Download as doc, pdf, or txt
Download as doc, pdf, or txt
You are on page 1of 6

zakir naek eak haq’dushmun ratu tota

Sawal paida hota hai kah kya Hussain saman-e-jang aur la-o-lashkar
lay kar jang kay liay rowana howay thay ya phir oon par zamein tang
kar di gae thi aur majborun woh apnay Nana Hazour ki sonnat
nibhatay howay hijrat karkay gay thay?

Kya woh os alaqa ki taraf khud say gay thay ya onhain bolaya giya
thay?

Kiya yazeed safaq zalim bai’insaf baad’kidar Insan dushmun


baad’diyanat na’hanjar aur na’ehal shakhas nahain tha ?

Agar aisay kirdar kay logoun ki hamaet karma aur oon kay kisi
moamlay main madad karna ya jaez samjhna jaez hai?

Agar jaez hai to solaihain aisay logoun kay khalaf kayoun aawaz othay
rahay aur oon kay es fael ko achi nazroun say kayoun daikha jata hai?

Aaj bhi jahaan yah surat hoti hai khud zakar naek (bazarhir sahi) os ki
mokhalfat karta hai. Os nay khulay lafzoun main amrikha ko
dehshat’gard kaha. Agar yahhi paimana hai to os kay pas es qisam ki
batoun aur zobani kalami biyan’bazi ka kya jawaz hai?

Hor ko mout nazar aa rahi thi likin os nay zindgi aur jah-o-hashmat ka
rasta chour kar mout ka rasta kayoun ekhtayar kya?

Aaqa Kareem (Aap par un’haad Daroud aur Salam ho) kay qareeb
koun tha aur oon donoun main Aap Kareem (Aap par un’haad Daroud
aur Salam ho) kay deen par behtar tour par chalnay wala koun tha?

Koun khalafat ko maloqiat kay qareeb la raha tha?

Kis nay mosalmanoun ki safoun main darar dali ya daal raha tha?

Yazeed ka koe aisa kaam jo Allah ko kush karnay wala aur os ki marzi
(Quran) kay motabiq ho to zakar zaek os ka jawala paish karay aur
koe aisa kaam jo hobal ko razi karnay wala ho Hussain kay khatay
main dikhya ja’ay to hi zakir naek ki baat samjh main aa sakti hai?

Oon donoun main jahil koun tha aur insan ko jahalat aur safaqeet,
khud’gharzi, mofad’parasti moashi qatl waghera ki taraf lay ja raha
tha?
Jin soalaihain nay yazeed ko gher’haq qarar diya sab gomrah thay ya
hain?

zakir naek kay kombay ka koe shakhas Karbala main shaheed nahain
howa es liay woh mosalmanoun kay dard say aur sachae say kaisay
waqif ho sakta hai.

Gher moslim to gher janib’dar kahay ja sktay hain onhoun nay


moamlay ka tajziya kartay howay Hussain ko gher haq kayoun qarar
nahain diya. zakir naek to en gher mosalim logoun say bhi giya gozra
nikla jo sach aur jhout ki tameez nahain janta. Aisay shakhas ki kisi
baat par kis tara kis botay par yaqeen kar liya ja’ay. Ya ossay moslim
qarar day diya ja’ay. Mosalman Alim kisi sata par danista baad
diyanat’dari ka shakaar nahain ho sakta. Namazain par lainay roza
rakh lainay aur sar par topi rakh lainay say koe mosalman to nahain
ho jata. Yah kaam to monafaq bhi kiya kartay thay. Gher mosalim
jasous bhi jasusi kay hawala say yah donoun kaam kartay aa’ay hain.
Woh dahri bhi rakhtay hain. Kiya en omour kay hawala say onhain
mosalim kehna wajib aur jaez ho ga…..Nahain bilkul nahain. zakir naek
bhi kuch essi qisam ka shakhas lagta hai. Olma par faraz aed hota hai
kah Woh khouj lagain zakir naek apni asal main koun hai? woh
yaqinun kisi gher moslim qowat ka gher moslim kirdar hai. Yaqeen say
kaha ja sakta hai agar diyanat’dari say khouj lagya ja’ay to os kay jaili
moslim honay ki qalae khul ja’ay gi.

