Download as doc, pdf, or txt
Download as doc, pdf, or txt
You are on page 1of 2

Faraz ke Sher

wo baat baat pay deta hai Parindoun ki misal Faraz


saaf saaf nahi kehta mera sheher hi chor do

Tumhari ek nigah se qatal hotay hain log Faraz,!


Ek nazar hm ko bhi dekh lo k tm bin zindagy achi nahi lagti

Ab use roz na sochoon to badan toot'ta hai Faraz


Umar guzri hai uss ki yaad ka nasha karte

Aik nafrat hee nahi duniya mein dard ka sabab Faraz


MOHABBAT bhi sakoon walon ko bari takleef deti hain

Hum apni rooh tere jism mein he chhor aye Faraz.


Tujhy galay se lagana tu ek bahana tha

Mana k tum Guftago k fun main mahir ho Faraz.


Wafa kay lafz pay atko to humhain yaad kar lena

Zamanay k sawalon ko main huns k taal du faraz,


Lakin nami ankhon ki kehti hai mujhe tum yaad aate ho

Apne hi hote hain jo kil pe war karte hain Faraz


warna gheron ko kia khabar dil ki jaga kon si hai

Tor dia tasbee ko is khayal se Faraz


kia gin gin ke nam lena uska jo behisab deta hai

Hum say bichar kay us ka takabbur bikhar gaya faraz


Har ek say mil raha hai bari aajzi k sath

Us shakhs se faqat itna sa taluq hai Faraz


Wo pareshan ho to humain neend nahi aati

You might also like