Professional Documents
Culture Documents
Some Nohay in English Roman
Some Nohay in English Roman
Dosto ban gai zulam ki rrat hai, Gham main saadat hai,
Har taraf shah pay teeron ki barsat hai, gham main saadat hai
hai narghay main fakhr-e-Suleman hai, dil ko arman hai
Sar ko sajda main rakh kay yeh shah nain kaha, aay mera badshah
Kyon satatay hain mujh ko yeh ahlay jafa, aay meray badshah
Kia yehi meraya nana ka farman hai, dil ko arman hai
Shah nay aada ko Asghar dikha kar kaha, pani deejo zara
Hay piyasa karo reham behar-e-khuda, pani deejo zara
Kia khatawar nanha say nadan hai, dil ko arman hai