Masla 20 Rakat Traveeh Importetnt

You might also like

Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 9

Maslae Taraweeh Aur Saaib (raziallahu anhu) Se Marwi

20 Rakat Waali Hadees Per Aitrazaat Ke Jawaabaat (Part


I)
Posted on May 7, 2014 by Al-Islam

Bismillaahir Rahmaanir Raheem (07-05-2014)


Sanad (Chain): Abu Tahir Al-Faqeeh Abu Usman
Al-Basri Abu Ahmed Muhammad bin Abdul
Wahhab Khalid bin Makhlad Muhammad bin
Jafar Yazeed bin Khusayfah (rahmatullahi
alaihim) Saib bin Yazeed (raziallahu tala anhu)
Matan (Text): Saib bin Yazeed (raziallahu anhu) farmaate hain ke, Hum
(Yani Sahaba-e-Kiraam wa Taabaeen ba-Jamat) Hazrat Umar (raziallahu tala
anhu) ke Zamaane me 20 Rakat (Taraweeh) aur Witr Parhte. [Muarifat AsSunan Wal Aasaar Lil Bayhaqi, Jild: 4/ Safah: 42]
Scan:

GHAIR-MUQALLIDEEN KE AITRAZAAT AUR UNKE JAWAABAAT:


Aitraaz: Ghair-Muqallid Abdur Rahman Mubarakpuri ne likha: Is rivaayat me
Ek Raavi Abu Tahir hai Jinki Nisbat Hum ko Ilm nahi ke Kisi ne Inko SIQAH
(Neik wa Deendaar) qaraar diya ho. Doosre Abu Usman hain Jinka Tazkirah
Hum ko Kisi Kitaab me Nahi mila Lihaaza Ye rivaayat ZAEEF hai. [Tuhfatul
Ahwazee]
Al-Jawaab: Ye rivayat bilkul SAHEEH hai. Kayi Muhaddiseen ne Is Hadees ko
Tasleem kiya hai ya Iski TASHEEH ki hai. Mazeid Iski 2 SHUWAHIDAAT bhi
maujood hain Jisme se ek ko Yazeed bin Khusyafah (rahimahullah) ke doosre
Shagird Ibne Abi Zib (rahimahullah) ne rivaayat kiya hai aur doosri Yazeed bin
Khusayfah (rahimahullah) ki MUTABIAT karte hue Al-Haris bin Abdur Rahman
bin Abi Zubaab (rahimahullah) ne rivaayat kiya hai.
Isi Mubarakpuri ki Andhi Taqleed me Ghair-Muqallid Ulema wa Juhala Ye
Aitraz Nasal dar Nasal naqal
karte aa rahe hain aur phir isko Khud ki Tehqeeq ya Allah wa Rasool (sallallahu
alaihi wa sallam) ki ITAAT ka Naam de kar Logon ko FAREIB dete hain.
Jab ke Mubarakpuri ne Khud Tasleem kiya hai ke, Is Hadees ki SANAD ko
Allamah Subki (rahimahullah) ne [Sharah Al-Minhaj] me aur Mullah Ali Qari
(rahimahullah) ne[Sharah Al-Muatta (Muhammad)] me SAHEEH kaha hai.
Aur SANAD ko SAHEEH kehna Us SANAD ke Har Har Raavi ki TAUSEEQ hoti
hai. Yaqeenan Allamah Subki aur Mullah Ali Qari (rahmatullahi alaihim) ke
nazdeek Abu Tahir Al-Faqeeh aur Abu Usman Al-Basri (rahmatullahi alaihim) ki
Tauseeq saabit hai isliye Unhoney Is Hadees ki Sanad ko SAHIH kaha hai.
ABU TAHIR MUHAMMAD BIN MUHAMMAD BIN MAHMISH
(RAHMATULLAHI ALAIH):
1. Allamah Zehbi aur Hafiz Ibnul Imaad (rahimahullah) inke baare me likhte
hain: Ye Naysabur ke Aalim aur Musnid the aur Dunya se Qinaat karne waale
aur Paak Daman Shafai Al-Maslak Faqeeha the. Imam Haakim (rahimahullah)
ne inse ba-wajood Mutqaddim hone ke rivaayat ki hai aur Unki Tareef bhi ki
hai. [Al-Ibar Liz Zehbi Jild:2/ Safah: 218, 219; Shuzraat Az-Zahab Li
Ibnul Imaad 3/192]
2. Allamah Subki (rahimahullah) farmaate hain: Faqeeha Sheikh Abu Tahir
Ziyaadi apne Zamaane ke Naysabur Shehar ke Tamaam Muhaddiseen aur
Fuqaha ke Imaam the aur wo Sheikh, Adeeb aur Arabi Zuban ke Aalim the.

