Geeta Saar

You might also like

Download as doc, pdf, or txt
Download as doc, pdf, or txt
You are on page 1of 1

GEETA SAAR (in the Modern Times)

For All the people braving the hard times in....

Kyon wyarth tension lete ho,


Kisse wyarth darte ho
Kaun tumhein nikal sakta hai.

Resource na nikala ja sakta hai na nikal sakta hai...

Incentive nahin mila, bura hua,


salary cut ho rahi hai, bura ho raha hai
Retrenchment hoga, wo bhi bura hi hoga...

Tum pichla review na hoone ka paschataap na karo


Tum agle review na hone ki chinta na karo
Recession chal raha hai...

Tumhari pocket se kya gaya jo tum rote ho


Tum company ke liye kya project laye the jo tumne kho diya
Tumne aisa kaun sa product banaya tha jo scrap ho gaya...

Tum koi experience le kar nahin aaye the


Jo experience liya company se liya
Jo code kiya company ko diya
Degree le kar aaye, experience lekar chale...

Jo project/product aaj tumhara hai,


Kal kisi aur ka tha parsoon kisi aur ka hoga
Tum isse apna samajh kar magn ho rahe ho
Bas yahi khushi tumhari tension ka karran hai...

POLICY CHANGE company ka rule hai


Jise tum policy Change kehte ho! wahi to trick hai...

Ek pal mein tum millionare ho jaate ho


Doosre hi pal mein tum stipend par aa jate ho...
Review, increment etc. etc. man se hata do, vichar se mita do
Phir company tumhari hai, tum company ke ho...

Na yeh Increments tumhare liye hain, na tum iske kabil ho


Yeh chamchoon ke liye bana hai, aur unhin ko milega...
Parantu job secure hai, phir tumhein tension kyon hai
Tum apne aap ko Company ko arpit karo

Yahin sabse bada Golden Rule hai...


Jo is Golden Rule ko janta hai
Wo review, incentive, recession se sarvada muqt hai.

Cheers!!!!

You might also like