Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 98

Kisi se mohabbat karne

se pehle itnaa zarur jaan


lena
Dastur-e-mohabbat ki
fitrat me hai jaan lena
Kya kabhi kisi ne kisi ki
jaan jaate dekhaa hai
Aaj dekh lo meri jaan
mujhe chod kar jaa rahi
hai...

RAAH-E-ZINDAGI AGAR HOTI CHAAR KADAM


KI.....TO AASHIQ KO MILTI AASHIQI APNE
HUMDUM KI..... from Dard Ka Aalam written by
Abhay Shukla
Sirf chaar kadam ki aarjoo hai agar
dil-e-naadaan ki,
Kuch waqt apnepan ke ehsaas ki khwaaish hai
agar har insaan ki ,
Munaasif na hai agar dil ko gujaarnaa zindagi
intehaan ki,
Fir kyo lagaate hain aashiq aashiqi par baazi
apni jaan
ki,
Koi kehta hai umra bhar sath
nibhaanaa,
Koi kehta hai bas chaar
kadam ke liye sath chalte jaanaa,
Samajh nahi paa rahaa kaisi kudrat
hai ye bhagwaan ki...

LAST SUSCIDE NOTE OF A LOVER from DARD KA AALAM


written by ABHAY SHUKLA
Ye baat uss gujre pal ki hai
Kuch yaade aaj bhi guzre hue kal ki hai
Jab zindagi ki thokro se sambhalnaa maine jaanaa tha
Khud ko, mohabbat ko aur uss ki manjil ko humne pehchaanaa tha...
Kabhi Kabhi apne aansuo ki baarish ke sailaab me beh jata tha
Duniya ki bheed me bhi tanhaa reh jata tha
Jitni thokre milti sab kuch chup chap seh jata tha
''Mai haar chukaa hu zindagi se'' aisa khud se keh jata tha
Tab Vo mujhe sambhaalti thi
Apna hath dekar unn aansuo ke sailaab me se mujhko nikaalti thi
Uss ke sath me zindagi jine ka ek alag hi faaydaa tha
Uss ne hi sikhaaya mujhko zindagi jine kaa kaaydaa tha
Uss ke hatho ko thaamkar chalna kitnaa aasaan thaa
Dard na hota tha thokro se jab mere kadmo me mere khoon kaa nishaan thaa
Lekin kehte hain na, Waqt kisi ka sagaa nahi hotaa
Gulaab hameshaa kaato ke beech lagaa nahi hotaa
Ek waqt aisa bhi aayaa tha
Jab judaa hota mujh se mera saayaa thaa
Maine khud ko bilkul akelaa paayaa tha
Uss haalat me bhi meri mohabbat ne mujhko thukraayaa tha
Maine bheekh maangi thi mujhe meri zindagi, meri mohabbat lautaa do
Yaa fir meri jaan apne haatho se maut par lutaa do
Uss ne na suna, na dekhaa, na jaanaa, na pehchaanaa
Kar diya mujhko daulat-e-wafaa se bilkul anjaanaa
Tab zindagi jine ki koi khwaaish baaki na thi
Zindaa rehne ki gunjaaish baaki na thi
Rishto ki aazmaaish baaki na thi
Apno ke apnepan ki numaaish baaki na thi
Jis din mai zindagi ki jang haaraa tha
Jis din maine khud se khud ko maaraa tha
Uske naam apne dard ko ess shaayari ke paigaam me utaaraa tha
Fir mohabbat ki sooli par latkaa ek aur aashiq bechaaraa tha
Jab tak meri zindagi ne mera sath diyaa
Tab tak maine zindagi ke zehar ko piyaa
Jab dhadkan rukne se pehle meri zindagi mera sath chod gayi
Jisko dil me basaayaa tha, vahi meraa dil tod gayi
Fir kya bachaa thaa mere liye iss sansaar me
Ek aur dil neelaam hua bevajah, beparvaah bewafaa aashiqi ke baazaar me...

From DARD KA AALAM Written by ABHAY SHUKLA


Ae-Zindagi meri bataa mujhko tu meri kya lagti hai
Saans lena ab jism ko kyo sazaa lagti hai
Bheegi Palke meri kabhi raaji to kabhi khafaa lagti
hai...
Kyo ab dhadkan bhi meri dil se judaa lagti hai
Mehfil ki shammaa ko bujhne na diyaa tha
Andhero se khud ko gujarne na diya tha
Jhakhm ek bhi nahi, fir kyo dard hai
Kyo dil ki har dhadkan ke sath jhakhmo ko hawaa
lagti hai
Dil ke dard ka har kisi ko ehsaas hota hai
Jab dil ka tukdaa kisi aur ke pass hotaa hai
Maine sochaa toote dil kaa jhakhm bhar jaayegaa
Dard se ye dil ubhar jaayegaa
Kya pataa tha mujhko, ye jhakhm naasoor ban kar
meri rago me utar jaayegaa
Ek ek khwaab aankho kaa aansu bankar bikhar
jaayegaa
Sahi kahaa tha kisi ne mere hatho ki lakire dekhkar
''Abhay Shukla jo tu mohabbat karegaa to mar
jaayegaa''

U HI NAHI HAI DARD KE AALAM KI KAHAANI.....YE HAI MERI


ZINDAGAANI...YE DARD KI ZUBAANI...KHUDAA KI

MEHARBAANI.....from DARD KA AALAM written by ABHAY SHUKLA


Ye raat na hoti, to ye baat na hoti
Chaand taaro ki baaraat na hoti
Hum bhi na ho paate rubru tanhaayi se
Andhere veeraane me aansuo ki barsaat na hoti...
Raat bhar mai yu hi karvat badaltaa hu
Apna takiyaa bhigo kar khud hi sambhaltaa hu
Nind ki baat hoti to gam na tha, par baat yahaa mere khwaabo ki
hai
Zindagi ke baaghbaan ko mehkaane waale gulaabo ki hai
Jo sawaal duniyaa mujhse karti rahi mujhe naakaaraa samajh kar
Baat ab unke sawaalo ke jawaabo ki hai
Koi mere dard ko na pehchaantaa hai
Koi ye na jaantaa hai
Agar mai uss pathreele raaste par na chalaa hota
Agar mai zindagi ki dhoop me na jalaa hotaa
Agar mai gam ki aanch me mom ki tarah na pighlaa hotaa
Agar maine apne jhakhmo par namak khud na malaa hotaa
To khudaa mere alfaazo ki kalam me dard ki syaahi na bhar
paataa
Sailaab-e-dard ke bhavar se mai na gujar paataa
Kasshti doob gayi to kya, mai tairnaa jaan gayaa
Apne wajood-e-hunar ko mai pehchaan gayaa
Yu hi nahi khudaa ne humko shaayari ki syaahi nawaazi hai
Yu hi nahi alfaazo ki daulat mujh par lutne ko raaji hai
Yu hi nahi shiddat-e-alfaaz ki rehmat hum par aamaadaa hai
Shukriya uss khudaa kaa jo dard aaj thodaa jaadaa hai...

Iqbaal-e-bayaan-e-ilaaj-e-gam-e-tanhaayi... from DARD KA AALAM written by


ABHAY SHUKLA

Mere humraah mere humraaj mere jaan-e-jigar


Tum Chale jana mujhe chod ke, pehle sun lo magar
Tum apni nazare mujh se judaa yu na karo
Ye nigaahe asshko se tum yu na bharo...
Bas ek dafaa wafaa-e-mohabbat ka ishaaraa de do
Mere manjar-e-ishq ka khoyaa hua nazaaraa de do
Ae meri taabeer-e-khwaab, meri bayaan-e-ibaadat
Mere dil ki kasshti ko apne pyar ka kinaaraa de do
Sun le mere dard ke har naye saaj ko
Jo dua karta hai teri mohabbat ki, sun le uss awaaz ko
Bas teri yaado ko palko par sajaaye baithe hain
Bas mujhe ek dafaa apne aanchal ka sahaaraa de do
Bhool sakti nahi yaade vo khoobsurat samaa
Jahaan bhar ki daulat thi meri baajuo me jamaa
Mere ikraar-e-mohabbat se tum sharmaayi thi
Fir sharmaa ke, bhalkhaa ke thodaa itraayi thi
Meri aankho me aansu dekh teri aankhen bhi bhar aayi thi
Lagaa jaise jannat jami par tab utar aayi thi
Aur fir gungunaaye the maine hazaaro nagme
Zindagi mehsus hui thi, mai jeene lagaa tha jag me
Yaad hain tere sath gujaare suhaane vo pal
Teri har yaad par banaayi thi jo maine gazal
Teri nigaaho ka har ek jaam jo piya tha maine
Tere naam-e-wafaa pe khud ko kiya tha maine
Daur-e-shaayari tere deedaar se shuru hotaa tha
Tujhe baaho me samaa kar palke apni mai bhigotaa tha
Pal bhar ki judaai se mai chain-o-sukoon khotaa tha
Kya bataau tujhe kis tarah ghut ghut kar mai rota tha
Aaj fir maine palke apni teri raah me bichaayi hai
Ye meri ummeed-e-wafaa ki sanam angdaayi hai
Mere jeene ki vajah, aarjoo-e-zindagi tujhko maine bataayi hai
Ek yehi mera ijaaj-e-gam-e-tanhaayi hai...

DIL SE MERE AAJ UTHTAA EK SAWAAL HAI, APNE HAI HAMAARE PAAS TO KYO APNEPAN KAA BURAA HAAL
HAI??...from DARD KA AALAM written by ABHAY SHUKLA
Mohabbat ki raah me kyu aise mukaam aate hain
Nasheelee nigaaho ke maikhaane me kyu aksar zehar ke jaam aate hain
Jo di jaaye misaale isshq ke itihaas ki to kyu kurbaan aashiqo ke naam aate hain
Kyu kisi ke pyaar me insaan ke sirf aansu hi kaam aate hain
Be-intehaa ishq ki chaahat ke junoon me kyu dard ke enaam aate hain
Samajh na paayaa abhi tak mai kyu dil se dil ki chaahat rakhne waale aisa anjaam paate hain
Koi aashiq kisi ko paane ki khwaaish me ro rahaa hai hai
to koi kisi ko paakar bhi uski yaad me mashroof hokar apni palke bhigo rahaa hain
Koi kisi ke sath ke liye bekaraar hai
To koi kisi ko paakar bhi de nahi paataa pyaar hai
Kisi ke pyaar ki shart me uske saathi kaa deedaar hai
To kisi ki nayi umra par chadtaa aashiqi kaa khumaar hai
Kahi ruth kar door jaataa kisi kaa dildaar hai
To kisi ke rishte me jajbaato ki kami beshumaar hai
Ye kya ho gayaa ishq ke jahaan ko
Kya ho gayaa apnepan ke rishto ke kaarvaan ko
Ek zamaane me mohabbat ki hua karti thi khudaai
Pyaar tha, jajbaat the, apnapan tha, na thi dil se dil ki judaai
Ek zamaane me mohabbat ko nibhaanaa jaante the ishqzaade
Poori karte the rishto me khaayi saari kasme, saare vaade
Kyo aaj ki duniyaa me mithe sapno ki gehri nind ki raat nahi
Kyo aaj rishto me apne hain lekin apnepan ke jajbaat nahi
Ye mera khud se khud ko sawaal hai
Binaa Jawaab ke dil ke mera buraa haal hai
Kya kisi ke paas mere inn sawaalo kaa jawaab hain
Aaj ki duniya me bhi kya koi shaqsh dekhtaa raat ko mithaa khwaab hai
Kya kisi ki kitaab me sambhaal kar rakhaa hua barso puraanaa gulaab hai

Kya kisi ke dil me aaj apnepan ke jajbaat kaa tohfaa naayaab hai???...

REMAKE OF KABHI KABHI MERE DIL ME YE KHAYAAL AATA


HAI from DARD KA AALAM written by ABHAY SHUKLA
Kabhi kabhi mere dil main ye sawaal
aata hain
Ki zindagi teri palko ke ghane saaye
main guzar agar jaati
to shadab ho bhi sakti thi
Chaudhavi ke chaand si roshan yaa aaftaab ho bhi sakti thi
Yeh mere khoon ke aansuo ki siyahi jo aankho me
aayi hain
Teri nazar ke nazaaro main kho bhi
sakti thi
Ye meri nazare jo khuli aankho se adhuraa khawaab dekh rahi hai
Ye chain ki do pal ki neend so bhi sakti thi
Magar yeh ho na saka
Nind se bhari bhaari aankho ke sath bhi mai so na sakaa
chaahaa teri yaad me rona to ro na saka aur ab ye
DARD KA AALAM hain
Ki tu nahin, tera gham teri chaahat bhi nahin
Dil to hai lekin dhadkan ki koi aahat bhi nahi

Doob rahi hain meri zindagi ki kasshti ek samundar ke beech kuch iss
tarah
isse kisi kinaare ki aarzoo bhi
nahin
anjaan andhere raasto par safar kar raha hu mai beparvaah hokar
ki mujhe ab manjil milne ki khwaaish me kisi sitaare ki justjoo bhi nahi
Anjaan raah, beparvaah manzil aur na roshni ka
suraag hai
Bas jo chaah kar bhi bujhaa na paa rahaa, vo teri mohabbat ki aag hai
Jal rahin hai zindagi ki lau meri bujh bujh kar
Bujh jaayegi ye bhi shammaa aur mil jaoonga khaak me
kahi kho kar
Main janta hoon meri hum-safar, meri jaan-e-sheen
magar yoonhi
Kabhi kabhi mere dil main ek sawaal aata hai

WAQT WAQT KI BAAT HAI.....AAJ KAHI DIN HAI TO KAHI RAAT HAI.....from DARD KA
AALAM written by ABHAY SHUKLA

Aaj kisi ki baaraat hai


To kisi ki zindagi me dastak deti judaai ki saugaat hai
Kahi baj rahi koi shahnaayi hai
To kisi ki zindagi me tanhaayi hai
Kisi ki zindagi me aaj hui kisi se pehli bar baat hai
To kisi ki aakhiri mulaakaat hai
Kisi ki zindagi me hua aaj mohabbat ka ijehaar hai
To koi mohabbat me aaj apna sabkuch gaya haar hai
Kisi ki baaho me aaj uska pyaar hai
To koi kisi ki ek jhalak paane ko bekaraar hai
Kahi jasshn ke kaafile hain
To kahi kuch log bheed me bhi akele hai
Kisi ki zindagi me khushiyaa beshumaar hai
To koi kar raha apni maut ka intejaar hai
Koi kha raha apni zindagi me gam ki maar hai
To kisi ki zindagi me khushiyo ki sarkaar hai
Ye sab to kaal chakra ke pahiye ki savaari hai
Ek na ek din aati sabki baari hai
Ye jo bhoot,bhavishya aur vartamaan hai
Jo samajh jaaye iss ke fer ko, vo nahi koi aam insaan hai
Daulat jo hoti hai apno ke sansaar ki
Daulat jo hoti hai sacche pyaar ki
Sabse badi daulat hai ye har dil ke baazaar ki
Kya aukaat hai kisi insaan ki waqt ke aage, Sirf waqt par bharosa karo
Insaan par bharosa karna koshish hai bekaar ki
JO BOL DU TO DIL KAA DAAG JALTAA HAI.....JO NA BOLU TO BUJHTAA CHIRAAG JALTAA
HAI.....from DARD KA AALAM written by ABHAY SHUKLA