Naysabur shehar ke Tamaam Fuqaha ne Fatwa Nuweisi aur Buzrugi Unko Sounp
di thi. [Tabqaat Ash-Shafiyah Al-Kubra 4/198]
3. Allamah Subki (rahimahullah) Abdul Ghafir (rahimahullah) se Inke baare me
Naqal karte hain: Wo poore Khurasan ke Bil-Ittifaq aur Bila-Ikhtilaf Imaam
Ashabul Hadees aur Unke FAQEEH the. [Kitabul Siyaaq Li-Tareekh
Naysabur ba-hawala Tabqaat Ash Shafiyah Al-Kubra 4/200]
4. Abu Yala Al-Khaleeli (rahimahullah) ne likha hai: SIQAH MUTTAFAQUN
ALAIH.[Kitabul Irshad Fi Muarifah Ulema Al-Hadees 3/862]
5. Allamah Subki aur Mullah Ali Qari (rahmatullahi alaihim) dono ne Is Hadees
ki SANAD ko SAHEEH keh kar Abu Tahir (rahimahullah) ki TAUSEEQ ki hai.
Ghair-Muqallid Zubair Ali Zai ne likha hai: Rivaayat ki TASHEEH wa TEHSEEN
Uske Har Har Raavi ki TAUSEEQ hoti hai. [Muqaddamah Juz Rafayadain,
Safah:14]
Rivaayat ki Tasheeh karna Uske har har Raavi ki Tauseeq hai to phir Sanad ki
Tasheeh karna to ba-darjah oola uske har har Raavi ki Tauseeq shumaar hogi.
6. Hafiz Ibne Kaseer (rahimahullah) ne Abu Tahir (rahimahullah) se marwi Ek
Hadees ki SANAD ko JAYYID (HASAN) aur QAWI (Mazboot) kaha
hai. [Seeratun Nabawiyah, Jild: 2/ Safah: 203, Maktabah Shamelah]
7. Zia Al-Maqdasi (rahimahullah) ne (Abu Tahir Al-Faqeeh Abu Usman AlBasri) ki ek rivaayat ko Apni Kitaab me La kar In dono ki TAUSEEQ ki
hai. [Ahadees Al-Mukhtarah, Jild: 6/ Safah: 47]
Ghair-Muqallid Zubair Ali Zai ne likha hai: Ziya Al-Maqdasi ne Al-Mukhtarah
me Ye Asar la kar Apne Nazdeek iska SAHEEH hona saabit kar diya. [Tedaad
Rakat Qiyam Ramazan, Page: 23]
(Yani Ziauddin Maqdasi (rahimahullah) Kisi Hadees ko Apni Kitaab me laayein
to wo Unke Nazdeek SAHIH hoti hai).
8. Ghair-Muqallid Nasiruddin Albani ne (Abu Tahir Al-Faqeeh Abu Usman
Al-Basri) ki SANAD ki ek rivaayat ko naqal kar ke likha: Aur Iski Sanad JAYYID
hai. [Silsalatul Zaeefah, 11/786, 787]
9. Ghair-Muqallid, Abdul Jaleel Shehswani likhte hain: Abu Tahir Faqeeha
Muhammad bin Muhammad bin Mahmish Mashhoor SIQAAT me se
hain. [Fatawa Ahl-e-Hadees 1/511]

