Download as txt, pdf, or txt
Download as txt, pdf, or txt
You are on page 1of 2

Ghaib ke Khazaane

Har bani huvi cheez banane wale ki mohtaj hoti hai. Yeh saara jahaan Allah taala
ne banaya hai. Yeh duniya aur iski tamam chizen aur tamam makhluk na apni takat se
bani hai, na maujood hai aur nahi mit sakti hai. Bani huvi cheez : makhluk .
Banane wala ek : khaliq. Yeh sari kayenat na apni takat se zinda reh sakti hai, na
apni takat se kisiko nuksan pahucha sakti hai, na apni takat se mar sakti hai na
apni takat se mar kar dubara zinda ho sakti hai. Sari kayenat banane wale ke irade
aur mansha ke taabe hai. Allah taala ko kisi chiz ko banane ke liye ek hi dafa
hukm dena kaafi hota hai : Allah taala ko kuchh karne ke liye kuchh karna nahi
padta. Hame har kaam karne ke liye aur har zarurat puri karne ke liye kuch na kuch
karna padta hai. Khane ke liye rozi kamani padti hai, khane ke bad digestion ke
liye kuch karna padta hai, digestion ke baad jism me jo haddi, gosht aur lahu
tayyar hota hai use bhi utilize karne ke liye kuch na kuch karte rehna padta hai
warna jism sust ho jata hai. Allah ko kisi ko agar kuch dena hai to kahi se lena
nahi padta. Sare ghaib ke khazane Allah ke paas hai. Duniya mein hame jo manzar jo
luxuries jo bade bade mahal imarate, dikhayi dete hai jo sab ek zarra hai.

Aakhirat mein Allah apne bande ko ghaib ke khazano se jo nawazish farmayega uska
koi hisab nahi. Jo kuch hame is faani duniya mein bana huva nazar aata hai woh
Allah ke ghaib ke khazano ke mukable mein ek zarra barabar bhi nahi. Phir aap
wonders of the world le lo ya aalatareen five star seven star hotels ki luxuries
le lo ya technology ki had tak pahuchne wale beshkimti devices dekhlo jo insan ko
aaram aur sahulat se zindagi guzarne ke bais bante hai woh dar hakikat to ek zarra
barabar bhi nahi. Yaha ki khushi Allah ke ghaibi khazano ke mukable mein ek zarra
nahi, yaha ki thandi hava, yaha ke sona chandi, khubsurati, fizaen, darakht, ful,
pahad har chiz Allah ke khazano ke mukable mein La'mahdood hai.

Allah awwaliyaat se paak, aakhiriyat se paak, uski zaat bemisaal, woh kahi se
shuru nahi hota, kahi jaa kar khatm nahi hota. Allah sab se upar, Allah sab se
bada, Allah se koi baat koi chiz koi raaz chhupa huva nahi, Aisa awwal jiski
ittada'a koi nahi, woh aisa aakhir jiski intehaa koi nahi, kahi jaa kar khatm nahi
hota, na usko koi gher sakta, saara jahan, sare insan, sari makhluk, sare
charinde, parinde, jinno ins, darkaht, pahad, hawa fiza, samandar aur usko ander
jo kuchh bhi hai agar sab ke sab -- sab ke sab bhi Allah ki taarif karna chahe to
kar nahi sakte.

Sari duniya ke aarefeen, saari duniya ke auliyae kiram, sari zaate agar ikaththi
ho jaye to Allah ki zaat ko ghere mein le nahi sakti. Lillahe mashriko wal magrib.
Jaha nazar uthaoge Allah hi nazar aayega. Koi uska sharik nahi. Usi ko dost banao,
usi ko sathi banao.

Kafaa billahe nafi'eaa : Usse bada koi madadgaar nahi. Kafa billahe rakeeba : Usse
bada nigehbaan koi nahi. Usse bada koi sathi nahi, usse bada koi sathi nahi usse
bada koi wakil nahi. Baki nasir hai baki sab mansoor hai. Woh apni zaat mein
haafiz hai mehfuz nahi. Khalik hai makhlook nahi. Kaadir hai makdoor nahi. Jaabir
hai majboor nahi. Rab hai marboob nahi.

