Download as txt, pdf, or txt
Download as txt, pdf, or txt
You are on page 1of 2

Nazro ki hifazat

Nahmadahu va nusalli ala rasulihil kareem


va aala aalihi wa ashabi ajmaaeen
Allah taala apni zaat mein be misal be misaal he. Allah ne dunyao ki har har chi
z ko apne ghere me liya huva hai.
Allah puchta hai ki Aye Mere Bande kya Tumhe yaad bhi hai ki tum kuchh the ? Yaa
d karo us din ko jab tum KUCH NA THE. To kabhi tanhayio mein sochte to sahi ki t
umhe banaya kisne. Ek nutfe se banaya. Phir maa ke pet mein giza pahuchayi. Tumh
ara shape banaya. Sab se alag. Unique. Tumhari haddiyan, banayi gosht banaya, us
par skin lagayi... Zuban ko bol diye, aankho ko, dekhne ki kuwwat kisne di.
Insan ki aankhe, uski nigaho nazar ek bahut badi ibrat ki chiz hai. Isme 13 cror
e bulbs lage huve hai. 26 crore eye receptors. Yeh 2 dimensional view dekhti hai
, yeh 360 degree se 3d view dekhti hai, yeh LCD scree par scenes dekhti hai, yeh
hariyali, nila aasman, nazare, sunset, khubsurti har chiz dekhti hai...zara puc
hhe hum apne aapse ki yeh beshkimti tohfa humne kaha se kharida ? Insan agar apn
i puri zindagi bhi kamate kamate guzarde tab bhi ek aankh ki kimat nahi chuka sa
kta. yeh woh nemat hai. Humne electricity board se bijli ka connection liya hai.
agar ek bill na bhare to bijli kat jati hai. To kya Allah ne aapki aankho ke 26
crore eye receptors ka kabhi bill manga ? Ek chiz : yabna aadam, jaa altu laka
aynaain : Aye mere bande, tuje do aankhe di, in par do parde lagaye, aur iska ek
bill manga, jab teri nazar uthne lage kisi ki beti aur kisi ki behan ki taraf k
isi gair mehram ki taraf to is parde ko niche jhuka lena...aur phir zara hum gau
r kare ki humme se kitne hai jo yeh bill pay kar rahe hain aur hummse se kitno k
i bijli kaati Allah ne ?
6 crore eye receptors aise hai jo colours bata rahe hai. Computer ki screen par
millions of colours hote hai. Agar rang na dekh paye to yeh aankhe colour blind
ho jaye. Aankh mein ek barik sa baal aa jaye to insan ke aansu nikal jate hai. A
ankhen masalta firta hai. Pyaz kate to aankho se aansu nikal jate hai, betaab ho
jata hai. Agar colour ke receptos ko Allah bujha de to yakayak insan ke liye ye
h colourful dunya black and white ho jaye. Insan ko gulab ka surkh joda kabhi de
khne na mile, yeh rangberangi ful, yeh aabshaar ye fawware, yeh darakhto par har
e patte aur nila aasman, insan taras jaye rango ko aur sara jahan uske liye blac
k and white ho jaye.
Yeh kon hai jo insan ki zindagi ko rangeen kar raha hai ? Allah hai. Insan ek bi
ll bhi pay nahi kar raha phir bhi unki ankhe dekh rahi hai. Subha se sham tak aa
nkhe haram dekhti hai, uske bajawood Allah tauba ka mauka deta hai.
Mobile ka bill pay na karo, sim card reject ho jata hai. Landline ka bill pay na
karo, line kat jati hai. Allah ne ek ek kaan mein insan ke 1+1 do lakh telephon
e lagaye. Aur Allah ne bill kya manga ? Aye mere bande is se music na sunna. iss
e kisi ki ghibat na sunna. buri baat na sunna, gali na sunna, jab aisa bol aaye
to apne kano par hath rakh dena.
Allah ne insan ko zuban di. is par darwaza lagaya. Aur us par 32 lock laga diye.
Jo zarurat hai wo bol. Allah ki hamdo sana kar. Darood padh. Haq baat keh. Acch
i bato mein istemal kar zuban ko. Nabi s. ne ek jaga farmaya "Khamoshi mein naja
at hai", ek jagah farmaya " Jo bewajah sawal puchhta hai, goya angaara khata hai
." Zaban par agar jhut, gali, takabbut ka bol aur chugli aur gibat aane lage to
rok le. Yeh zuban is liye nahi hai ki insan auro ko dukh deta phire.
Allah ne insan mein shahwat rakhi. Aur use rokne ka nizam bhi rakha. Do directio
n dikha diye. Haq aur batil. Sahi aur galat. Halal aur haram. Phir nafs de di. K
is direction mein jana hai ? Shadi karo, zina na karo. Halal ki taraf jao, haram
na khao. Kyu ? Aye mere bando na tum mera azaab seh sakte ho na mera gussa seh
sakte ho. Ek jagah Allah farmata hai : Humne insan ko kamzor paida kiya hai. Hum
ne insan ko mashakkat mein paida kiya hai. Phir bhi Allah maaf karta hai. Allah
farmata hai, Hum bardasht se zyada taklif kisi ko nahi dete. Allah farmata hai,
meri rehmat mere gusse se aage hai. Agar banda zamin aasman ki khalao ko gunaho
se bhar de aur phir tauba ki taraf laut aaye to mein arsho se utar kar uska ista
qbaal karunga. Yeh ejaz bakhsha gya hai ummat ko.

You might also like