Khulaasah: Abu Tahir Al-Faqeeh ko Naysabur ke


Fuqaha wa Muhaddiseen ne Bila Ikhtilaf Apna Imam banaaya hai, Lihaaza Inki
SIQAHAT wa ADAALAT Ahl-e-Ilm ke Nazdeek Mashhoor wa Maroof hai
Kyonke Ye baat Na-Mumkin hai ke Naysabur Shehar ke Tamaam Fuqaha wa
Muhaddiseen Ek Ghair-Siqah aur Ghair-Aadil ko Apna Imaam banayein.
Allamah Nawawi Ash-Shafai (rahimahullah) Usool bayaan karte hain: Jis
Shakhs ki ADAALAT Ahl-e-Ilm me Mashhoor wa Maroof ho aur uski Tareef
Aam ho to Ye Uski Adaalat ke liye Kaafi hai. [Taqreeb Mae Tadreeb ArRaavi 1/255]
Allamah Subki (rahimahullah) aur Abdul Ghafir (rahimahullah) ne Abu Tahir
(rahimahullah) ko IMAAM aur SHEIKH ke Alfaz se Mulaqqab farmaaya hai. Aur
IMAAM wa SHEIKH Alfaaz-e-Tauseeq me se hain.
Allamah Suyooti aur Ibn Hajar (rahimahullah) ne is Lafz ko Alfaaz TAUSEEQ me
shumaar kiya hai. [Tadreeb Ar-Raavi 1/213; Sharah Nukhbatul Fikr Page
134]
Ghair-Muqallid Irshadul Haq Asri likhte hain: SHEIKH ka Lafz Alfaaz-e-Tadeel
me shumaar hota hai. [Tozeehul Kalaam 1/480, Old Edition]
Isi tarah Ghair-Muqallid Abdur Rahman Mubarakpuri aur Ghair-Muqallid Sultan
Mahmood ne lafz SHEIKH ko Alfaz-e-Tadeel me Shumaar kiya hai. [Abkarul
Minan page: 140; Istilahatul Muhaddiseen page: 21]
Allamah Sakhaavi (rahimahullah) ne Lafz IMAM ko bhi Alfaaz-e-Tadeel me
shumaar kiya hai. [Ar-Rafa Wat Takmeel, page: 13]
Aitraaz: Ghair-Muqallid Nazeer Ahmed Rehmani ne likha: Hafiz Sakhaavi
(rahimahullah) ne Jo kuch likha hai iska Mansha ye hai ke Jab Kisi Aadil ke
Haqq me Ye Alfaaz (Imaam aur Hafiz) Istemal kiye jaayenge to Us waqt Unka
Shumaar Alfaaz-e-Tauseeq me hoga. [Anwarul Masabeeh, Page: 223]
Al-Jawaab: Allamah Tajuddin Subki aur Abdul Ghafir (rahimahullah) ne Abu
Tahir (rahimahullah) ke liye Lafz SHEIKH likh kar Unki Tauseeq kar di hai, aur
Abu Yala Khaleeli (rahimahullah) ne to Sirahatan Inko SIQAH bataaya hai,
Mazeid Naysabur ke Tamaam Ahl-e-Ilm ne inko Bila-Ikhtilaaf Apna Imaam bana
kar Inki TAUSEEQ kar di hai Lihaaza Inka AADIL hona sabit ho gaya aur
Rahmani Sahab ke bataaye Usool ke muwafaq bhi Lafz IMAAM Unki Tauseeq me
hi shumaar hoga. (Fa Lillahil Hamd)
ABU USMAN AMR BIN ABDULLAH AL-BASRI (RAHMATULLAHI
ALAIH):

