Mein Raj Virk

You might also like

Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 11

Mein Raj Virk.

Aaj mujhe meri


book ke liye award milne wala
hai.mujhe pata nahi ke mein is
award ke kaabil hoon b ke
nahi.Maine yeh kahani kisi
award ke liye nahi balkee ek
insaan kee sachi mohabbat ko
darsane ke liye likhi thi.Mein
chahta tha kee meri kahani
logon ke liye kuchh naye mayane
leke aaye.
Aaj mere liye 23 April ka din
bahut hee khaas hai.Aaj mujhe
hamari desh kee president ke
hathon award milne wala
hai.Sare Desh kee media aaj
president house mein hee dera
dale hui hai.
Ek –ek karke naamo kee
announcement ho rahi thi.dil mein
mere kuchh darr bhi tha aur kushi
bhi.
aur president g ne mera naam
announce kiya-this year best writer
award goes to mr.raj for his book.
Har taraf taaliyon kee gadgadahat
thi.Aisa lag raha tha kee mera koi
sapna sach hone jaa raha tha.
Jab mein president house se bahar
nikla mujhe media is tarah gher
rakha tha jaise kee gud ko
makhiyon.Unke bahut sare sawalon
ke mano jaise ke jhadi hee lag gaye
ho.jaise kee
Aap ko prerna kahan se milee?
Kya aap ne pehle bhi koi kahani
likhee hai?
Kya yeh kahani kisi sachi ghatna par
hai?
Kya aap aage bhi koi aisee hee
kahani likhenge?
Mera bas itna hee kehna tha –mujhe
nahi lagta kee mein phir kabhi aisi
kahani likh sakoo.
Kya aap hame kahani ke bare kuch
bata sakte hain.
Yeh baat un dino kee hai jab mein
college mein tha.Hamare exams
over ho chuke the.mere sabhi dost
apne families ke saath chuttian
celebrate karne jaa rahe the.they all
r very excited about their trips.par
mujhe koi excitement nahi thee.mein
jab se bada hua tab se hee mere
dada g hame bilaspur(himachal) ke
wahi hill station par le ke jate
the.mujhe pata tha kee mein iss baar
phir se bor hone wala tha uska
kaaran yeh tha kee mein sare
bilaspur ,uskee ek-ek gali ko
pehchanta tha.
Mere dada g ek aadat thee veh news
mujhe se hee sunte the.har din
newspaper padd ke unhe sunana
padta tha.
Bilaspur mein ek park hai jise log
seniors park kehte hain.subah-subah
log kasrat karne,dodne aate
hain.mein bhi apne dada g ke
saath.wahaan par gaya hua
tha.mera kaam bas unhe roz kee
khabron se avgat karana tha.phir
uske baad mere dada g ke kuchh
dost un khabron par apne view dete
the.us din ke newspaper par ek
khabar thee( k ek premi ne apni
premika ke chehre par tezaab dal
diya hey.kaha jaa raha hai k premi
ek tarfa pyar karta tha.voh uske
saath saadi karna tha par us ladki ke
mana karne par us premi ne us ladki
ke chehre par tezaab daal kar uske
chehre ko jalaa diya hey)
Yeh khabar sunte hee mera dada g
eka-ek hasne lage.sabhi wahan par
bethe mere dada g ko haste hue
dekh rahe the.mere dada g k ek
dost-Indersingh g unse pucch hee
liya ...raj kya tum pagal toh nahi ho
gaye.tum is tarah hass rahe ho.isme
hasne wali kya baat hai.
Is sawal ka jawab mere dada g ne
badi hee masumiat se diya-unka
kehna tha kee aaj kal ke bachhe
apne pyaar pana nahi chahte balki
cheen lena chahte hain.unhe yeh
pata nahi k pyar cheenana nahi balki
tyag karna hota hai.aaj insane har
woh cheez pana chahta hai jo use
pyari hoti hai.par sachai yeh bhi hai
ke har woh cheez jo onsaan chahta
hai use nahi milti.uske nahi milne
par woh us cheez ko barbaad kar
dena chahta hai.woh use pane ka
intezaar bhi nahi kar sakta hai.
Yeh sunte hee mere dada g k ek aur
dost bol pade”yaar raj kya tumne
kabhi pyar kiya hai kisi se.kabhi bhi?
DADA G-is baat se mere pyaar ka
kya lena hai.
Tab tak mein bhi josh mein aa
chukka tha .maine bhi dada g se keh
utha dada g pls batao naa .kya aap
ne kabhi pyar kiya hai kisi se .aur bhi
unke doston ne puccha.
Dada g ne haan mein jawaab diya
aur aisa lag raha tha kee wahan par
sabhi yehi sun-na chahte hon.
Ab sabhi unki love story sun-na
chahte the.mere dada g ne kaha
mein kal aap sab ko kal apni prem
kahani sunaoo ga.yeh sun sabhi
kuchh udaas huye par kal ka vaida
kar dada g ne hum sabhi ke mann
mein utsaa se bhar diye.ab agli
subah ka intezaar tha.
Pata nahi woh raat khatam hee hone
ka naam hee nahi le rahi the.mere
dada g kuchh friend phone karke
unhe unke vaide kee yaad dila rahe
the.mein bhi soch –soch k kush ho
raha tha k kal mein apna dada g-aur
dadi g kee prem kahani sunuga.yeh
sochte-sochte pata nahi kab meri
aankh lag gayee.aur meri neend
ghadi kee awaaz se tuti.maine uth
ke dekha ,mein late ho chukka
tha.mein jaldi se tyaar hua aur park
ke aur chal diya .aisa lag raha tha
kee mein aaj udd ke parkpahunch
jaau.sabhi dada g ko gher kar baithe
the.aisa lag raha tha keedada g
mere liye hee ruke hue the.

You might also like