Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 18

Aik Makra Aur Makhi

(Makhooz) - Bachon Ke Liye



Ek Din Kisi Makhi Se Ye Kehne Laga Makra
Iss Rah Se Hota Hai Guzar Roz Tumhara


Lekin Meri Kutiya Ki Na Jagi Kabhi Kismat
Bhoole Se Kabhi Tum Ne Yahan Paun Na Rakha



Ghairon Se Na Miliye To Koi Baat Nahin Hai
Apno Se Magar Chahiye Yun Khinch Ke Na Rehna

Aao Jo Mere Ghar Mein To Izzat Hai Ye Meri
Woh Samne Seerhi Hai Jo Manzoor Ho Ana


Makhi Ne Suni Baat Jo Makre Ki To Boli
Hazrat! Kisi Nadan Ko Dijiye Ga Ye Dhoka


Iss Jaal Mein Makhi Kabhi Aane Ki Nahin Hai
Jo Aap Ki Seerhi Pe Charha, Phir Nahin Utra


Makre Ne Kaha Wah! Farebi Mujhay Samjhe
Tum Sa Koi Nadan Zamane Mein Na Ho Ga

Manzoor Tumhari Mujhe Khatir Thi Wagarna
Kuch Faida Apna To Mera Iss Mein Nahin Tha


Urti Huwi Ayi Ho Khuda Jane Kahan Se
Thehro Jo Mere Ghar Mein To Hai Iss Mein Bura Kya!



Iss Ghar Mein Khai Tum Ko Dikhane Ki Hain Cheezain
Bahir Se Nazar Ata Hai Chotti Si Ye Kutiya


Latke Huay Darwazon Pe Bareek Hain Parde
Diwaron Ko Aaeyno Se Hai Mein Ne Sajaya


Mehmanon Ke Aaram Ko Hazir Hain Bichone
Her Shaks Ko Saman Ye Mayaser Nahin Hota



Makhi Ne Kaha Khair, Ye Sub Theek Hai Lekin
Mein Aap Ke Ghar Aaun, Ye Umeed Na Rakhna


In Naram Bichonon Se Khuda Mujh Ko Bachaye
So Jaye Koi In Pe To Phir Uth Nahin Sakta


Makre Ne Kaha Dil Mein, Suni Baat Jo Uss Ki
Phansun Issay Kis Tarha Ye Kambakhat Hai Dana



So Kaam Khushamad Se Nikalte Hain Jahan Mein
Dekho Jise Duniya Mein Khushamad Ka Hai Banda

Ye Soch Ke Makhi Se Kaha Uss Ne Bari Bee !
Allah Ne Bakhsha Hai Bara Aap Ko Rutba

Hoti Hai Ussay Aap Ki Soorat Se Mohhabat
Ho Jis Ne Kabi Aik Nazar Aap Ko Dekha



Aankhain Hain Ke Heeray Ki Chamakti Huwi Kaniyan
Ser Aap Ka Allah Ne Kalgi Se Sajaya



Ye Husn, Ye Poshak, Ye Khubi, Ye Safai
Phir Iss Pe Qayamat Hai Ye Urte Huay Gana



Makhi Ne Suni Jab Ye Khushamad To Pasiji
Boli Ke Nahin Aap Se Mujh Ko Koi Khatka


Inkar Ki Aadat Ko Samajhti Hun Bura Mein
Sach Ye Hai Ke Dil Torna Acha Nahin Hota


Ye Baat Kahi Aur Uri Apni Jagha Se
Paas Ayi To Makre Ne Uchal Ker Ussay Pakra


Bhooka Tha Kai Roz Se, Ab Hath Jo Aye
Aaram Se Ghar Baith Ke Makhi Ko Uraya
----------------

Aik Parinda Aur Jugnoo
Sar-e-Shaam Aik Murhg-e-Naghma Paira
Kisi Tehni Pe Baitha Ga Raha Tha

Chamakti Cheez Ek Dekhi Zameen Par
Urha Taeer Usse Jugnu Samajh Kar

Kaha Jugnu Ne O Murgh-e-Nawa Raiz!
Na Kar Bekas Pe Manqar-e-Hawas Taiz

Tujhe Jis Ne Chehak, Gul Ko Mehak Di
Ussi Allah Ne Mujh Ko Chamak Di

Libas-e-Noor Mein Mastoor Hun Main
Patangon Ke Jahan Ka Toor Hun Main

Chehak Teri Behisht-e-Gosh Agar Hai
Chamak Meri Bhi Firdous-e-Nazar Hai

Paron Ko Meri Qudat Ne Zia Di
Tujhe Uss Ne Sadaye Dil Ruba Di

Teri Manqar Kogana Sikhaya
Mujhe Gulzar Ki Mashal Banaya

Chamak Bakhsi Mujhe, Awaz Tujh Ko
Diya Hai Souz Mujh Ko, Saaz Tujh Ko

Mukhalif Saaz Ka Hota Nahin Souz
Jahan Mein Saaz Ka Hai Hum Nasheen Souz

Qayam-e-Bazm-e-Hasti Hai Inhi Se
Zahoor-e-Auj-o-Pasti Hai Inhi Se

Hum Aahangi Se Hai Mehfil Jahan Ki
Iss Se Hai Bahar Iss Bostan Ki


Aik Pahar Aur Gulehri
(Makhooz Az Emerson) - Bachon Ke Liye


Koi Pahar Ye Kehta Tha Ek Gulehri Se
Tujhe Ho Sharam To Pani Mein Ja Ke Doob Maray

Zara Si Cheez Hai, Iss Pe Garoor, Kya Kehna
Ye Aqal Aur Ye Samajh, Ye Shaur, Kya Kehna!



