Download as txt, pdf, or txt
Download as txt, pdf, or txt
You are on page 1of 1

Koshish karne walon ki kabhi haar nahi hoti a poem by Dr.

Harivansh Rai Bachchan

Lehron se Darkar Noka paar Nahi hoti. Koshish karne walon ki kabhi haar nahi hot
i
Nanhi chinti jab Daana Lekar chalti hai. chadti Deewaron par so(100) baar fisalt
i hai.
Mann ka vishwaas Ragon mein sahas bharta hai.
Chadkar girna girkar chadna naa akharta hai.
Mehnat uski bekar har baar nahi hoti.
Koshish karne waalon ki Kabhie haar nahi hoti dubkiyan samundar mein gotakhor lag
ata hai.
Ja ja kar khali haath laut kar aata hai.
Milte na sehaj hi MOTI gehre paani mein.
Barta dugna vishwaas issi heyrani mein.
Muthi uski khaali har baar nahi hoti.
Koshish karne walon ki kabhi haar nahi hoti asafalta ek chunoti hai sawikaar karo
. kya kami reh gayi dekho or sudhar karo.
Jab tak na safal ho neend chain ko tyago tum. sangharshon ka maidan chhor na bha
go tum.
Kuch kiya bina hi jai jai kaar nahi hoti.
Koshish karne walon ki kabhi haar nahi hoti..

You might also like