Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 3

Khade hokar paani peena jayaz Hai, haraam nahi hai

: Hazrat Ali(ra) baab ar rahaba par aaye, waha khade hokar paani piya aur farmaya - "kuch log khade
hokar paani peene ko na pasand karte Hai lekin Maine Nabi (saw) ko isi Tarah karte hue dekha Hai,
jaise aap logo NE mujhe karte hue dekha.
(sahih AL bukhari - 5615)
Ek aur hadees me ye alfaaz Hai -" Agar Mai khade hokar peeta hu to isliye ke Maine Aap (saw) ko
khade hokar Peete hue dekha Hai aur agar bait Kar peeta hu to isliye ke Maine Aap (saw) ko bait Kar
Peete hue dekha Hai.
(musnad Ahmed, hadees no - 795,Hasan)
>> Ibn Abbas (ra) NE farmaya -........ "NABI (saw) ne khade hokar aab e zam zam piya"...
(sahih AL bukhari - 5617)
>> Abdullah ibn Amr bin al Aas (ra) farmate Hai - "Maine Nabi (saw) ko khade hokar aur bait Kar,
dono Tarah Peete hue dekha.
(Tirmizi - 1883, Hasan)
>> Ammi Ayesha (ra) farmati Hai - "Nabi (saw) ko khade aur baithe dono haalato me Peete hue
dekha..
(Nasai - 1362, Hasan)
>> Hazrat Anas (ra) farmate Hai -"........ Allah ke Rasool (saw) khade hokar maskeeze (thiliya) ke
mooh se paani piye.........
(musnad Ahmed 6/431,Hasan)
Sahaba (ra) ka amal is masle par >>Abdullah ibn Umar (ra) farmate Hai - "Yaqinan hum (Sahaba ki jamat) Rasool Allah (saw) ke
zamaane me khade hokar pee lete aur chalte hue kha lete.
(musnad at tiyalisi - 1904, Hasan)
>> Abu Jafar(ru) kahte Hai Maine Abu ibn Umar ko khade hokar Peete hue dekha.
(mussanaf ibn abi shaiba 2/926, sahih)
>> Amr bin Abdullah (ru) kahte Hai - Abdullah bin Zubair (ra) khade hokar pee lete.
(mussanaf ibn abi shaiba 2 /926, sahih)
>> Syedna Abu Bakara (ra) khade hokar paani piye.
(al tarikh al kabir of imam bukhari 2/354, hasan)
>> Syedna Ali (ra) khade hokar paani piye aur logo ko bataya ke aisa amal Nabi (saw) se saabit Hai.

(sahih al bukhari - 5615)

Tabeyin (ru) bhi khade hokar paani pee Liya karte the.
>>... Salem (ru) ko khade hokar peete dekha (mussanaf ibn abi shaiba 8/203, hasan)
>>Tawoos (ru) aur Saeed bin jubair (ru) se khade hokar peene ke mutalluq pucha gaya to unhone
isme koi harj khayal nahi Kiya.
(mussanaf ibn abi shaiba 8/204,sahih)
>> Ibrahim Nakhi (ru) ne farmaya - chahe tu khade hokar pee ya chahe bait Kar.
(mussanaf ibn abi shaiba 8/203, Hasan)
Imam Mohammed (student of imam Abu hanifa (ru) kahte Hai - "hum khade hokar peene me koi harj
mahsoos nahi karte. Imam Abu hanifa aur humare aksar fuqaha ka yahi qaul Hai.
(muwatta imam mohammad, pg-375)
In hadeeso se aur sahaba wa tabeyin wa imamo ke amal se ye baat waaze hogayi Hai ke khade
hokar paani peena jayaz Hai, haram nahi Hai. Par baith Kar peena afzal aur behtar Hai.
**Note - Jin hadeeso Me Allah ke Rasool (saw) NE khade hokar paani peene se mana Kiya hai ya logo
ko daanta Hai ya unlogo ko ulti karne ko kaha Hai to ye hukm ya to mansookh hogaya Hai ya fir ye
hukm makrooh tanzihi Hai.
**Imam behqi (ru) in hadeeso ke baare me farmate Hai"ya to ye mumaniyat tanzihi Hai ya phir tahrimi Hai jo baad me mansookh hogaya.
(as sunan al kubra al behqi 7/282)
** Abdul Hayi lucknawi, hanfi farmate Hai "is masle me haq baat wahi Hai jo imam behqi, nowawi, mulla Ali qari, sweti wagaira ne zikr kiya Hai,
ke ye mumaniyat tanzihi hai aur Aap (saw) ka khade hokar peena jawaz ke liye Tha.
(at taaliq al mamjud al muwatta mohammad, pg375)
** Kuch log kahte Hai ke khade hokar sirf aab e zam zam hi pee sakte Hai aur koi chiz nahi , unka ye
qaul salaf us salehin ke amal aur faham ke khilaaf hone ke wajah se galat Hai.
**makrooh tanzihi - aisa kaam jiska na karna behtar Hai, Aur karne par koi gunah nahi.
Makrooh tahrimi - wo kaam jiske karne par gunah ho.. Ye almost haram ke barabar hai
And Allah knows best
Tahqiq done by - ibn al Hasan mohammadi
Source : As Sunnah magazine no - 67,68)

Typed by- Alqamar ibn Entakhab

You might also like