SUTTAH

You might also like

Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 1

SUTTAH-E-KALMA

Sutteh ki chahat mein, humne jindagi gawa di.

Jindagi ko apni dhooein ki dargah bana di.

Dhooein ka har ek kash maano flashback ka jariya ban gaya,

Sulagti aakhon ko naimat dikha gaya.

Har roj karta hu mein wada yeh apne aap se

Ki na kal phir jalaunga ise

Meinkhano ki talaash mein na phir

Har raat jagaunga tujhe

Phir bhi aadat hai yeh aisi jo talti nahi

Jaise savere ke aage raat ki kabhie chalti nahi

Phir bhi ummeed ki lau baaki hai

Kyonki mujh mein abhi aur aag baaki hai

Karta hu mein intezaar, sulagte armaano ke dhooein hazaar baar.

Ki kaash woh din aayega, jab koi mujhe is sutte se nijaad dilaega

Maut ke saaye mein palte hai jo. woh na maut se, na cancer se darte
hai.

Darte hai toh bus is mehgayee ki is duniya mein badte sutte ke daamo
se darte hai

You might also like