Benefits of Aromatherapy in Hindi: Sehat aur Sondarya Ke Liye
Aromatherapy ek aushdhiya upchar prakriya hai. Iss prakriya
ke antargat kai tarah ke poudho se tel nikala jata hai, fir uss tel ka prayog bimariyo ke upchar ke liye kiya jata hai. Iske atirikt iss therapy mai kai tarah ke tel, pani ki bhap, kuch sugandhit mishran aadi ka istemal malish aur nahane ke liye kiya jata hai. Khaskar isme pressure points ki massage ki jati hai jisse sharir ko aaram milta hai.
Benefits of Aromatherapy in Hindi: Sharir Ko Aaram De
Aajkal ki bhagdour bhari jindagi mai kisi ke pass khud ka khyal
rakhne ka wakt nahi hota hai, jiske chalte tanav hona lajmi hai. Aromatherapy ki massage lene se aapka tanav kam hota hai. Sath hi yeh aapke rakt sanchaar mai bhi shayak hota hai.
Tanav-Chinta Dur Kare
Aaj ke samay mai tanav hona samanay si baat ho gai hai. Apni aur apne parivar ki jarurato ko pura karne ke liye, kaam ka itna bojh humare upar aa gaya hai ki humne apne bare mai sochna hi chhod diya hai. Jiski wajah se hamare sharir ko kai mansik aur sharirik samasyao se gujrana padta hai.
Smaran Shakti Badhane mai Sahayak
Yadast kamjor hona bhi ek samasya hai, jo bujurgo mai
bahut adhik pai jati hai. Ya kai logo ko accidental durghatna ke karan bhi memory chali jati hai. Ya kai bar short term memory bimari hone ke karan bhi kuch yad nahi rehta hai.
Dekhiye Benefits of Aromatherapy in Hindi
Upar aapne janaBenefits of Aromatherapy in Hindi. Iss upchar
prakiya ko jaankar aap ghar par ise kar sakte hai. Ya aap chahe to kisi bhi acche spa se bhi ise karwa sakte hai. Yeh aapki khubsoorti ke sath sath sehat ka bhi khayal rakhta hai. Yadi aap aroma tel se massage nahi karna chahte hai to aroma candles ka bhi prayog kar sakte hai. Yeh aapko bajar mai aasani se mil jayegi.