Jo bol du to dil ka daag jaltaa hai


Jo na bolu to bujhtaa chiraag jaltaa hai
Yu to bahut dekhe marham kaa daavaa karne waale
Lekin har shakks namak mere jakhmo par maltaa hai
Hum apna dard to apno se kehte hai
Dard jisko sunkar aankho se aansu behte hain
Lekin apno ko apnaa dard nahi bataayaa jaataa
Sirf nishabd hokar apne dard ko hai jataayaa jaataa
Agar vo apnaa hai to hi hamaari samajh paayegaa ankahi jubaani
Vernaa har dard kaa majaak banaane ki to hai zamaane ki reet puraani
Vo apnaa nahi hotaa jis se apnaa dard kehnaa pade
Apne dard me agar uss ki khushi ko sehnaa pade
Sirf aansu hi aansuo ko rok sakte hai
Dil ke dariyaa ko dil me hi sokh sakte hain
Pataa nahi log apne hone kaa daavaa kyo karte hain
Log apnepan kaa dikhaavaa kyo karte hain
Log insaano ko kya, bhagwaan ko bhi nahi chodte
Na jaane log mandir me beman chadaadavaa kyo karte hain
Ab jab shaayad mere pyaar me mere pyaar ko mere pyaar kaa dard na rahaa mere pyaar ke seene me
To shaayad mere dard ke baadaal se aankho kaa paani barse iss saavan ke mahine me
Ab tak bahut jee liya apno ke naam par dusro ke sahaare
Kya karungaa aise logo ka jinko dard nahi hotaa dard se hamaare
Iss hi liye sochtaa hu apna dard ab kisi se na kahu
Dil ki tadap ki aag se ho rahi dard ki jalan ko khud hi sahu
Shaayad sukoon mile mujhko meri khaamoshi me
Shaayad raahat mile kuch mujhko mere dard se tanhaayi ki aagoshi me...

1st time Abhay Shukla updated a conversion of his novel 11 DAYS OF DEATH into poetry (shaayari) of DARD KA
AALAM...
Ek ajab dard ki gajab daastaan mai aaj apni aapko sunata hu
Yaad kar leta hu jab unn dino ko to aaj bhi ek sihran si mehsus hote apne jism par pata hu
11/11/11 ko shuru hua tha kuch aisa safar jo shaayad mai tay na kar pata
Agar 11 dino se jaadaa fasaa rehta uss nark me to mai yakinan mar hi jata
Vo 11 din jo 11/11/11 se shuru huye shayad 11 saal se jaadaa the
Aur hum bhi jald se jald maut paane ko aamaadaa the
Kyo ki unn dino kaa vo asahniya dard mere jism ko kamjor kar rahaa tha
Mehsus karne ki koshish kariyegaa uss waqt mujh par kya gujar rahaa thaa
Rakkt mera mere jism se beh rahaa tha
Maut ke intejaar me mai vo dard seh rahaa thaa
Unn barf ki chaadaar odhe kohre bhari raato me mujhe kiyaa jaataa tha nirvastra
Mere aas pass khade sabhi logo ke hatho me hota tha lohe aur lakdi kaa shastra
Fir ek lohe ki sariyo ke bistar par mujhko letaayaa jata tha
Aur kuch der baad mai apne hath pairo ko rassi se bandhaa paataa thaa
Vo rassi itni jor se mere hath pairo ko jakadti thi
Ki mere jism ki haddiyaa ek ek kar akadti thi
Fir kuch der baad ek ek kar boond tapakti thi rassi se mere khoon ki
Yaad hai aaj bhi pairo ko upar bandhvaa kar kaati thi jo raate maine maut ke junoon ki
Chahta tha rona lekin boonde aansu ki bhi na mere paas thi
Kyo ki jism ko mere 18 ghante se paani ki pyaas thi
Mere bhukhe pet ko 3 din poore hone jaa rahe the
Aur baaki sab vahaa apna apna pet bhar ke sone jaa rahe the
Uss raat jaanaa roti k ek tukde ki kimat kya hai
khaane ki thaal ki ahamiyat kya hai
aaj bhi aansu aa jaate hain jab suntaa hu logo ke muh se
Khaanaa bach rahaa hai to koi baat nahi, chod do pareshaan hone ki jarurat kya hai

Uss waqt yaad aa rahaa thaa maa ke aanchal me sonaa


Maa ki god me sar rakh kar rona
Meraa vo nani ko pareshaan karna
Shaayad bhul gayaa tha mai apne aur paraaye me pehchaan karna
Jiski sajaa mai jhel rahaa tha
Zindagi aur maut ke bich khel rahaa tha
Abhi raat maine aadhi gujaari thi
Asal dard sehne ki to ab aayi meri baari thi
Vo barfaani raato ka kohraa aur upar chalte pankhe se mera jism kap rahaa tha
Bukhaar se mera ek kapde se dhakaa jism aag ki tarah tap rahaa thaa
Ab to hath pairo ka khun bhi rassi par jam gayaa thaa
Uss waqt har pal zindagi kaa dikhaayaa hua har gam nayaa thaa
Raat ke 10 se subah 10 baje tak ke 12 ghante ka waqt jab kat gayaa
Rassi khulne ke baad aisa lagaa jaise mera jism kayi hisso me bat gayaa
12 ghante baad jab zamin par maine apnaa pair rakhaa to chal na paayaa
Fis saamne khade ek shaksh ne mujhe maarne ke liye dandaa uthaayaa
Dar ki vajah se chote chote kadamo se mai chalne lagaa
Lagaa jaise namak apne hi jakhmo par mai malne lagaa
Ek hukm aataa tha thaa sabko maaro, to poore sharir par dando se ghaav kiye jaate the
Fir hum behoshi ke baad hosh me aate hi khud ko rassi se bandhaa hua paate the
Mujhko baandhne ke baad kuch log mere jakhmo par namak daalte the
Kaise kahe hum aapko kiss tarah apne dard ko sambhaalte the
do shakks aise the jo zindagi se haar maan chuke the
do insaano ko maar kar thak vo haivaan chuke the
12 ghante me ek glass paani vo mujhe pilaate the
3 din me ek baar khaanaa vo mujhe khilaate the
Do insaano ko to unn haivaano ne duniya se door kar diyaa
Fir mujhe kyo din-raat dard sehne par majboor kar diyaa

Meri ek kalaai ki ek haddi baahaar aa rahi thi


Khoon ki syaahi naakhuno me bharti jaa rahi thi
Mere saamne chote chote baccho kaa balaatkaar hota thaa
Sharmsaar ho jaayegi meri syaahi agar bataa diyaa vahaa kya kya attyaachaar hotaa tha
Bahut kuch nahi kahaa jo hai bataane ko
Bahut se jajbaat bache hain abhi jataane ko
Tej nazar ko ek nazaaraa hi bahut hai
Samajhdaar ko ishaaraa hi bahut hai
11 dino tak ye silsilaa yu hi chaltaa rahaa
Lagaa jaise ki mai kisi aag me 11 dino tak jaltaa rahaa
Maine to baahar ki duniya ke baare me sochna hi chod diya thaa
Jo dil khwaaishe hazaar liye ghumtaa hai usko khud hi tod diya tha
Mujhe nahi pataa 22/11/11 ko mai kyu aazaad hua
Kisi paap ki kimat chukaai yaa bevajah yu hi barbaad huaa
Galtiyaa to sabse hoti hai, maine kya kya kiya zindagi me sab mujhko yaad huaa
Aaj khush reh letaa hu ye soch kar ki sazaa kaat kar hi mai aabaad hua
Ye thi unn 45 dino ke nark ki daastaan
Jinn me aakhiri 11 dino me maine dard sahaa thaa be-intehaan
45 din tak na dekh paayaa tha dhoop,chand,taare aur aasmaan
Iss duniya se ho gaya tha mai anjaan
Lagta tha jaise tha mai pal do pal ka mehmaan
Jaise choot chuka tha mujh se mere apno ka jahaan
Jiss ne mujhe himmat di uss bure waqt me, wo jarur kahi na kahi hai mere sath mera bhagwaan...

KHOYE HUE PYAAR KI KAHAANI.....AASHIQ KE ASSHKO KI ZUBAANI..... from DARD KA


AALAM written by ABHAY SHUKLA
Teri yaad me ab kuch nazar nahi aa rahaa
Teri tasvir bhi mai thik se dekh nahi paa rahaa
Manjar teri yaado ke mere nazaare me hain lekin
Iss dil ke dariyaa ka kya karu jo meri aankho se behtaa hi jaa rahaa
Jo mere aansu teri eklauti tasveer par pade to teri tasveer dhundhli padh gayi
Tanhaayi me chubhti hain vo yaade jin yaado ki dil me sooli gadh gayi
Duniya jannat lagti thi mujhko jab teri god me sar rakh kar mai sotaa thaa
Waqt thehar jaataa kaash jab jab mai tere pass hota tha
Teri vo maasum si muskuraahat jaise meri khushi ka thikaanaa thi
Teri vo baahe jaise meraa aashiyaanaa thi
Sar rakh kar jab mai tere kaandhe par rotaa tha
Dard apne dil kaa dil se kuch iss kadar khotaa thaa
jaise teri mehak se har saans meri jindagi ki thi
Lagta tha jaise ye duniya mili hi mujhko meri pasandagi ki thi
Tere sath waqt ka pataa nahi chaltaa tha
Dil me jamaa mera saaraa dard ka dariyaa pighal kar nikaltaa tha
Taazaa hain aaj bhi vo lamhe jo humne sath me milkar kaante the
Ab ho rahe taazaa vo dard jo humne sath me milkar baante the
Teri ek jhalak paane ko raat ko andheri sunsaan raah par ghanto paidal hum chalte the
Jo na ho paaye deedaar tera to lagta tha jaise raah par har kadam ke sath kaante laakho nikalte the
Har lamha kaid hai tasveer bankar tere sath ka mere dil ki deevaar me
Tu ek din aayegi laut kar, jindaa hai ye shaksh iss hi aitbaar me
Vo gujraa zamaanaa yaad hai
Vo ishq puraanaa yaad hai
Vo mohabbat ka afsaanaa yaad hai

Mulaakaat ka har bahaanaa yaad hai


Vo mera ruth jaanaa yaad hai
Vo tera manaanaa yaad hai
Door jaa kar mujhe rulaanaa yaad hai
Fir majaak tha kehkar mujhe behlaanaa yaad hai
Vo har mulaakaat par nazare jhukaanaa yaad hai
Nazare milaakar tera sharmaanaa yaad hai
Vo har baat par tera itraanaa yaad hai
Teri adaao ka andaaz kaatilaanaa yaad hai
Dard ke har mukaam par mera sath nibhanaa yaad hai
Mere dard par tera aansu bahaanaa yaad hai
Vo basaayaa tere sath khwaabo kaa aashiyaanaa yaad hai
Vo jajbaat aashiqaanaa yaad hai
Har mulaakaat ka nazaraanaa yaad hai
Har mulaakaat ke baad mujhe jor se gale lagaanaa yaad hai
Dekh tera Abhay ro raha hai, mujhko chup kyo nahi karaati hai
Aur kitna intejaar karwaayegi, tu vaapas kyo nahi aati hai
Bahut waqt gujar gayaa, sirf ek baar apni surat mujhko dikhaazaa
Ek baar kahi se mujhe apni pyar bhari meethi awaaz to sunaa jaa
Nahi to hum yu hi baithe rahenge hamesha apne dil me dil ki pyaas liye
Hum jite rahe tere aane ki ek dhundhli si aas liye
Teri tasvir ko apne dil ke hameshaa pass liye
Koste rahenge khud ko sadaa ghut ghut kar ye soch kar kyo nahi bachaa sakaa mai uss raat uss haadse se
tujhko
teri wafaa ki tadap ke dard kaa ehsaas liye...

AARZOO-E-MOHABBAT KYU EK AAG KA DARIYAA


HAI.....KYU MOHABBAT AARZOO-E-MAUT KA JARIYAA
HAI.....
Jo vo na milti mujhko to kahaa ruthi mujh se khudaai hoti
Jo khuda mera mujh se na ruthtaa to kahaa mohabbat
me judaai hoti
Agar vo judaa na hoti to kahaa aansuo ke sath uss ki
behad yaad aayi hoti
Na vo yaado me iss kadar basti aur na mujhko aarzu-emaut beintehaa sataai hoti
Na hum khud kushi karna chahte aur na zindagi ki raah
pattharo se bhar aayi hoti
Agar Na hote raah-e-jindagi me meri patthar to kahaan
se dard ke kalam se alfaazo ki syaahi se apne dard ko
bayaa karne ki kubbat aayi hoti
Hunar-e-shaayari ke paimaane me hum bhi apne jajbaato
ke jaam na chalkaa paate jo maut humse kai dafaa na
sharmaai hoti
Aaj waqt ki dehleej par ek aur mukaam aaya hai
Jo aansu gira kisi ka to dard me jubaan par kisi aur ka
naam aaya hai
Sunaa rahi fizaaye aaj meri duniya badal kar, mohabbat
ka yaaro kuch aisa paigaam aaya hai
Zindagi ke zehar ka ghoot piyaa karte rahe aur aaj zehar
ke pyaale me amrit ka jaam aaya hai

Mohabbat ke dariya me chalte rahe dil me aashiqi ki aag


liye, lagta hai aaj uskaa hi enaam aayaa hai...
SINE KA DARIYA MERI AANKHO SE BEH RAHAA HAI.....KYA BATAAU
KYA DARD DIL MERA SEH RAHAA HAI.....from DARD KA AALAM
written by ABHAY SHUKLA
Mere sine me ek dariya hai jise aankho se behne do
Baato na tum mera gam mujhko hi sehne do
Jaisa hu mai tere bagair mujhko vaisa hi rehne do
Mat suno mera dard mujhe khud se hi kehne do
Nam aankho ke sath surat teri dil me basaai thi
Mohabbat thi mujhe sacche dil se fir vo kaisi ruswaai thi
Aaj mere dil me tere ishq ki aag se cchaale pade hai
Fir bhi hum iss aag ke dariya me tere intejaar me khade hain
Raah-e-mohabbat me jhele humne toofan bade hain
Fir bhi hum teri khaatir ek jid par aa kar ade hain
Gulaab dena chaaha tujhko to kaanto se mera hath ghaayal kyo
hua
Ek beparvaah bewafaa ka ye dil itna behad kaayal kyo hua
Meri nazaro ne dikhaya hamesha tujhko aainaa tha
Fir kyo meri nazaro me tujhko asshko ke kaanch chubhaanaa tha
Kyo kahaa tha tune, tujhko mera hamesha sath tha nibhana
Jab tujhko aise hi tha mujhko maut se rubru karaanaa
Lagta hai dar nahi rahaa tujhko khudaai ka
Iss hi liye to dard diya tune mujhe iss kadar judaai ka...

