Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 11

:::::::::::: NIKAH KE TALLUQ SE KUCH AHEM BAATE :

Aurat ko nikah ka paigam aur daawat dena aur baat cheet ke bad
Shaadi ka ahad karna aur shaadi ki baat pukhta karlena mangni kahlata
-hai
Mangni azdawaji zindagi ki pahli seedhi hai-ye pahla qadam soch samajh
,kar aur danish mandi se uthana chahiye
Q k yaha se hi zindagi ki buniyad padhti hai,aur azdawaji zindagi ki
buniyad mangni hi hai,is marhale me ladki aur ladka ka intekhab karte
hai,aur ek doosre ko pasand karte hai,is marhale me jo intekhab hojata hai
fir us intekhab ko nikah ke zariye rishta azdawaj me munsalik kardiya
.jaata hai
.
Azdawaji zindagi ki kamiyabi ka inhesar is pahle qadam par hota hai,isliye
zaroori hai ke ye qadam bade soch samajh kar chhan been karke ladke
aur ladki ki zahni ham aahingi ko dekhte huwe uthana chahiye,isme kisi
.qism ki jald baazi se kaam nahi lena chahiye
.
Zindagi ka pahla zeena ye hai ke mard apne liye kisi aisi aurat ka intekhab
kare jo nek,pak ba saleeqa shaar ,taleem yafta aur husn-e akhlaq wali
ho,aur mard ko aurat ki soorat par seerat ko tarjeeh dena chahiye,aur
aurat ko aise khawind ka intekhab karna chahiye jo deen par amal karne
wala ho aur akhlaq-e husna ka malik ho,taaleem yafta ho aql mand aur
samjhdar ho
.
Hadees pak me huzoor salllahu alaih wasallam ne ne irshad farmaya ke
jab tumhare pas koi aisa shakhs nikah ka paigam bhejhe jiske deen aur
akhlaq se tum razi ho to us se nikah kara do,agar aisa na karo ge to
.zameen me fitna aur lamba chauda fasad ronuma hoga
.
ALLAHU akbar
.
?Ek aur hadees-e pak me hai
Hazrat abu huraira radiallahu anh se riwayat hai ke nabi kareem sallallahu
alaih wasallam ne farmaya ke kisi aurat se char cheezon ki wajah se nikah
kiya jata hai,uske husn-o jamal ki wajah se aur uske hasb-o nasb ki wajah
se aur uske deen ki wajah se,lekin dekho tum deen wali aurat se nikah
.karna
.
Afsos sad afsos aaj kal aksar log ye sab nahi dekhte balke ye dekhte hai
,ke ladki wale yaa ladke wale kitne maaldar hai
Aur ladke walao ka to jawab hi nahi hota ladke walon ka to yahi kahna
hota hai ke mujhe ladki haseen-o jameel ke saath saath daulat bhi milni
, chahiye,tarah tarah ki mange ki jaati hai jahez k naam per
Bechara ladki ka baap rat ki tanhayee me apne aansu baha baha ke
.zindagi basar karta hai
Kya hamne kabhi socha is bat ko ek din hamare saath bhi yahi ho sakta

?? .hai ??,hame bhi bari aasakti hai


.Tab ehsas hoga
Isliye mere doston aap sabse meri ilteja hai aaj se ahad karle ham sab ke
apni zindagi ko khush gawar banayen ge aur apne nikah me nek seeerat
.ba akhlaq ba kirdar ladki ko layen ge aur jahez ki mang nahi karenge
(in shaa ALLAH)
.
.
Ek aham bat ye hai ke , mangni ya nikah karne se pahle ladki ko dekhlene
,,me koi harj nahi hai balke zaroor dekh lena chahiye