Inna RabbakumuLLah. Tumhara Rab Allah. Allazi khalakassamaavate wal arda fil
sittate ayaam. 6 din mein zamin aasman banaya. Summas tava Alall arsh. Arsh ke
upar apne takht ko bichhaya. Yu'asillaylannahaar : Raat ko banaya iske aage din ko
rakhkha. Ash shams val kamar wannujoom : Suraj chand sitare : Masakkhratin bi amre
: woh Allah ke taabe hai. Ala lahul khalka wal amr : Gaur se suno, khalik bhi
Allah hai, hakim bhi Allah hai.

Hukumat sirf Allah ki hai. Kulinnnal amr kullaho lillah : kaho, zamin aasman mein
sirf Allah ki chalegi aur kisi ki nahi. Allah jo chahta hai banata hai jo chahta
hai pasand karta hai, hame koi ikhteyaar nahi. Jise chahe zindagi de de, jise
chahe mita de, jise chahe khubsurat bana de, jise chahe badsurat bana de, jise
chahe badshah bana de jise chahe fakir bana de. Jise chahe izzat de de, jisko
chahe zalil kar de, jaha chahe nafrat paida karde, jaha chahe mohabbat kar de,
jaha chahe zamin ko sarsabz kar de, jaha chahe zamin ko banjar kar de, jaha chahe
pani ko mitha kar de, jaha chahe pani ko kadva kar de, Baynahu ma barzakh La
Yabgiyaan : Darmiyan mein parda, mitha pani kadve mein na jaye aur na kadva pani
mithe mein. Yeh Allah ki shan hai. Jitne mashrike hai, jitne maghribe hai, arsh
farsh loho kalam kursi tahatassara tak sab ka maalik Allah hai. Sab ko dene wala
khilane pilane wala sulane wala uthane wala Allah hai. Hum so jaye to uth nahi
sakte uth jaye to so nahi sakte.

Puri dunya mein arbo kharbo ka turnover hai sleeping pills ka insano ko chain ki
neend nasib nahi hoti jab tak Allah na chahe. Insan ka ek chhota sa gurda hai usme
10 lakh chhalniya (purifier) Allah ne lagayi hai. Excreation ke liye. Khun ko
wapas veins mein upar le jati hai aur kharabi nikal deti hai. aur do gurdo mein ho
kar 20 lakh chhalniyan Allah ne lagayi hai. Sari dunya ke scientist ko bula lo
itni chhoti si jagah mein yeh kartab kar ke dikha de ! Yeh Allah ka nizam hai.
Kabhi gaur to kar e insan ki tu ek aisi chiz se aisa uchhalte huve pani se bana
hai jiska naam bhi lena tu pasand nahi karta ! Allah ki kudrat ! Sari duniya
tasvir banati hai kagaz par canvas par paththar par kis se ? water colours
se !.... Allah ne insan ko banaya uchhalte huve pani ke katre se ! Katra bhi
nahi.. uska karodva hissa. Phir teen andhero mein banayi. Aur aisi zabardast
banayi : Ya ayyuhal insaan Ma Garraka be rabbikal kareem Allazi khalaka fa
sawwaak.... Tuje apne rab se kisne dhoka de diya ?Har chiz ko thik thik banaya,
perfect banaya aur tu Rab hi ka nashukra ho chala ?!! Paida Allah ne kiya
parashtish insan ne kisi aur ki shuru kar di. RIzk Allah ne diya shurk ada karne
laga dukaan ka. ! hukumat ka ! Iske bawajood Allah thake haare bande ko raat mein
bistar par aisa sulata hai aaram ki mithi nind de kar jaise usne pure din mein koi
gunah kiya hi nahi. Hukumat ka mujrim ho jaye to kabhi sehra mein to kabhi junglo
bayaban mein insan faraar ho kar phirta hai aur jab Allah ka mujrim hai phir bhi
chaino aman ki san le raha hai uski kayenat mein.

You might also like