Download as pptx, pdf, or txt
Download as pptx, pdf, or txt
You are on page 1of 9

Custard Apple Benefits in

Hindi: Sitaphal Ke Chamtkari


Gun

HRELATE.COM

Sitaphal ek prakar ka phal hai jise bade budho se lekar baccho tak sabhi
khana pasand karte hai. Yeh swad mai meetha hota hai aur iska aakar dil ke
saman dikhayi deta hai. Yeh phal bahar se sakht, andar se naram hota hai.
Iss phal ka guda safed rang ka chamakdar aur malaidar hota hai. Iss wajeh se
aap iski smoothie, shake aur natural ice-cream banakar bhi kha sakte hai.
Iske alava iske aur bhi fayde janne ke liye padhe Custard Apple Benefits in
Hindi.

Sitaphal ke anadar chamakdar kale bij bhi hote hai jiska prayog bhi swasth ki
dekhbhal ke liye kiya jata hai. Sitaphal august se November ke bich ugane
wala phal hai. Yeh sheetal prakrati ka hota hai. Iske sevan se pitt aur ulti
aana band ho jati hai. Sath hi yeh sharir ko poshtikta pradan karta hai.

Sitaphal hamare sharir ko kai prakar ki bimariyo se ladne ki shakti pradan


karta hai. Isme fiber, vitamin, khanij tatv aur protein ki uchit matra hoti hai
sath hi yeh kam vasa wala phal hota hai. Iss wajeh se yeh hriday, uchh
raktchap aur twacha se judi kai prakar ki pareshaniyo se nijad dilane mai
madad karta hai.

hrelate.com

Custard Apple Benefits in Hindi: Sharir Ke Liye


Faydemand Sitaphal

hrelate.com

Ganjapan Dur Karne Mai Madad Kare


Jo log ganjepan ka shikar hai unke liye sitaphal khana bahut hi fayda
karta hai. Iske sath-sath yadi sitaphal ke beej ko bakari ke dudh ke sath
milakar pees le aur iss prakar bane lape se sar ki malish kare. Aesa karne
se sar ke ude huye bal shighra aa jate hai sath hi isse mastishk ko
thandak bhi pahuchti hai.
Hriday Ke Liye Faydemand
Hriday aur dil se sambandhit bimariyo se grasit vyaktiyo ke liye bhi
sitaphal faydemand hota hai. Sitaphal mai upasthit magnesium aur
potassium hamare blood cholesterol ko kam karne mai madad karta hai.
Iss wajeh se jinka hriday bahut kamjor hota hai, hriday ka spandan bahut
adhik ho raha ho, bahut ghabrahat hoti hai ya fir jo vyakti uchh raktchap
se pidit hai unke liye sitaphal ka sevan karna chahiye.
Iske alava sitaphal mai upasthit magnesium, dil ka dora padne jaisi
samasyao ko rokne mai madad karta hai, sath hi yeh hriday ki sabhi
maspeshiyo ko aaram deta hai. Iske alava isme upasthit vitamin B6
bimariyo ke jokhim ko kam karne mai madad karta hai.
hrelate.com

Sharir ka Taap Niyantrit Rakhe


Kuch log aese hote hai jinke sharir mai garmi bahut adhik hoti hai aur unka
sharir bahut adhik garam rehta hai unko sitaphal khana bahut faydemand hota
hai. Darahsal sitaphal hande tehsir ka hota hai jisse iske sevan se sharir mai
thandak ka ehsaas hota hai. Isliye garam tehsir wale logo ko sitaphal ka niymit
sevan karna chahiye.
Garbhvati Mahilao Ke Liye
Garbhvati mahilao ke liye bhi sitaphal ka sevan bahut laabhprad hota hai.
Garbhavastha ke samay mahilao ko bahut si parehsnaiyo ka samna karna padta
hai jaise mood ka badalna, sharir mai kamjori, akadan aadi. Inn sabhi rahat
pane ke liye mahilao ko rojana sitaphal ka sevan karna chahiye.
Aankho Ke Liye
Aankho ki dekhbhal ke liye bhi sitaphal bahut accha hota hai. Isme vitamin C,
riboflavin aur vitamin A ki acchi matra hoti hai jo ki aankho ke swasth ke liye
bahut acchi hoti hai. Yeh vitamin hamari aankho ke dekhane ki shakti ko aur bhi
badhane ka kam karta hai.
hrelate.com