:Hadees shareef me hai Nikaah Se Pehle Ladki ko Dekhna


Hazrath Muhammad Salama Kehte Hai Ki Maine Ek Aurat Ko Nikah Ka
,Paighaam Diya
Mai Use Dekhne K Liye Us K Baagh Me Chhup Kar Jaya Karta Tha Yahan
Tak Ki Maine Use Dekh Liya Kisi Ne Kaha
Aap Aisi Harkat Kyu Karte Hai Halanki Aap Huzoor K Sahabi Hai, To Maine
Kaha Huzoor Ne Irshaad Farmaya
Jab Allah Ta'ala Kisi K Dil Me Kisi Aurat Se Nikah Ki Khwahish Daale Aur "
.Wo Use Paighaam De To Us Ki Jaanib Dekhne Me Koi Harj Nahi
Ibne Maja Vol: 01, Page: 523 , Baab No: 597 , Hadees No: 1931<
Yaha se ye baath sabit hui k nikah se pahle ladki ko ek nazar dekhlena jaiz
,hai
ye ajeeb bat hai ke jinki shaadi honi hai aur dono ne ek doosre ka bistar
banna hai aur jinhon ne ek saath zindagi basar karni hai unka ek doosre
ko dikha na, ek doosre ko pasand karna bahut mayoob tasawwur kiya jata
hai aur unko ek doosre se milne ki ijazat nahi dijati,jo ke islam ki
.taaleemat ke bilkul khilaf hai
::::Nikah Meri Sunnat hai
Noor-E-Mujassam, Rasool-E-Khuda, Habeeb-E-Kibriya,Nabi-E-Rehmat,
Shafa-E-Mehshar, Fakhar-E-Do aalam, Fakhar-E-Bani-E-Aadam, Malik-E-Do
Jahan, Khatmul Ambiya, Rehmatallil Aalamin, Tajdare Madina Rahat-EKalbo Sina, Janabe Ahmade Mujtaba, Muhammad Mustafa Sallalaho Alayhi
:Wasallam ne irshad farmaya
"Nikah Meri Sunnat Hai"
(Ibne Maja, Jild 1, Hadees no 1913, Safa 518)
:ALLAH Rabbul izzat irshad farmata hai
"Aur Nikah me lao jo aurate tumhe khush aaye"
(Tarjuma: Kanzul iman, Para 4, Surah Nisa, Aayat 3)

Hazrate Sahal bin sa'ad Radiallahu anhu se riwayat hai ke Nabi-E-kareem


:Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Nikah karo chahe (Meher dene ke liye) Ek Lohe ki Anguthi hi ho"
(Bukhari sharif, Jild 3, Safa 80, Hadees no 136 )
:Aur irshad farmate he Pyare Aaqa Sallalahu Alayhi Wasallam
Bande ne jab Nikah kar liya to Aadha Deen Mukammal ho jata hai"
"Ab baki aadhe ke liye ALLAH Ta'ala se daro
(Mishkat sharif, Jild 2, Hadees no 2962, Safa 72)
Hazrat Abdullah Bin Masud Radiallahu Ta'ala Anho Se Riwayat hai ke
:Sarkar Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Aye Jawano Jo tum me se Aurato ke Hukooq (Haq) ada karne ki takat "
rakhta hai
To wo Nikah zarur kare Kyunki Nikah Nigah Ko jukata hai
Aur Sharmgah ki hifazat karta hai aur Jo iski takat na rakhe to woh Roza
Rakhe Kyunki ye Shahwat Ko kam karta hai
(Bukhari sharif, Jild 3, Safa 52, Tirmizi sharif, Jild 1, Safa, 533 )
,..Jazakh ALLAH

Nikah Ka Maqsad Aur Mafhoom


(Mohammad Mubeen, Karachi)

(Yeh Mazmoon Me Ne Aik Islami Akhbar Me Perha Tha Mujhe Pasand Aya To Socha K Isay
Mazeed Logon Tak Pohanchana Chahiye)
ALHAMDULILLAH! Bohat Sare Musalman NIKAH K Asal Mafhoom Aur Maqsad Ko Samajh
Chuke Hain Aur Woh Apni Garden Se In Zalimana Aur Jahilana Rasoomat Ka Toaq Utarna
Chahte Hain, Jinhoan Ne Hamara Maashre Ki Khushyoan Ko Gham Mein Aur Hamari
Nekyoan Ko Buraiyoan Mein Badal Akha Hai.
NIKAH ALLAH TABARAK WA TAALA Ka Hukum HUZOOR E AKRAM SALLALLAHO ALAIHI
WASALLAM Ki Sunnat Or Insan Ki Ahem Tareen Zaroorat Hai. Deen E Islam Ne Insani
Maashray Ko Mehfooz Or Pak Banana K Liye NIKAH Ka Behtreen Asan Or Sada Tareeqa
Insanyat Ko Ata Fermaya Hai, Lekin Aaj Aksar Musalmanoan Ne NIKAH Ko Aik Wabal
Musibat Or Tijarat Bana Dia Hai Or NIKAH K Pakeeza Chashme Me Gandi Rasoomat Ki

