Hadeese Nabi Swrasoo

You might also like

Download as txt, pdf, or txt
Download as txt, pdf, or txt
You are on page 1of 12

Hadeese Nabi s.w..

Rasool Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai, Gunaho Me Se Bada Gunaah


Yeh Hai Ki Aadmi Apne Maa-Baap Par Laanat Kare, Logon Ne Kaha Aye Allah Ke Rasool
(Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Bhala Kaun Apne Maa Baap Par Laanat Karega ?
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya: Matlab Ki, Ek Shaks Dusre Ke Baap K
o Gaali De Aisa Hai Ki Woh Apne Baap Ko Gaali De, Aur Dusre Ki Maa Ko Gaali De A
isa He Ki Woh Apni Maa Ko Gaali De.
(Sahih Bukhari, Kitab-Ul-Aqab, Hadees No#5973)
Sabab : Yaad Rakhe Kisi Ko Gaali Dena
Apne Maa Baap Ko Gaali Dene Ke Barabar Hai,
Abdullah Bin Masood (Radi Allahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki Rasoollallah (Sallalla
hu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya: Tum Me Se Kaun Hai Jisko Apne Maal Se Zyada Apne
Waris Ka Maal Pyara Ho?
Sahaba Ne Arz Kiya Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam !
Hum Me Se Koi Aisa Nahi Hai Jise Apna Maal Ziyada Pyara Na Ho Phir Uska Maal Wo
Hai Jisne (Mout Se) Pahle (Allah Ki Raah Me) Kharch Kiya Aur Uske Waris Ka Maal
Wo Hai Jo Wo Chor Kar Mara.
(Sahih Bukhari)
Abdullah Bin Masood (Radi Allahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki Rasoollallah (Sallalla
hu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya: Tum Me Se Kaun Hai Jisko Apne Maal Se Zyada Apne
Waris Ka Maal Pyara Ho?
Sahaba Ne Arz Kiya Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam !
Hum Me Se Koi Aisa Nahi Hai Jise Apna Maal Ziyada Pyara Na Ho Phir Uska Maal Wo
Hai Jisne (Mout Se) Pahle (Allah Ki Raah Me) Kharch Kiya Aur Uske Waris Ka Maal
Wo Hai Jo Wo Chor Kar Mara.
(Sahih Bukhari)
Tangdast Ko Muaf Kardo !!!
Abu Hurairah (Radiyallahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Huzoor (Sallallahu Alaihi Was
allam) Ne Farmaya, Ek Shakhs (Zamane-E-Guzistah Me) Logo Ko Udhaar(Karz) Diya Ka
rta Tha, Woh Apne Ghulam Ko Kaha Karta Kisi Tangdast Madiun(Karz Lene Wale) Ke P
aas Jana, Usko Muaf Kar Dena, Uss Ummid Par Ki Khuda Humko Muaf Karde, Jab Uska
Inteqal Ho Gaya Allah Taala Ne Usko Muaf Kar Diya.
(Sahih Bukhari, Kitab Ul Ahadeesul Ambiya, Jild 2, Page No. 470, Hadees No. 3480
)
Karzdar Ko Mohlat Do Ya Karz Muaf Kardo !!!
Muraadul Mushtaakin (Sallallahu Tala Alayhi Wa Sallam) Farmate Hai, Jis Sakhs Ko Y
e Baat Pasand Ho Ke Allah Tala Usse Qayamat Ke Din Ghum Aur Ghutan Se Bachaye Toh
Use Chahiye Ke Tangdast Karzdar Ko Mohlat De Ya Karz Ka Bojh Uske Uparse Utar D
e (Yani Karz Muaf Kar De).
(Muslim Sharif)
Makruz(Karzdar) Ko Khouf Se Azaad Kardo !!!
Hazrat Imam-E-Aazam (Radhi Allahu Taala Anhu) Aur Hazrat Shafiq (Radhi Allahu Taal
a Anhu) Sath Ja Rahe The Ke Ek Sakhs Ne Aap Ko Dekha Aur Chup Gaya Aur Dusra Ras
ta Akhtiyar Kiya.
Aapko Maloom Hua Toh Aapne Use Pukara. Wo Aaya Toh Aapne Usse Pucha, Ke Tumne Ra
sta Kyo Badal Diya? Aur Kyo Chup Gaye? Usne Kaha, Me Aapka Makruz(Karzdar) Hu. Du
s Hazar Dirham Mujhe Aap Ko Dene Hai Jisko Kafi Arsa Guzar Chuka Hai Aur Me Tang
dast Hu. Aapse Sharmata Hu.
Aapne Farmaya: Meri Wajahse Tumhari Ye Halat Hai? Jao! Maine Tumko Sab Dirham Bak
hs Diya. Aur Maine Apne Aapko Nafs Par Gawah Kiya. Aap Aainda Mujhse Na Chupna,
Aur Jo Khauf Tumhare Dil Me Meri Wajah Se Paida Hua, Uske Liye Mujhe Muaf Kar Do
.
(Jawahirul Bayan)

Ladki Ki Nikaah Ke Liye Razamandi Zaroori Hai


Hazrat Abu Huraira Wa Hazrat Abdullah Bin Abbas (Radiallahu Anhu) Se Riwayat Hai
Ke Huzoor (Sallalaho Alayhi Wasallam) Ne Irshad Farmaya: Kuwaari Ladki Ka Nikah
Na Kiya Jaye Jab Tak Uski Razamandi Na Hasil Karli Jaye Aur Uska Chup Rehna Uski
Razamandi Hai, Aur Na Nikah Kara Jaye Bewah(Widow) Ka Jab Tak Usse Ijazat Na Li
Jaye
(Tirmizi Sharif Jild 1, Safa 566)
Imaam Bukhari (Radiallahu Anhu) Nakal Farmate Hai, Hazrat Aayesha (Radiallaho An
ha) Ne Arz Kiya: Ya Rasoolallah! Kuwari Ladki Toh Nikaah Ki Ijazat Dene Me Sharma
ti Hai. Aap(Sallalaho Alayhi Wasallam) Ne Farmaya Uska Khamosh Ho Jana Ijazat Hai
(Bukhari Sharif, Jild 3,safa 76, Hadees No 124, Bab No 71)
Hazrat Abuhuraira (Radiallahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasoole Akram (Sallalaho A
layhi Wasallam) Ne Irshad Farmaya: Balig Kuwari Ladki Se Uske Nikah Ki Ijazat Li
Jaye Agar Khamosh Ho Jaye To Ye Uski Tarafse Ijazat Hai. Agar Inkar Kare Toh Usp
ar Koi Jabardasti Nahi
(Tirmizi Sharif, Hadees No 1101, Jild 1,safa 567)

Astagfar Karna Kitna Jaruri Hai ?