JAJBAATO KE SAMUNDAR ME.....DIL KI SATAH


PAR.....CHUPE HUE MERE AANSUO KE
MOTI....from DARD KA AALAM written by
ABHAY SHUKLA
Jajbaato ke samundar me Dil ki satah par
aansuo ke motiyo ko talaashne ki koshish abhi
jaari hai
Yaa shaayad talaash ke chalte samundar me
doob kar mar jaane ki ab meri baari hai
Jo aati hai maut to bhi meri poori taiyaari hai
Kyo ki marte marte hi gujri meri zindagi saari
hai
Ab to lagta hai jaise dhadkan dil se haari hai
Mehsus hota jaise saanse jism par bhaari hai
Log maut ko bevajah dosh dete hai, dard
dena to zindagi ki bimaari hai
Bas iss hi tarah DARD KE AALAM me zindagi
maine apni puri gujaari hai

Jo na rahu to koshish karna DARD KE AALAM


se mere chand aansuo ke motiyo ko talaashne
ki
Bas aap sab se ye ek aakhiri darkhvaast
hamaari hai...
ISS BAAT SE THA MAI ANJAAN.....EK LUTERAA BANAA THA DIL KAA
MEHMAAN.....JAB LAAYA THA VO MERE DIL ME TOOFAAN.....DIL
MERA HUA THA VEERAAN.....from DARD KA AALAM written by
ABHAY SHUKLA
Jo na bolu to dil ka daag jaltaa hai
Jo bol du to bujhtaa chiraag jalta hai
Waqt ki thand me ab to aansu bhi jam chuke hai
Jahaa meri chitaa ki aag se hath senk kar zamaanaa hath apne
maltaa hai
Fir bhi ye dil mera patthar kaa aaj bhi kisi ke liye pighaltaa hai
Jo aahat hoti hai uss ki yaado ki to lagta hai sath mere vo aaj bhi
chaltaa hai
Aaj bhi ye dil kyo tarastaa hai
Aankho se aansu bankar ye kyo barastaa hai
Ab shaayad mera meri zindagi par hi bilkul hak nahi
Binaa kharide hi bech diya mujhko iss zamaane ne, iss me ab koi
shak nahi
Jinko samajhte the hum kabhi dil kaa nawaab
Husn-e-hunar tha jinka laajawaab

Nazare thi nashili unnki jaise sharaab


Khubsurti jaise unnki ek shabnam ke sath gulaab
Unnki peshkash-e-mohabbat ka andaaz tha sabse naayaab
Par na pataa tha mujhko iss duniya me logo ke chehre nahi hote,
hotaa hai sirf naqaab
Kyu dikhaate hai aise log mithe mithe khwaab
Koi to de mujh ko iss baat kaa jawaab...

MERE DARD KE AALAM KI DAASTAAN PURAANI


HAI.....KOI SAMAJH PAAYE TO AANSU HAI NAHI TO
PAANI HAI.....from Dard Ka Aalam WRITTEN BY Abhay
Shukla
Aaj ka din mai kabhi bhi bhul na paaunga
Apne khoon ke aansuo ki syaahi se likh kar har baat aapko
bataaunga
Aaj mere bhagwaan ka aansu jab bahaa tha
Lagta tha jaise poora pahaad mere sar par aakar dahaa tha
Mai chaah kar bhi rok na paayaa unke aansuo ki dhaar ko
Kis tarah bayaa karu mai apni iss zindagi ki haar ko
Unke vo safed baal ek umra ki chaukhat par aakar khade the
Jo maine hath rakhaa unke kandhe par to vo bhavuk hokar ro
pade the
Chaah kar bhi mai unka dard kam na kar paayaa

Socha man hi man maine, bevajah unko tha rulaayaa


Vo hath hi to mere jine ka sahaaraa hain
Zindagi ko thaamne ka ek chota sa ishaaraa hain
Aaj fir mamtaa ke aangan me roshni aayi thi
Aaj fir chaandni chaand se sharmaayi thi
Aaj fir ek aulaad mamtaa se haaraa tha
Kyo ki bure waqt me uss ko uss ki maa ne savaaraa tha
Rishto ki dor ki majbuti se anjaan vo bechaaraa tha
Kya karta, vo bhi to haalaat ki thokro kaa maaraa tha
Ek boodhi aurat jo mujhko din raat yaad aati hai
Khud bhukhi rehkar, khaanaa mujhko khilaati hai
Kabhi kabhi raat ko mere sar par hath rakh kar vo mujh ko
sulaati hai
Meri yaado me yaad aakar aksar vo mujh ko rulaati hai
Ek boodhaa jism jo kamjor ho chukaa hai
Zindagi kaa saar, Apna pariwar sab kuch kho chukaa hai
Mai unn ke aansuo ko bhi kam na kar sakaa
Unn ke pyaase hotho ko bhi nam na kar sakaa
Mai do raato se soya nahi hu

Pata nahi kiss uljhan me khoyaa kahi hu


Ab to mujh ko ronaa bhi nahi aataa
Jo mere dard ko hai aur badaataa
Mere aansu bhi ab aankho me jamkar dil ko bhaari karte hai
Bas kuch iss tarah hi din raat hum ghut ghut kar marte hain.....

JAHAA THA FULON KA BAGHBAAN.....AAJ VAHI


HAI SHAMSHAAN.....GUJARTAA THA HAR
LAMHA JAHAA USKI BAAHO ME.....AAJ VAHI SO
RAHI MAUT KI PANAAHO ME..... from DARD KA
AALAM
Banaaya maine apna jahaan hai
Jahaa aaj bhi uske kadmo ke nishaan hai
Kabhi deta tha meri mohabbat ki gavaahi ek
fulo ka baghbaan
Jahaa par aaj ek Shamshaan hai
Kabhi sota tha mai jiski julfo ki chaav me
Aaj vahi so rahi hamesha ke liye ,lagta jaise
saari duniya veeraan hai
HAISIYAT PATA HAI MUJHKO APNI, JAHAA PADE
THE KABHI KADAMO KE NISHAAN USKE

AAJ VAHI PAR MERA MAKAAN HAI


JIS MITTI ME MILKAR MITTI BANAA THA USKA
ZISM
AAJ USS HI MITTI ME BAITH KAR SOCHTA HU,
KAHA GAYA VO INSAAN HAI.....
GALTI KA EHSAAS.....DIL ME CHUBHI HUI ATEET KI
FAAS.....from DARD KA AALAM
Mohabbat me ek gunaah kiya tha maine,
Kuch waqt pehle ek kaatil ko dil diya tha maine,
Usske dil ke jakhmo ko kabhi siyaa tha maine,
Usske aansuo ko kabhi din-raat piya tha maine
Hath uss ke khoon se bhige the, dil mera
lahuluhaan tha,
Aaj bhi samajh na paaya mai kya vo bhi ek insaan
tha
Agar vo insaan tha to yakinan uss me na koi
bhagwaan tha
Na pata tha mujhko uss khush-numa duniya ka
mai pal do pal ka mehmaan tha

Ab to lagta jaise bevajah kabhi aashiqi bhi mera


imaan tha
Iss naasamajh dil ki naadaaniyo se mai hamesha
se anjaan tha
Gujare hue kal ki yaad me hum apne aansuo ki
syaahi se likh rahe hai
Safed kaagaz par ye aansu aaj laal rang se dikh
rahe hai
Mai to jee lunga, Mujhe to aadat hai tanhaayi ki
Yahi to reet hai puraani iss beparvaah khudaai ki...
EK AASHIQI KA KHONA.....EK AASHIQ KA RONA.....KABHI THA
PALKO KA BICHAUNAA.....AAJ HAI SHAMSHAAN KA EK
KONAA.....FROM Dard Ka Aalam written by ABHAY SHUKLA
aaj ki raat ki kahaani
mujhe apni malikaa-e-khwaab ko hai sunaani
Vo khwaabo ke uunche mukaam ab jaise khandahar bankar reh
gaye hai
aaj fir hum apne hi aansuo ki baarish se aaye dard ke sailaab me
beh gaye hai
Pata nahi kya hai vidhi ka vidhaan
pata nahi kya hai meri pehchaan
kyu waqt ke sath badalta rehta hai insaan
kyo waqt banaataa hai ek insaan ko haivaan

Haivaaniyat ka sabab maine dekha bhi jana bhi


Waqt rehte apne ander ke insaan ko pehchaana bhi
Waqt ki ret mutthi se fisal rahi hai
Pata nahi kab tak meri saanse chal rahi hai
Waqt rehte mera hath thaamne aa jana
Fir vaapas mujhe puraane dino ki tarah gale lag kar rulaa jaana
Yu to tumne hamesha dhundha tha mujhko apni tanhaayi me
Bhul gayi thi yaa nazar andaaz kiya tha mujhko apni parchaai me
Mai to hamesha se tumara hi saaya tha
Har jagah sote,jaagte, uthte, baithte tumko hi paaya tha
Tujh se judaa hokar Maut ki nind mai chain se sota
Jo kafan ki jagah dupatta tera hota
Yaad aate hai tere hotho se nikle labjo ki thartharaahat
Mehsus hoti hai har waqt tere pass hone ki aahat
Vo lamhe jinn me tera deedaar hota tha
Vo din jin me mai tujh se aankhe chaar hota tha
Vo nashili aankhe jinse hum mohabbat ka jaam pite the
Vo teri jhuki palke jinki chaav me khushgavaar pal beete the
Jab yaad aata hai tumara pyar se bolna
Apne aanchal me mera sar rakh kar julfo ko apni kholna
Meri aankhe bhar uth ti hai aaj bhi Jab yaad aata hai tumara
BABU kehna
Laajmi hai haal-e-dil ki bebasi ke chalte khud pe na kaabu rehna

Yaado ka sailaab thamne ka naam nahi leta


Ye mera besharm khoon ab bhi rago me jamne ka naam nahi leta
Jo kehne baithu dard-e-daastan apni to alfaaz kam pad jayenge
Ya fir umar gujar jaayegi aur hum mar jaayenge
Ab to sirf jee raha hu iss hi ummid par shayad beete din fir laut
kar aayenge
Agar nahi aayenge to Iss zindagi ka zehar hum yu hi piye
jaayenge...

DARD KE AALAM SE KUCH AAKHIRI PAL


YAAD RAKHEGAA Abhay Shukla KO AANE WALA KAL
KABOOL KARIYE ISS Shaayar KA AAKHIRI SALAAM
MAT BHULIYEGA KABHI Abhay Shukla KA NAAM
PIYA HAI AAJ MAINE DO GHOOT DARD KE ZEHAR KA JAAM
LIKHA HAI NICHE MERA EK AAKHIRI PAIGAAM...
NOTE:- Lines written below are not from DARD KA AALAM but edited by me.
Khaye Hai Lakho Dhokhe,
Ek Dhokha Aur Seh Lenge.
Tu Leja Apni Doli Ko,
Hum Apni Arthi Ko Baaraat Keh
Lenge..
mai ye nhi kehta ki koi tumhare

liye dua na mange.......


mai bs itna chahta hu ki koi dua
mai tumhe na mange.
Log mohabbat ko khuda kehte hai
Agar koi kare to use ilzam dete h
Kehte hai ki pathar dil roya nahi
karte,
Fir kyu pahado se jharne gira karte hai
wo zindagi hi kya jisme mohhabbat nahi
wo mohhabbat hi kya jisme yadein nahi
wo yadein kya jisme tum nahi, aur
wo tum hi kya jiske sath hum nahi.
Na Tang Karo, Hum Sataye Hue Hai,
Mohabt Ka gum Dil Pe Uthaye Hue
Hai,
Khilona Samajh Kar Humse Na Khelo,
Hm B Usi Khuda K Banaye Hue
Hai.
jati nahi ankho se surat apki,
jati nahi dil se muhabbat apki.
mehsus ye hota hai jene k liye
pahle se jyada jarurat hai apki
Na hume aapse sikwa hai, na
sikayat hai
Hume to bas aap hi se chahat hai,
Koi aa kar keh de aapko mohabbat nahi hai humse,
Hum to yahi kahenge aapko
jhooth bolne ki aadat hai.
zindagi mauhtaj nhi manzilo ki,

waqt har manzil dikha deta hai, kaun marta hai kisi ke liye, waqt sab ko jena sikha deta hai
baat ye nahi ki hm apni mout se
darte hai
hamari maut par na beh jye kahi
unke do ansu hum bas unke unn do aasuo ki Qadar krte hai.....
kuch pal k lamhe ab k saal mai hai.
hum unke or wo mere khyal mai
hai
tanha the pehle hum beparwah
thi jindagi
ab fikar lagi rehti hai ki wo
kis haal me hai
hasrat hai unhe apna bnane ki or
khawahish nahi kuch pane ki
shikayat mujhse nahi khuda se karo
kya jrurat unhe itna khubsurat banane ki..
aap hmare liye ek phul hai jise tod
bhi nahi sakte or chod bhi nahi
sakte.
kyu ki tod diya to murjha jayenge or
chod diye to koi or le jayega...
mohhabat wo hasin gunah hai jise har insan khusi khusi karta hai
par mohabbat me intezar wo saza hai jo sirf wahi karta hai jo sach mai mohabbat karta hai
aansu aa jate hai ankho mai par labo pe hasi lani padti hai
ye Mohabbat bhi kya chez hai
yaro jis se karte hai usi se chupani
padhti hai
aap pe hi khatm sari chahat hogi.
fir na kisi se ye inayat hogi

kuch is kadar karenge yaad apko ki na zamane ko khabr na apko shikayt hogi...
aaj Gum k Badal hai Kal Khushiyo ki barsat hogi
aaj mere sath teri tanhai hai kal tu
bhi mere sath hogi
ankhen kholu to chehra tmhara ho ankhen band karu to sapna tumhara ho
mujhe marne ka bhi koi gum nhi agar
kafan ki jagah duptta tmhara
ho...
Chand par kali ghata chati to
hogi,
Sitaro ko muskurahat aati to hogi,
Tum lakh chipawo duniya se
magar,
Akele mein tumhe hamari yaad
aati toh hogi
ZINDAGI USS KE NAAM...

