Majaz Ke Kia Kahne

You might also like

Download as doc, pdf, or txt
Download as doc, pdf, or txt
You are on page 1of 1

Majaz ke kia kahne

Unki ek nazm mujhe bahut pasand hai jiska unwaan hai "Noora"
Thodi bahut yaad hai wahi share ker raha hoon.

Noora
Woh Naukhez Noora woh ek binte Maryam,
Woh Makhmoor Aakhein who gesuae Purkham,
Woh ek nurse thee chargo jisko kahiye
Madavaye darde Jigar jisko Kahiye
Safed aur Shaffaf kapde Pahanker
Mere paas aati thee ek hoor banker
Sarhane Mere ekdin sar jhukaye
Woh baithi thee takiye se kohni tikaye
Khayalate Paiham me khoie hui si
Na jaagi hui si na soyi hui si
Aur mujhe lete lete shararat si soojhi
Jo soojhi bhi to kis qayamat ki soojhi
Zara Badker kuch aur garden jhuka lee
Labe lale Afshan se ek shai chura lee
Woh shai jise ab kia kahoon kia samajhiye
Bahiste Jawani ka tohfa samajhiye
Main Samjha tha shayad bigad jayegi woh
Hawaoon se ladti hai lad jayegi woh
Main dekhoonga uske bigadne ka aalam
Jawani ka gussa bifarne ka aalam
Idhar dil me ek shore mehshar bapa tha
Magar us taraf rang hi doosra tha
Hasi aur hasi is tarah khilkhilaker
Ki shamme haya rah gayi jhilmilaker
Nahi Jaanti hai mera naam tak woh
Magar bhej deti hai paigaam tak woh
Aur yeh paigaam aate hi rahte hai akser
Aur kis roz aaoge beemar banker.

You might also like