Allah Ke Nabi (Sallallahu Alayhi Wasallam) Ne Farmaya, Main Khuda Ki Bargah Me A
stagfar (Muafi Manga) Karta Hoon Aur Uski Taraf Ruju Karta Hoon Din Me 70 Baar S
e Bhi Jyada.
(Bukhari, Vol:8, Book:75, Hadees No:319)
Astighfar Ki Dua :
Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alayhi Wasallam) Ne Farmaya, Allah Se Astaghfar (Apne
Gunaho Ki Maafi) Ki Sabse Behtar Dua Hai,
Allahumma Anta Rabbi La Ilaha Illa Anta, Anta Khalaqtani Wa Ana Abduka, Wa Ana Ala
Ahdika Wa Wadika Mastatatu, Audhu Bika Min Sharri Ma Sanatu, Abuu Laka Binimatika A
ya, Wa Abu Laka Bidhanbi Faghfirli Innahu La Yaghfiru Adhdhunuba Illa Anta.
Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alayhi Wasallam) Ne Aage Farmaya, Agar Koi Shakhs Ye D
ua Yakeen Ke Sath Din Me Parhe Aur Shaam Se Pehle Intiqaal(Mout) Kar Jaye Toh Ja
nnat Me Jayega Aur Agar Yakeen Ke Sath Raat Ko Parhe Aur Subah Hone Se Pehle Int
iqaal Kar Jaye Toh Jannat Me Jayega.
(Bukhari, Vol:8, Book:75, Hadees No:318)
Abu Hurairah (Radiallahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki Nabi (Sallallahu Alayhi Wasall
am) Ne Farmaya, Ki Aasman Se Farishte Aate Jaate Rahte Hai. Kuch Farishte Raat K
e Hai Aur Kuch Din Ke Hai Aur Ye Sab Fajar Aur Asar Ki Namaz Me Jama Ho Jaate Ha
i Phir Wo Farishte Jo Tumhare Yahan Raat Me Rahe They Wo Allah Ki Baragah Me Jaa
te Hai. Allah Taala Unse Daryaft Farmata Hai Halanki Wo Sab Jaanne Wala Hai Ki, T
umne Mere Bando Ko Kis Haal Me Chhora Toh Farishte Arz Karte Hai Ki Jab Humne Un
he Chhora Toh Wo (Fajar Ki) Namaz Padh Rahe The Aur Isi Tarah Jab Hum Unke Yahan
Gaye They Tab Bhi Wo (Asar Ki) Namaz Padh Rahe They.
(Sahih Bukhari)
Abu Hurairah (Radiallahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki Nabi (Sallallahu Alayhi Wasall
am) Ne Farmaya, Ki Aasman Se Farishte Aate Jaate Rahte Hai. Kuch Farishte Raat K
e Hai Aur Kuch Din Ke Hai Aur Ye Sab Fajar Aur Asar Ki Namaz Me Jama Ho Jaate Ha
i Phir Wo Farishte Jo Tumhare Yahan Raat Me Rahe They Wo Allah Ki Baragah Me Jaa
te Hai. Allah Taala Unse Daryaft Farmata Hai Halanki Wo Sab Jaanne Wala Hai Ki, T
umne Mere Bando Ko Kis Haal Me Chhora Toh Farishte Arz Karte Hai Ki Jab Humne Un
he Chhora Toh Wo (Fajar Ki) Namaz Padh Rahe The Aur Isi Tarah Jab Hum Unke Yahan
Gaye They Tab Bhi Wo (Asar Ki) Namaz Padh Rahe They.
(Sahih Bukhari)
Abu Hurairah (Radiallaho Anho) Se Rivayat Hai Ki Rasoollallah (Sallallaho Alaih
ey Wasallam) Ne Farmaya Ki, Do Shaksh Jab Gaali Galoch Kare Toh Dono Ka Gunaah Us

i Par Hoga Jo Ibtida (Shuruaat) Karega, Jab Tak Mazlum(Zulm Sehne Wala) Jiyadati
Na Kare.
(Sahih Muslim)
Abdullah (Radiallahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki Rasool Allah(Sallallahu Alaihi Wasa
llam) Ne Farmaya, Musalman Ko Gaali Dena Fisq (Belong To Fasiq) Hai Aur Qatl Karn
a Kufr Hai.
(Sahih Bukhari)
Ummul Momeneen Aayesha (Radi Allaho Anha) Se Rivayat Hai Ki Rasool Allah(Sallall
aho Alaihey Wasallam) Ne Farmaya, Mardo Me Sabse Bura Allah Ke Nazdeek Wo Mard Ha
i Jo Sabse Jiyada Jhagadalu Ho.
(Sahih Muslim

Jumma Ke Namaz Ki Shuruwat !!