KYU HU ABHI BHI ZINDA.....KYU KHUSH HAI AASHMAAN SE TOOTA


HUA PARINDAA..... from DARD KA AALAM written by ABHAY
SHUKLA
Dua ki thi kuch apno ke liye isiliye zindagi me unki gulab to khilne
hi the
gulabo ke bich rahe the hum ,to hamko kaante to milne hi the
Ab to sirf dard pe humko aitbaar hai
Khushi ne to hamesha loota mera karaar hai
Dard wafaadar hota hai, jab hum chaahe humaare pass hota hai
Aur dard ke aagosh me aakar , insaan usko apna maan kar rota
hai
Bewafaa to khushi hoti hai jo bin bulaaye chali aati aur bulaane
par bhi nahi aati
zindagi bhar sirf yehi sabko hai sataati
Dard to apna sathi hai zindagi ka

Khushi jaise ek shraap hai darindagi ka


Pata nahi iss shraap se mukti kab milegi
Registaan me ek fool ki kali kab khilegi
Kab hogi bin mausam barsaat
Kab aayegi vo suhaani chandni raat
Ab jaise sehne ko kuch na raha ho
Ab jaise kehne ko kuch na raha ho
Ab jaise khoon mera saaraa kahi bahaa ho
Lagta jaise aisa hi dard maine kuch sahaa ho
Jis par beet ti hai vahi janta hai
Dard ka ehsaas dil se vahi maanta hai
Baaki to sab pal do pal ke mehmaan hai
Sirf Meri shayari ke sab kadardaan hai
Yakin hota mujhko ab na iss duniya me koi insaan hai
Ya fir kisi insaan ke ander na raha koi bhagwaan hai
Isiliye sab nazar aate mujhko haivaan hai
ABHAY SHUKLA to aaj bhi insaaniyat pe kurbaan hai
Lekin ab kya karu jab insaan hi ban chuka shaitaan hai.....

AASHIQ KA AAKHIRI FARMAAN.....NA THA VO


KABHI BEWAFAA AUR BEIMAAN..... from DARD
KA AALAM written by ABHAY SHUKLA
Ek aakhiri bar ek dua kar raha hu
Kya pata mere dildaar ko, mai to sirf uss ke hi
liye mar rahaa hu
Na chaahaa tha uss ne mujhe kabhi apne
dosto se jaadaa
Iss hi liye kar liya tha maine marne ka iraada

Agar mai kehta to vo meri liye akeli ho jati


Dosto se door hokar man hi man ro jati
Meri mohabbat bhi iss kadar thi, jo koi uss ke
karib jata to mai pal pal marta tha
Chura na le jaye koi uss ko mujh se bas yehi
soch kar darta tha
Jo karib rehta uss ke to manaa kar na pata,
rulaa na pata
Aur din raat khud to rota hi sath me uss ko bhi
sataataa
Iss hi khatir ab alvida kehta hu
Mat bhulna meri jaan, mai tumaare dil me
rehta hu...

DIYA EK AAKHIRI PAIGAAM.....DARD KE


MAIKHAANE ME PIYA MAUT KA JAAM..... from
DARD KA AALAM written by ABHAY SHUKLA
Agar ab bhi sukoon na milaa
To na karunga kisi se gilaa
Bas ho jaaunga uss ki khatir fanaa

Kar dunga apne dil ko dhadkane se manaa


Saanso ko thaam lunga
Sirf maut ka hi jaam lunga
Yu to kabhi so na paayaa tha uss ke sapno ki
khatir
Kya dimag paya tha uss ne itna shaatir
Khud chain se so kar khuli aankho se sapna
mujhe dikhaya
"Pyar aur apnapan" jaise shabdo ka matlab
mujhko bataya
Maut ke do ghoot ke jaam ke baad mai bhi
nind puri kar sakungaa
Agar dil-o-jaan se koshish ki jaam pine ki to hi
chain se mar sakungaa
Alvida kehne me shayad puri raat gujar jaaye
Raat gujarte gujarte shayad gujar puri umar
jaaye...

AB NAHI HAI AANKHO ME KHWAAB.....AANKHO


SE NIKALTI HAI TEJAAB
Bharosa unhone todaa hamaaraa
ILLJAAM fir bhi humne unko na diya
Shukriya kehna to munaasif na tha unnke liye

Badale me ILLJAAM me hamaaraa naam le liya


Shayad bharosa tha hi nahi unko kabhi hum
par
Sunaa bhi tha unke alfaazo se aisa aksar
Fir bhi mai yu hi galat faimi me ji raha tha
Unke vaado, unki kasmo ke bharose par
zindagi ka zehar pee raha tha
Lagta hai shayad ye to sirf ek bahaanaa tha
Tang aa gaya mujh se saaraa zamaanaa tha
Sabko apna hath mere aansu pochne ko aage
jo badaanaa tha
Aur mai bhi itna khudgarz tha jo aansuo me
apne tejaab ko bahaanaa tha
Mai bhi majbur tha, kya karta dard jo itna
puraanaa tha
Galti to thi meri, mujhko to kab ka mar jaanaa
tha...

PYAAS MUJHE PYAAR KI.....PYAAS MERE PYAAR KI.....PAANI


HAI JAISE MOHABBAT MERE DILDAAR KI..... from DARD KA
AALAM written by ABHAY SHUKLA

Hawaao me aaj aa gayi kuch ajeeb si nami hai


Jajbaato me jaise uss ke lagti mujhko kuch kami hai
Maut bas iss hi ummid par aakar thami hai
Pyaas bujhaane ki khatir shaayad mil jaaye paani jis me
na jaane kyu barf achaanak aaj jami hai
Pyaas mujhe uss ke pyar ki hai
Paani jaise mohabbat mere dildaar ki hai
Badi mehangi ho gayi aashiqi ki duniya, ye to kahaani dil
ki mujhe lagta har baazaar ki hai
Jaan jaayegi agar to koi gam nahi, baat yahaa aitbaar ki
hai
Vo na kar paayi, maine kiya tha uss par ,iss hi khatir uss
ke liye maine apni jaan-e-saar ki hai
Vo na kar paayi, maine kiyaa tha uss par
Har mandir gaya, masjid gaya, dua maangi din-raat
khudaa ke dar
Mai naadaan bhul gaya tha dua maangi nahi, kamaai jaati
hai
Jaise bina maange milti hai badua jo zindagi bhar rulaati
hai
Shayad mere aaj ke aansu bhi mere bite hue kal ke bure
karmo ka parinaam hai
Isiliye aaj kisi ke hotho par badua me sirf mera hi naam
hai
Mushkil ye hai ki yaad nahi aata mere inn aansuo ke
piche mera kaun sa buraa kaam hai
Ya fir shayad mere kisi aur janam ke kaaran hua mera ye
anjaam hai...

RAAJ EK MUJHE BATAANAA.....JIS ME GUJRAA


SAARAA ZAMAANAA.....DASTUR YE HAI
DUNIYA KA PURAANAA from DARD KA AALAM
written by ABHAY SHUKLA
Shuru kiya tha safar sath chalte chalte
Bahut door nikal aaye the raah-e-zindagi me
din dhalte dhalte
Raaste par mere sirf angaare aur kaante the
Dard bhare lamhe fir bhi uss ne mere sath mil
kar baate the
Absos ki thak gayi vo bhi manjil aane se pehle
Akelaa reh gaya mai maut ki nind so jaane se
pehle
Mai sath raha jo uss ke vo iss hi tarah roti
rahegi
Mai to kho chuka sab kuch, vo bhi apni khushi,
apni hasi khoti rahegi
Iss hi liye ab alvida kehne ke sath mai sab se
door jaa raha hu
Har pal ek nayi duniya ko karib aate paa raha
hu
Mai janta hu kuch din royegi fir sab bhul
jaayegi

Fir Na kabhi apne khayaalo me mujhe dekh


paayegi
Yehi duniya ka dastur puraanaa hai
Gujraa iss ke hi sath saara jamaanaa hai...

USS KAA VO JHUTHA DILAASAA.....JAISE PAANI


KI JAGAH ZEHAR PEE KAR AAYA HO
PYAASAA..... from DARD KA AALAM written by
ABHAY SHUKLA
Kaha to kai baar uss ne par kabhi na
nibhaayaa tha
Jab Jab hua udaas mai to uss ne mera dil
behlaayaa tha
Jhutha dilaasaa dekar hamesha bas yehi
samjhaayaa tha
Vo meri har baat maanegi, sath degi umra
bhar
Jubaan na rahi aaj ki duniya me kisi ki, bas
yehi lagta tha dar
Aksar kasme khaayi uss ne, vaade kiye mujh
se
Tod diye sab ussne mere dil ke sath, nibhaa
na paayi dil se

Kya karta ,mai bhi to uss ke ishq me majbur


tha
Maut se bas kuch hi kadam door tha
Maaf karta raha sadaa uss ki naadaaniyo ko
Jhelta raha roj uss ki khaatir nayi nayi
pareshaaniyo ko...

FAAD DI USS NE MERE DIL KI KITAAB..... JISME


RAKHA THA USKAA GULAAB..... from DARD KA
AALAM written by ABHAY SHUKLA
Ab apna dard kisi ko nahi bataaunga
Apna-pan na kisi se kabhi jataaunga
Pyar-mohabbat to sirf kehne ki baate hain
Gujaarni taa umra mujh ko tanhaa raate hain
Kasur mera hi tha, jo mai kisi se kuch jaadaa
hi ummid karne lagaa tha
Sirf uss ke pyar bhare sapno ki khaatir mai
hazaaro raate jagaa tha
Galti ki thi maine, to sajaa bhi mujh ko milni

chahiye
Apne khoon me zehar milaakar jo syaahi se
dard bayaa kar raha hu vo zindagi me bhi
ghulni chahiye
Mere dil ki kitaab jo uss ne faad di thi, uss ke
dard ke alfaazo se bhare panne samet kar
shayad silni chahiye
Agar aise bhi kaam na banaa
To kar dunga dhadkan ko dhadkane se
manaa...

DIL DHADKAN SE ANJAAN.....JAISE DIL HO


GAYA HO VEERAAN.....JINDAGI HAI JAISE
BEJAAN.....DUNIYA HAI JAISE SHAMSHAAN.....
from DARD KA AALAM written by ABHAY
SHUKLA
Iss shamshaan ki aag bujhne ka naam hi nahi
le rahi
Jindagi jaise ab jasshn ka jaam hi nahi le rahi
Naakaara ho chuka hai ye jism, isiliye duniya

ab iss se koi kaam hi nahi le rahi


Samajh na saka koi iss dil ko
Isiliye to mere dil ki dhadkan ka dil me rehne
wali paigaam hi nahi le rahi
Yaad hai sab baate jo uss ne mujh se thi kahi
Bas unn hi yaado me ye aankhe hai bahi
Chand, suraj bhi vahi hai, raat bhi hai vahi
Fir bhi chand ki chandni kho gayi hai kahi.....

HAMAARE DIL KI GUJAARISH.....SE HUI


HAMAARI AANKHO KI BAARISH..... from DARD
KA AALAM written by ABHAY SHUKLA
Humne bhi kuch dil se kaha tha jo kisi ne
ansunaa kar diya
Absos to tab hua tha jab unhone suna,samjha
aur dard dil ka hamaare char gunaa kar diya

Jab hamaare dil ki ek na suni unhone to mai


kyo sunu
Ab to nind bhi nahi aati mujhko, mai khwab
kis ke aur kaise bunu
Mai to janta tha jis sapne me mai ji raha tha
vo jald toot jayega
Jiss shaksh ke aanchan ko bhigo kar apna dil
halka karta tha vo jald chut jayega
Pata tha mujhko aankh khuli jo meri to dard
se dil bhar jayegaa
Ye jism khud ko akela, tanha, khamosh
payega
Lekin kya karta khud ko rok na paya
Khwab me khwab ko tok na paya
Har pal har waqt khwab me sath tha uskaa
saaya
Ab jaa kar itne waqt baad mujh ko hosh hai
aaya.....

ARMAAN THA USS KO DARD SUNAANE


KA.....KISSA BADAL DAALA USS NE MERE
ZAMAANE KA..... from DARD KA AALAM
written by ABHAY SHUKLA

Uss din bahut kuch mai uss se kehna chaah


raha tha
Sab kuch jo kuch maine uss ke bina sahaa tha
Uss ne meri ek na suni, kuch na kehne diya
Jo man me aaya uss ke uss ne vo sab kiya
Man hi man maine socha
Keh lo jo kehna hai, aaj waqt tumaara hai
Lutaa duniya ki bhid me ye shaksh bechaara
hai
Ab to kehne ko kuch bhi jaise na raha ho
Sabki sunne ko majbur ye dil hamaara hai
Dard jo samjha hota tumne to tumara kalejaa
fat kar khoon se bhar jata
Tumaari zindagi me bhi meri tarah koi tyohaar
na aata
Accha hua jo dard se hamaare tumaari
mulakat nai hui
Accha hua jo zindagi me tumaari bhi raat nai
hui.....

YAAD PYAR KI DIWANI KI.....YAAD DHADKAN KI


NISHAANI KI..... from DARD KA AALAM written
by ABHAY SHUKLA
Zid jo kari thi ussne to silsila narajgi ka na
raha tha jada
Jaise pyar se manaya tha uss ne, kar liya tha
uss ki khatir marne ka iraada
Maine kaha Agar dil kare puri shiddat se to
humse jarur baat kar lena
Agar dil bhaari ho to mere kandhe par sar
rakh kar aansuo ki barsaat kar lena
Palko par rakhna chahta hu tumko, mujhe
aadat hai bhaari palko ki
Jo tumaari palke bhaari na ho to mere sath
puri raat kar lena
Hum intejaar karenge uss waqt ka jis waqt me
waqt mera tere waqt ke sath ho
Jo gulaab pesh ho tumaari khijmat me to
kaanto par mera hath ho...

USS RAAT KI KAHAANI.....BAYAA KAREGI MERI


ZINDGAANI.....MERE DARD KI
ZUBAANI.....DARD KE AALAM SE SUNAANI.....
from DARD KA AALAM written by ABHAY
SHUKLA
Din bhar ki mehfil ke baad jo unko waqt mila
to raat ko mere paas aayi
Din bhar ke jasshn ki har baat uss ne ek ek
kar bataai
Uss ki khushi sun kar na jaane kyo meri aankh
bhar aayi
Uss ki khushi na kam ho isiliye din bhar ki har
baat maine uss se chupaai
Na jaane Usski hasi ki khushi jada thi ya apne
aansuo ka gam jada
Fir bhi kar rakha tha maine chup rehne ka
iraadaa
Raat gujri, baat gujri vo fir se so gayi
Mai vahi ka vahi reh gaya,
andheri,tanha,khamosh raat meri ho gayi
Chalo mai uss ke kisi kaam to aaya

Mere aansu me kam se kam usski khushi ka


naam to aaya.....

