Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 1

Anchor: Har bachcha, har din school aaye ye aawaz aaj desh ke kone-kone se

goonj rahi hai. Karnataka mein bachchon ke beech pratispardha ko badhawa


deke is parcham ko buland karne wali Teacher Saraswathamma akeli nahi
hainpoore Bharat varsh ke sarkari skoolon mein unke jaise teacher roz naye
prayog kar rahe hain jisse bachche na sirf skool aayein, balki wo, aur unke
maa-baap, skool se kuch iss tarah jud jaayen, ki skool poore samudaay ka
Kendra bindu ban jaaye. Namaskar. Main xxyyzz. Chaliye aaj ek khoj par un
adhyapakon se milne jo is nayi soch ke marg darshak hain. Aaayie, agle
krantikaari se milte hain, Gandhi ji ke janm sthaan mein
Anchor: Ab aa jaate hain bachchon ko skool ki ore aakarshit karne ki baat par.
Seedhi baat hai, ki agar skool ka mahaul aur adhyapak ka vyavahaar aisa ho ki
bachchon ko skool mein ek apnapan sa lage, to bachcha apne aap roz daudkar
skool aayega.
Anchor: Doston is poori film mein aapne gaur kiya hoga, ki kaise ek adhyapak
ne kuch naya socha. Aur use laagu kiya. Is pehal mein use ye ehsaas hua ki
doosre adhyapk, bachche aur unke maa-baap yaani poore samudaay ko agar
ismein bhagidaar banaya jaaye to skool mein upasthiti badhane ki is muhim ko
safal hone se koi nai rok sakta. (Pause) Kuch naya kar gujarne ki chingaari aap
mein se har kisi ke andar bhi hai. Bas zarurat hai us chingari ko hawa dene ki.
Ek nayi shuruaat karne ki. Ummeed hai ki aap bhi humari agli film mein shamil
honge apni safalta ki kahani ke saath. Namaskaar!!!

You might also like