Awwalan: Aimma-e-Hadees wa Aimma-e-Rijaal me se Kisi ne bhi Abu Usman


Al Basri (rahimahullah) ko MAJHOOL nahi kaha hai balke Ye 14wi aur 15wi Sadi
(Yani Angreizi Daur ke bad) ki Paidawaar (Naam Nihaad) Ahl-e-Hadees hain
Jinhone Ye Bila-Daleel AITRAAZ kiya hai.
1. Iske bar-aks Tajuddin Subki, Mullah Ali Qari (rahmatullahi alaihim) ne Is
Hadees ki SANAD ko SAHEEH keh kar Abu Usman Al-Basri (rahimahullah) ki
Tauseeq ki hai.
Ghair-Muqallid Zubair Ali Zai ne likha hai: Rivaayat ki TASHEEH wa TEHSEEN
Uske Har Har Raavi ki TAUSEEQ hoti hai. [Muqaddamah Juz Rafayadain,
Page:14]
Aur Hadees ke SAHIH hone ke liye Ye SHART hai ke Uski SANAD me Koi
MAJHOOL Raavi na ho.
Chunanchah Ghair-Muqalid, Mohammad Gondolvi ne likha hai: Jis rivaayat me
MAJHOOL Raavi ho wo ZAEEF hoti hai. [Khairul Kalaam, Page: 406]
Maloom hua ke In Hazraat ke nazdeek Abu Usman Al-Basri (rahimahullah) ke
Talluq se Zaroor Tauseeq maujood thi Jiski bunyaad per Inhoney Is Hadees ko
SAHIH kaha hai.
2. Imam Bayhaqi (rahimahullah) ke Nazdeek Abu Usman Al-Basri
(rahimahullah) MAJHOOL Nahi hain balke SIQAH hain Isliye Unhone Inse
marwi Ek Hadees ki Sanad ki TASHEEH ki hai. [Sunan Al-Kubra Bayhaqi
Jild: 5/ Safah: 518, Darul Kutab Ilmiyah]
3. Imaam Bayhaqi (rahimahullah) ne doosri Jagah bhi Abu Usman Al-Basri
(rahimahullah) se marwi Ek Hadees ki Sanad ki TASHEEH ki hai. [Muarif AsSunan Wal Aasaar, Jild: 3/ Safah: 15]
4. Ziauddin Al-Maqdasi (rahimahullah) ne (Abu Tahir Al-Faqeeh Abu Usman
Al-Basri)ki SANAD ki ek rivaayat ko Apni Kitab me La kar dono ki TAUSEEQ ki
hai. [Ahadees Al-Mukhtarah 6/47]
5. Ghair-Muqallid Nasiruddin Albani ne (Abu Tahir Al-Faqeeh Abu Usman AlBasri) ki SANAD ki ek rivaayat ko naqal kar ke likha: Aur Iski Sanad JAYYID
hai. [Silsalatul Zaeefah 11/786, 787]
6. Allamah Ibn Hajar (rahimahullah) ne Abu Usman (rahimahullah) se marwi Ek
Rivayat ko HASAN kaha hai. [Al-Amali Al-Mutlaqa, Page: 77, 78,
Maktabah Al-Islami]

7. Allamah Zehbi (rahimahullah) ne Abu Usman Al-Basri (rahimahullah) ke


baare me ye Alfaaz Istemaal kiye hain: Imam, Al-Qudwah, Al-Zahid aur AlSalih. [Siyar Alaam An-Nubala, Jild: 15/ Safah: 364, 365, Muassassa
Risaalah]
Mazeid kaha ke Ye Naysabur Shehar ke MUSNID hain. [Tazkiratul Huffaaz
3/45 No. 825]
Saaniyan: Abu Usman Al-Basri (rahimahullah) se Kam se Kam 2 Raavi Abu
Tahir Al-Faqeeh aur Hasan bin Ali bin Momal rivaayat karte hain. [Sunan
Kubra Bayhaqi aur Muarifat As-Sunan Bayhaqi 3/15]
Aur Kisi Muhaddis ne Abu Usman (rahimahullah) ki TAZEEF bhi Nahi ki hai
balke Mullah Ali Qari, Tajuddin Subki, Imaam Bayhaqi, Ziauddin Al-Maqdasi,
Ibne Hajar (rahmatullahi alaihim) ke alawah Ghair-Muqallid Albani ne Abu
Usman (rahimahullah) ki rivaayat kardah ISNAAD ki TASHEEH wa TEHSEEN
kar ke Inki Tauseeq ki hai.
Usool-e-Hadees ka Ye Muttafiqah Usool hai ke, Jis Shakhs se Do Raavi rivaayat
kar dein to Uski JIHALAT Khatm ho Jati hai. Aur wo Muhaddiseen ke nazdeek
MAJHOOL Nahi rehta.
Chunanchah Hafiz Ibn Hajar Ash-Shafai (rahimahullah) likhte hain: Jis Shakhs
se sivaaye Ek Raavi ke doosra Koi Raavi rivaayat na kare aur Kisi ne Uski Tauseeq
bhi na ki ho to Uski taraf Lafz MAJHOOL se Isharah kiya Jaata
hai. [Muqaddamah Taqreeb At-Tehzeeb, Page: 3]
Isi tarah Allamah Ibn Hazam (rahimahullah) ne Jab Darqutni ke Ek Raavi ko
Majhool kaha to Un per Giraft karte hue Ghair-Muqallid Shamsul Haq
Azeemabadi likhte hain: Ye Jarah Mardood hai, Insey 3 Raavi rivaayat karte
hain. [At-Taleeq Al-Mughni 3/9]
Isi tarah Ghair-Muqallid Zubair Ali Zai ne likha hai:
Muhammad bin Yahya As-Safaar se 2 Siqah Raavi rivaayat kar rahe
hainLihaza wo Majhool nahi hai. [Al-Kawakib, Page: 45]
Ghair-Muqallid Abdus Sattar Al-Hammad ne likha hai: Aur Muhaddiseen ka
Usool hai ke Jis Aadmi se Kam az Kam 2 Raavi rivaayat karne waale ho, Uski
Jihaalat Khatm ho jaati hai. [Haft Rozah Al-Itisaam, Page: 19; 16th
september 1994]
Jahan Apna Matlab banta dekha wahan per (Naam Nihaad) Ahl-e-Hadeeso ko
Ye Tamaam Usool Yaad aa Jaate hain aur Jab Ahnaf ki Mukhalifat karni ho to
phir In Usoolon ko Apne Baap ka Maal samajh kar Hazam kar lete hain.

