Professional Documents
Culture Documents
Urdu Poems
Urdu Poems
Urdu Poems
On Uncertainity:
Gair kyaa jaaniye kyo.n mujhako buraa kahate hai.n aap kahate hai.n jo aisaa to bajaa
kahate hai.n
vaaqa_ii tere is a.ndaaz ko kyaa kahate hai.n na vafaa kahate hai.n jis ko na jafaa
kahate hai.n
ho ji.nhe.n shaq vo kare.n aur Khudaao.n kii talaash ham to i.nsaan ko duniyaa kaa
Khudaa kahate hai.n
terii suurat nazar aa_ii terii suurat se alag husn ko ahal-e-nazar husn-numaa kahate
hai.n
shikavaa-e-hijr kare.n kis dil se
log jo kuchh bhii kahe.n terii sitam-koshii ko ham to in baato.n ko achchhaa na buraa
kahate hai.n
dost ban kar bhii nahii.n saath nibhaanevaalaa vahii andaaz hai zaalim kaa
zamaanevaalaa
tere hote hue aa jaatii thii saarii duniyaa aaj tanhaa huu.N to ko_ii nahii.n aanevaalaa
mai.n ne dekhaa hai bahaaro.n me.n chaman ko jalate hai ko_ii Khvaab kii taabiir
bataanevaalaa
On obsession
On Hejab
1) Naqaab kehti hai main pardaa-e-qayaamat hun, Agar yaqin na ho dekh lo uthaa ke
mujhe
2) Wo apne chehre mein sau aftaab rakhte hain, Isliye to wo ruKh pe naqaab rakhte
hain
3)Chehre ka Nafs Hissa zere naqab karke, Karte hain husn waale deedar mein
milawat!!