KHUSH HUA THA MOHABBAT KO


JAANKAR.....GALTI KARI KARIB SE PEHCHAN
KAR..... from DARD KA AALAM written by
ABHAY SHUKLA
Uss ne kaha dard usko maine diya
Na chahte hue bhi ishq me ruswa maine kiya
Aakhiri alfaazo the uss ke BAHUT BARDAASHT
KAR LIYA ABHAY AB NAHI HOTA
ab jo wo nahi hai pass to har pal mai khud se
khud ko khota
Bardaasht karna kise kehte hai ye mai
samjhaata hu
Apni roj ki kahaani mai sabko bataata hu
Vo diwaar kamre ki jaise meri maashuka hai
jisko din raat nihartaa hu
Ye kamra jaise meri duniya hai jis me apna
waqt gujarta hu

Pal pal marta hai ye dil kisi ko apna dard


sunaane ko
Pal pal karta hai ye dil kisi ke aanchal me
aansu bahaane ko
Fir yaad aata hai iss diwaane ko
Jitna mai de sakta hu pyar, utna pyaar aata
kaha hai iss zamaane ko.....

LIKHUNGA MAI ITIHAAS.....KHUD KA KHUD PAR


UPANYAAS..... from DARD KA AALAM written
by ABHAY SHUKLA
Ijjahaar-e-mohabbat ka dastur to bahut
purana hai
Beeta iss hi me shahjahaan,raanjha aur
romeo ka saaraa jamaanaa hai
Humko to uss ki mohabbat ka ek nayaa
itihaas banaanaa hai
Jo dil khol apna chupa hua chehra tumara
saari duniya ko dikhana hai
Shamshaan ghat me mera jism raakh hone ke
baad vo itihaas sabko yaad aana hai
Fir kabi jab ruth jayega koi dildaar
Manaaye apne dilbar ko bar bar

Karega din raat intejaar


Aur karega agar tab koi aashiq ijehaar
Tab kahegi maashuka uski
"Tu to aaj lag raha hai jaise ABHAY SHUKLA jo
apni jaan ke liye SAU SAAL BAAD BHI
DEWANA HAI"

FIR KUCH SAHAA.....FIR KUCH KAHAA.....SUNO


MERE ALFAAZ.....DARD KA HAR NAYAA
SAAJ...... from DARD KA AALAM written by
ABHAY SHUKLA
Alfaaz ka sikka humne fir se uchaal kar dekha
Jisne feri nazare mujh se uss ko fir maine apna
bura haal kar dekha
Kahi gurur na ho jaye unko apne hussn par
Isiliye chori chori humne unko badaa
sambhaal kar dekha
Pata jab chala unko mere didaar ka
Khwaab tutaa mere iss dil bekaraar ka
Inaam mila humko kuch aisa intejaar ka

Waqt na raha mere liye mere hussn-e-bahaar


ka
Yehi to kissa hai aaj ke dil ke bajaar ka
Nilaam karta hai waqt dil ko har dildaar ka...

Ek Zindagi ki KAMI..... Do Aankho ki


NAMI.....Kehte kehte apne DARD KA AALAM na
jaane kab dhadkan dil me THAMI..... from
DARD KA AALAM written by ABHAY SHUKLA
Akelepan ki aadat si ho rahi hai
Tanhaaiyo ki ibaadat si ho rahi hai
Ab sath paane ko na bechain hota hai dil
Kisi ke sath ki khatir na rota hai dil
Dil to karta hai bas yu hi umar gujaar jaau
Maut ko zindagi ke lamho se har pal ubhaar
jaau
Jo thi meri takdeer vahi to mujhe mili
Gulaab chaahaa tha maine, na aayi hath ek
murjhaai hui kali
Mai jaisa hu mujhe mere haal par rehne do
Mai ro raha hu dil se, Mujhe apne DARD KA
AALAM kehne do

Kitne vaade , kitni kasme


Jhuthi thi nibhaayi uski saari rasme
Ab to jaise dil hi khokhla ho chuka hai
Aansu saare bahaa kar ABHAY SHUKLA ro
chuka hai...

MIT GAYA HAR SAHAARAA...KOI NA RAHA


HAMAARAA...JO MILE EK CHOTA SA
ISHAARAA...ZINDAGI CHODNA HUMKO GAVAARAA
from DARD KA AALAM written by ABHAY SHUKLA
Nind aankho me hai par raate jaagi hai
Bhukh pet ko hai par pet baagi hai
Ab to jaise kuch bhi na raha ho mera hissa
Jiske sath me khatm hua hai mere dil ka kissa
Kya khataa thi meri chaahat ki
Ek hi vajah thi meri raahat ki
Nashaa hi jaise meri jaan thi
Uss ki mohabbat ke nashe ke aage saari khwaaish
kurbaan thi
Ab vo nasha n raha to kuch aur nasha karna
hamaari majburi hai
Lagta hai jaise zindagi aur jannat me bachi bahut
kam duri hai

Ab to aakhiri pal tak isska hi sahara hai


Sukun dene ko baaki kaun hamara hai
Ye to hamari gujarti jindagi ka ek chota sa ishaaraa
hai
Apno se, rishto se, pyar se ,dard se aaj ABHAY
SHUKLA haaraa hai
Fir bhi agar pyar se koi keh de to uss ke liye sab
kuch chodna humko ab bhi gavaaraa hai...

From DARD KA AALAM written by ABHAY


SHUKLA
PYAR ME PYAR NE PYAR SE KAHAA.....
KHUMAAR PYAR KA KUCH ISS TARAH CHAAYAA
RAHA.....
Uss ki aankho ke ujaale se roshan mere
najaare hue
Uski pyaas bujhaane ki khaatir kurbat me
shaamil mere dil ke samundar ke har kinaare
hue
Uss ke sath raat ko chand dekhne ki khaatir
dost hamaare har sitaare hue
Uss ki khubsurti ki har mehfil se saji kaaynaat
me shaamil na jaane kitne hi tut te taare hue

Jo uss ki har muraad puri karne par majbur


bechaare hue
Vo hai hi aisi, agar jaraa der se aankh khule jo
uss ki to subah ko thodi der se ujaale hue
Kyo ki uss ki aankho ki chamak par to suraj
the nazar daale hue
Uss ke aansuo se jaise hota tha mausam
barsaat ka
Muskuraahat se usski jaise lagta tha manjar
jannat se mulaakaat ka
Ab to daur hi na raha vo haseen jajbaat k
Na hota rubru ab kabhi chand humse chandni
raat ka...

EK AASHIQ KI ARRZI.....USSKI ZINDAGI KI


KHUDGARRZI.....APNE AANSUO KI BAARISH
ME.....YAAD KIYA AASHIQI KO APNI AAKHIRI
SIFAARISH ME.....from DARD KA AALAM
written by ABHAY SHUKLA
Yaad ke aaine me jab bhi koi chehra dekha
To surrkh nigaaho se nihaarte sirf uska chehra
dekha

Ek ajeeb si kasshmkash thi uski nigaaho me


Jaise keh rahi thi vo, aa jaau mai uski baaho
me
Yu to sath na choda tha uss ne kabhi mera
zindagi ki raaho me
Fir bhi na khush rakh saka tha mai usko apni
panaaho me
Beijjati ki aag me jalne par vo majbur thi
Kehti thi kuch, par mai janta tha dil hi dil me
vo mujh se door thi
Use khud se door kar ke dukh to bahut hua
tha
Zindagi ka har din jaise uss ke bina ek juaa
tha
Akele me bhigta raha sadaa uska aashiq
aansuo ki baarish me
Maut mile mujhko sukoon ki, naam lena mera
dil se iss hi sifaarish me...

ABHAY SHUKLA KE AANSUO KI


KURBAANI.....BADAL DAALI PURI
ZINDGAANI....VO BAAT AAJ SABKO

BATAANI.....MERE AANSUO KI
KAHAANI.....MERE DARD KI ZUBAANI....from
DARD KA AALAM written by ABHAY SHUKLA
Dard ki ruswaai se jo aansu bahaa hai
Na jaane dil hi dil me ussne kitna kuch sahaa
hai
Akelepan ki maayusiyo me hamesha tadaptaa
raha hai
Aankho se baahar aate hi ussne mujh se kuch
kaha hai
Ae-shaksh tune mujhko itna dil me kyo
tadpaayaa
Jamaa kar aansuo k sailaab ko dil me kyo
thehraayaa
Tere lahu k sath teri umar bhi kam ho gay
Aansu bola- sirf teri hi khatir mai tere dil me
thehar na paaya
Maine kaha koi tha na tujhko samjhaane wala
Khatm ho gaya tha meri zindagi ka ujaalaa
Sirf iss hi khaatir tujhe maine apne dil me
hamesha tha paalaa
Fir kyo toone mere dil ko halkaa karne ki
khaatir khud ko baahar nikaalaa

From DARD KA AALAM written by ABHAY


SHUKLA.....AASHIQ KI KAHAANI.....SHARAAB KI
JUBAANI.....AASHIQI KI MANMAANI.....KAM HUI AASHIQ KI
JINDAGAANI.....
Nashaa chaahe sharaab ka ho ya ishq ka majaa baraabar
deta hai
Dono hi surat me insaan ki jaan le leta hai
Fir log ishq kyo karte hain
Ek najar didaar ki khatir kyo marte hain
Agar ishq hi karna hai to sharaab se karna chahiye
Sharaab k nashe me bekhud ho kar uss ki aashiqi me
marna chaahiye
Kitni wafaadaar hoti hai ye sharaab
Jo dikhaati hai mithe mithe khwaab
Mitaa deti hai har yaad
Ab to iss k hi sath ki hai fariyaad
Ab to din raat iss se hi isshq karunga
Agar deni padi iss ki aashiqi me jaan to haste haste
marunga
Ye bhi mujh ko mitha mitha dard de rahi hai
Na yaad karu mai uss ko, ye mujh se keh rahi hai
Maine bhi keh diya vo nahi hai koi ladki, koi insaan
Maine maanaa hai uss ko apna bhagwaan, apni jaan
Bhagwaan to dil me rehta hai
Par ye kaisa bhagwaan hai jo mujhe khud se door kar
tadapane ko kehta hai

Shayad uss ki iss me koi khushi hogi


Koi to khwaaish uss ke bhi dil me basi hogi
Uss ki khushi ki khaatir aaj sharaab ki baat maan leta hu
Kitna pyaar hai sharaab ko mujh se ye mai aaj jaan leta
hu...

From DARD KA AALAM by ABHAY


SHUKLA......AASHIQ KA FARRZ......CHUKAAYAA
AASHIQI KA KARRZ.....MAASHUKAA NIKLI
KHUDGARRZ......
Galat aadat hai iss bedard intejaar ki
Kya karu mai, kuch aisi hi adaa hai mere
dildaar ki
Kaha tha jaan ne meri intejaar karna
Maine bhi kaha tha bhulna mat verna
Ek aur aashiq gumnaam ho jaayegaa
Tanhaaiyo k andhere me kahi kuch iss tarah
kho jaayegaa
Tu roti reh jaayegi, alvida kehne ko bhi nahi
hoga tera pyar
Sirf shaayari mat samajh lena, aansu hain
mere itna karna aitbaar
Lagta hai jaise duniya se thoda bojh kam ho

raha hai
Bas pyar ko manjil na mili ek aur aashiq ko,
itna gam ho raha hai.....

Lines written below by ABHAY SHUKLA from


DARD KA AALAM.....
Humko bhi ab iss duniyaa me koi kafan
udhaane waalaa na rahaa
Mai to kab ka mar gayaa thaa sab ke liye, ye
thaa mere apno ne mujh se kahaa
Jab kisi ne mujhe apnaa maanaa hi nahi, to
mai bhi kisi ka ehsaan na lungaa
Kisi dusre ki bhikh me kafan lekar mai na
chain se mar sakungaa
Ye uunchi shakshiyat kisi ke kaandhe ki
mohtaaj nahi
Jo dikhaa du mai apnaa seenaa cheer ke,
milaa humko aisaa humraaj nahi
Jab chaahaa maine pyaar paanaa to kahaa
sabne mujh se AAJ NAHI
To fir kyaa khud par taaj mahal banwaa kar so
jaau hameshaa ke liye
Sirf iss liye kyo ki meri koi mumtaaj
nahi.....?????

