Download as doc, pdf, or txt
Download as doc, pdf, or txt
You are on page 1of 5

Woh cheez jis ne collage main dhoom macha rakhi hai…

us shokh haseena ka naam Allah rakhi hai…

Main Allah rakha hoon, woh Allah rakhi hai…


shayad Allah ne mairay liye bana rakhi hai…

Kehtay hain rakhi hoi cheez buhat kaam ati hai…


is liye to main ne rakhi se laga rakhi hai…

Ab haqeqat to yeah batanay ke liye rakhi hai..


ke rakhi ne raaton ki neend urda rakhi hai…

Yeah kia main ne rakhi rakhi laga rakhi hai…


us rakhi ne to kisi aur se bhi bana rakhi hai

Yeh Larkioon Ki University , Yeh University Ki Larkian


University Ke Gate Se States Tak Hain Larkian
Yeh Larkioon Ki University , Yeh University Ki Larkian

Mana Ke Yeh Haseen Hain


Mana Ke Yeh Zaheen Hain
Hai Larka Agar Ek To
Saath Larkian Bhi Teen Hain
Jeboon Main Larkon Ki Ab Hone Lagi Hain Karkian
Yeh Larkioon Ki University , Yeh University Ki Larkian

Utthna Subha Bahana Hai


Tayar Ho Ker Aana Hai
In Sub Ka Yehi Khuwaab Hai
Ashwariya Ko Harana Hai
Paisoon Se Yeh Kitaboon Ki, Laatien Hain Apni Baliaan
Yeh Larkioon Ki Unversity, Yeh University Ki Larkian
Kashmir Ki Kali Bhi Hai
Africa Ki Jali Bhi Hai
Lakhoon Hain Magroor To
In Main Koi Bhali Bhi Hai
Guzre Gali Se Point To , Khulein Gharoon Ki Khirkiaan
Yeh Larkioon Ki University, Yeh University Ki Larkian

Apna Group Bana Lia


Her Larke Ko Phansa Lia
Jo Kuch Tha In Dimagoon Main
Sub Larkioon Ne Kha Lia
Kese Position Layien Hum , Jadoo Karen Yeh Larkian
Yeh Larkioon Ki University,Yeh University Ki Larkiaan

Hazaroon Ek Hi Naam Ki
Nahin Hain Koi Kam Ki
Rakhne Parhe Hain Naam Ab
Saima A, Saima B, Saima C
Ghar Ayen In Ke Phone To Amma Sunayen Jhirkian
Yeh Larkion Ki University, Yeh University Ki Larkian

Perhai Main Bhi Aage Hain


Larai Main Bhi Aage Hain
Larke Kese Aage Baren
Das Larkian Jo Aage Hain
Larkoon Ki Her Larayi Ka Sabbab Hain Yehi Larkian
Yeh Larkioon Ki University, Yeh University Ki Larkian
Khudaya Hum Ko Maaf Ker
Zehnoo Ko In Ke Saaf Ker
Na Dekhien Hum To Kia Karen
Ab To Hi Kuch Insaaf Ker
Doozaqh Main Hum Larkoon Ko Pohchayen Gi Yeh Larkian
Yeh Larkioon Ki University, Yeh University Ki Larkian
Note:it is just 4 fun
Kuch nahi milta (apni funny poetry)
kisi ki rat ki nendain chura ker kuch nahi milta
kisi ko phone pe gany suna ker kuch nahi milta
use kehna k sehnoon main na jhanky chaatt k oper se
isharo se muhabat ko jata ker kuch nahi milta
agaer ek aadh larrki ho to yeh acha bhi lagta hy......
hazaroon larrkion se dil laga ker kuch nahi milta....
gali se us k jo guzry to aise jaise hero ho ..........
paraye soute main khud ko saja ker kuch nahi milta........
kahin na hath lag jaye ye us k mumy dady ko
you us k rah main number gira ker kuch nahi milta
ary budhy Khuda ka khoof kha kuch to haya ker ly
safeed zulffoon per kala rang laga ker kuch nahi milta...
mujhy ishaq k bemaroon se yahi awaz aati hy .............
ary pagal kisi se bhi nibha ker kuch nahi milta
zama badla tum bhi khud ko badlo ay mery sahil
suna hy ab wafa ko aazma ker kuch nahi milta
Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
Ki jaise tujhko banaya gaya hai mere liye
Ki jaise tujhko banaya gaya hai mere liye
Tu abse pehle sitaaron mein bas rahi thi kahin
Tu abse pehle sitaaron mein bas rahi thi kahin
Tujhe zameen pe bulaya gaya hai mere liye
Tujhe zameen pe bulaya gaya hai mere liye

Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai


Ki ye badan ye nigaahein meri amaanat hain
Ki ye badan ye nigaahein meri amaanat hain
Ye gesuon ki ghani chhaon hain meri khatir
Ye honth aur ye baahein meri amaanat hain
Ye honth aur ye baahein meri amaanat hain
Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
Ki jaise bajti hain shehnaaiyaan si raahon mein
Ki jaise bajti hain shehnaaiyaan si raahon mein
Suhaag raat hain ghoonghat utha raha hoon main
Suhaag raat hain ghoonghat utha raha hoon main
Simat rahi hai tu sharma ke apni baahon mein
Simat rahi hai tu sharma ke apni baahon mein

Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai


Ki jaise tu mujhe chaahegi umr bhar yoohin
Uthegi meri taraf pyaar ki nazar yoohin
Main jaanta hoon ki tu geir hai magar yoohin
Main jaanta hoon ki tu geir hai magar yoohin

Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai


Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai

chupke chupke rat din uska bartan manjvana yaad hai


humko aab tak kapdey doney ka woh Zamana yaad hai

doppher ki dhoop mein kaprey sukhaney ke liye


woh mera khothey pe bhi nangey paoon jana yaad hai

Aa gaya jab sunday ki shab bhi kabhi zikr-e-shopping


woh mera meri biwi se, ATM card chupana yaad hai

saas sasur ki doston ab kya sunao dastaan


sasuraal na janey ka mujhey har ik bhana yaad hai

daru pee ke jab bhi ghar mein aana para mujhey


woh mera dantoon taley, illaichi chabana yaad hai

dekh liya jab bhi kabhi rastey mein kissi dusri ladki ko
Biwi ke gussey ko dekh ker mera tarthrana yaad hai

wakt-e-rukhsat office, Ab bhi yaad aata hai Mujhy


biwi ke pars se car ki chabi churana yaad hai

secound show dekh kar woh mera raat ko ghar deer say Ana
Biwi ka gussay se darwaza na kholna yaad hai

Jub Kabhi Itifaqan taway pey roti jal janay per


woh mera tere belan se sir phorwana yaad hai

Jub kabhi tuj se teree umar poochnay per who tera duppatay main
Sharmana aur 34 ko 17 bata tey huey muskurana yaaad hai

Apni umar chupanay ke liyah who tera munnay ko peetna


Aur Tujhe Mummy nahi baaji bulanay ko kahna yaad hai

haftey baad hi muhh utha ker meihkey cley jana tera


aur mera ghar mein jaddu pochaa lagana yaad hai

khinch lena woh tera salary ka lifafa dafataan


aur tera beautyparlor pe woh passey udana yaad hai

yaad hai begum ab bhi woh tera belan se mujhey pitna


aur baad pitney ke tera woh marham lagana yaad hai

aaye din saley saliyooN ka aana ghar pe mere


woh tera unkey samney mujhey murga bnana yaad hai

shukr hai 'HumTum' teri shaadi nhi hui abhi


shaadi shuda YarooN ka woh, rona rulana yaad hai

You might also like