Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 79

Al-Arbaeen

MARAJAL BAHRAIN
FEE

MANAQIBIL HASANAIN
(ALAIHI-MUSSALAM)
(Imam Hasan wa Imam Hussain Alaihi-mussalam ki Shaan, Manaqib
aur Fazail me Hadees ki Kitaab)

IN ROMAN URDU/ROMAN HINDI


Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri
www.facebook.com/DrQadriBooks

Note:
Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ki
tamaam Tasnifaat (Books) aur Khitabat (Lectures)
ke audio/video ke cassettes, CD's aur DVD's se
haasil hone waali jumla aamdani unki taraf se
hamesha ke liye Tehreek-e-Minhaj-ul-Quran ke liye
waqf hai.

-Director Minhaj Publications

INDEX
FASL/CHAPTERS KE NAAM

1. HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM KA APNE


SHEHZADON KA NAAM HASAN AUR HUSSAIN (ALAIHI-MUSSALAM) RAKHNA

2. HASAN AUR HUSSAIN JANNAT KE NAAMON ME SE 2 NAAM HAIN JINKO


ALLAH TA'ALA NE HIJAB ME RAKHA

3. HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM NE FARMAYA:


HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM MERE BETE HAIN

4. HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM AHLE BAYT HAIN

5. HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM HE


HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM KA NASAB, WALI AUR BAAP
HAIN

6. HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM LOGON ME SE SABSE BEHTAR


NASAB WAALE HAIN

7. HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM HE MERE GULSHAN-E-DUNIYA


KE PHOOL HAIN

8. HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM KA HASANAIN


KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM KE KAANO ME AZAAN KEHNA

9. HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM KA HASANAIN


KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM KI TARAF SE AQEEQA KARNA

10. HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM.....SARAPA SHABEEH-EMUSTAFA SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM

11. HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM.....WAARISAAN-E-AOUSAAFE-MUSTAFA SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM

12. HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM TAMAM JANNATI JAWANON


KE SARDAR HAIN

13. ALLAH TA'ALA NE HASANAIN KAREEMAIN ALAIHMIUSSALAM KO


KAMAAL-E-TATHEER KI SHAAN-E-AZEEM SE NAWAAZ DIYA

14. HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM NE FARMAYA: JO


MUJHSE MUHABBAT KARTA HAI US PAR IN DONO SE MUHABBAT KARNA
WAAJIB HAI

15. JISNE HASANAIN ALAIHI-MUSSALAM SE MUHABBAT KI USNE MUJHSE


MUHABBAT KI

16. JISNE HASANAIN ALAIHI-MUSSALAM SE MUHABBAT KI US SE ALLAH NE


MUHABBAT KI

17. HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM NE FARMAYA:


JISNE IN DONO SE MUHABBAT KI WO QAYAMAT KE DIN MERE SAATH HOGA

18. HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM NE FARMAYA: AY


ALLAH MAI IN DONO SE MUHABBAT KARTA HUN TU BHI INSE MUHABBAT
KAR

19. JISNE HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM SE BUGZ RAKHA USNE


MUJHSE BUGZ RAKHA

20. JISNE HASANAIN ALAIHI-MUSSALAM SE BUGZ RAKHA WO ALLAH KE


HAAN MABGOOZ HOGAYA

21. HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM NE FARMAYA: AY


ALLAH! JO INSE ADAWAT RAKHE TU US SE ADAWAT RAKH AUR JO INKO
DOST RAKHE TU USEY DOST RAKH

22. JISNE HASAN WA HUSSAIN ALAIHI-MUSSALAM SE JANG KI US SE


HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM NE AYLAN-E-JANG
FARMA DIYA

23. HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM NE FARMAYA:


MERE MAA BAAP AAP PAR QURBAN

24. HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM KE RONE SE HUZOOR


SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM PARESHAN HOGAYE

25. HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM HASANAIN


KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM KI KHATIR APNE MIMBAR SHAREEF SE
NICHE UTAR AAYE

26. HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM HUZOOR-E-AKRAM


SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM KI ZUBAAN MUBARAK
CHOOSTE THEY

27. HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM HUZOOR SALLALLAHU


ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM KE SHIKAM-E-MUBARAK PAR KHELTE THEY

28. HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM DAURAN-E-NAMAZ HUZOOR


SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM KI PUSHT MUBARAK PAR
SAWAAR HOGAYE

29. HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM KA HASANAIN


KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM SE FARMANA: YE DONO KAISE ACHE
SAWAAR HAIN

30. HUZOOR-E-AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM


HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM KI KHAATIR SAJDON KO LAMBA
KARLETE

31. HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM DONO


SHAHZADON KO CHAADAR KE ANDAR APNE JISME AT-HAR SE CHIMTA LETE
THEY

32. HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM KE SAATH JO


JANNAT ME SABSE PEHLE DAAKHIL HONGE WO HASANAIN KAREEMAIN
ALAIHI-MUSSALAM HAIN

33. ALLAH TA'ALA KA HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM KI


MAUJUDGI KE ZARIYE JANNAT KO AARASTA KARNA

34. HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM QAYAMAT KE DIN ARSH-EILAHI KE GUMBAD KE NICHE HONGE

35. HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM QAYAMAT KE DIN HUZOOR


SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM KE SAATH RAHENGE

36. HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM KA HASANAIN


KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM KE LIYE KHUSUSI DAM KARNA

37. AASAMAANI BIJLI KA HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM KE LIYE


RAASTA ROSHAN KARNA

38. HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM KA HASANAIN


KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM KO DAAD DENA

39. HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM HASANAIN


KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM KA BOSA LETE THEY

40. HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM MUBAAHLEY KE


WAQT HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM KO APNE SAATH LEGAYE

FASL: 1

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA


SALLAM KA APNE SHEHZADON KA NAAM
HASAN AUR HUSSAIN (ALAIHI-MUSSALAM)
RAKHNA

1. Hazrat Ali RadiAllahu Anhu bayan farmate hain ke jab Hasan paida hua to
uska naam Hamza rakha aur jab Hussain paida hua to uska naam uske chacha
ke naam par Jafar rakha. (Hazrat Ali RadiAllahu Anhu farmate hain) Mujhe
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne bulakar farmaya:
Mujhe ye naam tabdeel karne ka hukm diya gaya hai. (Hazrat Ali RadiAllahu
Anhu farmate hain) maine arz kiya: Allah aur Uska Rasool behtar jaante hain.
Pas Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne unke naam Hasan wa Hussain
rakhe.

2. "Hazrat Salman Farsi RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor Nabi-eAkram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne irshad farmaya: Maine in Dono
yaani Hasan aur Hussain ke Naam Haarun Alaihissalam ke Beton Shabbar aur
Shabbir ke Naam par rakhe hain."

3. "Hazrat Saalim RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor Nabi-e-Akram


SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne irshad farmaya: Maine Apne in Dono

Beton yaani Hasan aur Hussain ke Naam Harun Alaihissalam ke Beton Shabbar
aur Shabbir ke Naam par rakhe hain."

4. "Hazrat Akramah RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Sayyeda Fatima


Salamullahi Alaiha ke haan Hasan Ibne Ali Alaihi-mussalam ki Wiladat hui to
Wo Unhe Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki khidmat me
laayin, lihaza Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Unka Naam Hasan
rakha aur jab Hussain Alaihissalam ki Wiladat hui to Unhe Huzoor Nabi-eAkram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Bargah me laakar arz kiya! Ya
RasoolAllah SallAllahu Alaik wa Sallam! Ye (Hussain) is (Hasan) se zyada
Khoobsurat hai, lihaza Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Iske Naam
se akhaz karke Uska Naam Hussain rakha."

5. "Hazrat Jafar Ibne Muhammad RadiAllahu Anhuma Apne Waalid se riwayat


karte hain ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne
Hussain ka Naam Hasan se akhaz kiya aur Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ne Dono ke Naam Hasan aur Hussain Alaihi-mussalam Unki Paidaish ke
saatwe (7) din rakhe."

6. "Hazrat Ali RadiAllahu Anhu riwayat karte hain ke jab Fatima (Salamullahi
Alaiha) ke haan Hasan ki wiladat hui to Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi
wa Aalihi wa Sallam tashreef laaye aur farmaya: Mujhe Mera Beta dikhao,
Uska naam kya rakha hai? Maine arz kiya: Maine iska naam Harab rakha hai.
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Nahi
balke wo Hasan hai. Fir jab Hussain ki Wiladat hui to Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam tashreef laaye aur farmaya: Mujhe Mera
Beta dikhao, Tumne uska Naam kya rakha hai? Maine arz kiya: Maine iska
naam Harab rakha hai. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:
Nahi balke wo Hussain hai. Fir jab teesra Beta paida hua to Huzoor Nabi-eAkram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam tashreef laaye aur farmaya:

Mujhe Mera Beta dikhao, Tumne uska naam kya rakha hai? Maine arz kiya:
Maine iska naam Harab rakha hai. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam
ne irshad farmaya: Nahi balke iska naam Muhsin hai. Fir irshad farmaya:
Maine inke naam Harun Alaihissalam ke Beton Shabbar, Shabbir aur
Mushabbar ke naam par rakhe hain."

FASL: 2

HASAN AUR HUSSAIN JANNAT KE NAAMON


ME SE 2 NAAM HAIN JINKO ALLAH TA'ALA
NE HIJAB ME RAKHA

7. "Mafzal se riwayat hai ke Allah Tabarak wa Taala ne Hasan aur Hussain ke


Naamon ko hijab me rakha yahan tak ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Apne Beton ka naam Hasan aur Hussain rakha."

8. "Imran bin Sulaiman se riwayat hai ke Hasan aur Hussain Ahle Jannat ke
Naamon me se 2 Naam hain jo ke daur-e-jahiliyat me pehle kabhi nahi rakhe
gaye they."

FASL: 3

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA


SALLAM NE FARMAYA:
HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM
MERE BETE HAIN

9. "Hazrat Abdullah Ibne Mas'ud RadiAllahu Anhuma riwayat karte hue


farmate hain: Maine Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ko dekha ke Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hasan aur
Hussain Alaihi-mussalam ka Haath pakadkar farmaya: Ye Mere Bete Hain."