From DARD KA AALAM written by ABHAY


SHUKLA
Kal raat ka kissaa.....Mere khwaab kaa
hissaa.....Mere Chaand ne mujhe rulaayaa
thaa.....Khwaabo me uss ne mujhe bulaayaa
thaa.....
Ae-Chaand jab teri parchaayi mai paani me
dekhtaa hu
To man hi man bas yehi sochtaa hu
Ki yahaa teri parchaayi kaise aa gayi
Tab Dhyaan diyaa maine, Aansuo se meri
aankhe nahaa gayi
Fir yaad aaya mujhe to kitni pyaas thi
Pani pine ki kitni aas thi
Fir yahaa paani kaise beh gayaa
Mai pyaasaa kaa pyaasaa kaise reh gayaa
Vo paani nahi mere aansuo kaa sailaab thaa
Vo chaand nahi bas ek hasin khwaab thaa
Jab Chaand mujhse rooth gayaa thaa
Tab hi khwaab meraa toot gayaa thaa
Aankh khuli to dekhaa Chaand aasmaan me
bahut door thaa
Lag rahaa thaa jaise Chaandni raat kaa noor
thaa

Kahaa meri kismat jo mai uss ko paa saku


Chaah kar bhi bhalaa kaise mai apni andheri
zindagi ko uski chaandni se roshan karwaa
saku.....
From DARD KA AALAM written by ABHAY SHUKLA
Aashiq ki kahani, Uski Zubani....
Inn viran nazaro ko nazara kyo nahi milta
Koi shaksh humko jaan se pyara kyo nahi milta
Zindagi jine ka sahara kyo nahi milta
Aansu jo khud ka dekhu to sath me tumara kyo nahi milta
Mujhe chand nahi chahiye par meri tarah mujhko
aasmaan se tuta hua taaraa kyo nahi milta
Hum ek dusre se laakh mulakat kar le par fir bhi dil
humara kyo nahi milta
Ek shaksh puchta hai sharab se
"Kya hakikat ho tum meri" puchta hai vo apne khwab se
Jawab milta hai usko ek khubsurat khwab ka pure rubaab
se
Mar jata hai vo uss khwab ke jawab se
Vo to usko hakikat maan baitha tha
jawab sun kar Vo shakks apni zindagi, apni jaan gavaa
baitha tha
Milna chaha lakh uss ne apni mashukaa se par jawab mila
usko FIR KABHI BAAD ME
Fir jo hua vo manjar iss kadar bas gaya uss aashiq ki yaad
me
Uski aansuo ki koi kimat na rahi fir, kyo ki aansu bhi aaye
to bewafaai ke gam ki barsaat me

Vo aashiq to ji kar bhi marta raha sadaa apni mashukaa


aur uss ke aashiq ki baaraat me

From DARD KA AALAM written by ABHAY SHUKLA


Bewafaa ka farz.....Aashiq par dard ka
karz.....Aashiq ka dil hua bewafaa ka.....Uska dil tha
hi itna khudgarz.....
Yaad me kisi ki ye dil aaj ghayal hai
Ye shaksh jiski adaao ka kaayal hai
Vo lamha jo hum kaid karna chahte the pata nahi
kaha kho gaya
Unki yaad me bas naam lete hi ye dil na jane kyo
ro gaya
Lagta hai sara samaa jaise aaj unka ho gaya
Kyo ki aaj lambe arrse baad ABHAY SHUKLA unki
yaad me apne aansuo se khud ke jism ko bhigo
gaya
Unn aankho ko yaad kar ke aankhe bhar aati hain
Unki mehak jo saanso me aaye to saanse ruk jaati
hain
Koi lakh chahe,Lakh jatan kar le chand par jaa nahi
sakta
Jab uska jivan hi shraapit ho to amrit ka pyala kahi
se paa nahi sakta
Do pal ke ek hasin safar ki koi manjil na thi
Sathi to tha sath me par uske sath ki saji koi mehfil

na thi
Ek chote se waqt ke hasin sapne ne zindagi bhar ke
dard ka karz de diya
Chaha tha humne koi apna
Jo humko kehta apna
Magar hamara dil hi na raha apna
Jo bhagwaan ne itna khud garz de diya.....
From DARD KA AALAM written by ABHAY SHUKLA
Aashiqi ki yaad.....Ek aashiq ki fariyaad.....Ek
bewafaa ka kaam.....Bura hua aashiq ka anjaam.....
Vo kehti hai maine uss se kiya hua vaadaa tod diya
Koi uss se bhi to puche, mujhe iss tarah bich raah
me akela kyo chod diya
Vaada to pehle uss ne toda tha, maine baad me
Usko sirf nazar aayaa uska vaadaa uski yaad me
Vo chaahe laakh sitam kar le mujh par, mujhse
kabhi na puchegi
Mai hi hu bura,matlabi,bewafaa yehi hamesha
sochegi
Jisko hamaari jarurat nahi, usko hame kuch
bataanaa nahi
Jeevan bhar chaahungaa usko fir bhi mujhe usko
kabhi jataanaa nahi
Shayad koi kami reh gayi thi mere hi pyar me
Isiliye to khatm ho gayi meri ahamiyat mere yaar

me
Bure insaan ko to duniya bura hi kahegi
Aisa hi hu mai aur ye kami hameshaa rahegi
Maine bataayi hai apko gujare lamho ki kahaani
Yaad hai mujhe vo pyar ki nishaani
Dil me taajaa hai vo uski baate puraani
Muskuraati thi kabhi meri bhi zindagaani
Har din, har raat hoti thi suhaani suhaani....
From DARD KA AALAM written by ABHAY SHUKLA
Bayaan-e-dard-e-dil-e-khwaaish hai zaruri.....Dil-ejaan-e-tamannaa reh gayi adhoori.....Rooh ki jism
se ho rahi doori.....Maut ke intejaar ki ab
majboori.....
Dil me sawaal bahut hain jinka koi jawaab nahi
Kayi Raate hain aisi meri jinkaa koi khwaab nahi
Sunaane waale sab hain par koi meri sun ne wala
nahi
Mera khwaab tod kar chale jaate hain sab
Par koi unko mere sath bun ne wala nahi
Gam sine me thehra hai
Andheraa aur bhi gehraa hai
Saanse aati jaati hai
Lekin har saans par pehra hai
Saans lenaa mere liye ab zaruri nahi
Jab saath dena hamaaraa unke liye majburi nahi

Aisi koi tamannaa jo humne ki ho, hui puri nahi


Isiliye zindagi aur maut ke bich bachi ab zaadaa
duri nahi
Chaand aksar khwaabo me to aaya thaa
Par hakikat me naa kabhi uss ne bulaayaa thaa
Maut ke baad bhi vo suhaane khwaab mere saath
reh jaayenge
Aur hakikat me chaand humko apni chaandni ke
har zarre me paayenge.....

FROM Dard Ka Aalam WRITTEN BY Abhay Shukla


Apno ne rulaayaa.....Gairo ne bhulaayaa.....
Aksar log mere gam ki hi ibaadat karte hain
Doob jaau pura gam ke samundar me bas itni si
chahat karte hain
Na jaane kyo aisa hai ye samaaj
Kitna jaalim hai, kitna kaatil hai Samajh paya hu
mai aaj
Chalo, kuch to pasand aaya mera iss zamaane ko
Jalane ka bahana to mila iss parwaane ko
Khud to kabhi has na paaya par taa umra sabko
hasaaunga
Jab na rahunga, tab shayad iss hi bahane sabko
yaad aaunga

Jo yaad kiya mujhe kisi ne do pal ke liye bhi to usko


jarur rulaunga
Mere gam ka mazak banaya tha ji te ji sabne,
Ehsaas jarur dilaunga
Kisi se kya karu gilaa
Jab mujhe apno se hi na kuch milaa
Hasata raha saare jamaane ko
aur tabhi apno ne mujhko rulaya tha
Yaad kiya sabko sabke gam me maine
Par mere apno ne hi mujhko bhulaayaa tha
Yahaa tak ki maine kisi ko zindagi mana tha
Aur zindagi ne kaha tha meri, door usko mujhse
jana tha
To bas me ab mere halat nahi
Zindagi jab khud humse keh de vo mere sath
nahi....

From DARD KA AALAM written by ABHAY SHUKLA


Vo kagaz ki kasshti.....Vo pyaari si nani.....Yaad aati hai bachpan ki
kahaani
Kabhi ek vo bhi zindagi thi
Jaha puri hoti meri har pasandgi thi
Khilauno ki duniya me jaise puraa jahaan tha

Tab bhi ye chand taare aur yehi aasmaan tha


Na pata tha humko tab hamara kya emaan tha
Bas itna pata tha mai bhi ek insaan tha
Raat ko maa ki khaaniyo ka tha khajaanaa
Jo nani agar ruth jaye to unko tha manaanaa
Tab ek rupaye milne par jahaan lagta jaise apna tha
Roj raat ki kahaaniyo ke baad pariyo ka aata sapna tha
Tab humko iss duniya ka gyaan na tha
Na pata tha humko kisi insaan me bhagwaan na tha
Raat taaro ko gin ne me gujar jaati thi
Har din ek nayi zindagi najar aati thi
Dil me kisi tarah ki pyaas na thi
Kisi ko paane ki aas na thi
Rukti tab hamaari saans na thi
Tab maut hamaari itni khaas na thi
Zindagi khush-gavaar sapno se anjaan na thi
Zindagi pal do pal ki mehmaan na thi
Yakin nahi aata bachpan itni jaldi kaise beet gaya
Bura waqt ek maasum jaan se kaise jeet gaya.....

From DARD KA AALAM written by ABHAY SHUKLA


Role -::- Name
Bud of Rose: My mother(B4 marriage)
Gardener:My father(Unfortunately 4 name only)
Sunflower: Abhay Shukla
Mere baap ka farz.....Tha kitna khudgarz.....
Ek kali thi gulaab ki
Ek raat thi vo khwaab ki
Kali ke liye ek maali aaya
Kali ne ek khwaab sajaayaa

Mai bhi ek din gulaab banungi


Fulo me ek din laajawaab banungi
Fir na jaane kyo, kabhi na khatm hone wali raat ki
shuruwaat hui
Aur kali par zindagi ki andheri raat me gamo ki barsaat
hui
Jiska kaam tha usko bachaanaa
Uss hi ne na tha kabhi uska dard jaanaa
Masal kar rakh diya uss ne uss naajuk si kali ko
Bhul gayi kali apne khwaabo ki gali ko
Maali chalaa gaya usko chodkar,Uska dil Uska khwaab
todkar
Fir ek aur addhyaay shuru hua uski zindagi ka
Aaya koi shaksh uski pasandgi ka
Suraj ki roshni se najare milaataa tha
Waqt ki dhoop aur gam ki tapan se jaise dushmani
nibhaataa tha
Sab khush rakhta tha vo fir bhi kabhi na reh paayaa tha
vo sukhi
Jisko kehte hain hum suraj mukhi

From DARD KA AALAM written by ABHAY SHUKLA


Manjil ki talaash thi.....Zindagi ki ek pyaas thi.....
Jis raaste par humko kabhi aitbaar tha
Jis raaste par manjil milne ka intejaar tha
Uss raaste se hi mai ek dum laachaar tha
Zindagi ke raaste me lutero se gaya mai haar tha

Kehne ko to mere hath me kai raahgiro ka hath tha


Magar na pata tha mujhe kar raha mai lutero ka sath tha
Kya pata tha, ye rasta meri barbadi ki taraf jata hai
Aaj bhi ye dil kisi par bharosa karte waqt vo manjar yaad
dilata hai
Manjil ki talaash me loot kar le gaye sab lutere
Vo log jo acche waqt me kabhi hua karte the mere
Ab to mai raaste aur manjil dono se anjaan tha
Lag raha tha jaise mai zindagi ke pal do pal ka mehmaan
tha
Jo dil me aaya uss waqt, vo mere Sai Baba ka naam tha
Himmat di uss ne mujhko, vahi mera bhagwaan tha
Shraddha aur Saburi inn do shabbdo ka tab bhi mujhko
gyaan tha
Mushkil waqt me bhi na dagmagaayaa mera emaan tha
Mere vishwas ka rakha uss ne maan tha.....
OM SHRI SAI NAATHAAY NAMAH:

From Dard Ka Aalam by Abhay Shukla


Meri zindagaani.....Dard ki zubaani.....
Shayad manjil mill hi jaye bhatakte hi sahi
Gumshuda to vo the jo ghar se hi nahi nikale

Ungli pakad kar chalna to kai ne sikhaya tha


Bedard anjaan rasta to sabne dikhaya tha
Unke kehne par rasto par chalte rahe, thokar khaate rahe
Magar manjil ka pata meri na kisi ne bataya tha
Ghar se nikale bahut waqt beet chuka tha
Kisi ka aansu sirf mere aane ki ummid me ruka tha
Jindagi ki subah se shaam hone ko thi
Mere intejar ke dard se bhari kai aankhe rone ko thi
Vo zindagi ki kabhi na khatm hone wali raat ki shuruwaat
thi
Jo bina aansu bayaan na ho sake, uss dard me vo baat thi
Kuch kuch rasta najar aa raha tha kyo ki chand ki chandni
mere sath thi
Shayad ye khuda ki rehmat ka natija tha, jo vo purnima ki
raat thi
Kehne ko to mere hath me kai raahgiro ka hath tha
Magar na pata tha mujhe kar raha mai lutero ka sath tha
Thakaan se chur hokar bejaan sa mai chalta jaa raha tha
Lutero ko apna maankar namak apne jakkhmo par malta
jaa raha tha...

From DARD KA AALAM written by ABHAY SHUKLA


Khushiyo me to har koi tha mere sath.....Gam me mere
aansu rokne ko na dikha mujhe kisi ka hath....
Kabhi ek ye kisi jasshn ki baat thi
Lagta jaise badi suhani vo raat thi
Vaha to lag raha jaise khushiyo ka mela tha
Na jaane kyo fir bhi mai bheed me akela tha
Jab mai khud se akele me baat kar ke rone laga
Tab mere dost ne mujh se pucha TUJHE KYA HUA
MAINE KAHA kuch nahi bas kisi ki yaad aa gayi
Ek gaana suna maine aur uski mehak mere pass aa gayi
Mai ek jasshn me hu, vo yaad mujhe ye bhula gayi
Kitni bedard yaad hai jo mujhe iss tarah bheed me bhi
rulaa gayi
Jasshn ki mehfil me to har koi mere sath tha
Magar ranj aur gam ki mehfil me mere aansu rokne ko na
kisi ka hath tha
Kitne matlab parast hai ye samaaj
Ye baat jaan paaya hu mai aaj
Ab to jasshn ki mehfil se nafarat ho chuki hai
Zindagi jaise ek viran shamshaan me aakar ruki hai
Bas ab apni har khushi ko dard ke taaboot me kaid kar
dunga
Saanse rahengi, dhadhkan rahegi magar zinda na
rahunga.....

ABHAY SHUKLA aaj


Dard me choor.....Tanha hone par majbur.....
Kaun chahta hai bhalaa tanha rehna
Kaun chahta hai akela pan sehna
Humne unko zehar pine k liye diya tha
Na pata tha unko pehle khud hi zehar pee liya tha
Ye zindagi ka har din mere liye kisi zehar se kam nahi
Ab meri ladaai khud se hai, isiliye meri aankhe nam nahi
Dil ke ander hi maar chuka hu saare jajbaat
Na chahiye mujhe kisi ka ab sath
Insaniyat aur bhagwaan ki surat ab dil me mere na rahi
Kuch iss tarah maine zindagi hai sahi
Tanhaayi kiski pasandagi hai
Mujhe to laash ki tarah zinda rehna hai kyo ki aisi hi to
meri zindagi hai
Ye zindagi itni kadwi hai isiliye majburi hai hamari jo isko
madhosh hokar gujarni hai
Nashe me choor hokar apni surat sharaab ke jaam me
utaarni hai
Zindagi ki mehfil me ek aur shaam aayi
Dard Zindagi ka bhar kar ek aur jaam laayi
Hum to kab se dard ke jaam pina chaah rahe the
Zakhm dil ka khud hum seena chaah rahe the
Lekin hum bhi majbur the uss waqt kyo ki
Unki zid thi, vo mere sath taa umra jina chaah rahe the...