Jumma Ki Namaz Sabse Pehle 12 Rabi-Ul-Awwal 1 Hijri Ko Nabi-E-Paak (Sallallahu
Alaihi Wassalam) Ki Imamat Me Parhi Gayi, Jisme Sahabao Ki Tadaat 100 Thi.
(Mohsine Insaniyat 703)
Jumme Ki Murakbaad Dene Ka Bhi Ajr Hai !!
Hadees: Aye Musalmano Ke Giroh! Beshaq Ye Jumma Woh Din Hai Jisko Allah Ne Eid B
anaya Hai.
(Mishkat Hadees No. 123)
Hadees: Jisne Jumma Ki Mubarakbaad Di, Uss Par Jannat Wajib Hai.
Hadees: Jab Koi Banda Kisi Momin Bhai Ko Jumma Ki MubarakBaad Deta Hai, Toh Jann
at Me Uske Liye 1 Darakht Laga Diya Jata Hai.
Jumme Ke Din Kasrat Se Duruud Parhe !!
Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya,
Jo Mujhpar Jumma Ke Din Durood Parhe, Mai Uski Shafaat Karunga.
-: (Kanzul Ummat Jild, 1 Safa 225 Hadees : 2236)
Hadees: Jisne Jumma Ke Din Mujhpar 200 Bar Durood Parha,
Uske 200 Saal Ke Guhaan Maaf Ho Gaye.
-: (Kanzul Ummal Hadith No. 2238)
Hadees: Jo Jumme Ke Din Ya Raat 100 Bar Durood Parhe,
Uski 100 Hajate Puri Hongi. 70 Aakhirat Me Aur 30 Dunyavi.
(Musnad Abu)
Jumme Ki Namaz Na Chhore !!
Hadees: Jisne Jumme Ki Namaz (2 Rakat Jumma) Se Pehle, 4 Sunnat Namaz Aur Jumma
Ke Baad
4 Sunnat, 2 Sunnat, 2 Nafil Parhi, Allah Uss Par Jahannam Ki Aag Haram Kar Dega.
(Tizimi V1 Hadees:410)
Hadees: Jumme Ki Namaz Ke Liye Azan Di Jaye, Toh Tum Allah Ki Yaad
Ke Liye Chal Pado, Ke Tumhare Liye Behtar Hai Agar Tum Jante Ho.
(Bukhari Sharif)
Hadees: Juma Ki Namaz Jumma Se Juma Tak Ke Liye Kaffara Hai.
Shart Hai Ki Gunah-e-Kabeera Se Bacha Jaye.
(Muslim Sharif)
Hadees: Jo Shaks Jumma Ki Namaz Jamaat Ke Sath Parhta Hai,
Allah Uske Liye 1 Maqbool Haj Ka Sawab Likhta Hai.
(Ghuniya-Tul-Taliban)
Hadees: Jo Shakhs Bagair Kisi Uzr Ke 3 Juma Ki Namaze Chhor Deta Hai,
Allah Taala UsKe Dil Par Mohar Laga Deta Hai
(Ibn-e-Maja, jild-1, Page no.75)
Hadees: Jo Shakhs Khutba Shuru Hone Ke Bad Harkat Karta Hai, Ya Pehlu Badalta Ha
i
Woh Lagw(Bekar) Amal Hai. Khutba Shuru Hone Ke Baad Batein Karne Wala Ghada (Don
key) Hai.
(Ahmad,Tibrani)
Hadees: Jumma Ke Din-Raat Me 24 Pal Hai, Har Pal Me Allah Taala 600
Jahannamiyon Ko Jahannam Se Azaad Kar Deta Hai.
(Abu Yaala)

Jumme Ke Din Khas Tor Se Gusl Kare, Ye Jumma Ki Sunnato Me Se 1 Hai !!


Hadees: Nabi-E-Akram (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya,
Har Baaligh Par Jumma Ke Din Ghusl Karna Waajib Hai.
(Bukhari J:1 S:121)
Hadees: Jumma Ka Gusl Aadmi Ke Gunaho Ko, Uski Baal Ke Jad Se Kheech Leta Hai.
(Tibrani)
Hadees: Jo Shaks Jumma Ke Din Gusl Karke Awwal Waqt Me Masjid Jaye,
Goya Usne Oont(Camel) Ki Qurbani Ki.
(Muslim Sharif)
Duao Ki Qubuliyat Ka Din Bhi Hai Jumma !!
Hadees: Juma Ke Din Ek Pal Hai Jo Bhi Dua Iss Pal Me Ki Jaye Woh Qubool Hoti Hai
. Jo Shakhs Jumma Ke Din Sura-E-Kahaf Padhega Toh Uske Liye Dono Jumma Ke Darmiy
an Ek Noor Chamakta Rahega.
(Nisaai Sharif)
Hadees: Jumma Ke Din 1 Neki Ka Sawab, 70 Guna (7o Times) Aur
Gunaah Karne Ka Azab 70 Guna Se Bhi Zyada Hai.
(Mirat Jil 2 Page323)
Jumma Ki Sunnate
Gusl Karna, Saaf Kapde Pehanna, Khushbu Tel Surma Lagana, Nakhun Katna, Masjid J
ald Jana Aur Paidal Jana, Sureh Kahaf Parhna, Musafa Karna Aur Jumma Ki Mubarakb
ad Dena.
Sabak : Toh Mere Bhaiyo Aur Behno. !! Ye Toh Sirf Kuchh Hi Fazilate Likhi Hai, J
umme Ki Toh Itni Fazilat Hai Ke Aap Soch Bhi Nahi Sakte. Ye Gareebo Ka Haj Hai,
Gunaho Ka Kaffra Hai, Dua Ke Qubuliyat Ka Din Hai.
Isliye Jumme Ki Taiyari Eid Ki Tarha Kare, Khub Durood Parhe Aur Sunnato Par Ama
l Kare. Aur Ise Jitna Ho Sake Failaye.
Allah Uss bande Ko Beshumar Neamato Se Nawaje Jisne Yeh Nayab Mubarak Baatein Ha
m Tak Pohchayi.
Likhne Me Koi Galti Hui Ho Toh Hame Zarur Ittela Kare !!!! Dua Ki Darkhwast !!!!

Hasad
Kisi Ko Khaata-Peeta Ya Falta-Foolta Dekh Kar Dil Me Jalna Aur Uski Nemato Ke Z
awaal (Khatam Hone) Ki Tamanna Karna Iss Kharab Aadat Ka Naam Hasad Hai,
Hasad Bahut Hi Kharab Aadat Aur Nihaayat Hi Buri Bala Hai, Gunaah-E-Azeem Hai!
Hasad Karne Waale Ki Saari Zindagi Jalan Aur Ghutan Ki Aag Me Jalti Rehti Hai, A
ur Usse Chain Wa Sukoon Kabhi Naseeb Nahi Hota.
(Ahyaaul Uloom Jild-3, Safa-187)
Nabi-e-Karim (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya:
Kisi Insaan Ke Dil Me Imaan Aur Hasad Ekhatte Nahi Reh Sakte
(Sahih Bukhari Sharif)
Apne Aapko Hasad (Jalan) Se Bachao, BeShak Hasad Nekiyon Ko Iss Tarah Kha Jata H
ai, Jaise Aag Sookhi Lakdi Ko Kha Jati Hai.
(Abu Dawood)
Hasad Aisi Buri Cheez Hai jo Imaan Ko Khokla Aur Allah Ki Rehmat Se Mehroom Kar
Deti Hai.
Hazrat Gaus-e-Aazam (Radhi Allahu Taala Anhu)
Hasad Se Panaah
Jis Tarha Se Hame Hasad Karne Se Bachne Ka Hukm Diya Gaya Hai, Ussi Tarha Se Haa
sid Ke Sharr Se Panaah Maangne Ki Dua Ke Liye Bhi Kaha Gaya Hai. Quraan-e-Paak M
e Iss Tarha Se Dua Karne Ko Kaha Gaya Hai Ke,
Al-Quran Allah Ke Panaah Maangta Hoon, Haasid Ke Sharr Se Jab Wo Hasad Kare. !!Amee
n!!
(Sureh Al-Falaq, Aayat 5)
Hazrate Anas Bin Malik (RadiAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool Allah(Sallal
lahu Alahi Wasallam) Ne Farmaya, Koi Bhi Musalman Jo Ek Darakht Ka Paudha (Small
Tree) Lagaye Ya Khet Me Beej Boye Phir Uss Sey Parinda Ya Insaan Ya Janwar Jo Bh

i Khate Hain Wo Uski Taraf Se Sadqa Hai.