Baaqi raha Maulana Mubarakpuri sahib ka ye kehna ke, Abu Usman


(rahimahullah) ka tazkirah humein Kisi Kitab me nahi mila to Iska Jawaab Khud
Unke Hum Maslak, Ghair-Muqallid Muhammad Gondolvi Sahab se dete hain ke
wo likhte hain: Baz Hanafiyah ne Is Asar per Ye Aitraaz kiya hai ke Iski SANAD
me Muhammad bin Abbas hai. Iska Pata Nahi chala. Magar Adam Ilm se Ye
Lazim nahi aata ke wo MAJHOOL ho. [Khairul Kalaam, Page: 248]
Pas Mubarakpuri ke Adam Ilm se Abu Usman (rahimahullah) ka Majhool hona
Laazim nahi aata.
La-Mazhab (Naam Nihaad) Ahl-e-Hadees (Asal me Munkar-e-Hadees) ka Is
Hadees ko SHAHEED karne ke liye kiye gaye Tamaam Aitrazaat BAATIL wa
MARDOOD hain. Is rivaayat ke Pehle 2 Raavi Qatan MAJHOOL Nahi hain. Aur
Is Hadees ke Baaqi ke Tamaam Ruvaath SIQAH wa AADIL hain. Lihaaza Ye
Hadees Bilkul SAHEEH hai.
Shuwaahidaat:
Sanad: Ali ibnul Jaad Ibn Abi Zib Yazeed ibn Khusayfah (rahmatullahi
alaihim) Saaib ibn Yazeed (Razi Allahu Tala Anhu)
Matan: Saib bin Yazeed (raziallahu anhu) rivayat
karte hain ke: Hazrat Umar (raziallahu tala anhu) ke Ahad (Daur, Period) me
Log (Sahaba-e-Kiraam wa Taabaeen ba-Jamat) Ramazan ke Maheene me 20
rakat padhte the. Aur (Qaari Saahibaan) Quran me se Sou-Sou Aayaat waali
Soortein parhte the.[Musnad Ibnul Jaad, Page No. 1009, 1010]
Scan:

Sanad: Abdur Razzaq Al-Aslami Al-Haris bin Abdur Rahman bin Abi
Zubaab (rahmatullahi
alaihim) Saaib bin Yazeed (raziallahu tala anhu)
Matan: Saib bin Yazeed (raziallahu anhu) ne farmaaya: Hazrat Umar
(raziallahu anhu) ke daur me Hum (Raat ke) Qiyaam se Wapas hote Jab ke
Supeidah Subah ka Waqt Qareeb aa Jaata aur Umar (raziallahu anhu) ke daur me
Qiyaam 23 Rakat (Yani 20 Taraweeh + 3 Witr) hota. [Musannaf Abdur
Razzaq Jild: 4/ Safah: 261, 262]

Scan:

Allah se dua hai ke humein Deen ki Sahih Samajh ata farmaaye. (Aameen)

You might also like