Download as pptx, pdf, or txt
Download as pptx, pdf, or txt
You are on page 1of 9

Bajra Benefits in Hindi: Jane

Millets Khane Ke Bemisal Fayde

HRELATE.COM

Sardiyo ke dino mai log bajra ki roti aur sarson ka saag badi shouk se khana
pasand karte the. Pehle ke jamane mai log genhu ke alava bajra, jou aur
chana ki roti bhi khate the. Aur aaj ke samay mai log sirf genhu ki roti khana
pasand karne lage hai. Lekin kya aap jante hai ki bajra ki roti ya fir isse bane
pakvan khane se hamara sharir kai prakar ki bimariyo se dur reh sakta hai?
Bajre ko angreji mai Millet kehte hai.
Bajre mai protein aur iron bahut adhik matra mai hota hai jisse yeh sharir mai
toxins banne nahi deta hai. Sath hi iski prakrati garam hoti hai jisse bajra
khane walo ko arthritis, gathiya aur dama aadi rogo ke liye accha hota hai.
Bajre ke sevan se hamare sharir ki haddiya majbut banti hai. Isme jo bhi urja
hoti hai usse sharir adhik shaktishali aur sfurtivan banta hai. Isme upasthit
magnesium, calcium, phosphorous, fiber, vitamin B aur antioxidant gun
sharir ke acche swasth ke liye bahut jaruri hote hai.
Bajra sharir ko uchh raktchap, hriday ki kamjori, asthma, depression aadi
rogo se bachane mai madad karate hai. Iske aur bhi fayde janne ke liye aaiye
padhe Bajra Benefits in Hindi.

hrelate.com

Bajra Benefits in Hindi: Inn Bimariyo Mai


Faydemand Hai Millet

hrelate.com

Bajre ko log apne aahar mai kai tarah se prayog karte hai jaise iski roti
banakar, iski idli, chila, upma, soup aadi. Iske sath hi Ise Millet seeds ka
bhi log prayog karte hai. Iski kisi bhi matra ko le yeh sharir ke liye bahut
faydemand hota hai. Bajre ko adhik poshan wala aanaj mana jata hai.
Isme vasa ki bahut kam matra hoti hai jisse yeh pachne mai aasan hota
hai jo ki vajan aur motape ko kam karne mai sahayak hota hai.
Madhumeh Ke Liye Faydemand
Sharir ke rakt mai sharkara ki matra adhik hone se log madhumeh rog se
podit ho jate hai. Aese mai bajre ka sevan karna bahut hi faydemand
hota hai. Iske sevan se rakt se glucose ki matra kam hoti hai jisse
madhumeh rogiyo ko aaram milta hai. Iske liye bajre ki roti ya fir ise rat
mai bhigokar rakh de aur subah khali pet khaye.
Cholesterol Ki Matra Kam Kare
Bajre mai lecithin aur methionine namak amino acid ki matra payi jati
hai. Yeh acid yakrit se atirikt vasa ko kam hatane mai sahayak hota hai
jisse sharir se LDL cholesterol ki matra kam ho jati hai. Sath hi sharir mai
HDL ki matra badhne mai madad milti hai.
hrelate.com

Sharir Ko Swasth Banane Ke Liye


Sharir ko swasth aur shaktishali banane ke liye amino acid ki bahut adhik
aavashyakta hoti hai. Aese mai bajre ka sevan karna sharir ke liye bahut
faydemand hota hai. Bajre mai amino acid ki bahut adhik matra payi jati hai
iske alava yeh sharir mai nitrozen ke santulan mai bhi sahayak hota hai.
Uchh Raktchap Ko Kam Kare
Bajre mai upasthit magnesium aur vitamin B hamare sharir ke uchh raktchap
ko niyantrit karne mai sahayak hota hai. Sath hi isme upasthit magnesium dil
aur haddiyo se sambandhit bimariyo se bhi dur rakhta hai. Iske alava dudh
pilane wali matao mai dudh ki kami ke liye yeh tonic ka kam karta hai.
Shanti Pradan Kare
Atyadhik thakan aur kamkaj ki wajeh se sharir mai thakan aur kamjori mehsus
hone lagti hai. Iske alava jin logo ka man kabhi bhi shant nahi rehta hai unke
liye bajra bahut hi labhkari hota hai. Bajre ka sevn karne se man ko prakratik
rup se shanti ka ehsaas hota hai. Iske alava utsukta, avsad aur nind na aane ki
pareshaniyo mai bhi bajra faydemand hota hai.
hrelate.com

Anemia Rog Ko Dur Kare


Sharir mai adhik khun ki kami hone se vyakti anemia ka shikar ho jate hai. Aese
mai bajre ka sevan sharir mai khun ki kami ko pura karne mai madad karta hai.
Bajre mai iron ki bahut adhik matra hoti hai jisse yeh sharir mai khun ki matra
ko badhane mai sahayak hota hai.
Hriday Ke Liye Faydemand
Hriday aur dil ki bimari se pidit vyaktiyo ke liye bajre ka sevan labhkari hota hai.
Iske sevan se sharir mai hemoglobin ki matra badhti hai sath hi yeh blood ke
thakke jamne se rokta hai. Bhale hi desh mai iski upaj kam hoti hai lekin iski
gunvatta bahut adhik hoti hai.
Haddiyo Ko Majbut Banaye
Bajre mai calcium ki bharpur matra payi jati hai jisse yeh hamari haddiyo ko
majbut banane mai sahayak hota hai. Iske alava yadi aap gathiya aur
osteoporosis jaise rogo se dur rehna chahte hai to bajre se bane aaharo ka
sevan karna chahiye.