10. "Sayyeda Fatima Salamullahi Alaiha farmati hain ke ek roz Huzoor Nabi-eAkram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Mere yahan tashreef laaye aur
farmaya: Mere Bete kahan hain? Maine arz kiya: Ali (Alaihissalam) unko saath
legaye hain. Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam unki talaash
me mutawajjah hue to unhe paani peene ki jagah par khelte hue paaya aur
unke saamne kuch khajooren bichhi hui thin. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi
wa Sallam ne farmaya: Ay Ali! Khayal rakhna Mere Beton ko garmi shuru hone
se pehle waapis le aana."

11. "Musayyab bin Najabah Hazrat Ali RadiAllahu Anhu se riwayat karte hain
ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Har
Nabi ko 7 Najeeb ya Naqeeb ata kiye gaye jabke Mujhe 14 ata kiye gaye. Raawi

kehte hain ke humne Hazrat Ali RadiAllahu Anhu se pucha ke wo kaun hain to
Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ne bataya: Mai, Mere Dono Bete, Jafar, Hamza,
Abu Bakr, Umar, Mas'ab Ibne Umair, Bilal, Salman, Miqdaar, Huzaifa, Ammar
aur Abdullah Ibne Mas'ud RadiAllahu Anhum."

12. "Hazrat Ali RadiAllahu Anhu riwayat karte hu farmate hain: Allah Ta'ala ne
har Nabi ke 7 Nujaba banaye jabke Hamare Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ko 14 Najeeb ata kiye. Inme Abu Bakr, Umar, Ali, Hasan,
Hussain, Hamza, Jafar, Abu Zar, Abdullah Ibne Mas'ud, Miqdaar, Ammar,
Salman, Huzaifa aur Bilal RadiAllahu Anhum shaamil hain."

FASL: 4

HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM


AHLE BAYT HAIN
13. " Ummul Momineen Hazrat Umme Salama RadiAllahu Anha se marvi hai
ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Fatima
Salamullahi Alaiha aur Hasan wa Hussain Alaihi-mussalam ko jama farmakar
Unko Apni chadar me leliya aur farmaya: Ay Allah! Ye Mere Ahle Bayt hain."

14. "Hazrat Saad bin Abi Waqqas RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke jab
Aayat-e-Mubahla Aap farma den: Aao hum apne Beton ko bulate hain aur
tum apne Beton ko bulao naazil hui to Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Ali, Fatima, Hasan aur Hussain Alaihi-mussalam
ko bulaya, fir farmaya: Ya Allah! Ye Mere Ahle (Bayt) hain."

15. "Hazrat Abu Saeed Khudri RadiAllahu Anhu Allah Taala ke is farmaan:
Ay Nabi ke ghar waalon! Allah chahta hai ke tumse (har tarah ki aaludgi) door
karde aur tumko khoob paak wa saaf karde.
ke bare me farmate hain: Ye Aayat-e-Mubarak in Paanch (5) hastiyon ke bare
me naazil hui: Huzoor Nabi-e-Akram, Ali, Fatima, Hasan aur Hussain AlaihimAswalatu was-Salaam.
Faida: Inhi Paanch (5) Hastiyon ke mutazkirah takhsees ke baais Aammatul
Muslimeen me Panjatan ki istelaah mashhoor hai. Jo Sharan durust hai
isme ko mubalga ya aytekaadi guluw hargiz nahi.

FASL: 5

HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU


ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM HE
HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM
KA NASAB, WALI AUR BAAP HAIN

16. "Hazrat Umar Ibne Khattab RadiAllahu Anhu farmate hain: Maine Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko farmate hue suna: Har
aurat ke Beton ki nisbat unke baap ki taraf hoti hai ma-siwaye Fatima ki
Aulad ke, keh Mai he Unka Nasab hun aur Mai he Unka Baap hun."

17. "Hazrat Umar Ibne Khattab RadiAllahu Anhu farmate hain: Maine Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko farmate hue suna:
Qayamat ke din Mere Hasab wa Nasab ke siwa har silsila-e-nasab munkata
hojaega. Har bete ki baap ki taraf nisbat hoti hai ma siwaye Fatima ke, ke
Unka Baap bhi Mai he hun aur Unka Nasab bhi Mai he hun."

18. "Hazrat Jabir Ibne Abdullah RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Har maa ke
Beton ka aabaayi khandaan hota hai jiski taraf wo mansub hote hain siwaye
Fatima ke Beton ke, pas Mai he Unka Wali hun aur Mai he Unka Nasab hun."

19. "Sayyeda Fatima tuz-Zahra Salamullahi Alaiha se marvi hai ke Huzoor


Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Har aurat ke
Beton ka khandaan hota hai jiski taraf wo mansoob hote hain ma siawaye
Fatima ki aulad ke, pas Mai he Unka Wali hun aur Mai he Unka Nasab hun."

FASL: 6

HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM


LOGON ME SE SABSE BEHTAR NASAB WAALE
HAIN

20. "Hazrat Abdullah Ibne Abbas RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne irshad farmaya: Ay
logon! Kya Mai tumhe unke bare me khabar na dun jo (Apne) Nana Nani ke
aitbaar se sab logon se behtar hain? Kya Mai tumhe unke bare me na bataau
jo (apne) Chacha aur Phuphi ke lihaaz se sab logon se behtar hain? Kya Mai
tumhe unke bare me na bataau jo (apne) Maamu aur Khala ke aitbaar se sab
logon se behtar hain? Kya Mai tumhe unke bare me khabar na dun jo (apne)
Maa Baap ke lihaaz se sab logon se behtar hain? Wo Hasan aur Hussain hain,
Unke Nana Allah ke Rasool, Unki Nani Khadija binte Khuwailid, Unki Waalidah
Fatima binte RasoolAllah, Unke Waalid Ali Ibne Abi Talib, Unke Chacha Jafar
Ibne Abi Talib, Unki Phuphu Umme Haani binte Abi Talib, Unke Maamu Qasim
Ibne RasoolAllah, Unki Khala RasoolAllah ki Betiyan Zainab, Ruqaiyya aur
Umme Qulsoom hain. Unke Nana, Nani, Waalid, Waalidah, Chacha, Phuphi,
Maamu aur Khala (sab) Jannat me honge aur wo dono (Hasanain Kareemain)
bhi Jannat me honge."

FASL: 7

HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM


HE MERE GULSHAN-E-DUNIYA KE PHOOL
HAIN

21. "Ibne Abu Nuaim farmate hain ke kisine Hazrat Abdullah Ibne Umar
RadiAllahu Anhuma haalat-e-ehram ke mutalliq daryaft kiya. Shuaba farmate
hain ke mere khayal me (Muhram ke) makhi maarne ke baareme pucha tha.
Hazrat Abdullah Ibne Umar RadiAllahu Anhuma ne farmaya: ahle Iraq makhi
marne ka hukm puchte hain haalanke unhone Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke Nawase (Hussain Alaihissalam) ko
Shaheed kardiya tha aur Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam
ne farmaya hai: Wo Dono (Hasan wa Hussain Alaihi-mussalam) he to Mere
Gulshan-e-Duniya ke 2 phool hain."

22. "Hazrat Abdur Rehman Ibne Abi Nuaim se riwayat hai ke ek iraqi ne Hazrat
Abdullah Ibne Umar RadiAllahu Anhuma se pucha ke kapde par machhar ka
khoon lage jaaye to kya hukm hai? Hazrat Abdullah Ibne Umar RadiAllahu
Anhuma ne farmaya: iski taraf dekho, machhar ke khoon ka masla puchta hai
haalanhe inhone Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke Bete
(Hussain Alaihissalam) ko Shaheed kiya hai aur Maine Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko farmate hue suna: Hasan aur Hussain
he to Mere Gulshan-e-Duniya ke 2 Phool hain.

23. "Hazrat Abu Ayyub Ansari RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke mai
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Bargah-e-Aqdas
me haazir hua to (dekha ke) Hasan wa Hussain Alaihi-mussalam Aap SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke saamne ya godh me khel rahe they. Maine arz
kiya: Ya RasoolAllah SallAllahu Alaik wa Sallam! Kya Aap SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam inse muhabbat karte hain? Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ne farmaya: Mai inse muhabbat kyu na karun haalanke Mere
Gulshan-e-Duniya ke yehi to 2 Phool hain jinki mehak ko sunghta rehta hun
(Inhi Phoolon ki khusbu se kaif wa suroor pata hun).

FASL: 8

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA


SALLAM KA HASANAIN KAREEMAIN ALAIHIMUSSALAM KE KAANO ME AZAAN KEHNA

24. "Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur
Hussain paida hue to Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ne Khud Unke kaano me Azaan di."

25. "Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Maine Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko dekha ke Aap SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ne Sayyeda Fatima ke haan Hasan Ibne Ali ki Wiladat hone
par Unke Kaano me Namaz waali Azaan di."

26. "Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Maine Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko dekha ke Aap SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ne Sayyeda Fatima ke haan Hussain ki Wiladat par Unke
Kaano me Azaan di."

FASL: 9

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA


SALLAM KA HASANAIN KAREEMAIN ALAIHIMUSSALAM KI TARAF SE AQEEQA KARNA

27. "Hazrat Abdullah Ibne Abbas RadiAllahu Anhuma se marvi hai ke Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hasanain Kareemain ki
taraf se Ek-Ek dumba zibah kiya."

28. "Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor Nabie-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Hasanain Kareemain ki taraf se
2 dumbe Aqeeqa ke liye Zibah kiye."

29. "Hazrat Abdullah Ibne Abbas RadiAllahu Anhuma se marvi hai ke Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hasanain Kareemain ki
taraf se Aqeeqe me 2-2 Dumbe Zibah kiye."

30. "Hazrat Umro Ibne Shuaib RadiAllahu Anhu apne waalid se, wo apne dada
se, riwayat karte hain ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ne Hasan aur Hussain me se har Ek ki taraf se ek he jaise 2-2 dumbe
aqeeqe me zibah kiye."