Khuda Ki Shan Hai Na-Cheez, Cheez Ban Baithen
Jo Be-Shaur Hon, Yun Ba-Tameez Ban Baithen


Teri Bisat Hai Kya Meri Shan Ke Aagay
Zameen Hai Passt Meri Aan Baan Ke Aagay


Jo Baat Mujh Mein Hai, Tujh Ko Vo Naseeb Kahan
Bhala Pahar Kahan, Janwar Gareeb Kahan!



Kaha Ye Sun Ke Gulehri Ne, Munh Sambhal Zara
Ye Kachi Baatain Hain Dil Se Inhain Nikal Zara

Jo Mein Bari Nahin Teri Tarah To Kya Parwa
Nahin Hai Tu Bhi To Aakhir Meri Tarah Chotta



Her Aik Cheez Se Paida Khuda Ki Qudrat Hai
Koi Bara, Koi Chotta, Ye Uss Ki Hikmat Hai



Bara Jahan Mein Tujh Ko Bana Diya Uss Ne
Mujhe Darakht Pe Charhna Sikha Diya Uss Ne


Qadam Uthane Ki Takat Nahin Zara Tujh Mein
Niri Barai Hai, Khubi Hai Aur Kya Tujh Mein


Jo Tu Bara Hai To Mujh Sa Hunar Dikha Mujh Ko
Ye Chaliya Hi Zara Tor Ker Dikha Mujh Ko


Nahin Hai Cheez Nakami Koi Zamane Mein
Koi Bura Nahin Qudrat Ke Karkhane Mein



Aik Gaye Aur Bakri
(Makhooz)
Bachon Ke Liye





Ek Charagah Heri Bheri Thi Kahin
Thi Sarapa Bhar Jis Ki Zameen




Kya Saman Uss Bahar Ka Ho Bayan
Her Taraf Saaf Nadiyan Thin Rawan




Thay Anaron Ke Be-Shumar Darakht
Aur Peepal Ke Sayadar Darakht



Thandi Thandi Hawayen Aati Thin
Taeron Ki Sadaen Aati Thin





Kisi Nadi Ke Paas Ek Bakri
Charte Charte Kahin Se Aa Nikli




Jab Theher Ker Idhar Udhar Dekha
Paas Ek Gaye Ko Khare Paya




Pehle Jhuk Ker Ussay Salam Kiya
Phir Salike Se Yun Kalam Kiya




Kyun Bari Bi! Mazaj Kaise Hain
Gaye Boli Ke Khair Ache Hain





Kat Rahi Hai Buri Bhali Apni
Hai Musibat Mein Zindagi Apni




Jaan Par Aa Bani Hai, Kya Kahiye
Apni Kismat Buri Hai, Kya Kahiye



Dekhti Hun Khuda Ki Shaan Ko Mein
Ro Rahi Hun Buron Ke Jaan Ko Mein





Zor Chalta Nahin Gareebon Ka
Pesh Aaya Likha Naseebon Ka




Aadmi Se Koi Bhala Na Kare
Uss Se Pala Pare, Khuda Na Kare




Doodh Kam Dun To Barbarata Hai
Hun Jo Dubli To Bach Khata Hai





Hathkandon Se Ghulam Karta Hai
Kin Farebon Se Raam Karta Hai




Uss Ke Bachon Ko Palti Hun Mein
Doodh Se Jaan Dalti Hun Mein



Badle Naiki Ke Ye Burai Hai
Mere Allah! Teri Duhayi Hai





Sun Ke Bakri Ye Majra Sara
Boli, Aesa Gila Nain Acha




Baat Sachi Hai Be-Maza Lagti
Mein Kahun Gi Magar Khuda Lagti




Ye Charagah, Ye Thandi Thandi Hawa
Ye Hari Ghaas Aur Ye Saya




Aesi Khushiyan Humain Naseeb Kahan
Ye Kahan, Be-Zuban Gareeb Kahan!




Ye Maze Aadmi Ke Dam Se Hain
Lutf Sare Ussi Ke Dam Se Hain




Uss Ke Dam Se Hai Apni Aabadi
Qaid Hum Ko Bhali Ke Azadi!