Ghalazat Ko Daal Dia Hai, Chunancha Aaj Har Taraf Be Hayai K Woh Dilsoaz Manazir
Nazar Aa Rahe Hain Jinhain Dekh Ker Janwar Bhi Sharam Mehsoos Kerte Hoan Gay.
Maloom Nahin Kitni Bachyan Shadi K Intizar Me Boorhi Ho Rahi Hain Or Inki Pakeeza
Aahain Gharoan K Sukoon Ko Barbad Ker Rahi Hain? Malooom Nahin Kitne Nojawan,
Khoobsurat Or Pakeeza Bandhan K Intizar Me Ghalat Or Be Haya Maashre K Hathoan
Apna Bohat Kuch Ganwa Bethe Hain? Malooom Nahin Kitne Waldain Apni Bachyoan Ko
Nojawan Hota Dekh Ker Ratoan Ko Rote Hain Ya Masjidoan Me Bheek Mangne K Liye
Hath Phelate Hain Ya Kafiroan K Mulkoan Me Ja Ker Apna IMAN Khatre Me Daal Ker
Mazdoorian Kerte Hain? Yeh Sab Khuli Aankhoan Se Dekhne Or Subah Sham Jhelne K
Bawajood Koi Yeh Nahin Sochta:
(1) Aakhir NIKAH K Liye Card Chapwane Ki Kia Zaroorat Hai? Kia Masjid Ka Aelan Kafi
Nahin?
(2) Aakhir Bhari Barhkam Jahez Hi Ko Nikah Ki Shart Kiyoon Qarar De Dia Gaya Hai? Kia
Pakdaman Musalman Bachi Bagher Jahez Ki Rishwat K Kisi Ghar Ko Abad Nahin Kar
Sakti?
(3) Ager Istitaat Nahin Hai To Phir Bahri Bharkam Waleemay Ki Kia Zaroorat Hai? Kia
HUZOOR E AKRAM SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM Ne Sirf Aik Bakri Or Baz Auqat
Mehmanoan K Apne Gharoan Se Laye Huay Khane Se Waleema Nahin Fermaya?
(4) Larki K Ghar Larke Waloan Ka Poora Mela Laga Ker Jane Or Wahan Khana Khane Ki
Kia Zaroorat Hai? Kia Sunnat K Mutabiq Larki Ka Walid Khud Apni Bachi Ko Doolha K
Ghar Nahin Pohncha Sakta?
(5) Kia Hamari Rishte Daryan Itni Kamzor Hain Keh Ager Shadi K Moqe Per Qarze Le Ker
Poori Bradri Ka Pait Na Bhara Jae Tou Rishte Daryan Khatre Me Per Jati Hain? Kia Rishte
Daryan Rehmat Hain Ya Wabal?
(6) Shadi K Moqay Per Tamam Rishte Daron Ka Jama Hona, Door Daraz Ilaqoan Se Ana
Aakhir Kiyoon Zaroori Hai? Kia Is K Bagher NIKAH Nahin Ho Sakta? Kia Is K Bagher
Khushi Hasil Nahin Ki Ja Sakti? Kia In Mawaqi K Ilawa Rishtedar Aik Doosre Se Nahin Mil
Sakte?
KASH! Musalman In Umoor Per Ghoar Karen Tou Inhain Bohat Sari Musibatoan Se
Chutkara Mil Jaye Or Cinemaoan, Dawa Khanoan Or Sarkoan Per Darindoan Ki Tarah
Aankhian Phar Ker Phirne Wale Kitne Nojawan Sukoon Ki Zindagi Guzarne Lagen, Lekin
Aaj Tou Poora Mahol Hi Badal Chuka Hai, Jahez K Saanp Nay Lakhoan Jawanyoan Ko
Nigal Lia Hai Or Rishte Daroan Ki Naak Ne Lakhoan Bachyoan K Mustaqbil Ko Tareek Ker
Dia Hai. In Halat Me Agar NIKAH K Asal Mafhoom Ko Samjhane Ki Koshish Ki Jaey Or
Logon Ko Bataya Jaey Keh:
(1) NIKAH K Liye Yeh Tamam Paper Belny Ki Zaroorat Nahin Hai.
(2) Aur Behtreen NIKAH Who Hota Hai Jisme Kharch Kam Kia Gaya Ho.
(3) Aur HUZOOR E AKRAM SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM Apni Majlis Me Bethe Bethe
Ghareeb SAHABA Ka NIKAH Kara Dete They Aur Waheen Se Rukhsati Bhi Ho Jati Thi.
(4) Aur Baaz SAHABA E KARAM Ne Apnay NIKAH Ki Itla HUZOOR E AKRAM SALLALLAHO
ALAIHI WASALLAM Tak Ko Nahin Di.
(5) Aur HUZOOR E AKRAM SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM, SAHABA E KARAM Aur
Tabaeen Ka Mamool Tha Keh Larki Ko Is K Walid Ya Bhai Khud Doolha K Ghar Chhoar
Atey They.