31. "Ummul Momineen Hazrat Aaisha Siddiqa RadiAllahu Anha bayan kartin
hain ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hasan
aur Hussain ki paidaaish ke saatwe din unki taraf se do do bakriyan aqeeqe
me zibah ki."

FASL: 10

HASANAIN KAREEMAIN ALAIHIMUSSALAM.....SARAPA SHABEEH-EMUSTAFA SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI


WA SALLAM

33. "Hazrat Ali Alaihissalam riwayat karte hain ke Hasan Seene se Sar tak
RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki kaamil Shabeeh they aur
Hussain Seene se niche tak Huzoor SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki
kaamil Shabeeh they."

34. "Hazrat Ali RadiAllahu Anhu riwayat karte hain: Jis shakhs ki ye khwahish
ho ke wo logon me aisi Hasti ko dekhe jo Gardan se Seene tak Huzoor Nabi-eAkram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki sabse kaamil shabeeh ho to wo
Hasan Ibne Ali ko dekhle aur jis shakhs ki ye khwahish ho ke wo logon me aisi
Hasti ko dekhe jo Gardan se Takne tak Rangat aur Surat dono me Huzoor Nabie-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki sabse kaamil shabeeh ho to
wo Hussain Ibne Ali ko dekhle."

35. "Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Hasan wa
Hussain Alaihi-mussalam Dono Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ke saath sabse zyada Mushabahat rakhte they."

36. "Muhammad bin Dahaak Hazaami riwayat karte hain ke Hasan Ibne Ali
Alaihi-mussalam ka Chehra Mubarak Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi
wa Aalihi wa Sallam ke Chehra-e-Aqdas ki Shabeeh they aur Hussain
Alaihissalam ka Jism-e-Mubarak Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ke Jism-e-Aqdas ki Shabeeh tha."

FASL: 11

HASANAIN KAREEMAIN ALAIHIMUSSALAM.....WAARISAAN-E-AOUSAAF-EMUSTAFA SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI


WA SALLAM

37. "Sayyeda Fatima Salawatullahi Alaiha se riwayat hai ke wo Apne Baba


Huzoor Rasool-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke Marz-eWisaal ke dauran Hasan aur Hussain ko Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ke paas laayin aur arz kiya: Ya RasoolAllah! Inhe Apni wirasat me se
kuch ata farmaen. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne irshad
farmaya: Hasan Meri Haibat wa Sardari ka Waaris hai aur Hussain Meri Jurrat
wa Sakhawat ka.

38. "Hazrat Umme Ayman RadiAllahu Anha farmati hain ke SayyedaFatima


Salamullahi Alaiha Hasanain Kareemain Alahimussalam ko Satth lekar Nabi-eAkram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki khidmat me haazir Huin aur arz
kiya: Ya RasoolAllah SallAllahu Alaika wa Sallam! In Dono Beton Hasan wa
Hussain ko kuch ata farmayen. Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ne farmaya: Maine is bade bete (Hasan) ko Haibat wa
Burdbaari ata ki aur chote bete (Hussain) ko Muhabbat aur Raza ata ki."

39. "Hazrat Zainab binte Abi Raafe se riwayat hai ke Sayyeda Fatima
Salamullahi Alaiha Huzoor SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke Marz-eWisaal ke dauran Apne dono Beton ko Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ki Khidmat-e-Aqdas me Laayin aur arz kiya: Ye Aapke Bete hain, Inhe
Apni Wirasat me se kuch ata farmayen. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ne farmaya: Hasan ke liye Meri Haibat wa Sardari ki Wirasat hai aur
Hussain ke liye Meri Jurra'at wa Sakhawat ki Wirasat."

40. "Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu bayan karte hain: Sayyeda Fatima
Salamullahi Alaiha Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam
ke Marz-e-Wisaal me Apne Dono Beton ko Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ki Khidmat-e-Aqdas me Laayin aur Arz Pardaaz Huin: Ye Aapke Bete
hain Inhe kuch Wirasat me ata farmayen. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ne farmaya: Hasan ke liye Meri Saabit Qadami aur Sardari ki Wirasat
hai aur Hussain ke liye Meri Taaqat wa Sakhawat ki Wirasat."

FASL: 12

HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM


TAMAM JANNATI JAWANON KE SARDAR
HAIN

41. "Hazrat Abu Saeed Khudri RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor Nabie-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne irshad farmaya: Hasan aur
Hussain Jannati Jawanon ke Sardar hain."

42. "Hazrat Huzaifa RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Meri waalida ne
mujhse pucha ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam
ki Khidmat me meri haazri ka ma'amul kya hai. Maine kaha ke itne dino se mai
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Khidmat me
Haazri nahi hosaka. Wo mujhse naraz hui. Maine kahake mujhe ijazat dijiye
ke mai abhi Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki
Khidmat me Haazir houn, Unke saath magrib ki Namaz padhunga aur Unse arz
karunga ke mere aur aapke liye magfirat ki dua farmayen. Pas mai Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Khidmat-e-Aqdas me
haazir hua aur Unke saath Magrib ki Namaz padhi. Fir Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Nawafil ada farmate rahe yahan tak ke
Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Isha ki Namaz ada farmayi fir
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Ghar ki taraf
rawana hue to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke piche chalne laga.
Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne meri aawaz suni to farmaya ye

kaun hai? Huzaifa! Maine arz kiya: Ji haan. Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne pucha tumhari kya haajat hai? Allah Ta'ala
tumhe aur tumhari waalida ko baksh de fir farmaya: Ye ek farishta hai jo isse
pehle duniya me kabhi nahi utra. Isne Apne Rab se ijazat chaahi ke Mujhpar
Salaam arz kare aur Mujhe Basharat dey ke Fatima Jannati Auraton ki Sardar
Hai aur Hasan aur Hussain Jannat ke Jawanon ke Sardar hain."

43. "Hazrat Ali Alaihissalam bayan karte hain ke Huzoor Nabi-e-Akram


SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Hasan aur Hussain tamam
Jawanaan-e-Jannat ke Sardar hain."

44. "Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Maine Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko farmate hue suna ke
Hum Abdul Muttalib ki Aoulad Ahle Jannat ke Sardar hain jinme Mai, Hamza,
Ali, Jafar, Hasan, Hussain aur Mahdi Shaamil hain."

45. "Hazrat Umar Ibne Khattab RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Hasan aur
Hussain tamam Jawanan-e-Jannat ke Sardar hain."

46. "Hazrat Abdullah Ibne Umar RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Hasan aur
Hussain tamam Jannati Jawanon ke Sardar hain."

47. "Hazrat Hussain Ibne Ali Alaihim-ussalam se riwayat hai ke Maine Apne
Nana Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko farmate
hue suna: Hasan aur Hussain ko gaali mat dena kyunke Wo pehli aur pichli
tamam ummaton ke Jannati Jawanon ke Sardar hain."

48. "Hazrat Abdullah Ibne Mas'ud RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke


Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Hasan
aur Hussain tamam Jawanan-e-Jannat ke Sardar hain."

49. "Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor Nabi-eAkram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Aasmaan ke ek
farishte ne (isse pehle) Meri Ziyarat kabhi nahi ki thi, usne Meri Ziyarat ke liye
Allah Ta'ala se ijazat talab ki aur Mujhe ye Khushkhabari sunayi ke Hasan aur
Hussain tamam Jannati Jawanon ke Sardar Hain."

50. "Hazrat Abdullah Ibne Mas'ud RadiAllahu Anhuma se marvi hai ke Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne irshad farmaya:
Tumhare jawanon me se sabse behtar (Jawaan) Hasan aur Hussain hain."

FASL :13

ALLAH TA'ALA NE HASANAIN KAREEMAIN


ALAIHMIUSSALAM KO KAMAAL-E-TATHEER
KI SHAAN-E-AZEEM SE NAWAAZ DIYA

51. "Hazrat Safiya binte Shaiba se riwayat hai ke Ummul Momineen Hazrat
Aaisha Siddiqa RadiAllahu Anha bayan farmati hain ke Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam subah ke waqt bahar tashreef laaye
darhalaanke Aap SallAlahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne ek chadar oodhi hui
thi jispar siyah oon ke kajawon ke naksh bane hue the. Hasan Ibne Ali Alaihimussalam aaye to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Unhe us chadar
me daakhil karliya fir Hussain Alaihissalam aaye Aapke humraah chadar me
daakhil hogaye, fir Fatima Salamullahi Alaiha aayin, Aap SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ne Unhe us chadar me daakhil karliya, fir Ali Alaihissalam
aayen to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Unhe bhi chadar me le
liya. Fir Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne ye Aayat-e-Mubaraka
padhi Ay Ahle Bayt! Allah to yehi chahta hai ke Tumse (Har tarah ki) aaludgi
door karde aur Tumko kamaal darja Taharat se nawaz de.

52. "Hazrat Umme Salma RadiAllahu Anha se riwayat hai ke Huzoor Nabi-eAkram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Khabardar! Ye Masjid
kisi janabi aur haiza (aurat) keliye halal nahi, siwaye RasoolAllah, Ali, Fatima,
Hasan aur Hussain Alaihimus-Swalatu was-Salaam ke. In Barguzidah Hastiyon

ke alawa kisike liye Masjid-e-Nabawi me aana jaayez nahi, aagah hojao!


Maine tumhe Naam bata diye hain taake tum gumrah na hojao."

53. "Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke parwardah


Umar Ibne Abi Salma farmate hain ke jab Umme Salma ke Ghar Huzoor Nabie-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam par ye Aayat:
"Ay Ahle Bayt! Allah to yahi Chahta hai ke Tumse (har tarah) ki aaludgi dur
karde aur Tumko Khoob Pak wa Saaf karde." (Surah Ahzaab Aayat: 33)
Naazil hui to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Sayyeda Fatima aur
Hasanain Kareemain Salamullahi Alaihim ko bulaya aur Unhe ek kamli me
dhaanp liya. Ali RadiAllahu Anhu Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke
piche they, Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Unhe bhi kamli me
dhaanp liya, fir farmaya: Ay Allah! Ye Mere Ahle Bayt hain, pas Unse har qism
ki aaludgi dur farma aur Unhe Khoob Pak wa Saaf karde."