(Sahi Bukhari)
Huzoor Nabi-E-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki,
Sabse Bura Khaana (Food) Waleema Ka Woh Hai Jiske Liye Sirf Maaldaar Log
Bulaaye Jaaye Aur Gareeb (Poor) , Mohtaaj Logon Ko Pucha Na Jaaye .
(Bukhari , Muslim Sharif )
Kisi Ki Zameen Par Na-Jaaiz Kabza Haraam Hai
Hazrat Saalim (Radiallahu Anhu) Apne Waalid Se Riwayat Karte Hain Ke,
Nabi-E-Kareem (Sallallahu Alayhe Wassallam) Ne Farmaya Ke,
Jo Shaksh Doosre Ki Zameen Ka Kuch Hissa Nahaq Daba Le(Bina Haq Kabza Karle)
Toh Use Qayamat Ke Din 7 Zameeno Ki (Taah) Tak Dhansaya Jaayega.
(Bukhari Shareef)
Hazrat Saed Ibne Zaid (Radiallahuanhu) Ne Kaha Ke,
Nabi-E-Kareem (Sallallahu Alayhe Wassallam) Ne Farmaya Ke,
Jo Shaksh Kisi Ki Ek Balisht Bhar Zameen Zulm Se Haasil Karega,
Use Qayamat Ke Din 7 Zameeno Ka Haar Pehnaya Jaega.
(Bukhari Sharif Muslim Sharif)
Hazrat Abu Hurra Rakkashi Radiallahuanhu Apne Chacha Se Riwayat
Karte Hain Ke Nabi-E-Kareem (Sallallahu.Alayhe.Wassallam) Ne Farmaya,
Khabardar (Kisi Par) Zulm Na Karna Aur Kaan Khol Ke Sunlo Ke Kisi Shaksh Ka
Maal (Tumhare Liye) Halal Nahi Ho Sakta Magar Woh Dil Se Raazi Na Ho Jaaye.
(Baihaqi Sharif)
Raaii Ke Daaney Ke Barabar Imaan Wala Bhi Dozakh Se Nikal Liya Jayega
Abu Said Al-Khudri (Radi Allahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki, Rasool Allah (Sallallah
u Alaihi Wasallam) Ne Farmaya,
Jab Ahal-E-Jannat Jannat Me Aur Ahal-E-Jahannam Jahannam Me Dakhil Ho Jayengey T
oh Allah Taala Farmayega Ki, Jiskey Dil Me Raaii Ke Daaney Ke Barabar Bhi Imaan Ho
Toh Usey Dojakh Se Nikal Lo, Aur Uss Waqt Wo Log Nikaal Liye Jayegey Jo Jalkar
Koyele Ki Tarah Ho Gaye Hongey, Uskey Baad Unhey Nahar-E-Hayat Me Daala Jayega J
iski Wajah Se Wo Iss Tarah Tar-O-Taaza (Fresh) Ho Jayengey Jaisey Sailab Ki Jaga
h Par Kachrey Me Se Daana(Seed) Ugg Jata Hai,
Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, Kya Tumney Dekha Nahi Ki U
ss Daaney Ki Jagah Zard Rang Ka Lipta Hua Barounaq Poudha (Small Plant) Ugg Jata
Hai!
(Abu Dawud Book 027, Hadith Number 4080.
Al-Quran
Beshak Jhoot Bolne Wale Par Allah ki Laanat.
(Surh Aal-e-Imran, Ayat 61)
Jhoot Se Bacho! Bilashuba Jhoot Gunaah Ki Taraf Le Jaata Hai
Aur Gunaah Jahannam Me Pahunchane Wala Hai
(Abu Dawood)
Bahut Saare Log Muh Ke Bal Jahannam Me Phenk Diye Jayenge,
Sirf Apni Zubaan (Yani Jhut) Ki Wajah Se !!
(Tirmizi Sharif)
Farman-e-Nabi : Mai Zamanat Deta Hun Jannat Ke Darmiyan 1 Ghar Ki,
Uss Shaks Ko Jo Mazaak Me Bhi Jhuth Na Bole !!
(Abu Dawod)
Jab Koi Jhuthi Gawaahi Deta Hai, Toh Arsh Kaanpta Hai Aur
Arshh Ke Farishte Gawaahi Dene Wale Par Laanat Karte Hai !!
(Bage Jannat Safa.70)
Apni Jhuthi Taarif Pasand Karna Sharike Haraam Hai,
aur Uss Main Aakhirat Ki Barbaadi Ka Andesha Hai.
(Bukhari Sharif, Muslim Sharif)
Uss Shakhs Ke Liye Kharaabi Hai Jo Baat Karte Huwe

Logo Ko Hasane Ke Liye Jhooth Bolta Hai.