(6) HUZOOR E AKRAM SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM K Zamane Me NIKAH 2 Rakat


Namaz Perhne Ki Tarah Asan Tha Aur Is K Liye Mahinoan Pehle Tayyari Aur Mahinoan
Baad Tak Qarze Ki Musibat Nahin Jheelni Perti Thi.
Tou Yeh Saari Batain Sun Ker Akser Loag Manne Ki Bajaye Yeh Jawab Dete Hain:
(1) Aap Loag Koi Naya Islam Laey Hain, Ham Tou Baron Se Yahi Kuch Dekhte Aye Hain.
(2) Bare Bare Ulma Bhi Tou Bari Shano Shokat K Sath Apne Bachon Aur Bachyoan Ki
Shadi Kerte Hain. Kia Aap Logon K Paas In Se Ziada Ilm Hai?
(3) Hum Ager Apki Baat Maan Lain Tou Sari Zindagi Bradri Ko Kia Munh Dikhaenge?
Aap Khud Ghoar Fermaiye Keh Mazkoora Bala Batain Waqai Uzar Hain Ya Mahez Bahane?
Haqiqat Yeh Hai Keh Aaj Ghareeb Gharanoan Ki Halat Ko Qareeb Se Dekha Jaey Tou Dil
Phatta Hai Aur Ander Se Awaz Aati Hai Keh Yeh Baten Sirf Aur Sirf Shetani Bahane Hain
Jin Me Phans Ker Musalman Khud Ko Barbad Kerne Pe Tule Huay Hain. YA ALLAH Too Hi
Ham Per Raham Ferma Aur HUZOOR E AKRAM SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM Ki
Ummat Ko Deen Ki Samajh Ata Ferma.
Aaj Ham Ne Ager Apni Bachyoan Ko Ghalt Rasoomat Ki Wajah Se Ghar Bithaya Aur
Himmat Ker K Inka Ghar Nahin Basaya Tou In Mein Se Bohat Sari Bachyan Ngos K Makr
O Fareb Ka Shikar Ho Jayengi Aur Bohat Sari Apni Rozi Roti Kamane Ki Fiker Me Apni
Gharelo Zindagi Barbad Ker Bethengi Aur Bohat Sari Un Rahoan Per Chal Niklengi Jahan
Unko Dekhna Aik Mualman K Bus Ki Bat Nahin Hai, Jab Keh Bohat Sari Ander Hi Ander
Ghut Ker Tarah Tarah Ki Bemaryoan Ka Shikar Ho Jayengi.
AE MUSALMANO! ALLAH TAALA Gawah Hai Keh NIKAH K Liye Zewrat, Barat Naam Ki
Musibat, Aali Shan Makanoan Aur Rishte Daroan K Ijtamaat Ki Koi Zarooorat Nahin Hai,
Balkeh Aaj K Dard Naak Halat Ko Dekhte Huay Tou Aesa Mehsoos Hota Hai Keh NIKAH K
Bohat Sare Mubah Akhrajat Bhi Band Ker Dene Chahiyain Ta Keh Hamara Maashra
Ghareeboan K Saans Lene K Qabil Bhi Ban Sake.
AE MUSALMANO! Kia Aap Apne Bachoan Ko FILM, Colour TV, Be Hayai Se Bhare