54. "Hazrat Umme Salma RadiAllahu Anha farmati hain Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hasan, Hussain, Ali aur Fatima
Salamullah Alaihim par chadar failayi aur farmaya: Ay Allah! Ye Mere Ahle
Bayt aur Muqarrab hain, Inse har qism ki aaludgi dur farmade aur Inhe Achi
tarah Pakizgi aur Taharat se Nawaz de."

FASL: 14

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA


SALLAM NE FARMAYA: JO MUJHSE
MUHABBAT KARTA HAI US PAR IN DONO SE
MUHABBAT KARNA WAAJIB HAI

55. "Hazrat Abdullah Ibne Mas'ud RadiAllahu Anhuma riwayat karte hain ke
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Jisne
Mujhse muhabbat ki, us par laazim hai ke wo In Dono se bhi Muhabbat kare."

56. "Hazrat Abdullah Ibne Abbas RadiAllahu Anhuma farmate hain ke jab
Aayat-e-Mubaraka:
Farma den Mai tumse is (Tableegh-e-Haq aur Khair khwaahi) ka kuch sila nahi
chahta bajuz Ahle Qarabat se Muhabbat ke. (Surah Ash-Shoorah Aayat: 23)
Naazil hui to Sahaba Ikram RadiAllahu Anhum ne arz kiya: Ya RasoolAllah
SallAllahu Alaika wa Sallam! Aapke wo kaunse Qarabatdar hain jinki
Muhabbat humpar Waajib hai? Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne
farmaya: Ali, Fatima aur Unke dono Bete (Hasan wa Hussain).

57. "Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke maine Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko Hasan wa Hussain

Alaihi-mussalam ke mutalliq farmate hue suna: Jo Mujhse Muhabbat karta hai


us par In Dono se Muhabbat karna Waajib hai."

58. "Hazrat Zir Ibne Jaish RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor Nabi-eAkram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Jo Mujhse Muhabbat
rakhta hai us par In Dono se Muhabbat rakhna Waajib hai."

FASL: 15

JISNE HASANAIN ALAIHI-MUSSALAM SE


MUHABBAT KI USNE MUJHSE MUHABBAT KI
59. "Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu se marvi hai ke Huzoor Nabi-eAkram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Jisne Hasan aur
Hussain Alaihi-mussalam se Muhabbat ki, usne darhaqeeqat Mujh he se
Muhabbat ki.

60. "Hazrat Abdullah Ibne Mas'ud RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke


Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hasan wa
Hussain Alaihi-mussalam ke liye farmaya: Jisne Inse Muhabbat ki usne Mujh
he se Muhabbat ki."

61. "Abu Haazim bayan karte hain: Mai Hasan Alaihissalam ki Shahadat ke
waqt Hussain Alaihissalam ke paas haazir tha wo Saeed bin al-Aas RadiAllahu
Anhu ko Gardan se pakadkar aage karte hue keh rahe they: (Namaz-e-Janaza
padhaane ke liye) aage badho, Agar Sunnat-e-Mustafa SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam na hoti to Mai Aapko aage na karta, aur Saeed un dino
Madine ke Ameer they. Jab sabne Namaz-e-Janaza ada karli to Hazrat Abu
Hurairah RadiAllahu Anhu khade hue, unhone farmaya: Tum kis dilse Apne
Nabi ke Sahibzaade ko zameen me Dafnakar Unpar Mitti daaloge aur saath
Unhone (gum me doobkar) ye bhi kaha ke Maine Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko farmate hue hai: Jisne Inse Muhabbat
ki usne darhaqeeqat Mujh he se Muhabbat ki."

FASL: 16

JISNE HASANAIN ALAIHI-MUSSALAM SE


MUHABBAT KI US SE ALLAH NE MUHABBAT KI

62. "Hazrat Salman Farsi RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Maine Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko farmate hue suna: Jisne
Hasan aur Hussain Alaihi-mussalam se Muhabbat ki, usne Mujhse Muhabbat
ki, aur jisne Mujhse Muhabbat ki us se Allah ne Muhabbat ki, aur jis se Allah
ne Muhabbat ki Usne usey Jannat me daakhil kardiya."

63. "Hazrat Salman Farsi RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Huzoor Nabi-eAkram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hasan wa Hussain Alaihimussalam ke liye farmaya: Jisne Inse Muhabbat ki usse Maine Muhabbat ki,
aur jisse Mai Muhabbat karun usse Allah Muhabbat karta hai, aur jisko Allah
mehboob rakhta hai usey Neymaton waali Jannat me daakhil karta hai.

FASL: 17

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA


SALLAM NE FARMAYA: JISNE IN DONO SE
MUHABBAT KI WO QAYAMAT KE DIN MERE
SAATH HOGA

64. "Hazrat Ali Ibne Abi Talib RadiAllahu Anhuma bayan karte hain ke Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hasan aur Hussain
Alaihi-mussalam ka Haath pakda aur farmaya: Jisne Mujhse aur In Dono se
Muhabbat ki aur Inke Waalid aur Inki Waalida se Muhabbat ki wo qayamat ki
din Mere saath Mere he Thikaane par hoga."

65. "Hazrat Ali Alaihissalam se marvi hai ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu


Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Mai, Fatima, Hasan, Hussain aur jo
Humse Muhabbat karte hain, Qayamat ke din ek he Maqaam par jama honge,
Hamara khana peena bhi ikattha hoga, taa-aanke log (hisab wa kitab ke baad)
juda juda kardiye jaenge.

66. "Hazrat Abdullah Ibne Abbas RadiAllahu Anhuma se marfuan Hadees


marvi hai ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne
farmaya: Mai darakht hun, Fatima Uski Tehni hai, Ali Uska Shagofa aur Hasan
wa Hussain Uska Phal hain aur Ahle Bayt se Muhabbat karne waale Uske Patte
hain, Ye Sab Jannat me honge, Ye Haq hai, Haq hai."

FASL: 18

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA


SALLAM NE FARMAYA: AY ALLAH MAI IN
DONO SE MUHABBAT KARTA HUN TU BHI
INSE MUHABBAT KAR

67. "Hazrat Bara bin Aazib RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor Nabi-eAkram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hasanain Kareemain Alaihimussalam ki Taraf Dekhkar farmaya: Ay Allah! Mai Inse Muhabbat karta hun
Tu bhi Inse Muhabbat Kar."

68. "Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor Nabi-eAkram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ay Allah! Mai Inse
Muhabbat karta hun Tu bhi Inse Muhabbat kar."

69. "Hazrat Abdullab Ibne Mas'ud RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke


Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hasanain
Kareemain Alaihi-mussalam ke baareme farmaya: Ay Allah! Mai In Dono se
Muhabbat karta hun Tu bhi Inse Muhabbat kar."

70. "Hazrat Usama bin Zaid RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke Huzoor Nabie-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne dua farmayi: Ay Allah! Mai
Inse Muhabbat karta hun, Tu bhi Inse Muhabbat kar aur Inse Muhabbat karne
waale se bhi Muhabbat kar.

71. "Abdullah Ibne Usman Ibne Khaseem Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu


Alaihi wa Aalihi wa Sallam se riwayat karte hain ke Aap SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ne ek din Hasanain Kareemain Alaihi-mussalam ko pakadkar
Apne Raano par bithaya fir Hasan Alaihissalam ki taraf mutawwajah hue aur
Unhe Bosa diya fir Hussain Alaihissalam ki taraf mutawwajah hue aur Unhe
Bosa diya, fir farmaya: Ay Allah! Mai Inse Muhabbat karta hun Tu bhi Inse
Muhabbat kar."

72. "Ya'ala Ibne Marrah RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Hasanain


Kareemain Alaihi-mussalam Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi
wa Sallam ki taraf chalkar Aaye, Pas jab Unme se Ek Pahuncha to Aap
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Apna Baazu Uske Galey me daala, fir
Dusra Pahuncha to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Apna Dusra
Baazu Uske Galey me daala, baadazaa Ek ko Chuma aur fir Dusre ko Chuma
aur farmaya: Ay Allah! Mai Inse Muhabbat karta hun Tu bhi Inse Muhabbat
kar."

73. "Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu farmate hain ke Huzoor Nabi-eAkram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam se arz kiya: Aapko Ahle Bayt me
se sabse zyada Kaun Mehboob hai? Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam
ne farmaya: Hasan aur Hussain."

FASL: 19

JISNE HASANAIN KAREEMAIN ALAIHIMUSSALAM SE BUGZ RAKHA USNE MUJHSE


BUGZ RAKHA

74. "Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu se marvi hai ke Huzoor Nabi-eAkram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: jisne Hasan aur
Hussain se bugz rakha usne Mujh he se bugz rakha."

75. "Hazrat Abdullah Ibne Mas'ud RadiAllahu Anhuma se marvi hai ke Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: jisne Hasan
aur Hussain se bugz rakha usne Mujh he se bugz rakha."

76. "Hazrat Abdullah Ibne Abbas RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne irshad farmaya: jisne
Hasan wa Hussain se bugz rakha usne Mujh he se bugz rakha."

FASL: 20

JISNE HASANAIN ALAIHI-MUSSALAM SE


BUGZ RAKHA WO ALLAH KE HAAN
MABGOOZ HOGAYA

77. "Salman Farsi RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Maine Huzoor Nabi-eAkram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko farmate hue suna: jisne Hasan
wa Hussain Alaihi-musslam se bugz rakha usne Mujhse bugz rakha, aur jisne
Mujhse bugz rakha wo Allah ke haan mabgooz hogaya aur jo Allah ke Haan
mabgooz hua, usey Allah ne aag me daakhil kardiya."