(Mishkatul Masaabih)
Ye Bohot Badi Khayanat Hai Ke Tum Apne Bhai Se Koi Jhooth
Baat Bayan Karo, Halanke Wo Tumhari Baat Ko Saccha Samjhta Ho.
(Abu Dowood)
: Dua: Allah Rabbul Izzat Hame Har Haal Me Jhuth Se Parhej
Karne Ki Toufiq Ata Farmaye !! Ameen !!
Posted By : Mohammed Athar
Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Ek Aadmi Ne Rasool Alla
h (Sallallahu Alaihi Wa Aalhi Wasallam) Se Daryaaft Kiya Ke, Islam Ki Konsi Khas
lut Behtar Hai? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, Tum Mohtajon Ko Khan
a Khilao Aur Jaan Pehchan Wale Aur Gair Jaan Pehchan Wale Her Ek Musalman Ko Sal
aam Karo
(Sahih Hul Bukhari)
Like
Submit Share
331 people like this.
Jo Shaksh Deen Me Sakhtiyo Ko Ikhtiyar Karega .
Posted By : Mohammed Athar
Abu Hurairah Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi W
asallam Ne Farmaya
Beshaq Deen Aasan Hai, Aur Jo Shaksh Deen Me Sakhtiyo Ko Ikhtiyar Karega Deen Us
Par Ghalib Aa Jayega (Yani Wo Deen Par Us Sakhti Se Na Chal Sakega) So Apney Ama
l Me Pukhtagi (Continuity) Ikhtiyar Karo Aur Jahan Tak Mumkeen Ho Mayana Rawi Ba
rto Aur Khush Ho Jao , Aur Subah , Dopahar Me Aur Sham Mein Aur Kis Qadar Raat M
ein Ibadat Se Madad Hasil Karo.
(Sahih Bukhari)
Zulm Qayamat Ke Roz Andheriyon Ki Shakal Me Hoga.
Bukhari P:231 J:1
Dunia Me Aise Raho Jaise Musaafir Ya Rasta Guzarne Wale.
Bukhari P:949 J:2
Woh Sakhs Jannat Me Nahi Jaayegaa Jiskaa Padosi Uski Izaaon Se Mefooz Na Rahe.
Bukhari P:889 J:2, Muslim P:50 J:1
Behtarin Tarika-E-Zindagi Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ka Tarika-E-Zindag
i Hai.
Miskat P:27
Like
Submit Share
331 people like this.
Qaidi Ko Aazad Karwaya Karo
Posted By : Mohammed Athar
Abu Musa Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ki, Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasa
llam Ne Farmaya,
Qaidi Ko Aazad Karwaya Karo, Bhukhey Ko Khilaya Karo Aur Beemar Ki Ayadat Kiya Ka
ro.
(Sahih Bukhari, Vol 4, #3046)
Like
Submit Share
331 people like this.
Beemari (Bukhaar) Ek Neyamat
Posted By : Mohammed Athar
Bukhaar (Momeen Ko) Gunaho Se Paak Kar Deta Hai .
Hazrat Abu Huraira Radiallahu Taala Anhu Ne Farmaya Ki
Rasool-e-Kareem Sallallahu Taala Alaihi Wasallam Ke Pass Bukhar Ka
Charcha Kiya Gaya, Toh Ek Shaks Ne Bukhar Ko Bura Kaha.
Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya,
Bukhaar Ko Bura Na Kaho, Iss liye Ki Wo (Momeen Ko) Gunaho Se Iss

Tarah Paak Kar Deta Hai, Jaise Aag Lohe Ki Mail Ko Saaf Kar Deta Hai.
(Ibne Maja)
Nabi-E-Pak Sallallahu Alaihi Wa Sallam Jab Kisi Bimaar Ki
Ayaadat Ke Liye Tashrif Le Jaate Toh Farmate,
Koi Dar Nahi! Bimaari Gunaahon Se Paak Karne Wali Hai.
(Bukhari Sharif)
Gunaho Ko Muaf Karvati Hai Beemari
Hazrat Abu Saeed aur Abu Hurera (Radhi Allahu Taala Anhu) Se Riwayat Hai Ke
Nabi-e-Kareem ( Sallallahu Alaihay Wasallam ) Ne Irshad Farmaya Ke,
Musalman Ko Jo Bhi Thakan, Beemari, Fikar, Gham Aur Takleef Pohanchti Hai,
Hatta Ke Kaanta Bhi Chubtah Hai Toh
Iski Waja Se Allah Taala Uske Gunaho Ko Muaf Farma Deta Hai.
(Muslim Sharif , Bukhari Sharif)
Hazrat Abdullah (Radhi Allahu Taala Anhu) Bayan Karte Hai Ki Main
Nabi (Sallallahu Alayhi Wasallam) Ke Paas Unki Bimari Me Gaya Toh Aap Ko Tez Buk
har Tha.
Maine Arz Kiya Huzoor! Apko Tez Bukhar Hai, Iss liye Apko Dohra Sawab Milega?..
Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alayhi Wasallam) Ne Farmaya:
Haa Koi Musalman Aisa Nahi Hai Jo Kisi Pareshani Me Ho Toh Allah Uske Gunaho Ko A
ise
Door Kar Deta Hai, Jaise Pedh Se Pattay Jharh Jate Hai.
(Sahih Bukhari)
Nahi Pahuchti Musalmaan Ko Koi Taklif, Marz Ya .
Hazrate Abdullah Ibne Masud Radiallahu Taala Anhu Ne Kaha Ki
Rasool-e-Kareem Sallallahu Taala Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ki
Nahi Pahuchti Musalmaan Ko Koi Taklif, Marz Ya Uske Siwa Kuch Aur!
Lekin Allah Taala Uss Ke Chote Gunaho Ko Jhaad Deta Hai, Jaise
Darkht (Tree) Se Patte Jhaadate Hai.
(Bukhari Sharif, Muslim Sharif)
Like
Submit Share
331 people like this.
Gaib Ki Kunjian 5 Hain ..
Posted by : Mohammed Athar
Abdullah Bin Umar (Raziallahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki Rasool Allah (Sallallahu
Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, Gaib Ki Kunjian 5 Hain, Jinhe Allah Ke Ilaawa Koi N
ahi Janta.
1. Koi Nahi Jaanta Ke Kal Kya Hoga.
2. Koi Nahi Jaanta Ke Maa Ke Pait Me Kya Hai.
3. Koi Nahi Jaanta Ke Kal Woh Kya Kamaega.
4. Koi Nahi Jaanta Ke Iski Mout Kahan Waaqey Hogi.
5. Koi Nahi Jaanta Ke Baarish Kab Hogi.
(Sahih Bukhari)
Like
Submit Share
331 people like this.
Rishteydaron Ke Saath Achcha Suluq Karey
Posted By : Mohammed Athar
Musab Bin Saad Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Sad Bin Abi Waqqas (Radiallahu
Anhu) Ko Ye Khayal Tha Ki Unhey Dusre Sahaba Par (Apni Maaldari Aur Bahaduri Ki
Wajah Se) Fazeelat Hasil Hai, Toh Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya Ki
, Tum Logon Ko Kamzor Maazur Logon Ki Duaaon Ki Wajah Se (Allah Ki Taraf Se) Mada
d Aur Rizq Diya Jata Hai.
(Sahih Bukhari)
Abu Hurairah Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Rasoollallah (Sallallahu Alaihi
Wasallam) Ne Farmaya, Jo Ye Chahe Ki Uski Rozi Bad Jaye Aur Uski Umar Lambi Ho Ja
ye Usey Chahiye Ki Sila-Rahmi (Rishteydaron Ke Saath Achcha Sulooq) Karey.
(Sahih Bukhari, Vol 7, 5985)
Like
Submit Share

331 people like this.