From DARD KA AALAM written by ABHAY SHUKLA


Aashiq ke aankho ka paani.....Ek bewafaa ki
meharbaani.....
Bewafaai ki daastaan mujhe apko sunaani hai
Kaise hoti hai maut ek aashiq ki, ye aapko bataani hai
Apni to mohabbat ki itni si kahani hai
Tooti hui kashti or thehra hua pani hai
Ek phool kitabon may dam tor chuka hai
Magar kuch yaad nahi aata yeh kis ki nishaani hai
Bevajah gujarti hui ye saari jawaani hai
Mohabbat ka bas naam sun kar chalaktaa aankho se
paani hai
Fir kyo log kehte hain Mira Krishna ki diwaani hai
Yu to bahut kuch kho diya hamne, ye hamaari naadaani
hai
Aur jo kuch mila ab tak humko samajh lete hai bas upar
wale ki meharbaani hai
Unki khushi ki khatir muskuraate rahe hamesha
Ye unki khatir hamaari kurbaani hai
Hum unke ho gaye, fir bhi vo hamaare ho na paye
ye meri mohabbat ki bewajah ki manmaani hai
Ab to apni zindagi ki kashti humko apne aansuo me
bahaani hai
Rote rote mar jaayenge unki yaad me agar maut mujhko
aani hai...

From DARD KA AALAM written by ABHAY SHUKLA


Mohabbat ki kahaani.....Dard ki nishaani.....Pyaase hum
marte rahe.....Baha diya unhone apna saara aankho ka
paani.....
Kisi ki yado ne pagal bana rakha hai
Kahi mar na jau kafan sila rakha hai
Jalane se pehle "DIL" nikal lena
Kahi wo na jal jaye
Jise dil me basa rakha hai
Dil par to sirf uska hi naam hai
Ye uski mohabbat ka ek chota sa enaam hai
Dil to kab ka mai usko dena chahta tha par uss ne na liya
tha
Uski chahat ki aag me jal kar khud ko parwana bana diya
tha
Ab uski amanat usko saup kar jata hu
Mohabbat kise kehte hain ye mai apko samjhata hu
Hum pyaase rahe aur pyas unki bujhaaye
Hum yaha pyaase mar rahe ho aur vo apne aansuo se
paani bahaaye
Fir unn aansuo ko besh kimti moti samajh kar hotho se
pee jaaye

aur Jajbaato ke samundar me kahi dil ki satah par unke


motio ko sajaaye
Zehar hum kha le agar pyar se vo humko khilaaye
Magar maut unko bhi aa rahi thi humko zehar khilaane
me
Ye hum unki aankho se samajh jaaye...

From DARD KA AALAM written by ABHAY SHUKLA


CHOTI SI KHWAISH.....DARD KI AAJMAAISH...
kaise yaad aa gayi aaj iss insaan ki
kaise yaad aa gayi aaj ek naam ki
Hum to vo fool hain jo kaato me raha karte hain
Isiliye koi hume yaad kabhi na kiya karte hain
Sach aur kaato ka rasta kabhi aasaan nahi hota
dil k zakhmo ka kabhi koi nishaan nahi hota
Yu to bahut hain hame sahara dene wale
Magar har insaan me chupa bhagwaan nahi hota
Isiliye ab mera iss duniya me koi sahara nahi
Koi ho mera apna aisa mila ab tak mujhe koi ishaara nahi
Rishte banakar todna mujhe bilkul gavaara nahi
Tabhi to ab tak ye dil dhadkane se ab tak haara nahi
yu hi kisi se matlab ke liye mai rishta banaau itna awaara
nahi
Koi sametega mere dil k tukdo

Sirf uski khatir Abhi tak tukdo ko savaara nahi


Mere koi kaam aaye ya na aaye mai sabke kaam aaunga
Insaaniyat ka matlab aur maksad taa umra sabko
samjhaunga
Mai to chahta hu mere liye mujhe koi yaad na kare
Meri khatir apna waqt koi barbaad na kare...

Dard Ka Aalam WRITTEN BY Abhay Shukla is 4:Bas uss pal ke liye jo thamne ka naam nahi leta
Bas uss khoon ke liye jo jamne ka naam nahi leta
Ye labz jo mai bayaan karta hu
Bas kuch yaade hai hai jinke liye mai marta hu
Ab vo zindagi to na rahi, na raha vo pyara sa afsaana
Jiski khatir tha kabhi khud ko zinda maana
Lagta hai jaise Ab to zindagi se judaai ho chuki hai
Lagta hai jaise dil k iss baghban me fulon ki kaato se
vidaai ho chuki hai
Mai ye sab apna dard kam karne k liye likhta hu
Itna khush na rehta hu mai jitna sabko dikhta hu
Yaad me shaamil to kai kahaani hai hai
Dard me doobi puri meri zindagaani hai
Jo baat alfaaz na keh paaye vo baat dil ki likh kar bataani

hai
Ye mere dil ki kahaani nahi, mere dard ki zubaani hai
Bas yaad ke kuch palo ko piro kar banaa deta hu ek
nagma
koi agar jaan le mere dard bhari yaado ko, to lag jayega
usko sadmaa
Isiliye meri shiddat-e-gam ko jaan kar kya hoga tumko
fayda
Kisi ki yaado ki kitaab se gamo ke panno ko bevajah
palatnaa, ye nahi hai zindagi ka kayada...

FROM Dard ka Aalam WRITTEN BY Abhay Shukla


A Tribute 2 my X-Love...
Humse dard to bahut tha zamaane ko
Koi to chahiye tha hame apna gam chupane ko
26july 2010 ki vo shaam bhi kitni haseen thi
jab pehli bar phone par baat kar rahi meri jaan-e-sheen
thi
12 november ki shaam ko khatm hua tha hamara intejar
Jab usne kiya tha humse apne pyar ka ijehaar
26 january 2012 humne sath kuch aise bitaye
Jo jindagi me koi kabhi bhul na paye
12 feb ka vo manhus din kaun yaad karna chahta hai

jab judai ka aalam jindagi badal jata hai


Kai mahino tak hum uski yaad me aansuo se bhigte rahe
Uski khatir ghar walo k diye har dard sahe
Fir august 2011 me jab wo coachng aai
Apne sath mere jine ki ek ummid sath lai
Kisi dushman ne ek din mujhe uske sath dekh liya
Aur uske ghar me mere bare me bata diya
Ghar par vo ek kaidi ki tarah reh gayi
Meri khatir apne gharwalo k diye har dard ko seh gayi
Aaj mai jab bhi akele tanha hota hu
Chup chup k sabse rota hu
Meri vajah se uska pura jiwan barbaad hua
Kosta hu khud ko mai kyo azaad hua...

FROM Dard Ka Aalam WRITTEN BY Abhay Shukla


Lost in the darkness of night...
Lagta hai so gayi hai duniya nind ke aagosh me
Mai bhi na raha ab khud ke hosh me
Hosh hota to chain ki nind le raha hota
Mai bhi sabki tarah gehri nind me sota
Raat aur meri dosti to bahut purani hai
Kaali,Khamosh,Tanha raat si hi to meri zindagaani hai
Shayad iss hi vafaadaari se raat se dosti ab hamko
nibhani hai
Ye raat bhi kitna sath degi hamara, ye baat hame
aajmaani hai

Kash meri tarah koi to ho jo so na paaye


Apni zindagi ki tanhaaiyo me mujhko bulaaye
Apna haal-e-dil mujhko samjhaaye
Apne gamo se mujhko rukhsat karwaaye
Mai bhi uska sath marte dum tak dunga
Badle me uss se kabhi kuch na lunga
Uske liye zindagi ke tamaam gam sahunga
Fir bhi use hamesha pyar karta rahunga
Ab intejaar ki koi had baaki na rahi
Maine uski khatir ab tak ye zindagi thi sahi
Iss ummid me ki shayad koi to dega mujhe zine ki vajah
Maine thi apni dil-e-daastan kahi...

FROM Dard Ka Aalam WRITTEN BY


Abhay Shukla
Praying 4 getting alone...
Kash mujhe yaad karne wala iss duniya
me koi na rahe
Kaash meri judai ka dard koi na sahe
Kaash do alfaaz bhi koi mujhse pyar k
na kahe
Kaash kisi ki aankhe mere liye na bahe
Ab mujhe lagti kisi ki jarurat nahi
Koi mere dard ko samajhe abhi aaya
aisa muhurat nahi
Lagta jaise ab kisi k dil me meri surat
nahi
Ab shayad iss duniya ko meri jarurat

nahi
Ab mai khul k ro lu bachi itni bhi
sahurat nahi
Zindagi chod k sabko ruswa kar jaunga
Abhi sab sataa lo, kabhi mai bhi sabko
rulaaunga
Vapas bulaane par bhi kabhi laut ke na
aaunga
Ek mombatti ke momki tarah apni yaade
chod kar Jal kar raakh ho jaunga
Ab zindagi ki jalan mujhko bahut jalaati
Waqt ki dhoop me mujhko yehi
samjhaati
Chaahe laakh koshish kar lu do pal ki
khushi tak mujhe nasib na ho payegi
Gardish me zindagi kahi meri aise hi kho
jayegi...

From DARD KA AALAM written by ABHAY SHUKLA


Glory of my painful love...
Apne dil ke panno se padhkar ek khabar aapko aaj sunani
hai
Mohabbat me kisi ka bewafa hona, ye to dastan purani
hai
Aaj fir dard ki syahi se koi mere zindagi ke panno par
kuch likh raha hai
Shayad vo mera pyar hai, aisa mujhko dikh raha hai
Vo kehti hai usko apni zindagi mere sath bitaani hai
Uss ko mujh se mohabbat hai ,fir bhi ye baat usko
chupani hai
Na jane kyo mujhe aisa lagta iss baat me chupi hui ek
kahaani hai

Na jane kyo lagta jaise usski ye shart ek bewafa ki nishani


hai
ya fir mere naam se hoti uski badnaami hai
Kahi usko bhulane me khud ko hi na bhula baithe
Kahi maut ko apne aur karib fir se na bula baithe
Laga lunga maut ko gale agar mujhko maut aani hai
Mohabbat karunga to saar-e-aam
Maine bhi aaj tak usski har baat maani hai
Agar na maani vo to samajh lunga
Uski aankho me moti nahi sirf behta hua paani hai
Mere dard-e-ishq ki dastan aap sab ko mujhe samjhaani
hai
Mai galat hu ya sahi ye baat apko mujhe bataani hai...

From DARD KA AALAM written by ABHAY SHUKLA


AFTER DEATH of ABHAY SHUKLA...
Kabhi koi shayar katilana tha
Vo uski shayari nahi uske Dard ka thikana tha
Uske dil k jakhmo ka ashiyana tha
Shayari to sirf ek bahana tha
Asal me ussko sabse apne bayaan-e-gam se rukhsat
karwana tha

Uske aansuo se hota uska maikhana tha


Aankho me chupa hua ek paimana tha
Uske gam ka mazaak udata pura zamana tha
Lagta shayad iss hi bahane sabko hasaanaa tha
Hasaate hasaate aansu jo hoth tak aa jaye to unko pee
jana tha
Shayad usko dar tha ki koi aur na roye uske gamo ki
baraat me
Isiliye liye usko majburan apne aansuo ko chipana tha
Zindagi k raste par chalte hi jana tha
Waqt ki dhoop me pairo ko to jal jaana tha
Uski zindagi jaise ujdaa hua virana tha
Isiliye shayad shayar vo itna shayarana tha...

From DARD KA AALAM written by ABHAY SHUKLA


In d memory of my past-friend...
Aaj mai apne ek dost ki dastan sunata hu
Aisa dost kisi dushman ko bhi na mile, bhagwaan se yehi
manaataa hu
Uss ne di thi zindagi me mujhe zine ki aas

Dhire dhire hota gaya vo mere dil k pass


Uss ko mai apna bhai samajhne laga tha
kya pata tha!, Ek dhokhe baaz k jaal me ulajhne laga tha
Vo to insaaniyat k naam par kalank nikla
Raja samjha tha kabhi!, Vo to ek runk nikla
Meri badua kabhi khaali nahi jaayegi
Dhokhe baazi ki kimat usko chukaani pad jaayegi
Aise logo ko insaan ki zindagi milne ka kya fayda
Jab unko maalum hi nahi hai insaaniyat ka kayda
Zindagi Vo hai, jo insaaniyat k liye g jaaye
Zindagi vo hai, jis me humne rishte ho kuch banaaye
Vo zindagi zindagi hi kya jo dusro k liye na ji jaye
Vo zindagi zindagi hi kya jis me humne rishte ho na koi
kamaaye
Aaj mere dil me uthta bahut shor hai
Mera dil kehta hai, Mera dost chor hai
Jis ne mere sapne churaaye hai
Isi liye hum aaj apne dard-e-dil ka dard-e-paigaam laaye
hain...

From DARD KA AALAM Written By Abhay Shukla


Message to u all...
Poora bhig chuka hu mai
Mere aankho k paimaane se

Aaj fir chalak rahe hain aansu


Mere dil k maikhaane se
Aaj mai khuch gam-jadaa hu to sirf uski khatir
Kya dimag paaya hai uss ne! Wo bhi itna shaatir
Khoon kar diya mere dil k armaano ka aur mujhe pata bhi
na chala
Aaj jaan paya hu mai kaisi thi wo balaa
Usko to maine bhagwaan se bhi badhkar maana tha
Vo meri radha aur mai krishna bas itna hi jaana tha
Vo ladki nahi, khuda ka naayaab tohfa maine pehchaana
tha
kya pata tha, Usko kuch iss kadar rishta nibhaana tha
Banaa kar rakh diya mujhe ek zinda laash
Vo dharkan bhi rok deti meri kaash
Ab zindagi me kisi ka kisi par aitbaar nahi karunga
Kabhi bhool kar bhi kisi se pyar nahi karunga
Taa-umra kisi k aane ka intejaar nahi karunga
Saari had paar kar kisi par jaan-e-saar nahi karunga
Uss ne mere armaano k sath mera dil bhi jalaa diya
Zindagi kise kehte hain yahi bhula diya
ya fir
Zindagi kise kehte hain, ye mujhe samajhaa diya...

FROM Dard Ka Aalam WRITTEN BY Abhay Shukla


introducing Mirza Ghalib
Ghalib sahab ki yaad me ek chota sa farmaan laya hu

Kash unke jaisa ban sakta ye armaan laya hu


Unke har shabd me chipi hui zindagi ki haar thi
Lagta shayad vo syahi nahi unke ansuo ki dhaar thi
Jo kuch unhone jhela vo koi seh nahi sakta
Isiliye koi Ghalib kabhi paida ho nahi sakta
Ek-ek kar k khoya tha usne apna paiwaar
Zindagi bhar bheekh maangi fir bhi chal na paya
kaarobaar
Na raha koi apna kehne wala aur chalaa gaya saara gharbaar
Fir bhi kabhi apni zindagi me na maani thi usne haar
Vo to ek khula aasmaan tha
Jiska na koi majhab aur na koi imaan tha
Insaniyat ki daulat se vo itna ameer tha
Aaj duniya uska naam leti hai fir bhi kehti hai 'fakeer tha'
Iss duniya ko to sirf dhan-daulat se pyar hai
Baaki saari baate sabke liye bekar hai
Khud ko Ghalib to har koi keh deta hai
Fir kyo unke baare me jaan na tak kisi k liye dushwaar hai
Meri tah-e-dil se aapse ek guzaarish hai
Ghalib ne likhi koi shayari nahi, vo to uske aankho ki
barish hai...

