 Hai Uske Hathon Mein Ek Kurta Aur Do Bazu Gule E Shah E Shaheeda (A.s.) Se Jo Baha Tha Lahu Lahu Woh Chehre Pe Malkar..2 Safar Mein Hai Zainab (S.a.) Kaha Yeh Din Ne Nikal Kar Safar Mein Hai Zainab (S.a.)..2 Bandhe Hue Woh Rasan Aaj Bhi Hai Baazu Mein Who Taziyanon Ke Neel Aaj Bhi Hai Pehlu Mein Khula Hai Aaj Bhi Woh Sar ..2 Safar Mein Hai Zainab (S.a.) Kaha Yeh Din Ne Nikal Kar Safar Mein Hai Zainab (S.a.)..2 Jigar Mein Teer Jo Pevast Tha Jigar Mein Hai Padi Hui Thi Jo Ab Tak Woh Khak Sar Mein Hai Abhi Talak Yun Hi Beghar..2 Safar Mein Hai Zainab (S.a.) Kaha Yeh Din Ne Nikal Kar Safar Mein Hai Zainab (S.a.)..2

Wahi Hai Sham Ka Baazar Aur Wahi Manzar.2 Baras Rahe Hai Saron Par Ushi Tarah Patthar Ushi Tarha Hai Woh Sar Tar ..2 Safar Mein Hai Zainab (S.a.) Kaha Yeh Din Ne Nikal Kar Safar Mein Hai Zainab (S.a.)..2 Na Sar Pe Saya Liya Phir Kabhi Husain (A.s.) Ke Baad
13

Na Thand Pani Piya Phir Kabhi Husain (A.s.) Ke Baad Rida Na Paaie Khule Sar..2 , Safar Mein Hai Zainab (S.a.) Kaha Yeh Din Ne Nikal Kar Safar Mein Hai Zainab (S.A.)..2 Sada E Matam E Sarwar (A.S.) Jo Aa Rahi Hai Navaid Sada E Girya Jo Girya Badha Rahi Hai Navaid Yeh Keh Rahi Hai Barabar..2 Safar Mein Hai Zainab (S.a.) Kaha Yeh Din Ne Nikal Kar Safar Mein Hai Zainab (S.a.)..2 Haye Zainab (S.A.)..2

14

You might also like