So Tarah Ka Hai Banon Mein Hai Khatka
Wan Ki Guzaran Se Bachaye Khuda



Hum Pe Ehsan Hai Bara Uss Ka
Hum Ko Zaiba Nahin Gila Uss Ka




Qadar Aaram Ki Ager Samjho
Aadmi Ka Kabhi Gila Na Karo




Gaye Sun Ker Ye Baat Shermayi
Aadmi Ke Gile Se Pachtai




Dil Mein Perkha Bhala Bura Uss Ne
Aur Kuch Soch Ker Kaha Uss Ne




Yun To Chotti Hai Zaat Bakri Ki
Dil Ko Lagti Hai Baat Bakri Ki




Bache Ki Dua
(Makhooz)
Bachon Ke Liye



Lab Pe Aati Hai Dua Ban Ke Tamanna Meri
Zindagi Shamma Ki Surat Ho Khudaya Meri


Door Dunya Ka Mere Dam Se Andhera Ho Jaye
Har Jagha Mere Chamakne Se Ujala Ho Jaye


Ho Mere Dam Se Yunhi Mere Watan Ki Zeenat
Jis Tarha Phool Se Hoti Hai Chaman Ki Zeenat



Zindagi Ho Meri Parwane Ki Surat Ya RAB
Ilm Ki Shamma Se Ho Mujh ko Mohabbat Ya RAB!


Ho Mera Kaam Garibon Ki Himayat Karna
Dardmando Se Zaifon Se Mohabbat Karna


Mere ALLAH Burai Se Bachana Mujhko
Naik Jo Rah Ho, Ussi Reh Pe Chalana Mujhko

Maan Ka Khawab
(Makhooz - Bachon Ke Liye)



Mein Soyi Jo Ek Shab To Dekha Ye Khawab
Barha Aur Jis Se Mera Iztarab


Ye Dekha Ke Mein Ja Rahi Hun Kahin
Andhera Hai Aur Rah Milti Nahin

Larazta Tha Der Se Mera Baal Baal
Qadam Ka Tha Dehshat Se Uthna Mahal

Trembling all over with fear I was
Difficult to take even a step with fear was

Jo Kuch Hosla Pa Ke Aagay Berhi
To Dekha Qitar Aik Larkon Ki Thi



Zumurad Si Poshak Pehne Huay
Diye Sub Ke Hathon Mein Jalte Huay


Woh Chup Chap Thay Agay Peche Rawan
Khuda Jane Jana Tha Un Ko Kahan



Iss Soch Mein Thi Ke Mera Pisar
Mujhe Uss Jamat Mein Aya Nazar


Woh Peche Tha Aur Taez Chalta Na Tha
Diya Uss Ke Hathon Mein Jalta Na Tha


Kaha Mein Ne Pehchan Ker, Meri Jaan!
Mujhe Chor Ker Aa Gye Tum Kahan?


Judai Mein Rehti Hun Main Be-Qarar
Paroti Hun Her Rouz Ashkon Ke Haar



Na Perwa Humari Zara Tum Ne Ki
Gye Chor, Achi Wafa Tum Ne Ki!



Jo Bache Ne Dekha Mera Peach O Taab
Diya Uss Ne Munh Phair Ker Yun Jawab



Rulati Hai Tujh Ko Juddai Meri
Nahin Uss Mein Kuch Bhi Bhalai Meri



Ye Keh Ker Vo Kuch Dair Tak Chup Raha
Diya Phir Dikha Ker Ye Kehne Laga

Samajhti Hai Tu Ho Gaya Kya Issay?
Tere Aanasuon Ne Bhujaya Issay!


Prinde Ki Faryad
Bachon Ke Liye


Ata Hai Yaad Mujh Ko Guzra Huwa Zamana
Woh Bagh Ki Baharain, Woh Sub Ka Chehchana


Azadiyan Kahan Woh Ab Apne Ghonsle Ki
Apni Khushi Se Ana, Apni Khushi Se Jana




Lagti Hai Chot Dil Per, Ata Hai Yad Jis Dam
Shabnaam Ke Ansuon Per Kaliyon Ka Muskarana


Vo Payari Payari Soorat, Vo Kamni Si Moorat
Abad Jis Ke Dam Se Tha Mera Ashiyana


Ati Nahin Sadaen Uss Ki Mere Qafas Mein
Hoti Meri Rehai Ae Kash Mere Bus Mein!


Kya Badnaseeb Hun Mein Ghar Ko Taras Raha Hun
Sathi To Hain Watan Mein, Main Qaid Mein Para Hun


Ayi Bahar, Kaliyan Phoolon Ki Hans Rahi Hain
Mein Iss Andhere Ghar Mein Kismat Ko Ro Raha Hun


Iss Qaid Ka Elahi! Dukhra Kise Sunaun
Der Hai Yahin Qafas Mein Main Gham Se Mer Na Jaun


Jab Se Chaman Chuta Hai, Ye Haal Ho Gya Hai
Dil Gham Ko Kha Raha Hai, Gham Dil Ko Kha Raha Hai


Gana Issay Samajh Ker Khush Hon Na Sunne Wale
Dukhe Huwe Dilon Ki Faryad Ye Sada Hai


Azad Mujh Ko Ker De, O Qaid Kerne Wale!

Main Bezuban Hun Qaidi, Tu Chor Ker Dua Le

You might also like