Paitu hat’dharam aur zidi mazahib kay olma taj ka sath daitay aa’ay
hain. Oon kay nazdeek jo taqatwar aur fata par fata hasal kiay jatay
hai wohhi darust aur sacha hai. Yaqinun zakar naek kay pas bhi yahhi
paimana hai. Essi bonyad par woh aur es qamash kay log es qism ki
baad’niyati aur baad’diyanti par mabni batain kartay hain. Woh to
Akbar badshah ko bhi azeem mosalman badad qarar daitay hain
jab’kah Akbar ka apna diya howa deen tha haan naam albatta
mosalmanoun ka sa zarour tha. Taqat aur eqtadar ko darusti ka
paimana nahain banaya ja sakta warna ambya shohada solaihain
waghera bhi es ki zad main aa jaein gay.

Eak shakhas far far angraizi boul laita hai kya os ko es kamal kay
hawala say angraiz ya kamal ka parha likha kaha ja sakta hai. jawab
yaqinun nafi main ho ga. yazeed kay hath main haqumat ka bataira aa
giya kya woh es batairay kay hawala say pak saaf Ganga nihaya sacha
socha aur haq’parast mosalman ho giya aur jis nay sachae aur rasti
kay liay apni aur apnoun ki jan tak day di woh (Allah mujhy moaaf
farma’ay) ghalt aur haq say hat kar ho giya?!
Agar dalael hi sab kuch hotay to insan ka mazhab aur nazriya eak
hota. Koe aur cheez bhi hai jo zindgi say mout ki taraf lay aati hai aur
yah eash hi hai.

Daktar seraf ossai ko kehtay hain jis nay Doktrait ki digri hasil ki ho.
Orf-e-aam main dawa daru say her ta’alaq rakhnay walay ko daktar
kehtay hain. Jis nay MBBS ki sanad hasil ki ho woh daktar nahain hota.

Jo shakhas es bariki say aaga nahain hai woh to her dawa daru
bachnay ya dawa daru ki digri walay ko daktar keh lay to baat samjh
main aati hai likin jo janta hai kah woh daktar nahain hai phir bhi
daktar kehla’ay kiya yah baad diyanti nahain hai?

zakir naek khud ko daktar kehlata hai aur janta hai kah woh daktar
nahain hai. Eak baad’diyanat ki baat ko darust kis tara maan liaya
ja’ay? Yahaan to pishab say koe tilak kar mar ja’ay woh shaeed jabkah
Hussain Haq aur Rasti kay liay maqtoul howay woh shaheed nahain.
Goya darust woh hai jo apnay ehad ka sab say bara baad’kirdar tha.

zakir naek janta hai kah woh seraf aur seraf hafzay ka taiz tota hai
phir bhi alim kehlata hai ya ossay kaha jata hai. Wah kya baat hai es
galay saray aur baadbu’dar mordar nazriay aur insaf ki.

zakar naek nay aaj tak koe nae tehqiqi cheez nahain di os kay pas to
pehlay say mojoud malomaat ka zakhira hai aur es zakhiray ko dakh
son kar ballay ballay aur jay jay kaar ki ja rahi hai. Koe nae tehqeeq,
nae toze ya tashreh paish kary ta’kah tehqeeq kay midan main farakhi
aa’ay aur insan ki bhalae bhi ho. Totay ki tara rata howa sabaq far far
bolay janay say ya zobani hawalay diay janay say tehqeeq ko koe
faeda na ho ga. Jin kay pas ilm aur aaghi ki kami hai woh samjh rahay
hotay hain kah zakir naek bara kaam kar raha hai. woh shakas kiya
bara kaam karay ga jissay sach aur jhout main tameez karna nahain
aati. jo shakhas khotay aur ghoray main faraq nahain kar sakta os ki
baat par yaqeen karna eman aur insan dushmni kay motradif
hai??????????!
Mein darasl yah arz karna chahta houn kah tarikh ko daikhnay
samjhnay parkhnay aur paish karnay ka rovaeya kitna bhiyanak
gomrah’kon aur gona’gar sa ho chala hai aur jah’parasti main shakhas
kis haad tak apni asl say gir jata hai. woh janib’dari main sach ka kis
tara gala ghount daita hai. Woh jannay ki koshesh hi nahain karta kah
woh hiwaniat ki kis sata par aa giya hai. Tarikh ko jannay, samjhnay,
parkhnay aur paish karnay ka yah amal tabahi aur haq’koshi ki taraf
lay jata hai.
 
