Download as pptx, pdf, or txt
Download as pptx, pdf, or txt
You are on page 1of 8

Dosa Recipes in Hindi: Sabhi Ka

Pasandida Nasta

HRELATE.COM

Dosa sabse lokpriya South Indian vyanjan hai. Yeh khane mai bahut swadisht
hota hai. Yeh bahut hi aasani se aur kam tel mai banaya ja sakta hai. Yeh
protein aur carbohydrate se bharpur hota hai. Yeh dakshin bhartiya vyajan
hone ke bavjud pure bharat mai ise bade chaav se khaya jata hai.
Iss dish ko khane ke diwane bacche se lekar bade aur budhe sabhi hote hai.
Ise nashte, lunch, ya dinner kabhi bhi khaya ja sakta hai. Yeh bajar mai bhi
aasani se mil jata hai parantu hum nahi jante ki wo hygienic hai ya nahi.
Isliye aap apne ghar ke sadasyo ko aapke hatho ka bana hua garam garam
dosa khilana chahti hai, jo ki puri tarah se hygienic to iske liye aapko iski
recipe ke bare mai bhi pata hona jaruri hai. Sari chinta chhodiye, kyoki aaj ke
iss lekh ke madhyam se ha, aapko batane ja rahe haiDosa Recipes in
Hindi. Ise dekhkar ghar par hi banaye lajij dosa aur usko serve kare.

hrelate.com

Dosa Recipes in Hindi: Jane Ise Banane Ki


Vidhi

hrelate.com

Swad Se Bharpur Masala Dosa Recipe in Hindi


Samagri:
3 katori Chawal, 1 katori udad dal, 1 choti chammach chana daal, 1 chota
chammachmethi dana, namak, chammach baking soda,
Masala Banane Ke Liye Samagri:
Aadha kata hua pyaaj, choti chammach haldi powder, chotti
chammach lal mirch powder, namak, 3-4 uble huye aloo, 1 barik kata
hua tamatar, hara dhaniya, 2 barik kati hari mirch, 1 chotti chammach
amchur, 1 chotti chammach rai, 4 choti chammach tel, 10-15 kadi patta.

hrelate.com

Dosa Banane Ki Vidhi:


Masala Dosabanane ke liye ek katore mai chawal aur ek katore mai dal lekar
usme pani dale aur bhigo kar rakh de. Karib 2 ghante bad dono katore mai se
pani nithar le aur chawal ko dardra tatha dal ko barik pees le.
Iske pashchat dono ko ek karke milaye isme thoda namak dale aur ghol ko
khameer banne ke liye raat bhar rakh de.
Ek kadai mai tel garam kare aur usme rai tatha kadi patta, kati hui hari mirch
aur tamatar dalkar tadka lagaye. Fir usme uble aloo dale aur upar se namak,
mirch, haldi, aamchur dale aur maddhi aanch par 5 minute ke liye chalaye.
Dosa banne ke liye tava garam kare aur bane huye ghol ko tave par chile ki
tarah failaye aur ek chammach tel ko dale. Jab dosa halka sunhare rang ka ho
jaye to usme aloo ka bana hua masala bhravan ke liye dale aur dono taraf se
fold kar de.
Aapka masala dosa taiyar hai. Ise sambhar aur chatni ke sath serve kare aur
khaye.
hrelate.com

Plain Dosa Recipe Banane mai Aasan


Plain Dosaya fir ise sada dosa bhi kaha jata hai. Yeh khane mai swadisht hone
ke sath bahut halka bhi hota hai. Isko khane ke bad aap dinbhar tarotaja
mehsus karenge aur isko khane se kisi bhi tarah ki pareshani nahi hogi.
Samagri
3 cup chawal, 1 cup urad dal, 1 chammach namak, 1 chammach methi dana,
tel

Plain Dosa Vidhi


Sabse pehle chawal, urad dal aur methi ko ek katore mai leke 6 ghante ke liye
bhigo de. Ab isme se pani nikal le aur halka sa pani dalkar mixer mai pees
le.Ab usme thoda namak dale. Iss pise huye ghol ko aadhe din ke liye rakh de.
Taaki usme khameer aa jaye.
Iske bad nonstick tave ko garam kare aur ghol ko tave par dalkar gol failaye.
Dose ko dusre taraf bhi tel lagaye aur ise acche se sek le tatha use halke
sunhare rang ka hone de.Aapka plain dosa taiyar hai ab iss sambhar aur chatni
hrelate.com
ke
sath serve kare. Yeh bahut accha snacks hai jise bahut kam samay mai

Rava Dosa Recipe


Rava dosa matlab iss dose ko suji ya rave se banaya jata hai. Iss dose ki khas
baat yeh hai ki ise banane mai khameer lane ki jarurat nahi padti hai. Ise
banane ke liye samagri ko aadhe ghante mai taiyar kiya ja sakta hai.
Samagri
cup suji, cup chawal ka aata, 2 choti chammach maida, choti
chammach jeera, 2 hari mirch kati hui, chutkibhar hing, swadanusar namak,
tel, 2 cup pani.
Rava Dosa Vidhi
Chawal ka aata aur suji ko ek katore mai lekar mila le. Ab isme maida,jeera,
kati hui hari mirch, hing tatha swad anusar namak dalkar milaye.
Ab iss mix samagri mai thoda thoda pani dalkar ghol bana le. Kintu yaad rahe
iss ghol mai gathe na pade. Aur isse 20 minute ke liye dhak kar rakh de.

hrelate.com

Ab nonstick tawa garam kare aur us par tel ki 3 se 4 bunde dalkar thoda pani
ko chhidak de aur tawe ko saaf kapde se poncha le.
Ab taiyar ghol ko tawe par dale aur chile ki tarah failaye tatha dose ko dhimi
aanch par seke aur sunhre rang ka hone de.
Aapka rava dosa taiyar hai aur ise garam garam sambhar aur nariyal ki chatni
ke sath serve kare.

Upar aapne janaDosa Recipes in Hindi. Iss recipe ke dwara aap swadisht aur
lajij dosa bana sakti hai. Jisko khane ke bad aapke bacche aapke fan ho
jayenge. Yeh swadisht hone ke sath healthy bhi hai. Aap chahe to har sunday
alag alag dose ko banakar naye naye dose ka swad le sakti hai.

hrelate.com

You might also like