Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 1

Ghazal 7

Falak par ek lamha jagamagakar.


Chala wo noor ka dariya bahakar.

Sadayein de rahe hain paaon uske


Sureele ghunghruon ki dhun sunakar.

Wo geeton mein mere dhalne laga hai


Chalo mein dekhta hun gungunakar.

Lahak si aa gayi hai saaz mein bhi


Gaya hai jabse sur mein sur milakar.

Charagh-e-dil bhi dekho jal utha hai,


Kiya hai roshan deepak raag ga kar.

'Chaman' se kah do bazm-e-gul saja le


Sahar ne di hai dastak muskurakar.

You might also like