Professional Documents
Culture Documents
Sapna
Sapna
Sapna
hi mera dost tha..Mje laga kisi kaam se aya ha pr usay koi kaam b nae
tha.. main soch mein parr gya tha k ye yahan kesay.. itne mein wo
bola, andar aanay ka nae bolay ga.
Main khayalon ki duniya se wapis aya or us k liye darwaza or khola k
wo andar aasakay.. usko sofa pr bethaya or pani ka poocha. us ne naa
mein sir hilaya ghr mein main akela hi tha.. ab hm dono khamosh
bethay thay.. na wo kuch bol raha tha na main.. Mjhe abi tk us k aanay
ki waja maloom na hui.. Main ne us se poocha,kheriyat thi Ahmad mje
yaad kia ?
Han adhoora kaam poora krna tha ?
knsa kaa.
Main bol hi raha tha k achanak mobile pr ring hui
Main abi aya..
Ye keh kr main side pr gya, call attend ki to Ayaan bola,
Assalam o Alaikum
Wa.Alaikum Assalam
Or yr kesa ha ?
Theak thak
Acha yr wo jo Ahmad tha na apni class mein, jo hamesha khamosh
rehta tha
Haan haan kya hua ?
Yr uski death hogyi ha
Ye sun kr to mere peron se zameen hi khichi chali gyi. Mere hosh hi urr
gye. Mere hathon se phone gir gya. Main foran us room mein gya
jahan Ahmad betha tha, or ye dekh kr main dang reh gya k Ahmad
wahan pr nahi tha..
Mje kuch samaj nae aarahi thi k kya karu. Dar k maray paseena zoro se
chutt raha tha. Main main darwazay ki taraf dhora to darwaza khula
hua tha, jesay hi main pass pohancha, darwaza apne aap band hogya..
Mere dil ki dharkan intehai tez hogyi. Kuch smajh na aya kya karu..
Dubara wapis chatt ki taraf bhaga. Wo darwaza b khula tha, jesay hi
darwazay k qareeb pohancha to wo darwaza b bnd hogya.. Ye zindgi
mein pehli dafa tha k mje laga k bs ye meri zindgi k aakhri lamhaat
hain.. Aankhon mein khof se aansu thay, siskiya bhari jaa raha tha.
Main apne room mein gya or darwaza bnd kr diya or us k sath tek lga
End Part 1