Bajre mai calcium, potassium aur haddiyo ke jaruri sabhi jaruri minerals paye
jate hai jo ki haddiyo ko majbuti pradan karte hai aur unke vikas mai bhi
hrelate.com hote hai. Iske alava badhte baccho aur budhe ho rahe logo ki haddiyo
sahayak

Motap aur Vajan Ko Kam Kare


Aniymit aur bahar ke adhik fast food ke sevan se hamare sharir mai vasa ki
matra bahut adhik ho jati hai. Jisse logo ka vajan bahut adhik badh jata hai aur
motape ka shikar bhi ho jate hai. Aese mai bajra ek behatrin diet ka kam karta
hai. Bajre mai amino acid tryptophan ki adhikta hoti hai jisse bajre ka sevan
karne se logo ko adhik bhuk nahi lagti hai.
Bajre ke sevan se vyakti overeating se bach jata hai jo ki vajan ko kam karne
mai sahayak hota hai. Iske alva baajra sharir mai dhimi gati se pachta hai jisse
sharir yeh sharir mai calorie ki matra ko badhne nahi deta hai.
Bajre mai reshe hote hai jiski vajeh se bhi pet bhare hone ka ehsaas hota rehta
hai. Iss tarah se sharir ke vajan aur motape ko kam karne mai sahayak hota hai.
Twacha Ke Liye Faydemand
Sharir ko kai prakar ki bimariyo se rokne ke alava bajra hamari twacha ke liye
bhi faydemand hota hai. Bajre ka sevan karne se ham anti-ageing ki samasya
se bach sakte hai. Bajre mai amino acids Methionine aur Lysine paya jata hai jo
ki twacha ke uttako ke rakhrakhav mai madad karta hai. Iss wajeh se yeh
twacha mai hone wali kai prakar ki samasyao jaise dryness, jhaiya aur
blackheads ko bhi dur karne mai sahayak hota hai.
hrelate.com

Amino Acid Se Bharpur Hai Baajra


Bajre mai amino acid ki adhik matra payi jati hai jo ki sharir ko kamkaj ke
anukul banane mai madad karti hai. Yeh sharir ke sabhi uttako ki sahi tarah se
marammat kari hai. Bajre mai Tryptophan, Threonine, Valine, Isoleucine aur
Methionoine amino acids ki adhik matra hoti hai.
Isoleucine sharir mai maspeshiyo ki sahi dekhbhal, khun ke banne, haddiyo ke
gathan aur twacha ke swasth ke liye accha hota hai.
Valine ek bahut accha amino acid hota hai jo ki chapapchay ki prakriya ko
majbut banane, maspeshiyo ke samanvay ayr uttako ki sahi tarah se dekhbhal
mai madad karta hai. Sath hi yeh hamare sharir mai nitrogen ke balance ko bhi
banaye rakhta hai.
Iske alava Methionoine amino acids sharir ki bahut si kriyao ko karne mai
madad karta hai, sharir se vasa ki matra ko kam karta hai sath hi sharir mai
sulfur ki matra ko banaye rakhane mai madad karta hai. Sharir ko kai prakar ki
pareshaniyo se bachane ke liye sulfur, sharir mai Glutathione namak antioxidant ke utpadan mai madad karta hai.
Pachan Tantra Ko Majbut Kare
hrelate.com

Bajra Benefits in Hindi: Anya Fayde Inhe Bhi Padhe


Bajre ki roti khane se mahilao mai calcium ki kami nahi ho pati hai. Iske alava
iska sevan, mahilao mai prasav ke samay hone wali asamanya dard ko rokne
mai madad milti hai.
Iske alava bajre ka sevan karne se migraine ki wajeh se hone wale sardard ko
dur karne mai madad milti hai.
Bajre ka sevan hamare sharir aur mastishak ko swasth rakhta hai.
Bajre mai upasthti phosphorous ki matra vasa ke pachan aur uttako ki sahi
tarah se marammat karne mai sahayak hota hai.
Bajre ka sevan karne se lever se sambandhit pareshaniyo se nijad milti hai.
Isliye lever ko surakshit rakhne ke liye bhi bajra khana labhkari hota hai.
Bajre mai upasthit fiber ki matra cancer (stan cancer) se ladne ki shakti deta
hai.
Upar aapne jana Bajra Benefits in Hindi. Yadi aap apne sharir ko upar dee gayi
bimariyo se bachana chahte hai to aaj se hi apne aahar mai bajre ka istemal
hrelate.com
karna
shuru kare aur rahe swasth.

You might also like