Dosto Kaisay Kahun Ujjray Nagar Dekhay Hein Mein Ne Sailab Mein Doobay Huey Ghar Dekhay Hein

You might also like

Download as pptx, pdf, or txt
Download as pptx, pdf, or txt
You are on page 1of 10

DOSTO KAISAY

KAHUN UJJRAY
NAGAR DEKHAY
HEIN 

MEIN NE SAILAB
MEIN DOOBAY
HUEY GHAR
DEKHAY HEIN
EK RAILA THA BAHA LE GAYA SARAY RISHTAY 

JANAY KIS KIS KE GAYE LAKHT E JIGAR DEKHAY HEIN


BASTIAN DOOBTI
THEEN HOTI
THEEN JO KINAR E
DARYA
 
 
KIS TARAH
DOOBAY HEIN YEH
MERAY SHEHR
DEKHAY HEIN
IK QAYAMAT KA
HAY ALAM MERAY
ISS MULK MEIN AAJ

DOOBAY SAILAB
MEIN SAB SHAMS O
QAMAR DEKHAY
HEIN
PEHLAY SAILAB MEIN THEY DOOBTAY MAL O ASBAB
 
 
HUM NE TO DOOBTAY YAHAN SHAM O SAHAR DEKHAY
HEIN
CHHEEN KAR LE
GAYA SAB KUCHH
MERA ZALIM PANI

JO NA SOCHAY THEY
WOH PANI KE
HUNAR DEKHAY
HEIN
SIR KI CHADDAR
BHEE GAI CHHAT
BHEE MERI DOOB GAI

 
KOI SAYA NAHIN
DOOBAY HEIN
SHAJAR DEKHAY
HEIN
AISA SAILAB
SONAMI KO BHEE
DUNIYA BHOOLI

AISAY DARIYAUN
MEIN TOOFAN
KIDHAR DEKHAY
HEIN 
MEIN NE KHAWAR
NAHIN DEKHAY
KABHI AISAY
SAILAB

NA HE DARYUN
MEIN YOUN AISAY
BHANWAR DEKHAY
HEIN
Poem written by

Mr. Khawar Mushtaq Chishti

You might also like