Gomrahi kisi bhi hawala say sehhat’mand cheez nahain. Aap daikh
rahay hain ghalt biyani kay natija main kitna lahu baha aur lahu
behnay ka yah amal abhi tak apnay ekhtatam tak nahain poncha. Aap
tarikh ko daikhtay hain jah’parasti hi sab say holnak cheez rahi hai. Es
main ab tabdili aa jani chahiay. Ehad-e-rafta ho ya dour-e-hazar,
tamam hakumti adaray yahaan tak kah adliya bhi badshah hi ki
jotioun main panah laiti rahi hai. Es baat ko youn bhi kaha ja sakta hai
kah adaray hakumat bachao kay liay tashkeel diay gay hotay hain.
Aap ko maloum ho ga; koe arsa daraz ki baat nahain, kal parsoun ki
baat hai, Tipu kay pas mout kay elawa bhi dou aur rastay mojoud thay
woh sorang kay zariay farar ho sakta tha ya phir haith’yar daal sakta
tha likin os nay mout ka rasta montakhab kiya. Ab aap os ko
bai’waqouf kahain gay likin mard aisa hi kiya karatay hain aur essi
main oon ki izzat poshida hoti hai ya youn keh lain essi hawala say hi
onhain mard kaha jata hai.

Kiya aap baroni qovatoun kay gamashtoun ko Tipu say bar’tar ya os


kay barabar ka samjhain gay ?

Kiya aap Rana Sangh’ram ya phir Raja Poras ko das’bhagti kay hawala
say kam’tar qarar dain gay?
 
Es main koe shak nahain kah woh shakast kha gay likin her
insaf’pasand onhain parnam hi karay ga.

Kuch aisi hi surat aur logoun kay sath mojoud rahi hai. Aurangzaib
chounkah mosalman tha es liay aap ossay acha aur behtar qarar dain
gay? Go’ kah os ka baap Shajahan essi laeq tha jo os kay sath howa
ya kiya giya likin Aurangzaib nay koun sa teer mar liya? Os nay jo
kuch kiya sab khoub khoub jantay hain.
Eak Goru Sahib os kay hatoun maray gay.
 
Itni bari hakumat barbad honay aur tafreeq-o-nafaaq ki bonyad os nay
rakh di.
Hum es liay ossay sacha kartay rahain kah woh mosalman badshah
tha to yah kahaan ka insaaf ho ga. Diskashan karnay ki baat to yah
hai kah tarikh ko samjhnay, jannay, parkhnay aur paish karnay ka
nahaet bora rovaeya jo sadyoun say chala aata hai aur aaj jab’kah
taraki ka dour kehlata hai, es dour main to tarikhi hawaloun ki tafheim
main tabdili aani chahiay.

Agar aap kay khayaal main es tehreer main kehnay ki koe baat nahain
to aap janay dain jis ko koe baat nazar aa’ay gi woh zarour es
moamlay ko sanjida lay gay ya phir aap kay pas ziyada say ziyada es
tehreer ko daleet karnay ka ekhtayar hai, aap os ka ba’khobi estamal
kar saktay hain.
 
Read more: http://www.funonthenet.in/forums/index.php?
topic=200744.0#ixzz1FEvjawMl

Farmaeay,
kya kehtay hain Olma-e-Haq es ratu totay
kay baray main?!

You might also like