78. "Hazrat Salman Farsi RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Huzoor-e-Nabie-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hasan wa Hussain Alaihimussalam ke bareme farmaya: Jisne Inse bugz rakha ya Inse bagawat ki wo
Mere yahan mabgooz hogaya aur jo Mere yaha mabgooz hogaya wo Allah ke
gazab ka shikaar hogaya aur jo Allah ke yahan gazab yafta hogaya to Allah
Taaala usey Jahannam ke azaab me daakhil karega (jahan) uske liye hamesha
ka thikana hoga."

FASL: 21

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA


SALLAM NE FARMAYA: AY ALLAH! JO INSE
ADAWAT RAKHE TU US SE ADAWAT RAKH
AUR JO INKO DOST RAKHE TU USEY DOST
RAKH
79. "Ummul Momineen Hazrat Umme Salma RadiAllahu Anha bayan karti hain
ke Sayyeda Fatima Salamullahi Alaiha Binte RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam Hasanain Kareemain Alaihi-mussalam ko Pehlu me uthaye
hue Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke paas Aayin
aur Aapke Haath me pathar ki haandi thi jisme Hasan ke liye garam saalan tha.
Sayyeda Fatima Salamullahi Alaiha ne jab Usey Huzoor SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ke saamne laakar rakha to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ne pucha: Abul Hasan (Ali) kahan hai, to Sayyeda Fatima Salamullahi
Alaiha ne jawab diya: Gharme hain. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam
ne Unhe bulaya. Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam, Hazrat
Ali, Hazrat Fatima aur Hasanain Kareemain Salamullah Alaihim baithkar khana
tanawul farmane lage. Umme Salma RadiAllahu Anha Kehtin Hain: Nabi-eAkram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Mujhe na bulaya. Isse pehle
kabhi aisa na hua tha ke Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Meri
Mujudgi me khana khaya ho aur Mujhe na bulaya ho. Fir jab Aap SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam khaane se faarig hue to Un Sabko Apne Kapde me
leliya aur farmaya: Ay Allah! Jo Inse adawat rakhe Tu us se adawat rakh aur jo
Inko Dost rakhe Tu usey Dost rakh."

FASL: 22

JISNE HASAN WA HUSSAIN ALAIHIMUSSALAM SE JANG KI US SE HUZOOR


SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM
NE AYLAN-E-JANG FARMA DIYA

80. "Hazrat Zaid bin Arkam RadiAllahu Anhu se marvi hai ke Huzoor Nabi-eAkram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat Ali, Sayyeda Fatima,
Hazrat Hasan aur Hazrat Hussain Salamullah Alaihim se farmaya: Jis se Tum
ladoge Meri bhi us se ladayi hogi, aur jis se Tum Sulah karoge Meri bhi us se
Sulah hogi."

81. "Hazrat Zaid bin Arkam RadiAllahu Anhu se ye bhi riwayat hai ke Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Sayyeda Fatima, Hazrat
Hasan aur Hazrat Hussain Salamullah Alaihim (Teeno) se farmaya: jo Tumse
ladega Mai us se ladunga aur jo Tum se Sulah karega Mai us se Sulah karunga."

82. "Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu se marvi hai ke Huzoor Nabi-eAkram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat Ali, Sayyeda Fatima,
Hazrat Hasan aur Hazrat Hussain Salamullah Alaihim ki taraf dekha aur irshad
farmaya: jo Tumse ladega Mai us se ladunga, jo Tum se Sulah karega Mai us

se Sulah karunga (yaani jo Tumhara dushman hai wo Mera dushman hai aur
jo Tumhara Dost hai wo Mera bhi Dost hai."

83. "Hazrat Abu Bakr Siddiq RadiAllahu Anhu farmate hain ke maine dekha ke
Rasool-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne ek Khaima me qayam
farmaya aur Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ek Arabi kamaan par
tek lagaye hue they aur khaima me Ali, Fatima, Hasan aur Hussain Salamullah
Alaihim bhi maujood they. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne
farmaya: Ay Musalmano ki Jama'at! Jo Ahle Khaima (Ahle Bait) se Sulah
karega Meri bhi us se Sulah hogayi, jo Inse ladega Meri bhi us se ladayi hogi.
Jo Inko dost rakhega Meri bhi us se dosti hogi. Inse sirf khushnasseb aur barkat
waala he dosti rakhta hai aur Inse sirf badnaseeb aur badbakht he bugz rakhta
hai."

FASL: 23

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA


SALLAM NE FARMAYA: MERE MAA BAAP
AAP PAR QURBAN

84. "Hazrat Salman Farsi (RadiAllahu Anhu) farmate hain: Hum Huzoor Nabie-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke paas they. Umme Ayman Aap
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke paas aayin aur arz kiya: Hasan wa
Hussain Alaihi-mussalam goom hogaye hain. Raawi kehte hain din khoob nikla
hua tha. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Chalo Mere
Beton ko talash karo, raawi kehta hai har ek ne apna apna rasta liya aur mai
Huzoor SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke sath chal pada, Aap SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam musalsal chalte rahe hatta ke pahaad ke daman tak
pahunch gaye (dekha ke) Hasan wa Hussain Alaihi-mussalam ek dusre ke sath
chimte hue hain aur ek azdaha apni dum par khada hai aur uske muh se aag
ke shole nikal rahe hain. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam uski taraf
tezi se badhe to wo azdaha Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi
wa Sallam ki taraf mutawwajah hokar sikud gaya phir khisakkar pathar me
chup gaya phir Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Hasanain Kareemain
Alaihi-mussalam ke paas tashrif laaye aur Dono ko alag alag kiya aur Unke
Chehron ko pochha aur farmaya: Mere Maa Baap Tumpar Qurban ho, Tum
Allah ke haan kitni Izzat waale ho."

85. "Hazart Abdullah Ibne Mas'ud RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke


Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Namaz ada kar
rahe they to Hasan wa Hussain Alaihi-mussalam Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi
wa Sallam ki Pusht-e-Mubarak par sawaar hogaye. Logon ne Unko mana kiya
to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Inko chod do, Inpar
Mere Maa Baap Qurban Hon."

FASL: 24

HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM


KE RONE SE HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI
WA AALIHI WA SALLAM PARESHAN HOGAYE

85. "Yahya bin Abi Kaseer riwayat karte hain ke Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat Hasan wa Hussain Alaihimussalam ke rone ki aawaz suni to pareshan hokar khade hogaye aur
farmaya: Beshaq Aulad aazmaaish hai, Mai Inke liye bagair gaur kiye Khada
hogaya hun."

86. "Yazid bin Abi Ziyad se riwayat hai ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam Hazrat Aaisha RadiAllahu Anha ke Gharse baahar
tashreef laaye aur Sayyeda Fatima Salamullahi Alaiha ke Gharke Paas se Guzre
to Hussain Alaihissalam ko Rote hue suna, Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ne farmaya: Kya Tujhe Maalum nahi ke Iska Rona Mujhe takleef deta
hai."

FASL: 25

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA


SALLAM HASANAIN KAREEMAIN ALAIHIMUSSALAM KI KHATIR APNE MIMBAR
SHAREEF SE NICHE UTAR AAYE

88. "Hazrat Abu Buraida RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor Nabi-eAkram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam hame khutba irshad farma rahe
they, itne me Hasanain Kareemain Alaihi-mussalam Tashreef laaye, Unhone
surkh rang ki Qamees pehni hui thi aur Woh (Sagarsani ki wajah se)
Ladkhadakar chal rahe they. Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi
wa Sallam (Unhe dekhkar) Mimbar se niche Tashreef le aaye, Dono
(Shehzadon) ko Uthaya aur Apne Saamne Bitha liya, fir farmaya: Allah Ta'ala
ka Irshad Sach hai:
"Beshaq tumhare amwal aur tumhari aoulad aazmaaish he hain."
Maine In Bachhon ko ladkhadakar chalte dekha to Mujhse raha na gaya hatta
ke Maine Apni Baat kaat kar Inhe Utha liya."

FASL: 26

HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM


HUZOOR-E-AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA
AALIHI WA SALLAM KI ZUBAAN MUBARAK
CHOOSTE THEY

89. "Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu farmate hain ke mai Gawaahi deta
hun ke hum Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke
sath (safar me) nikle, abhi hum raaste me he they ke Aap SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ne Hasan wa Hussain Alaihi-mussalam ki aawaz suni Dono ro
rahe they aur Dono Apni Walida Majida (Sayyeda Fatima Salamullahi Alaiha)
ke paas he they. Pas Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Unke paas teezi
se pahunche. (Abu Hurairah RadiAllahu Anhu kehte hain ke) maine Aap
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko Sayyeda Fatima Salamullahi Alaiha se
ye farmate hue suna: Mere Beton ko kya hua? Sayyeda Fatima Salamullahi
Alaiha ne bataya: Inhe sakht pyaas lagi hai. Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam paani lene ke liye mashkize ki taraf badhe. Un dino
paani ki sakht qillat thi aur logon ko paani ki shadeed zarurat thi. Aap
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne logon ko aawaz di: Kya kisike paas
paani hai? Har ek ne kajawon se latke mashkizon me paani dekha magar unko
qatra tak na mila. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Sayyeda Fatima
Salamullahi Alaiha se farmaya: Ek Bachha Mujhe den. Unhone Ek ko parde ke
niche se dediya. Pas Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Usko

pakadkar Apne Seene se laga liya magar wo sakht pyaas ki wajah se musalsal
ro raha tha aur khamosh nahi horaha tha. Pas Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi
wa Sallam ne Uske Muh me Apni Zubaan Mubarak daaldi Wo Usey Chusne
laga hatta ke sairabi ki wajah se sukoon me aagaya maine dobara Uske rone
ki aawaz na suni, jabke Dusra bhi usi tarah (musalsal roraha tha) pas Huzoor
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Dusra bhi Mujhe Deden, to
Sayyeda Fatima Salamullahi Alaiha ne dusre ko bhi Huzoor SallAllahu Alaihi
wa Aalihi wa Sallam ke hawale kardiya, Huzoor SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ne Us se bhi wahi muamla kiya (yaani Zubaan Mubarak Uske Muh me
daaldi). So wo Dono aise khamosh hogaye ke maine dobara Unke rone ki
aawaz na suni.