Mera Banda Mere Baare Me Jo Gumaan Rakhta ..
Posted By : Mohammed Athar
Hazrat Abu Hurairah (Radhi Allahu Taala Anhu) Kehte Hain Ki
Rasulallah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki,
Khudawand Taala Farmata Hai Ki,
Mera Banda Mere Baare Me Jo Gumaan Rakhta Hai, Mai Uske Liye Aisa Hi Hoon, Jab W
oh Mujhko Yaad Karta Hai Toh Mai Uske Saath Hota Hoon,
Woh Dil Mai Mujhko Yaad Karta Hai Toh Mai Bhi Usko Dil Mai Yaad Karta Hoon,
Aur Logo Me Mujhko Yaad Karta Hai Toh Mai Unn Se Behtar Makhlooq Me (Farishto Ki
Jamaat Me) Uska Zikr Karta Hoon, Woh Meri Taraf Ek Baalisht Barhta Hai Toh Mai
Uski Taraf Ek Haath Barhta Hoon,
Woh Meri Taraf Ek Haath Barhta Hai Toh Mai Do (2) Haath Barhta Hoon, Woh Dheere
Dheere Meri Taraf Aata Hai Toh Mai Daud Kar Uski Taraf Jata Hoon.
(Sahih Bukhari Jild 3, Para 30, Page 542, Hadees 2255 Tawheed Ka Bayaan)
(Sahih Muslim Jild 2, Page 194, Hadees 953 Baab 447 Dua Ka Bayaan)
Like
Submit Share
331 people like this.
Tum Me Se Koi Shakhs Imaan Vala Na Hoga, Jab Tak
Posted By : Mohammed Athar
Hazrat Anas (Radi Allahu Anhu Farmate) Hain Ke,
Nabi-e-Kareem Sallallahu Alahi Wasallam Ne Farmaya::
Tum Me Se Koi Shakhs Imaan Vala Na Hoga, Jab Tak
Apne Bhai Ke Liye Vo Na Chahe Jo Apne Nafs Ke Liye Chahta Hai
(Sahih Bukhari;2 {Kitab-Al-Imaan;7})
Like
Submit Share
331 people like this.
Kisi Be-Qasoor Musalman Par Ilzam
Posted By : Mohammed Athar
Huzur Sallallahu Alaihay Wasallam Ne Farmaya Ke,
Kisi Be-Qasoor Musalman Par Ilzam Lagana
Aasman-O-Zameen Se Bhi Bhaari Gunaah Hai.
(Bukhari V-1p-330)
Like
Submit Share
331 people like this.
Azaan Aur Iqaamat Ke Darmiyan Duaen Radd Nahi
Posted By : Mohammed Athar
Nabi-e-Rehmat (Sallallaho Alahi Wasallam) Ne Farmaya :
Azaan Aur Iqaamat Ke Darmiyan Duaen Radd Nahi Hoti,
Lihaza Dua Maanga Karo
(Bukhari Sharif)
Like
Submit Share
331 people like this.
Nek Kaam Ki Rehnumaae Karne Wala Bhi Nek
Posted By : Mohammed Athar
Chugalkhor Jannat Me Nahi Jayega.
Bukhari P:865 J:1
Saadagi Yakinan Imaan Ka Hissa Hai.
Abu Daud P:573
Aadami Ka Chacha Uske Baap Ke Maanind Hai.
Muslim P:316 J:1
Nek Kaam Ki Rehnumaae Karne Wala Bhi Nek Kam Karnewale Ki Tarah Hai.
Jame Sagir P:4247
Apne Musalmaan Bhai Ke Saamne Tumhara Muskurana Bhi Sadkaa Hai.
Miskat P:168
Apne Murdon Ki Khubiyan Bayaan Karo Aur Unki Buraaiyon Se Ruk Jaao.

Abu Daud P:671 J:2


Posted By : Mohammed Athar
Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki Aap Sallallahu Alayhi Wa
sallam Ne
Qibley Ki Deewar Par Thook Dekha Toh Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Usey Khur
ach Dala Fhir Logon Se Khitab Kiya Aur Farmaya Ki, Jab Koi Shaksh Namaz Me Ho Toh
Apne Munh Ke Saamne Na Thooke Kyun Ki Namaz Me Munh Ke Saamne Allah Subhanahu W
a Taala Hota Hai.
(Sahih Bukhari;Jild-1,Hadees No-406)
Allah Taala Se Ziyada Bardasht Karne Wala Koi Nahi ..
Posted By : Mohammed Athar
Hazarath Musa Ashari Se Rivayat Hai Ki
Rasoolallah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya :
Taklif-deh Baat Sunkar Allah Taala Se Ziyada Bardasht Karne Wala
Koi Nahin, Mushrikin Uske Liye Beta Sabit Karte Hai Aur
Fhir Bhi Allah Unhe Aefiyat Deta Hai Aur Rizq Aata Karta Hai.
(Bukhari Sharif)
Adhan(Azan) Sunkar Ye Kahe
Posted By : Mohammed Athar
Jabir Bin Abdullah Radi-Allahu-Anhuma Se Rivayat Hai Ki,
Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam Ne Farmaya Ki : Jo Shaksh Adhan(Azan) Sun
kar Ye Kahe
Allahumma Rabba Hadhihi-D-Dawatit-Tammaa Was-Salatil Qaimah,
Aati Muhammadan Al-Wasilata Wal-Fazilah,
Wabaathhu Maqaman Mahmudan-Il-Ladhi Waadtah.
Usey Qayamat Ke Din Meri Shafaat Milegi
Tarjumh: Eh Mere Allah Jo Iss Sari Pukar Ka Rab Hai, Aur Qayam Rahney Wali Namaz
Ka Bhi Rab Hai, Muhammad Sallallahu-Alaihi-Wasallam Ko Qayamat Ke Din Waseela A
ta Farma, Aur Maqam-E-Mahmood Par Unka Qayam Farma, Jiska Tuney Unsey Wada Kiya
Hai.
Jab Kisi Qaum Me Zina Aur Sud Fail Jata Hai
Posted by : Mohammed Athar
Jab Kisi Qaum Me Zina (Badkari) Aur Sud Fail Jata Hai Toh
Allah Us Basti Walo Ko Halaq Karne Ki Ijazat De Deta Hai
(Sahih Bukhari, Safa-242)
Nabuwat Ki Nishani : Chand ke Do Tukde
Posted By : Mohammed Athar
Hazrat Anas (Radiallahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki : Kuffar-E-Makkah Ne
Rasool Allah (Sal Lal Lahu Alaihi Wa Sal Lam) Se Ye Darkhuwast Ki Ke
(Apni Nabuwat Ki) Koi Nishaani Batlaiye ?
Toh Aap Rasoolallah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Chaand Ki Taraf
Ungli Se Ishaara Karke Chaand Ke Tukde Ho Jana Dikha Diya.
Bukhari : 3637 ~ Muslim : 7076
Hadhrat Abdullah Bin Masud (Radhi Allahu Taala Anhu) Se Riyawat Hai Ke:
Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Zamane Me Chaand Taqseem Ho Kar
Do Tukray Ho Gaya Tha, Aur Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Tha Ke
Logon Iss Par Gawah Rehna.
Sahih Al-Bukhari (Book #56, Hadith #830)
Aesa Koi Shaks Nahi Jisney Sachey Dil Ke Sath
Posted By : Mohammed Athar
Rasulallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya,
Aesa Koi Shaks Nahi Jisney Sachey Dil Ke Sath Iss Baat Ki Gawahi Di Ho Ke,
Koi Mabood Nahi Mager Allah Tala Ke Aur Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam)
Iskey Bandey Aur Rasool Hain Toh Allah Ne Isper Aag Haram Kerdi.
(Bukhari-O-Muslim, Sahih Muslim)
Konse Amal Jannat Me Le Jaoge
Posted By : Mohammed Athar
Hazrat Abu Ayyub Ansari (Radhi Allahu Taala Anhu) Ne Bayaan Kiya Ki
Ya Rasool Allah! Koi Aisa Amal Bataiye Jo Mujhe Jannat Me Le Jaaye?

