Download as doc, pdf, or txt
Download as doc, pdf, or txt
You are on page 1of 3

Intezar Koun kare…

Ishq Ka intezar Koun kare


Toot kar itna Pyaar Koun kare

Ruthe Aise Me Ke Hum Bhi


Minnatein Ab Hazar Koun Kare

Niyamatein Beshumaar Hain Usski


Zoq-E-Sajda Shumaar Koun Kare

Dil Bhi Janat Hai Apni Duniya Me


Hashr Ka intezar Koun Kare

Pyaar Ki Aag Me Hain Parwane


Aisi Takleef Yaar Koun Kare

Faqeer Bhi Shahinsha Hai Duniya Ka


Raham Ab iqtiyar koun kare

end

Apnay Hontoon Per Sajana Chahta Hoon


Aa Tujhey Mein Gungunana Chahta Hoon

Thak Gaya Mein Kertey Kertey Yaad Tujh Ko


Ab Tujhey Mein Yaad Aana Chahta Hoon

Koi Aansoon Teray Daman Per Gira Ker


Boond Ko Mooti Banana Chahta Hoon

Had Se Bhar Gaye Itni Be Aitemadi K


Tujh Ko Tujh Hi Se Chupana Chahta Hoon

Aakhari Hichki Bhi Teray Zanoon Pe Aaye


Maut Bhi Mein Shairana Chahta Hoon

End
Badi Gahri Udasi Hai,Mohabbat Aaj Pyasi Hai,
Gar Ulfat Kuch Bhi Baaki Hai To Mujhse Milne Aa Jao

Jab Tere Yaad Aati Hai To Ek Tufaan Laati Hai


Mager Tumko Nahi Laati Ye Khaali Hath Aati Hai

Meri Ujadi Muhabat Per Kabhi Khushiya Mana Jayo


Gar Ulfat Kuch Bhi Baaki Hai To Mujhse Milne Aa Jao

End

Gulshan Ki Baharon Mein


Rangeen Nazaron Mein

Jab Tum Mujhe Dhundhoge


Ankhon Mein Nami Hogi

Mehsoos Tumhe Har Dam Phir Meri Kami Hogi


Aakash Pe Jab Tare Sangeet Sunayenge

Beete Hue Lamho Ko Ankhon Mein Sajayenge


Gamgeen Ghataon Ki Jab Chaon Ghani Hogi

Mehsoos Tumhe Hardam Phir Meri Kami Hogi.


Jab Naam Mera Loge Tum Kaap Rahe Hoge

Aansun Bhare Daman Se Moonh Dhaak Rahe Hoge


Mahaul Ke Chehre Par Jab Dhool Jami Hogi

Mehsoos Tumhe Hardam Phir Meri Kami Hogi.


Sawan Ki Hawaon Ka Jab Shor Sunoge Tum

Bikhre Hue Maazi Ke Aur Aake Chunoge Tum


Tanhaii Ke Sholon Se Jab Aag Lagi Hogi

Mehsoos Tumhe Har Dam Phir Meri Kami Hogi.


Gulshan Ki Baharon Mein

Rangeen Nazaron Mein


Jab Tum Mujhe Dhundhoge

Ankhon Mein Nami Hogi


Mehsoos Tumhe Hardam
Samandar nay kaha……..
Mohabbat samandar key gehraiyo may chepie hoe eik seepe hai.. Jiss may
chahat jessa anmol moti mojood hai.

Baadal nay kaha ……..


Mohabbat eik ~dhanak hai . Jiss may har Rang Nomaya hota hai…

Shairy nay kaha……..


Mohabbat eik esse ghazal hai ,, Jo har eik sunay walay kay dil may
uttar te chali jate hai …

Saaz nay kaha ……..


Mohabbat eik essa geet hai .. Jo Dil may uttar jata hai ..

Malee nay kaha……..


Mohabbat gulshan kay phool key woh dilkash khusboo hai… Jiss may sara
gulshan mehak uttah hai…

Ankhon nay kaha ……..


Mohabbat ansoo ka samandar hai.. jo kisse kay intezar may khamoshi say
behta hai…

Dil nay kaha ……..


Mohabbat kisse ko Khamoshi say chahay janay ka naam hai… kay aakhire
waqt bhee Izhar na kiya jay…

Naseeb nay kaha ……..


Mohabbat wala duniya ka khush Kismat tareen insaan hai .. Aur jiss kay Dil may
Mohabbat nahin… Woh duniya ka Badd Tareen shakhs Hai…

Nafrat nay kaha ……..


Aakhiri Jeet Mohabbat ki Hoti hai……………

Aur hum nay kaha ……..


Jo hum se bahut dur he wo Mohabbat he……….

You might also like