FASL: 27

HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM


HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA
SALLAM KE SHIKAM-E-MUBARAK PAR
KHELTE THEY

90. "Hazrat Saad bin Abi Waqqas RadiAllahu Anhu farmate they ke Mai
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Bargah me
haazir hua to (dekha ke) Hasan aur Hussain Alaihi-mussalam Aap SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke Shikam-e-Mubarak par Khel rahe they, to
Maine arz kiya: Ya RasoolAllah! Kya Aap Inse Muhabbat karte hain? To Nabie-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Mai Inse
Muhabbat kyu na karun haalanke wo Dono Mere Phool Hain."

91. "Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu farmate hain ke mai Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Bargah-e-Aqdas me
haazir hota ya (farmaya) aksar aukaat haazir hota (aur dekhta ke) Hasan wa
Hussain Alaihi-mussalam Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke Shikame-Mubarak par lot pot horahe hote aur Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi
wa Aalihi wa Sallam farma rahe hote: Ye Dono he to Meri Ummat ke Phool
hain."

FASL: 28

HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM


DAURAN-E-NAMAZ HUZOOR SALLALLAHU
ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM KI PUSHT
MUBARAK PAR SAWAAR HOGAYE

92. "Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke hum Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke hamrah Namaz-e-Isha
ada karrahe they, jab Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Sajde me gaye
to Hasan aur Hussain Alaihi-mussalam Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ki Pusht Mubarak par sawaar hogaye, jab Aap SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ne Sajde se Sar uthaya to un dono ko apne piche se narmi ke
saath pakadkar zameen par bithadiya. Jab Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam dobara Sajde me gaye to Shehzaadgaan ne dobara aisa he kiya (ye
silsila chalta raha) yahan tak ke Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne
Namaz Mukammal karli uske baad Dono ko Apni Mubarak Raano par bithaya."

93. "Zir Ibne Jaish RadiAllahu Anhu farmate hain ek din Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam logon ko Namaz padha rahe they ke
Hasanain Kareemain Alaihi-mussalam jo us waqt bachhe they aaye. Jab Aap
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Sajde me gaye to wo Aap SallAllahu Alaihi
wa Aalihi wa Sallam ki pusht Mubarak par sawaar hone lage, log unhe rokne

ke liye aage badhe to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:


Mere Maa Baap inpar Qurbaan ho! Inhe chod do..yaani Sawaar hone do."

94. "Hazrat Abdullah Ibne Mas'ud RadiAllahu Anhuma bayan karte hain ke
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Namaz ada farma
rahe they, jab Sajde me gaye to Hasanain Kareemain Alaihi-mussalam Aapki
Pusht Mubarak par Sawaar hogaye, jab logon ne Unhe rokna chaha to Aap
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne logon ko ishara farmaya ke Inhe chod
do. Yaani sawaar hone do, fir jab Namaz ada farma chuke to Aap SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Dono ko Apni Godh me leliya."

95. "Hazrat Bara bin Aazib RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor Nabi-eAkram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Namaz padhate to Hasan wa
Hussain Alaihi-mussalam Dono me koi Ek aakar Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi
wa Sallam ki Pusht Mubarak par Sawaar hojata jab Aap SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam Sajde me hote, Sajde se Sar Uthate hue agar Ek hota to Usko
agar Dono hote to bhi Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Unko Thaam
lete, fir Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam farmate: Tum Do Sawaaron
ke liye kitni achi Sawari hai."

96. "Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu riwayat karte hai ke Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne kisi shakhs ko ahad
nama likhkar diya to us shakhs ne haazir hokar Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi
wa Sallam ko Haalat-e-Namaz me Salaam arz kiya, fir usne dekha ke Hasan wa
Hussain Alaihi-mussalam kabhi Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki
Gardan Mubarak aur kabhi Pusht Mubarak par sawaar hote hain aur Haalate-Namaz me Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke aage piche se guzar
rahe hain. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Namaz se faarig hone
ke baad us shakhs ne kaha: Kya Wo Dono Aapki Namaz nahi todte? Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Jalaal me aakar

farmaya: Mujhe apna ahad nama do. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam
ne usey lekar phaad diya aur farmaya: Jo Hamare Choton par reham aur
Badon ka adab nahi karta wo Ham me se nahi aur na he Mai us se hun."

97. "Hazrat Abdullah Ibne Abbas RadiAllahu Anhuma farmate hain ke Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Namaz-e-Asar ada ki
jab Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam chawthi (4) rakat me they to
Hasan wa Hussain Alaihi-mussalam Aapki Pusht Mubarak par Sawaar hogaye.
Jab Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Salaam phera to Un Dono ko
Apne Saamne bitha liya, Hasan Alaihissalam ke aage aane par Aap SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Usey Apne Daayen Kandhe par aur Hussain
Alaihissalam ko Baayen Kandhe par utha liya."

FASL: 29

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA


SALLAM KA HASANAIN KAREEMAIN ALAIHIMUSSALAM SE FARMANA: YE DONO KAISE
ACHE SAWAAR HAIN

98. "Hazart Abu Hurairah RadiAllahu Anhu bayan karte hain: Huzoor Nabi-eAkram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam hamare paas tashreef laaye to
Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke ek Kandhe par Hasan Alaihissalam
aur dusre Kandhe par Hussain Alaihissalam sawaar they."

99. "Hazrat Umar Ibne Khattab RadiAllahu Anhu farmate hain ke Maine Hasan
wa Hussain Alaihi-mussalam ko Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ke Kandhon par (Sawaar) dekha to hasrat bharey lehje me
kaha ke Aapke Niche kitni achi Sawari hai! Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ne jawaban irshad farmaya: Zara ye bhi to dekho ke Sawaar kitne ache
hain."

100. " Hazrat Salman Farsi (RadiAllahu Anhu) farmate hain: Hum Huzoor-eNabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke paas they. Umme
Ayman Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke paas aayin aur arz kiya:
Hasan wa Hussain Alaihi-mussalam goom hogaye hain. Raawi kehte hain din

khoob nikla hua tha. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:
Chalo Mere Beton ko talash karo, raawi kehta hai har ek ne apna apna rasta
liya aur mai Huzoor SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke sath chal pada,
Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam musalsal chalte rahe hatta ke pahaad
ke daman tak pahunch gaye (dekha ke) Hasan wa Hussain Alaihi-mussalam ek
dusre ke sath chimte hue hain aur ek azdaha apni dum par khada hai aur uske
muh se aag ke shole nikal rahe hain. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam
uski taraf tezi se badhe to wo azdaha Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi
wa Aalihi wa Sallam ki taraf mutawwajah hokar sikud gaya phir khisakkar
pathar me chup gaya phir Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Hasanain
Kareemain Alaihi-mussalam ke paas tashrif laaye aur Dono ko alag alag kiya
aur Unke Chehron ko pocha aur farmaya: Mere Maa Baap Tumpar Qurban ho,
Tum Allah ke haan kitni Izzat waale ho. Fir Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ne Unme se ek ko Apne daayen Kandhe par aur dusre ko baaye Kandhe
par utha liya. Maine arz kiya: Tumhari Sawari kitni khoob hai? Huzoor Nabi-eAkram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ye bhi dekho ke Dono
Sawaar kitne Khoob hain.
101. "Hazrat Abu Jafar RadiAllahu Anhu riwayat karte hain ke ek martaba
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Hasanain
Kareemain ko uthaye hue Ansar ki ek majlis se guzre to unhone kaha: Ya
RasooAllah SallAllahu Alaika wa Sallam! Kya Khoob Sawari hai! Aap SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Sawaar bhi kya khoob hain."

102. "Hazrat Jabir Ibne Abdullah RadiAllahu Anhuma bayan karte hain ke Mai
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke paas haazir hua
to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Chaar (2 Taangon aur dono
Haathon ke bal) par Chal rahe they aur Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ki Pusht Mubarak par Hasanain Kareemain Alaihi-mussalam Sawaar
they aur Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam farma rahe they: Tumhara
Unt kya Khoob hai aur Tum Dono kya Khoob Sawaar ho."

103. " Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Wo farmate
hain Ek dafa Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam
Sayyeda Fatima Salamullahi Alaiha ke Ghar ke saamne ruke to Aap SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Sayyeda Fatima tuz-Zahra Salamullahi Alaiha ko
Salam kiya. Itne me Hasanain Kareemain Alaihi-mussalam me se Ek Shahzada
Gharse Baahar Aagaya Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ne Unse farmaya: Apne Baap ke Kandhe pe Sawaar hoja, Tu (Meri)
Aankhon ka Taara hai, Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ne Unhe Haathse pakda pas wo Huzoor SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ke Dosh Mubarak par Sawaar hogaye. Fir Dusra Shahzada Huzoor
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki taraf takta hua baahar Aagaya to Usey
farmaya: Khush Aamdeed, Apne Baap ke Kandhon par Sawaar hoja Tu (Meri)
Aankhon ka Taara hai aur Huzoor SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Usey
Apni Ungliyon ke saath pakda pas Wo Huzoor SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ke dusre Dosh Mubarak par Sawaar hogaye."

FASL: 30

HUZOOR-E-AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA


AALIHI WA SALLAM HASANAIN KAREEMAIN
ALAIHI-MUSSALAM KI KHAATIR SAJDON KO
LAMBA KARLETE

104."Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor Nabie-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Sajde me hote to Hasan ya
Hussain Alaihi-mussalam Alaihi-mussalam aate aur Aap SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ki Kamar Mubarak par sawaar hojate jiske baais Aap
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Sajde ko lamba kar lete. Ek mauqe par
Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam se arz kiya gaya: Ay Allah ke Nabi
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam! Kya Aapne Sajdon ko lamba kardiya hai
to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Mujhpar Mera Beta
Sawaar tha isliye (Sajde se uthne me) Jaldi karna acha na laga."