Aap Sallallahu Alaihay Wasallam Ne Unn Se Farmaya:


Allah Ki Ibadat Karo, Aur Uss Ke Sath Kisi Aur Ko Shareek Na Karo,
Namaz Qayam Karo, Zakat Dete Raho, aur Sila Rehmati Karte Raho
Bas Yahi Amaal Tujhe Jannat Mein Le Jayeinge..!!!!
(Sahih Bukhari, Kitab-Ul-Adab: 78)
Aur Allah Haq Farmane Me Nahi Sharmata ..
Posted By : Mohammed Athar
Al-Quran : Aur Allah Haq Farmane Me Nahi Sharmata.
(Tarjuma : Kanzul Imaan Surah Ahjab : Aayat-53)
Ummul Momeneen Hazrat Aayesha Siddiqa (Radi Allahu Anha) Irshad Farmati Hai,
Ansari (Madina Munawwarah Me Rehne Wali) Aurate Kya Khub Hai Ki Unhe Deen
Samaajne Me Haaya (Sharm) Nahi Rokti. Yani Woh Deeni Batein Maloom Karne Me Nahi
Sharmati.
(Bukhari Sharif: Jild-1,Page-150; Ibne Maja : Jild-1, Page-202)
Yateem Ki Parwarish Karnewala Jannat Mai .
Posted By : Mohammed Athar
Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Apne Do Ungliyon Ko Milakar Farma
ya:
Mai Aur Yateem Ki Parwarish Karnewala Jannat Me Inn Do Unglion Ki Tarah Karib Hon
ge
(Bukhari Sharif)
Munkir Ke Siwa Meri Saari Ummat Jannat Me
Posted By : Mohammed Athar
Nabi-E-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya :
Munkir Ke Siwa Meri Saari Ummat Jannat Me Jaegi
Fir Farmaya
Jisne Meri Nafarmani Ki Wo Munkir Hai
(Bukhari Sharif)
Ek Hi Bibi Hai Magar Mard Uske Paas Nahi Rehta, Balke Namaz Wa Roze Me Mashgul R
ehta Hai Tou Aurat Shohar Par Mutalbah Kar Sakti Hai. Aur Use (Mard Ko) Hukam Di
ya Jayega Ki Aurat Ke Paas Bhi Raha Kare Ki Hadees Me Farmaya Gaya Ki
Teri Bibi Ka Tujh Par Haq Hai
(Sahih Bukhari, Kitab-Ul-Nikah, Baab Zaujak Alika Haq, Jild 3 Page:463, Hadith N
o:5199)
Roz Marrah Ki Shab Bedari Aur Roze Rakhne Me Uska Haq Talaf Hota Hai, Raha Ye Ki
Uske Paas Rehne Ki Kya Miad Hai Uske Mutaallik Ek Riwayat Ye Hai Ki,
Char Din Me Ek Din Uske (Aurat Ke) Liye Aur Teen Din Ibadat Ke Liye.
Aur Sahih Ye Hai Ki Use Hukam Diya Jaye Ki Aurat Ka Bhi Lihaz Rakhe,
Uske Liye Bhi Kuch Waqt De, Aur Uski Mikdar Shohar Ke Mutaallik Hai.
(Johra Al-Nirah, Kitab-Ul-Nikah, Page:33, Bahar-E-Shariat, Jild 1, Hissa 7, Page:
96)
Like
Submit Share
331 people like this.
Martaba-e-Abu Bakr .
Posted By : Mohammed Athar
Nabi-e-Paak Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ne Farmaya:
Apni Ummat Me Agar Kisi Ko Khalil Banata Toh Abu Bakr Ko
Kyun Ki Woh Mere Bhai Hain Aur Achche Sathi.
(Bukhari Sharif)
Like
Submit Share
331 people like this.
Aapas Me Na Hasad Karo, Na Bugz Karo ..
Posted By : Mohammed Athar
Farman-e-Mustafa (Sallallahu Alaihi Wasallam)
Koi Khaana Khaye Toh Wo Uss Waqt Tak Haath Na Dhoye
Jab Tak Wo Ungliyon Ko Chaat Na Le.

