Her Ek Baat Pe Kehty Ho Tum-Mirza Ghalib

You might also like

Download as doc
Download as doc
You are on page 1of 1

Her ek baat pe Kehty ho tu..

k tu kia hai 
Tumhin kaho k yeh andaaz-e-guftagu kia hai 

Na sholey mein yeh karishma na barq mein yeh adaa 


koi batao k woh shokh-e-tundakhu kia hai 

Yeh Rashk hai ki woh hota hai hamsukhan hum se 


Wagarna khauf-e-bud aamozii-e-ad kia hai 

Chipak raha hai badan par lahuu se pairahan 


hamai jeb ko an haajat-e-rafu kia hai 

Jala hai jism jahaan dil bhi jal gaya hoga 


kuredte ho joh ab raakh justaju kya hai 

Ragon mein daudate phirane ke hum nahin qaayal 


jab aankh hi se na tapaka toh phir lahu kya hai 

Woh cheez jiske liye humko ho bahisht azeez 


siva e baadaa-e-gulfaam-e-mushkabu kya hai 

Piyoon sharaab agar khum bhi dekhloon do chaar 


yeh sheesha-o-qadaah-o-kooza-o-subu kya hai 

Rahi na taaqat-e-guftaar Aur agar.. ho bhi


tou kis ummeed pe kahain k aarzoo kya hai 

Bana hai shah ka musaahib, phire hai itraata 


vagarna shahar mein "Ghalib" ki aabroo kya hai

You might also like