Pet Ke Liye Faydemand


Sitaphal ke gude mai ghulansheel gude hote hai jo ki hamare pachan tantra ko
majbut banane mai madad karte hai. Iske sath hi isme upasthit copper aur fiber
ki ucch matra bojan ke pachan mai madad karta hai. Yeh tatv mal ko naram
karta hai jisse mal aur sharir ke sabhi vishakt padarth aasani se bahar nikal
sake. Iss wajeh se sitaphal pachan se judi samasyao aur kabj se rahat dilane
mai madad karta hai.
Dama Se Rahat De
Sitaphal mai vitamin B6 jaise kai prakar ke poshak tatv hote hai jo ki vyakti ko
hone wali bronchial sujan aur dama se rahat dilane mai madad karte hai.
Vajan Badhane Mai Madad Kare
Sitaphal mai vajan ko badhane ki Shamta hoti hai. Kuch logo ka vajan kai
prakar ki bimariyo aur khana na khane ki wajeh se bahut kam ho jata hai. Aese
mai unhe kai anya prakar ki pareshaniya ho jati hai. Isse bachne ke liye sitaphal
bahut labhkari hota hai. Isliye vajan ko badhane ke liye aaj se apni diet mai
sitaphal ka istemal karna shuru kar de aur rakhiye apne aap ko kai prkar ki
swasth sambandhi samasyao se dur.
hrelate.com

Shakti Pradan Kare


Kuch log adhik kam kaj ki wajeh se bahut kamjori mehsus karte hai. Isse
bachne ke liye sitaphal ka sevan kare. Sitaphal energy ka bahut accha strot hai
jiske sevan se thakavat,maspeshiyo aur haadiyo ki kamjori apne aap dur ho jati
hai. Isliye rojana sitaphal ka sevan karna chahiye.
Sheetalta Pradan Kare
Dimag mai bhari garmi ko shant karne ke liye sitaphal ka sevan karna chahiye.
Sitaphal mai vitamin B complex ki adhik matra hoti hai jo ki dimag ko shant
rakhti hai. Sath hi yeh hamare chidchidepan ko dur karta hai. Isliye apne
mastishk ko swasth rakhne aur dimag mai shanti banaye rakhne ke liye
sitaphal ka sevan jarur kare.
Rakt Mai Sharkara Ki Matra Niyantrit Rakhe
Sitaphal hamare sharir mai sugar ke level ko niyantrit karne mai bhi madad
karta hai. Isme sharkara ko sokh lene ka gun hota hai jisse yeh sharir ke sugar
level ko badhne nahi deta hai. Jo ki madhumeh rogiyo ke liye accha hota hai.

hrelate.com

Gathiya Rog Mai Faydemand


Gathiya rog aur jodo ke dard ko bhi thik karne mai sitaphal madad karta hai.
Isme mojud magnesium hamare sharir mai pani ke santulan ko banaye rakhne
mai madad karta hai. Iss tarah yeh jodo mai jamne wale hanikarak acid ko
hatane mai madad karta hai. Yeh acid hi gathiya rog ka karan banta hai. Iss
tarah sitaphal ke sevan se gathiya rog mai aaram milta hai.
Rog Pratirodhak Kshamta Ko Badhaye
Yaha padhe custard apple in hindi. Isme kai prakar ke anti-oxidant gun bhi hote
hai. Yeh gun sharir ko kai kai prakar ke rogo se ladne ki shakti pradan karte hai.
Iss tarah yeh hamare sharir ke immunity system ko badhane mai madad karte
hai.
Baal Aur Twacha Ko Swasth Rakhe
Sitaphal , sharir ko rogo se ladne ki shakti dene ke sath-sath hamare baalo aur
twacha ke swasth ko durast rakhne mai bhi madad karta hai. Isme upasthit
vitamin A aur vitamin C hamari twacha ko komal aur mulayam banane mai
madad karta hai sath hi baalo ki bhi sahi dekhbhal karta hai.
hrelate.com

Custard Apple Benefits In Hindi: Anya Fayde Inhe Bhi Jane


Sitaphal hamare sharir mai khun ki kami ko pura karta hai jisse sharir ko
anemia jaise rogo se bachaya ja sake. Sath hi sitaphal ke sevan se alpata ka
rog dur hota hai.
Sitaphal hamare daanto ko bhi majbuti pradan karta hai. Iske sevan se daanto
aur masudho ka dard dur ho jata hai.
Fodo aur alsar ko khatam karne ke liye sitaphal ke gude ka prayog karna
chahiye.
Diarrhea se bachne ke liye sitaphal ke kacche phal ko katkar dhup mai sukha le.
Fir ise piskar rogi ko khilaye isse diarrhea ki samasya se nijad milta hai.
Pake huye sitaphal ka guda ek kapde mai bandhkar hatheli aur panjo par padi
gaanth par lagane se gaanth tut jati hai aur thik ho jati hai.
Sitaphal mai upasthit vitamin A twacha ko swasth rakhne mai madad karta hai.
Yeh badhti umra ke bad twacha mai aane wale ageing ki samasya ko bhi dur
karne mai madad karta hai.
hrelate.com
Shodho
se pata chala hai ki sitaphal ke 10 gram beejo ko rojana nashte mai

You might also like