Literature Aur Tarah Tarah Ki Bemaryan Dene K Bajaey Aik Pak Daman Ba Hay Biwi
Nahin De Sakte.
AE MUSALMANO! Kia Aap Apni Pyari Bachyoan Ko Gande Akhbar, Haya Soaz Novel,
Uryan Filmain Aur Mardoan K Dermiyan Nokryan Dene K Bajaye Usay Aik Jawanmard,
Shareef Aur Mazboot Shohar Nahin De Sakte.
SOCHYE! Khudara Thora Sa Sochye Keh Aaj Buraiyan Kis Tarah Se Gharoan Per Dastak
De Rahi Hain? Ager Aap Me Himmat Hai Tou Phir Apne Bachoan Aur Bachyoan K Takyoan
K Neechy Rakhe Huay Novels Per Aik Nazar Daliye Keh Kitna Khatarnak Zaher Is Nai
Nasal K Dilon Me Undela Ja Raha Hai? Kuch Din Pehle Aik Novel Dekhne Ka Ittifaq Hua
Jisay Perh Ker Aankhoan K Samne Andhera Cha Gaya. Jee Haan! In Ghaleez Novels Me
Behnoan Ko Bhaiyoan K Sath Munh Kala Kerne Ki Tergheeb Di Gai Hai Aur Is Ganday Or
Qayamat Khez Gunah Ki Manzar Kashi Bhi Ki Gai Hai.
YA ALLAH! Hamre Nojawan Bhai Aur Behan Kahan Jayen? In K Bare Bagher Zewar, Jahez
Aur Dawatoan K Inhain Shadi K Muqaddas Bandhan Mein Nahin Jortay Jab Keh Iman
Farosh Loag Gande Novels, Gandi Websites Aur Ghaleez Films K Zareae In K Iman Per
Daka Maar Rahe Hain.
Is Poore Cancer Ka Ilaj Tou JIHAD K Zareae Qaim Hone Wali Islami Hukoomat Hi Ker
Sakti Hai Albatta Filhal Hamare Liye Zaroori Hai K Hum:

(1) Soorat E Haal Ki Sangeeni Ka Andaza Lagayen.


(2) Jahan Tak Mumkin Ho Sake NIKAH K Muamle Ko Asan Aur Sada Banayen.
(3) Aur Hum Mein Se Sahib E Hesyat Loag As Silsile Mein Pahel Ka Aelan Karen.
(4) Aur Her Nojawan Khul Ker Yeh Aelan Kare Keh Mein Hergiz Hergiz Jahez Nahin
Loonga, Balkeh Khud Kama Ker Biwi Ka Zaroori Saman Poora Karoonga.
(5) Aur Rishtedar Tanay Dene K Bajaye Taawun Ka Tarz Ikhtiar Karen, Jab INSHAALLAH
Hamain Aasman Se Barkatain Utarti Hui Nazar Ayengi.
ALLAH TAALA Tamam Musalmanoan Ko Deen Ki Sahi Samajh Ata Fermaye Aur Deen Per
Chalna Asan Fermaye. (Aameen)






:







:!
:

:


!


: !


:

-

:!







:






/








: :


:

-






:







-

:
!

:

:

:
:




:

:





Luxury Life







:




:


: :














:




















:





:

You might also like