105. "Abdullah Ibne Shaddaad apne waalid Hazrat Shaddaad bin Haad
RadiAllahu Anhu se riwayat karte hain ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam Isha ki Namaz ada karneke liye hamare paas
tashreef laaye aur Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Hasan ya Hussain
Alaihi-mussalam (me se kisi ek Shehzaade) ko uthaaye hue they. Huzoor
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne tashreef laakar Unhe zameen par
bitha diya fir Namaz ke liye takbeer farmaya aur Namaz padhna shuru kardi,

Namaz ke doran Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam


ne taweel Sajda kiya. Hazrat Shaddaad RadiAllahu Anhu ne kaha: Maine sar
uthakar dekha ke Shehzaade Sajde ki haalat me Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi
wa Sallam ki Pusht Mubarak par sawaar hai. Mai fir sajde me chala gaya. Jab
Huzoor SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Namaz ada farma chuke to logon
ne arz kiya ke: Ya RasoolAllah SallAllahu Alaik wa Sallam! Aapne Namaz me
itna sajda taweel karliya, yahan tak ke humne gumaan karliya ke koi Amr-eIlahi waake hogaya ya Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam par Wahi
naazil hone lagi hai. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne irshad
farmaya: Aisi koi baat na thi magar ye ke Mujhpar Mera Beta Sawaar tha isliye
(Sajde se uthne me) jaldi karna acha na laga jabtak ke Uski Khwahish puri na
ho.

FASL: 31

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA


SALLAM DONO SHAHZADON KO CHAADAR
KE ANDAR APNE JISME AT-HAR SE CHIMTA
LETE THEY

102. "Hazrat Usama bin Zaid RadiAllahu Anhuma se marvi hai, Unhine
farmaya: Mai ek raat kisi kaam keliye Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi
wa Aalihi wa Sallam ki Khidmat me haazir hua, Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi
wa Sallam baahar tashreef laaye aur Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam
kisi shaye ko Apne Jism se Chimtaaye hue they jisey mai na jaan saka, jab mai
aone kaam se faarig hua to arz kiya Ya RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi
wa Sallam Aapne kya cheez Apne Jism se Chimta rakhi hai? Aap SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne kapda hataya to dekha ke Hasan wa Hussain
Alaihi-mussalam Dono Raano tak Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam se
Chimte hue they. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ye
Mere Dono Bete hain."

107. "Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu farmate hain ke Huzoor Nabie-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Sayyeda Fatima Salamullahi
Alaiha se farmaya karte: Mere Dono Beton ko bulao, fir Aap SallAllahu Alaihi
wa Aalihi wa Sallam Un Dono (Phoolon) ko Sunghte aur Apne Sina-e-Aqdas ke
Saath Chipka lete."

FASL: 32

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA


SALLAM KE SAATH JO JANNAT ME SABSE
PEHLE DAAKHIL HONGE WO HASANAIN
KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM HAIN

108. "Hazrat Ali Alaihissalam bayan karte hain ke RasoolAllah SallAllahu Alaihi
wa Aalihi wa Sallam ne Mujhe bataya ke sabse pehle Jannat me daakhil hone
waalon me, Mai (Yaani Hazrat Ali Alaihissalam khud), Fatima, Hasan aur
Hussain (Salamullah Alaihim) hain. Maine arz kiya: Ya RasoolAllah SallAllahu
Alaika wa Sallam! Humse Muhabbat karnewale kahan honge? Aap SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Tumhare Piche.

109. "Hazrat Ali Alaihissalam farmate hain ke Maine Huzoor Nabi-e-Akram


SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam se shikayat ki ke logo Mujhse hasad karte
hain, to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Kya Tum is baat
par raazi nahi ho ke Jannat me sabse pehle daakhil hone waale 4 Mardon me
Chowthe Tum ho. (Wo 4 hain) Mai, Tum, Hasan aur Hussain hain."

FASL: 33

ALLAH TA'ALA KA HASANAIN KAREEMAIN


ALAIHI-MUSSALAM KI MAUJUDGI KE ZARIYE
JANNAT KO AARASTA KARNA

110. "Uqbah bin Aamir RadiAllahu Anhu se mrvi hai ke Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Hasan aur Hussain Arsh ke
2 Sutoon hain lekin Wo latke hue nahi aur Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ne irshad farmaya: Jab Ahle Jannat, Jannat me muqeem hojaenge to
Jannat arz karegi: Ay Parwardigar! Tu ne mujhe Apne Sutuno me se 2 Sutunon
se Muzayyan karneka waada farmaya tha. Allah Ta'aala farmayega: Kya Maine
tujhe Hasan aur Hussain ki maujudgi ke zariye muzayyan nahi kardiya? (Yehi
to Mere 2 Sutoon hain)."

111. " Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ek martaba
Jannat ne Dozakh par fakhr kiya aur kaha mai tumse behtar hun. Dozakh ne
kaha: Mai tumse behtar hun. Jannat ne dozakh se pucha: Kis wajah se?
Dozakh ne kaha: Isliye ke mujhme bade bade jaabir hukmaraan firaoun aur
namrood hain. Is par Jannat khamosh hogayi. Allah Taala ne Jannat ki taraf
Wahi ki aur Farmaya: Tu aajiz wa lajawab na ho, mai tere do Sutuno ko Hasan
aur Hussain ke zariye mujayyan kardunga. Pas Jannat khushi aur suroor se aise
sharma gayi jaise dulhan sharmati hai."

112. "Hazrat Abbas Ibne Jari'a Azdi apne waalid se marfu'an riwayat karte hain
ke Jannat ne (Allah Ta'ala ki Bargah me) arz kiya: Ay Parwardigar! Tu ne mujhe
haseen wa jameel banaya Tu mere sutuno ko bhi haseen bana. Allah Ta'ala ne
farmaya: Maine tere Sutuno ko Hasan aur Hussain Alaihi-mussalam ke zariye
Haseen wa Jameel bana diya hai."

FASL: 34

HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM


QAYAMAT KE DIN ARSH-E-ILAHI KE GUMBAD
KE NICHE HONGE

113. "Hazart Abu Musa Ash'ari RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Mai, Ali,
Fatima, Hasan aur Hussain Qayamat ke Din Arsh ke Gumbad ke niche honge."

114. "Hazrat Umar Ibne Khattab RadiAllahu Anhu farmate hain ke Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Beshaq
Fatima, Ali, Hasan aur Hussain Jannatul Firdous me safed Gumbad me
muqeem honge jiski chhat Arsh-e-Khudawandi hogi."

115. "Hazrat Ali RadiAllahu Anhu riwayat karte hain ke Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Jannat me ek Maqaam hai
jisey Wasila kehte hain, pas tum Allah se sawaal karo to Mere liye Wasile ka
sawaal kiya karo. Sahaba-e-Kiraam RadiAllahu Anhum ne arz kiya: Ya
RasoolAllah SallAllahu Alaika wa Aalika wa Sallam! (wahan) Aapke saath kaun
rahega? Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ali, Fatima aur
Hasan wa Hussain (wahan Mere Saath rahenge)."

FASL: 35

HASANAIN KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM


QAYAMAT KE DIN HUZOOR SALLALLAHU
ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM KE SAATH
RAHENGE

116. "Hazrat Ali RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Mai Apne Bistar par soya
hua tha ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Hamare
Ghar Tashreef laaye, Hasan ya Hussain Alaihi-mussalam (me se kisi Ek) ne
paani manga. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Hamari bakri ke paas
aaye jo bahot kum doodh waali thi. Pas Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ne uska doodh nikala to usne bahot zyada doodh diya, pas Hasan
Alaihissalam Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke paas Aaye to Aap
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Uski taraf mutawajjah hue. Sayyeda
Fatima Salamullahi Alaiha ne farmaya: Ya RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam lagta hai Ye Aapko in Dono me se zyada Pyara hai. Aap
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Nahi bake Usne pehle paani
manga tha, fir farmaya: Mai, Aap, Ye Dono aur Ye Sone wala (Hazrat Ali
RadiAllahu Anhu, kyunki Wo abhi sokar uthe he they) Qayamat ke din ek he
jagah par honge."

117. "Hazrat Abu Saeed Khudari RadiAllahu Anhu se marvi hai ke Huzoor Nabie-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Sayyeda Fatima Salamullahi

Alaiha ke Ghar tashreef laaye aur farmaya: Mai, Tum aur Ye Sone wala (Yaani
Hazrat Ali wo abhi sokar uthe he they) aur Ye Dono yaani Hasan aur Hussain
Alaihi-mussalam Qayamat ke Din Ek he Jagah honge."

118. "Hazrat Abu Faakhta (Saeed Ibne Alaqa) RadiAllahu Anhu se riwayat hai
ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam, Ali, Fatima, aur
Hasan aur Hussain Salamullah Alaihim ghar par they ke Hasan ne paani
manga. Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne aadhi
raat ko uthkar Usey paani pilaya. (Isi douran jabke Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Hazrat Hasan Alaihissalam ko paani
pilane he waale they) ke Hazrat Hussain Alaihissalam ne wahi paani talab kiya,
jise Huzoor SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne pehle dene se inkar
farmaya (kyunki Hasan Alaihissalam Unse qabl paani maang chuke they aur
Huzoor SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam usi tarteeb se dena chahte they,
ye bagarze tallem wa tarbiyat tha). Arz kiya gaya: Ya RasoolAllah SallAllahu
Alaik wa Sallam! Lagta hai ke Aapko Hussain se zyada Hasan Mehboob hai? To
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ye
wajah nahi balke Hasan ne Hussain se pehle paani manga tha. Fir Aap
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ay Fatima! Mai, Tum, Ye
Dono (Hasan wa Hussain) aur Ye Sonewala (yaani Hazrat Ali) Qayamat ke din
ek he jagah par honge.

FASL: 36

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA


SALLAM KA HASANAIN KAREEMAIN ALAIHIMUSSALAM KE LIYE KHUSUSI DAM KARNA

119. "Hazrat Abdullah Ibne Abbas RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke


Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Hasan wa Hussain
Alaihi-mussalam ke liye (khususi taur par) Kalimaat-e-Taauz ke sath Dam
farmate they aur irshad farmate ke Tumhare Jadde Amjad (Ibrahim
Alaihissalam bhi) Apne Dono Sahabzadon Ismaeel wa Ishaaq (Alaihimussalam) ke liye in kalimaat ke sath taauz karte they Mai Allah Taala ke
Kaamil Kalmaat ke zariye har (waswasa andazi karnewale) shaitan aur bala se
aur har nazre bad se panah mangta hun.

