Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 2

Deewana banana hai to deewana bana de

Varna kahin taqdeer tamasha na bana de



Ai dekhne waalon mujhe has has ke na dekho
Tumko bhi kahin mohabbat mujh sa na bana de (
Main dhoond raha hoon jisko meri vo shamma kahan hai
Jo bajzm ki har cheez ko parwaana bana de

Akhir koi soorat to ho khana-e-dil ki
Kaba nahi banta to butkhana bana de

Behzad har ek gaam pe ek sajda-e-masti
Har zarre ko sang-e-dar-e-jana na bana de



ae jazba-e-dil gar mai chaahoon, har cheez muqabil aa jaaye
manzil ke liye do gaam chaloon, aur saamne manzil aa jaaye

ai dil ki khalish chal yun hi sahi, chalta to hoon unki mehfil mein
us waqt mujhe chaunka dena, jab rang pe mehfil aa jaaye

khalish pain

ai rahbar-e-kaamil chalne ko taiyyaar to hoon, par yaad rahe
us waqt mujhe bhatka dena, jab saamne manzil aa jaaye..

rahbar-e-kaamil a perfect guide

ab kyun dhoondoon wo chashm-e-karam, hone de sitam ba-laaye sitam
mai chaahta hoon ai jazba-e-gham, mushkil pase-mushkil aa jaaye..

chashme-e-karam kind eyes; sitam ba-laaye sitam: distress after distress; mushkil pase mushkil problem after problem

haan yaad mujhe tum kar lena, aavaaz mujhe tum de lena
is raah-e-mohabbat mein koi, dar-pesh jo mushkil aa jaaye

dar-pesh present, confronting.

ae jazba-e-dil gar mai chaahoon, har cheez muqabil aa jaye
manzil ke liye do gaam chaloon, aur saamne manzil aa jaaye

You might also like