Download as txt, pdf, or txt
Download as txt, pdf, or txt
You are on page 1of 2

Mera Hussain Bagh-e-Nabuwat Ka Phool Hai

Haider a.s Ki Is Mein Jan Hai Khoon-e-Batool a.s Hai


Duniya Mein Or Kon Hai Shabir a.s Key Siwa
Aisa Sawar Jis Ki Sawari Rasool (SAW) Hai
Taqdeer ki bigdi hui har baat bana le,
ja dar pe SAKINA(a.s) ke tu sar apna jhuka le,
ABBAS(a.s) dua teri kabhi rad na kareinge,
tu apni dua kar de SAKINA(a.s) ke hawale.
Is baat se mehsoos karo kya hai Sakina (s.a)
Abbas (a.s) ke honton Ka Qaseeda hai Sakina (s.a)
Jo Mashq mein bhar sakta hai dunya ke samandar
Kaunain mein bas tera woh saqqa hai Sakina(s.a)
Gazi ki shuja'at ka ye Unwaan bi Hoga,
Mashkize me Darya Hy to tufan bi Hoga,
ABBAS k parcham ki taraf gaur se Dekho,
Panja Hy to Bai'at ka Gireban bi Hoga
Quran ke Waris Ne Musalla Nahi Choda,
Sar Tan se Juda hoGaya Sajda Nahi Choda,
Darbar Me boli bhi to Lehje Me ALI (a.s.) ke,
Zainab (s.a.) Ne kisi Haal Me Parda Nahi Choda
Gar ishq-e-Panjtan se ho mamor Maa ka dil,
Aulad phir Lahad main bhi rehti hai Chain se,
Jannat to Maa k qadmon talay dstiyab hai,
Itne haqeer shay to na mangoo Hussain (A.S) se
Masjid se pocheay to Ibadat ALI ALI (A.S)
Mimbar se Pocheay to Khitabat ALI ALI (A.S)
Quran se Pocheay to Fasaahat ALI ALI (A.S)
Maidan se Pocheay to Shujahat ALI ALI (A.S)
Zarbat ka Haal Marhab-o-Antar se pocheay
Naad-e-Ali (A.S) ki Baat hai Khaibar se Pocheay.
Tumne kiya wo kam shahe karbala "Husain",
ISLAM ko b kahna para
shukriya "Husain"! Hasrat se kaba dekta rahta
hi wo maqam, tumne jahan par akhri sajda
kiya "Husain".
"Eik Rob hai, Eik Khouf hai, Abbas e Alamdar
Mushkil ko bhi Mushkil kay liaye Ism Mila hai
Alfaz ki Surat mai tu Moujood "Wafa" thi
Abbas ki Surat mai Ussey Jisam Mila hai."
Hr koi zamane ka wali ho nhi skta,
Aur sahibe Ausaaf -e- Jali ho nhi skta,
Mat taul ise aql ke mizaan me Maajid,
Jo aql mein aa jaye Ali (as) ho nhi skta
Khushboo Na Aaye Jis Se Wo Kaghaz Ka Phool Hai
Hubb-e-ALI (a.s) Nahi To Ibadat Fazool Hai
Jannat Bina ALI (a.s) Ke Musalmn'n Ki Bhool Hai
Sab Ne Suna Hai Saaf Ye Qoul-e-RASOOL (s.a.w) Hai
Jo Bhi ALI (a.s) Ke Ishq Se Daaman Bachaey Ga
KABAY Me Bhi Marey Ga To Dozakh Mein Jaye Ga"

You might also like