120. "Hazrat Ali Alaihissalam se riwayat hai ke Huzoor Nabi-e-Akram


SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Hasan wa Hussain Alaihi-mussalam ko
Dam karte hue farmate they: Mai Tumhare liye Allah ke Kalimaat-e-Tamma
ke zariye har waswasa andaz shaitan wa bala aur har nazre bad se panah
mangta hun. Aur Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne (ummat ke liye
bhi) farmaya: Tum Apne Beton ko inhi alfaaz ke saath Dam kiya karo kyunke
Ibrahim (Alaihissalam) Apne Beton Ismail aur Ishaaq (Alaihi-mussalam) ko Un
Kalimaat se Dam kiya karte they."

121. "Hazrat Abdullah Ibne Abbas RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke


Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Hasan wa Hussain
Alaihi-mussalam ko (In Kalimaat ke saath) Dam kiya karte they: Mai Tumhe
Allah ke Kalimaat-e-Tamma ke zariye har waswasa andaz shaitan wa bala se
aur har nazre bad se Allah ki panah mangta hun. Fir irshad farmate: Tumhare
Jadde Amjad (Ibrahim Alaihissalam bhi) Inhi Kalimaat ke saath Apne Beton
Ismail wa Ishaaq (Alaihim-ussalam) ko Dam kiya karte they."

122. "Hazrat Abdullah Ibne Mas'ud RadiAllahu Anhuma bayan karte hain ke
hum Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Khidmat
me baithe hue they ke Hasan wa Hussain Alaihi-mussalam jo ke abhi Bachhe
they, Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke paas se guzre Aap SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Mere Dono Beton ko laao, Mai Unhe
Dam kardun jis tarh Ibrahim (Alaihissalam) Apne Dono Beton Ismail wa Ishaaq
(Alaihi-mussalam) ko Dam kiya karte they. Fir Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi
wa Sallam ne farmaya: Mai Tumhe Allah Ta'aala ke Kalimaat-e-Tamma ke
zariye har nazre bad se, har waswasa andaz shaitan wa bala se Allah ki Panah
me Deta hun."

123. "Hazrat Zaid Ibne Arqam RadiAllahu Anhu se marvi hai ke Huzoor Nabie-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ay Allah! Mai in
Dono Hasan wa Hussain ko Nek Momineen ko Teri Hifazat-e-Khaas me Deta
Hun."

FASL: 37

AASAMAANI BIJLI KA HASANAIN


KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM KE LIYE
RAASTA ROSHAN KARNA

124. "Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke hum Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke humraah Isha ada kar
rahe they, jab Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Sajde me gaye to
Hazrat Hasan aur Hussain Alaihi-mussalam Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ki Pusht Mubarak par sawar hogaye. Jab Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi
wa Sallam ne Sajde se Sar uthaya to un Donoko Apne piche se Narmi se pakad
kar zameen par bitha diya. Jab Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam
dobara Sajde me gaye to Hasan wa Hussain Alaihi-mussalam ne dobara aisa
he kiya hatta ke Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Namaz
mukammal karne ke baad Dono ko Apni Mubarak Raano par bithaliya. Maine
khade hokar arz kiya: Ya RasoolAllah SallAllahu Alaika wa Aalika Sallam! Mai
Inhe waapas chod aata hun. Pas achanak aasmaani bijli chamki aur Aap
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne (Hasanain Kareemain Alaihimussalam) ko farmaya ke Apni Waalida ke paas chale jao. Hazrat Abu
Hurairah RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Unke ghar me daakhil hone tak
wo roshni barkarar rahi.

FASL: 38

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA


SALLAM KA HASANAIN KAREEMAIN ALAIHIMUSSALAM KO DAAD DENA

125. "Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu


Alaihi wa Aalihi wa Sallam se riwayat karte hain ke Aap SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ke saamne Hasanain Kareemain Alaihi-mussalam kushti lad
rahe they aur Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam farma rahe they:
Hasan jaldi karo. Sayyeda Fatima Salamullahi Alaiha ne kaha: Ya RasoolAllah
SallAllahu Alaik wa Sallam! Aap sirf Hasan ko he aisa kyun farma rahe hain?
Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne jawab diya: Kyunki Jibrael-eAmeen Hussain ko jaldi karneka kehkar daad de rahe they.

126. "Muhammad Bin Ali RadiAllahu Anhuma farmate hain ke Huzoor Nabi-eAkram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke saamne Hasanain Kareemain
Alaihi-mussalam Kushti lad rahe they aur Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam farma rahe they: Hasan jaldi karo. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam se Sayyeda Fatima Salamullahi Alaiha ne arz kiya: Ya RasoolAllah
SallAllahu Alaika wa Sallam! Aap Hasan ki Madat farma rahe hain lagta hai Wo
Aapko Hussain se Zyada Pyara hai? Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam
ne farmaya: (Nahi) Jibrael Hussain ki Madat kar rahe they isliye Maine chaha
ke Hasan ki madat karu."

127. "Hazrat Abdullah Ibne Abbas RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke


Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Maujudgi me
Hasan wa Hussain Alaihi-mussalam Ek Dusre ko pakadne me koshan they ke
Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam farmane lage Hasan jaldi karo! Hasan
Pakadlo, to Ummul Momineen Aaisha Siddiqa RadiAllahu Anha ne arz kiya: Ya
RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Aap Chote ke muqabley me
Bade ki Madat farma rahe hain. Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ne farmaya: (Isliye ke) Jibrael-e-Ameen (pehle se he) Hussain ko Hausla
dilaatey hue Pakad lo, Pakad lo keh rahe they."

FASL: 39

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA


SALLAM HASANAIN KAREEMAIN ALAIHIMUSSALAM KA BOSA LETE THEY

128. "Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu riwayat karte hain ke Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Hamare paas tashreef
laaye aur Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke saath Hasanain
Kareemain Alaihi-mussalam they, Ek (Shehzada) Ek Kandhe par sawaar tha aur
Dusra Dusre Kandhe par Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Dono ko
baari baari Choom rahe they."

129. "Abu Ma'adal Atiya Tawafi apne waalid se riwayat karte hain unhe
Ummul Momineen Hazrat Umme Salma RadiAllahu Anha ne bayan kiya ke ek
din jab Huzoor Nbai-e-Akam SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Mere Ghar
tashreef farma they khaadim ne arz kiya: Darwaaze par Ali aur Fatima Alaihimussalam Aaye hain. Umme Salma RadiAllahu Anha bayan karti hain: Aap
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hukm farmaya: Ek taraf hojao aur
Mujhe Apne Ahle Bayt se Milne do. Umme Salma RadiAllahu Anha Farmati
hain: Mai paas he Gharme ek taraf hat kar khadi hogayi, Pas Ali, Fatima aur
Hasanain Kareemain Alaihi-mussalam daakhil hue us waqt Wo kamseen they
to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Dono Bachhon ko pakadkar
Godh me bitha liya aur Dono ko Choomne lagey."

130. "Hazrat Ya'ala bin Marrah RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Hasan
wa Hussain Alaihi-mussalam Huzoor SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki
taraf chalte hue aaye, jab unme se Ek Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam
ke paas pahunch gaya to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Apne ek
baazu se Usey Galey laga liya, fir ja Dusra pahuncha to Dusre baazu se Usey
Galey laga liya, fir Dono ko baari baari Choomne lagey."

131. "Atiya bin Gazwaan RadiAllahu Anhu bayan karte hain Aap SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam tashreef farma they ke Hasan wa Hussain Alaihimussalam aaye aur Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Pusht Mubarak
par sawaar hogaye, Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam un Dono ko Apni
Godh me bitha liya aur baari baari Choomne lagey."

FASL: 40

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA


SALLAM MUBAAHLEY KE WAQT HASANAIN
KAREEMAIN ALAIHI-MUSSALAM KO APNE
SAATH LEGAYE

132. "Hazrat Sha'abi RadiAllahu Anhu farmate hain kejab Huzoor Nabi-eAkram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallamne Ahle Najraan ke saath
Mubaahley ka iraada farmaya to Hasanain Kareemain Alaihi-mussalam ka
Haath pakadkar Apne Saath leliya aur Sayyeda Fatima Salamullahi Alaiha Aap
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke Piche Piche Chal Rahin Thin."

133. "Ibne Zaid se riwayat hai ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa


Aalihi wa Sallam se pucha gaya ke agar Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ka Isaayi qaum ke saath Mubahla hojata to Aap SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam Apne Qaul "Hamare Bete aur tumhare bete" ke misdaaq
kinko Apne Saath laate. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:
Hasan aur Hussain ko."

134. "Alma bin Ahmar Yashkari se riwayat hai ke jab ye Aayat.....Ay Habib
Farma Dijiye! Aao bulate hain Apne Beton ko aur tum apne Beton ko aur Hum
Apni Auraton ko aur tum apni auraton ko.....Naazil hui to Aap SallAllahu Alaihi

wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat Ali, Sayyeda Fatima aur Unke Beton Hasan wa
Hussain Alaihi-mussalam ko Bula Bheja."

135. "Hazart Jabir Ibne Abdullah RadiAllahu Anhuma se marvi hai ke Najran
ka ek wafad Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke
paas aaya aur pucha ke Aapki Isa Ibne Maryam ke baareme kya raaye hai? To
Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Wo Roohullah,
Kalimatullah, Allah ke Bande aur Uske Rasool hain. Us wafad ne Aap SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam se kaha: Kya Aap hamare saath mubahla karte hain
ke Isa aise na they? To Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:
tum yehi chahte ho? Unhone kaha: Haan. To Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi
wa Sallam ne farmaya: Jaisi tumhari marzi. Fir Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi
wa Sallam Ghar tashreef laaye aur Apne Beton Hasan wa Hussain Alaihimussalam ko saath le jaane ke liye jama kiya."

**************************************************************

Books of Dr. Tahir-ul-Qadri in Hindi


www.facebook.com/DrQadriBooks

You might also like