From DARD KA AALAM Written by ABHAY SHUKLA.....


Bearing Relation less Life...
Har pal waqt ka mehmaan nahi hota
jo waqt pe kaam na aaye
vo insaan nahi hota
yu to apna kehne waale kai hai
lekin apnapan nibhana aasaan nahi hota
Jab apne nahi rehte hamaare apne
toot kar bikhar jaate hain saare sapne
tab zindagi me zindagi k acche waqt ka armaan nahi hota
har pal jaise ek zakhm bankar ubharta hai
dil hamara ghut ghut kar marta hai
tab ye dil waqt ki bewafaayi se anzaan nahi hota
mere pass bhi aise kai rishte hain
jo apnepan ki kimat me bahut saste hain
kehne ko to pura parivaar hai
lekin mere aansuo ki vajah puchna tak unke liye
dushwaar hai
Vo zindagi zindagi hi kya jo dusro ke liye na ji jaye
vo zindagi zindagi hi kya jisme humne rishte na ho koi
kamaaye
ab to ek aisa waqt aa gaya hai
jahaa har koi apnepan ke wajood ko hi mita gaya hai
kabhi kabhi lagta hai ye duniya mere layak nahi
lagta hai jaise ki iss duniya me koi nayak nahi.....
Live 4 d Lives
not 4 life...

From DARD KA AALAM written by Abhay Shukla


Aaj ka paigaam ek shaksh ke naam
jiske sath piye the humne kabhi nigaaho ke jaam
jiska waqt ne diya hame kuch aisa inaam
yaad karke rote hai jisko hum subah-o-shaam
shayad wo meri takdeer ka faisla tha
vo aasmaan, mai zameen, bas itna faasla tha
lagta tha jaise ab ashko ko pina hai
pyas bujha kar ab aise hi jina hai
fir bhi khud ki kismat badalne ka hausla tha
Unse mulakat,pyar ki do baat
bas aise kat rahe the hamaare din-raat
lagta tha jaise zindagi bhagwaan ka ek tohfa hai
aur hum kar rahe uss tohfe se wafaa hai
kya pata tha unn khushi ke lamho ka karz chukaana kuch
aise pad jayega,
ki mera dil jine ke naam se hi dar jayega
kaash maine apni khushi chaahi na hoti
mere liye wo apni zindagi na khoti
kya waqt me piche jaane ka koi raasta hoga
kisi ko to mere gam se koi vaasta hoga
Mujhe nahi pata mai ab tak zinda kyu hu
Aasmaan se tuta hua ek parinda kyu hu
Khud apni zindagi par sharminda kyu hu
Uski khushiya maine tabaah ki, mai itna ganda kyu hu...
question arises...

PLZ PRAY 4 ME.....


Koi nahi bacha hai meri zindagi me, apni zindagi jaannisaar kis pe karu,
bahut dard deti hai ye zindagi, apni jindagi kurbaan kis pe
karu,
mai to aaj nikal aau bahar iss dard k sailaab se, lekin
bahar aane k liye hath dene ki farmaaish kis se karu,
bahut buri hai ye duniya, koi nahi bacha yaha mera apna,
jiska kabhi nam aankho k sath dekha karta tha chandni
raato me sapna, kya koi nahi bacha jo mujhe apna kahe,
kya koi nahi bacha jo mere liye sab kuch sahe,
koi to ho jo mere hath se hath milaaye, koi to ho jo mujhe
apne sapno me bulaye,
koi to ho jo mujhe meri khushi dilaaye, koi to ho jo mujhe
mere apno se milaaye,
agar vo nahi to aisi jindagi jine ka kya fayda, vahi to
sikhayegi mujhe jine ka kayda,
uske bina meri jindagi ek shamshan kyo hai, uske bina ye
duniya meri itni veeran kyo hai,
ab mai aur akele iss jindagi ka bojh nahi utha paunga, jab
mai nahi rahunga tab sabko jarur yaad aaunga,
mujhe koi iss dard se aajaad karo, mera zindagi ka bojh
dil se utar jaye, bas yehi fariyaad karo...

Aaj fir mai apne dard ka paigam laya hu


jindagi kaisi ji hai maine,ye bayaan laya hu
Apno ne hame jab thukra diya
to gair kaha kaam aayenge
Mere bure waqt me sab mujhko hi sataayenge
ab to rishto par se bharosa hi uth chuka hai
rab mera mujh se ruth chuka hai
acche waqt me ajanabee bhi kam aata hai
bure waqt me saaya bhi sath chod jata hai
kaisa hai ye duniya ka dastoor
... jaha paisa kar deta hai apno ko apno se dur
hum to mar kar bhi sath nibhayenge
bhale hi sab hame bhul jayenge
Aaj mai sach me rishto se bahut garib ho chuka hu
Pehle se aur jada maut k karib ho chuka hu
ab to jine ki khwaish hi nahi rahi
aaj tak maine rishto ki khatir hi ye jindagi hai sahi
vo zindagi jindagi hi kya jo dusro k liye na ji jaye
vo jindagi jindagi hi kya jisme hame rishte na ho koi
kamaaye
pata nai mera kaun sa sher aap aakhiri bar padh rahe
honge
jab hum jite ji mar rahe honge
fir b agar iss duniya me kisi ko meri jarurat ho to mujhe
bataye
zindagi jine ka kash koi maksad to dikhaye...
From DARD KA AAALAM
Written by ABHAY SHUKLA

Mujhe apko aaj kuch batana tha


bahut saal pehle ek gujaraa hua zamaana tha
jaha maa ki loriyaa aur pariyo ka khajaana tha
nani jab ruth jaye tab unko manaana tha
na koi fikr thi, na koi pareshani
bas khushiyo se bhari thi zindagaani
tab iss duniya ki mujhe pehchaan na thi
zindagi do pal ki mehmaan na thi
na jane itni jaldi waqt kaise gujar gaya
... jindagi jine ke naam se hi mai dar gaya
kaash koi mujhe vo bite din dilaa de
meri jindagi se mujhe koi to milwa de
pehle to waqt gujarta tha ab to vo bhi tham gaya hai
mera khoon jaise dil me jam gaya hai
saans to le raha hu lekin dil me dhadkan na rahi
koi iss dil me apni jagah banaaye to sahi
kisi ke aane se shayad jindagi me aa jaye bahaar
bas yehi dua karta hu ab to din raat bar-bar
kaise samajhau kuch samajh nahi aata
tanhaayi ka dard hai mujhko bahut sataata
maine jo din dekhe unn ko mai chaah kar bhi bata nahi
sakta
zindagi k dard ko dil se hataa nahi sakta...
FROM
Dard Ka Aalam
Written By
ABHAY SHUKLA

From DARD KA AALAM written by ABHAY SHUKLA


Aaj ek aur zindagi ki ek aisi raat aayi hai
Jo apne sath aansuo ki barsaat laayi hai
na jane kyo raah-e-zindagi me aise mukaam aate hain
jaha insaan ke sirf aansu hi kaam aate hai
kyo ho jate hain hum apno se dur
kyo ho jate hain hum marne par majbur
Kyo kisi ko wafa ke badle wafa nahi milti
vo bhi jab na ki ho humne koi galti
dusro ka nahi pata lekin muj...hse aisi kya galti ho gayi thi
jab mujhe pata chala vo meri hokar bhi meri nahi thi
humne to hamesha uske aansuo ko piya tha
uske dard ko apna dard bana liya tha
fir bhi vo hame samajh na paayi
kyo usne meri yaado ki chita jalaayi
vo pyar se kehti to mai uski khatir zehar bhi pee leta
uski khatir uska naukar bankar saari umra jee leta
lekin mere bure wart me usne mujhe akela kyo chod diya
meri jindagi ki raah ko maut ki taraf kyo mod diya
kya mere inn sawalo ka kisi ke pass jawab hai
kya kisi ke pass meri tarah tuta hua khwab hai
kya koi meri tarah mar raha hai
jindgi jine ko aise hi dar raha hai??
PLZ ANSWER ME...

From DARD KA AALAM by ABHAY SHUKLA


Live 4 The Lives
Not 4 Life...
Kabhi kabhi zindagi me ek aisi bhi raat aati hai
jo apne sath maut ki saugaat laati hai
jaha koi nahi hota hamara
mita jata hai humare jine ka har sahara
hamare aansu waqt ki dhup me kahi sukh se jate hai
fir bhi hum apne dil ko dhadkata hua paate hain
kaisa hai ye dil jo apno ke liye dhadkata hai
... aur kaise hain ye apne jinki aankho me hamara saaya
tak khatakta hai
zindagi jine ka maza to dusro ke liye aata hai
jinse hamara insaniyat ka anmol naata hai
vo zindagi zindagi hi kya jo dusro ke liye na ji jaye
vo zindagi zindagi hi kya jisme humne rishte na ho koi
kamaaye
kabhi kabhi jab humare apne nahi rehte apne
toot kar bikhar jate hai humare saare sapne
tab rishto ka ehsaas dil se mar jata hai
jindagi jine ke naam se hi ye dil dar jata hai
kisi ne to meri surat apne dil me basai hoti
maine uske sath apni ek alag duniya banai hoti
door kahi vaadiyo me apna aashiya hota
mai iss kadar ghut ghut kar apna chain-o-sukoon na
khota...

CREATED 4 MY HEART BREAKER from DARD


KA AALAM
Agar kisi ko mere dard se dard hota hai
agar koi meri bechainy se apna chain-sukoon
khota hai
to ae-khuda meri jindagi k badle uski
ekshaam de de
jo kisi ko na diya ho mujhe vo inaam de de
pata to chale ki jine ki vajah iss duniya me aur
bhi hai
dosti aur rishto k iss duniya me daur bhi hai
kahi bina jane humari jindagi na gujar jaye
kisi ne do pal aan...su mere liye the kabi
bahaye
karz lauta kar sabka sabko chodkar jaunga
iss hi bahaane kam se kam shayad kisi kdil
me to bas jaunga
jite ji to kisi ne hame apne dil me na basaya
tha
rulaya to sabne,lekin kisi ne na hasaya tha
jo kuch maine kaha ye mere dil ka bayaan tha

apko apne dil ke dard ka aalam ko samjhane


ka paigam tha...

Destiny OR Destination?
(Based on Misfortunate Person)
A question to all my dear readers that what ever happens in any
ones life, that is our DESTINY or our DESTINATION?
Bud to A Rose
Gardener for a Rose
Sunlight on Rose
Begining of endless night
Rose lost in Darkness
Sunflower from Rose
...
A boy who have taken birth BY MISTAKE...
A boy who was all ALONE when he was not knowing the meaning
of the word 'ALONE'...
A boy who have not tasted his MOTHER'S MILK...
A boy who was not able to know WHO IS FATHER? for him...
A boy who was STRANGER in his own home...
A boy whose CHILD HOOD was GRABED by his own world...
A boy who was bound to see his MOTHER CRYING...
A boy whose mind has been bound to influenced by VOILENCE...
A boy who has lost his SCHOOL DAYS...
A boy who has lost his LOVE...

IS THAT ALL WAS MY DESTINY 'OR' MY DESTINATION???


It was always a question for me and may be stays continues for
ever....
Written By
Abhay Shukla

Intoduction
The Novel you have choosen is based on true events & feelings
and all characters described inside are real and existing.
This Novel is completely filled up with emotional sentiments of a
Simple person who was hunted by his own life and world which
tends to rise up many question, but the biggest and important
question in accordance with his life was WHAT EVER HAPPENED
IN MY LIFE, DOES IT WAS MY DESTINY OR MY DESTINATION?
First Of all, I would like to thanks to all my dear readers for
reading and purchasing my HEART-MADE CREATION and hope that
you will be able to read the ink of pain and emotions from which I
have written this
The best way to understand my emotions is to wipe out my tears
of blood by feeling the sensation of my bio-rethyme,my creation
Destiny OR Destination?
If you want to feel any ones feelings by hearing or reading any
wordings then you should place yourself instead of writer/speaker
which will lead you to suffer through that track of life of
writer/speaker by which writer/speaker inspired to convey his/her
thoughts
I have choosen the name DESTINY OR DESTINATION because this
name is perfectly suitable for the main theme of my life which has
bound me to ask for an answer to all my readers that, WHAT EVER
HAPPENED IN MY LIFE, DOES IT WAS MY DESTINY OR MY

DESTINATION?
I am glad to know that you have choosen my creation as your
desirable choice to read and I am 100% sure that by reading it
you will be able to know about the deepness & emptyness of life
which will bound you to get lost in your imagination and will flow
you away in your ocean of emotions.
Thanking you for choosing me
Abhay Shukla

Aknowledgement
Welcome to my unfortunate world of my misfortunate Destiny &
Destination.
You are going to read a heart-made creation Destiny OR
Destination based on a true life of misfortunate person named
Abhay Shukla with true & actual emotions,sentiments and
feelings.
As we know that life begins in Mothers stomach so I have also
started the life of my Novel Destiny OR Destination with the
begining of my mother Mrs. Aparna Shuklas unfortunate life
which later on gave rise to a birth by mistake and the begining of
endless night.
I also want to dedicate this to my father,my family and my love
who has given me a hell to live which leads to be trapped in a
world like grave and given me blood of tears just because of
which I have got a golden chance to get inspired from my pain
and got ability to share my feelings with you with droping my ink
of emotions mixed with my tears in the face of words in my heartmade creation Destiny OR Destination.
I hope that you will be able to feel the revenge taken by my
Destiny or Destination with me by getting lost in my heart-written

wordings.
Please give me your response that did you like my novel or not
and share your feelings while reading and after reading, you can
also ask any questions related to this novel.
But you must answer me that what ever happened in my life, that
is our DESTINY or our DESTINATION? by giving me a quick & short
reply through my contact details in the last of my novel.
Your feedback is very important to me
Thanks a lot for giving me your precious time
Abhay Shukla
FOR MORE GO TO...
Abhay Shukla's official page of facebook:
www.facebook.com/dardkaaalam
OR
To read shaayaries and novel updates of Abhay Shukla, Download
this Android App of Abhay Shuklahttp://www.appsgeyser.com/1455783
(Application created by Abhay Shukla)

You might also like