Download as rtf, pdf, or txt
Download as rtf, pdf, or txt
You are on page 1of 1

O des aane wale bata

A dove between India and Pakistan. In his latest double CD "Paigham-e-Muhabbat" composer
Muzaffar Ali, who has brought so much pleasure to our lives over the last two decades, included
O des aane wale bata' a nazm by Ahmed Faraz and Akhtar Sheerani, beautifully sung by
Abida Parveen.
For those of us who migrated during Partition from India to Pakistan or vice versa and have
memories of the old homeland. Also many who have lived overseas, away from our birthplace for
several years, and yet have a deep felt love and nostalgia for what was left behind, it strikes a
cord.
In memory of Ahmed Faraz who was one of the greatest contemporary Urdu poets. Faraz sahib
25 August 2008 ko Allah ko pyare ho gaye.
...................
O des aane wale bata, O des aane wale bata
Kiss haal mein hai yarane watan
Woh bagh-e-watan, firdous watan
O des aane wale bata, O des aane wale bata
Kya ab bhi wahan ke baaghon mein, Mastana hawaen aati hein
Kya ab bhi wahan ke parbat par, Ghanghor ghataye chhaateen hein
Kya ab wahan ki barkhaein, Waise hi dillon ko bhaati hein
O des aane wale bata, O des aane wale bata
Woh shehr jo hum se chhoota hai, Woh shehr humara kaisa hai
Sub log humien pyare hein magar, Woh jaan se pyara kaisa hai, kaisa hai
O des aane wale bata, O des aane wale bata
Kya ab bhi watan mein waise hi, Sarmast nazare hote hein
Kya ab bhi suhanee raton mein, Woh Chaand Sitare hote hein
Hum kheil jo kheila karte thae, Kya Ab bhi woh saare hote hein
O des aane wale bata, O des aane wale bata
Shab bazm-e-harifan sajtee hein, Ya shaam dhale so jate hein
Yaron ki busar auqat hai kya, Har anjumanara kaisa hai, kaisa hai
Kya ab bhi mehekte mandir se, Naqoos ki awaaz aati ha
Kya ab bhi muqadas masjid par, Mastana aazan tharraati hai
Kya ab bhi wahan ke panghat par, Panhaariyan paani bharti hein
Angrdai ka naqsha ban ban kar, Sub maathe pakagar dharti hein
Aur apne gharon ko jaate hue, hansti hui chuhrein kartee hein
O des aane wale bata, O des aane wale bata
Mehran lahoo ki dhaar hua, Bolan bhi kya gulnaar hua
Kiss rang ka hai darya-e-attock, Raavi ka kinara kaisa hai, kaisa hai
Aee des aane wale magar , tum ne to itna bhi poochha
Woh qavi jisse banwas mila, woh dard ka mara kaisa hai, kaisa hai
O des aane wale bata, O des aane wale bata
Kya ab bhi kissi key seene mein, baaqi hai humaree chaah bata
Kya yaad humein bhi karta hai, Ab yaro mein koi aah bata
O des aane wale bata, O des aane wale bata
Lillah bata, Lillah bata, Lillah bata, Lillah bata

You might also like