(Bukhari Sharif)
Dozakhi Woh Shaksh Hai Jo Jhagdalu Aur Takabbur Karne Wala Ho.
(Bukhari Sharif)
Jhoot Se Bacho, Bilashuba Jhoot Gunah Ki Taraf Le Jata Hai
Aur Gunaah Jahannam Me Pahochane Wala Hai.
(Abu Dawood)
Qayamat Ke Din Allah Rabbul Izzat 3 Logo Par Karam Nahi Farmayega
Unn me se Ek Ehsaan Jatane wala Hai.
(Sahi Muslim)
Aapas Me Na Hasad Karo, Na Bugz Karo, Na Pith Piche Burayi Karo
Aur Allah Ke Bande Bhai Bhai Hokar Raho.
(Bukhari Sharif)
Like
Submit Share
331 people like this.
Rishtedaro me Nikaah Jayaz-wa-Najayaz .
Posted by : Mohammed Athar
Hazrat Amra Binte Aburrahman Wa Hazrat Ali (Radhi Allahu Taala Anhu) Se Riwayat
Hai Ki, Sarkar-E-Madina(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya :
Rajaat Yani Dudh Ke Rishte Se Bhi Wohi Rishte Haraam Ho Jate Hai Jo Wiladat Se Har
aam Ho Jate Hai.
(Bukhari Sharif : Jild-3, Page-62; Tirmizi Sharif : Jild-1,Page-587)
Note: Yani Jisne Bachpan Me Kisi Aurat(Daayi Maa) Ka Dudh Piya Toh Usse Maa Ka
Rishta Ho Jata Hai Ab Uski Beti Bahen Hai Toh Usse Nikaah Haraam Hai.
Hazrat Abdullah Ibne Abbas (Radi Allahu Anhu) Ne Imaam Bukhari (Radi Allahu Anhu
) Se Riwayat Kiya Ki,Chaar (4) Se Zyada Biwiya Issi Tarah Haraam Hai Jaise Aadmi
Ki Apni Beti Aur Bahen Se Nikah
(Bukhari Sharif : Jild-3,Page-64)
Al-Quran
Haraam Huyi(Nikah Ke Liye) Tum Par Tumhari Maa, Betiya, Behne Aur Fufiya, Khalaye
, Bhatijiya, Bhanjiya Aur Tumhari Maa Jinhone Dudh Pilaya Aur Dudh Ki Behne, Aur
ato Ki Maaye.
(Para-4, Surah Nisa : Aayat-23 , Tarzuma Kanzul Imaan)
Aur Mushriko Ke Nikah Me (Apne Bete Ya Beti Ko) Na Do Jab Tak Woh Imaan Na Laye.
(Para-2, Surah Bakar : Aayat-221, Tarjuma Kanzul Imaan)
Aur Shirk Wali Aurato Se Nikah Na Karo Jab Tak Woh Musalman Na Ho Jaye.
(Para-2, Surah Bakar : Aayat-221, Tarjuma Kanzul Imaan)
Like
Submit Share
331 people like this.
Momin Ka Taaluq Momin Ke Saath Aaisa Hai Jaise ..
Posted By : Mohammed Athar
Momin Ka Taaluq Momin Ke Saath Aaisa Hai Jaise Deewar Ka Ek Hissa
Dusre Hisse Ko Sahara Deeye Huve Hota Hai.
Aqa (Alaihissalaam) Ne Yeh Farmaya Aur Apne Dono Haathon Ki Ungliyon
Ko Ek Dusre Me Mila Diya.
(Bukhari Sharif)
Like
Submit Share
331 people like this.
Jumma Ke Din Ek Ghari Aisey Aati Hai Jis Me .
Posted By : Mohammed Athar
Abu Huraira(Radhi Allahu Taala Anhu) Riwayat Karte Hain Ki Nabi Kareem(Sallallah
u Alaihay Wasallam) Ne Jumme Ke Zikr Me Ek Martaba Farmaya:
Jumma Ke Din Ek Ghari Aisey Aati Hai Jis Me Agar Koi Musalman Banda Namaz Padh Rah
a Ho
Aur Koi Cheez Allah Se Mange To Allah Pak Use Woh Cheez Zarur Deta Hai.
Aap Sallallahu Alaihay Wasallam Ne Haath Ke Ishare Se Bataya Woh Ghari Bahut Tho
ri Si Hai.
(Bukhari Sharif, Kitabul Jumma, Hadith No.935)

Like
Submit Share
331 people like this.
Rasoollallah Ki Khushnudi Unkey Ahal-E-Baith Mein .
Posted By : Mohammed Athar
Ibn Umar Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Abu Bakr Kaha Kartey They Ki
Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Khushnudi Unkey Ahal-E-Baith Mein Tala
aash Karo
(Yani Unse Muhabbat Kiya Karo)
(Sahih Bukhari, Vol 5 , 3751)
Like
Submit Share
331 people like this.
Hum Mojza Ko Barkat Ka Sabab Samazte Hai .
Posted By : Mohammed Athar
Hazrate Abdullah (Radiallahu Anhu) Ne Farmaya Ki, Hum Mojzo Ko Barkat Ka Sabab S
amazte The. Aur Tum Unko Darane Ka Sabab Samazte Ho.
Hum 1 Safar Me Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Sath The, Paani
Kam Ho Gaya Toh Huzoor Ne Farmaya Ki Thoda Sa Bacha Hua Paani Khoj Kar Lao. Toh
Log 1 Bartan Me Thodasa Paani Laye. Huzoor Ne Apne Mubarak Haath Bartan Me Dal D
iya Aur Uske Bad Farmaya: Barkatwale Paani Ke Paas Jao Aur Barkat Khuda-e-Taala Ki
Tarafse Hai.
Bus Maine Katai Taur Par Dekha Ki Huzoor Ki Mukaddas Ungliyo Ki Ghaiyo Se Paani
Ubal Raha Tha.
(Bukhari Sharif Jild 1 Safa 505, Mishkat Safa 538)
Like
Submit Share
331 people like this.
Achchi Baat Kahe Warna Khamosh Rahe .
Posted By : Mohammed Athar
Abu Hurirah (Radiallahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam
) Ne Farmaya:
Jo Koi Allah Aur Aakhirat Ke Din Par Imaan Rakhta Hai, Usey Chahiye Ki Achchi Baa
t Kahe Warna Khamosh Rahe. Aur Jo Koi Allah Aur Aakhirat Ke Din Par Imaan Rakhta
Hai Wo Apne Padosi(Neighbor) Ko Takleef Na Pahunchaye Aur Jo Koi Allah Aur Aakh
irat Ke Din Par Yakeen Rakhta Ho Wo Apney Mehmaan Ki Izzat Karey.
(Sahih Bukhari)
Like
Submit Share
331 people like this.
Har Aane Wala Zamana Guzre Zamane Se Bura Hoga
Posted By : Mohammed Athar
Nabi-e-Kareem (Sallalahu Alayhi Wasallam) Ne Farmaya:
Har Aane Wala Zamana Guzre Zamane Se Bura Ho Ga
(Bukhari Sharif Hadees 7068)
Dour-e-Akhir Andheri Raat Ki Manind Fitne Nazil Honge.
Aadmi Subha Ko Momin Hoga Toh Sham Ko Kafir Ho Jayega Aur
Agar Sham Ko Momin Hoga Toh Subha Ko Kafir Ho Jayega.
Log Duniya Ke Kuch Samaan Ki Khatir Apna Deen-O-Imaan Tak Bech Dale Ge
(Muslim Sharif Hadees 118)

You might also like