Otho Aur Insan Bachao

You might also like

Download as doc, pdf, or txt
Download as doc, pdf, or txt
You are on page 1of 4

Dard walo!

Otho aur insan bachao

Insan ba’khoubi janta hai kah eak roaz ossay marna hai aur donya ka
maal doyan main hi chour jana hai. jab woh mar ja’ay ga os ka maal
os kay kuch kaam nahain aa’ay ga aur nahi woh log jinhain woh apna
samjh raha hai os kay sath jaein gay. Os kay janay kay baad sab kuch
hasab-e-sabiq chalta rhay ga. os kay apnay khaein piain aur gaein gay
bhi aur apni nasl ko barahaein gay. Kabhi kisi baat kay hawala sa say
ossay yaad kar lain gay warna shaed woh kisi ko yaad tak na rahay.
Yah zinda logoun ki zindgi kay hawala say majbori hopti hai. oon kay
pas apni tarjihaat hoti hain.

In omour ko jantay howay bhi insan donyan ko sab kuch samjh baithta
hai. zindgi kay tamam hawalay apni zaat tak mehdoud karnay ki tak-
o-dou main zindgi gozar daita hai. Woh es main kisi aur ko shareek
karma kofr khayaal karta hai. Kisi aur ki shirkat ossay sakht na’kush
aur na’gowar gozarti hai. Bari chalang lagay ga to zindgi ko apnay
pariwar tak khuol day ga likin wahan bhi bukhal say kaam laita hai
zara aagay bharta hai to zindgi ko konba, qabila, alaqa, rang nasal,
zaat paat, nazriya, mazhab waghera tak hi mehdoud rakhta hai. Woh
samjhta hai kah os kay bana’ay hisaar say bahar jo bhi hai kira
makora hai, insan nahain. Os kay hisaar say bahar kay logoun ki
zindgi, ana, jazbaat, ehsasaat, maal, jan, izzat koe maeniviat nahain
rakhtay.

Insan nay apnay bana’ay howay hisaar kay andar bhi bohat saray
chotay chotay daeray khanch rakhay hain. Goya insan makhus
daeroun say motalaq logoun say dilchaspi rakhta hai. En daeroun say
dour kay log kisi bhi surat main insani haqouq kay mostahiq log nhain
hain aur onhain moash, moashrat, nazriay, mazhab, izhar-e-ra’ay
waghera ka haq milalay ya na milaly khair hai koe baat nahain. Haan
os ka aur os kay dareray say motalaq logoun ka haq ghasab nahain
hona chahiay. Yah nazriya aur soch khuli insaniat ki tohein hai. Es
qisam ka rovaeya soch, andaz aur amal kisi bhi hawala say darust
nahain.

Es monafiq aur khud’gharz ehad main jo log insan aur seraf insan say
motalaq sochtay hain yaqinun bohat baray log hain. Mein mazhibi aur
siyasi logoun ko sonta aur parhta rehta houn. Woh sab zaat kay qaidi
nazar aatay hain. Koe kahein aur kisi par bhi zulm rava rakhta hai os
ki mazmat hi nahain os ka mohasba bhi hona chahiay. Ossay es liay
moafi kay khatay main nahain rakha jana chahiay kah woh falaan
makhus tabqay qabilay alaqay ya phir nazriay ka admi hai.

Essi tara jab kisi say pusha jata hai kah aap koun hain to woh batata
hai kah mein hindu houn, sikh, mosalman, esae waghera houn. Baat
yahaan tak hi mehdoud nahain yah taqseem ka amal es say kahein
aagay bhar giya hai. mosalmamoun ko hi lay lain jo mosalman kam
wahabi, barailvi, hanfi, devbandi, jamati, nadvi, shiya waghera ziyada
hain. Mein nay to yahaan tak daikha hai kah agar dosray mazhab ka
koe masjid main aa kar namaz parh laita to woh farash tak okhar
daitay hain. Eak alama sahib jo ab Allah kay ehsan aur karam say
marhoum ho gay hain farmaya kartay thay agar konvain main kota gir
ja’ay to itnay bokay nikal kar pani saaf kiya ja sakta hai likin kisi
wahabi kay gir janay say konvaan paak saaf nahain hota balkah
konvaan hi pour daina chahiay. Essi tara wahabi hazrat ki kartoutain
daikhain to shadeed sharmindgi aur dukh ka samna karna parta hai.
Yah her os baat ya Hadees ko darust mantay hain jo oon kay aqiday
say mail kha rahi hoti hai. yah log to haad darjay kay ziddi aur
hat’dharam sabat hotay hain. Goya insan tisri sta par chala giya hai
yaeni pehlay soni wahabi waghera phir mosalman aur os kay baad
insan. yah eak dosray ko doshnam kartay hain. Yahhi nahain eak
dosray ko kafar tak keh jatay hain.

Mazahib kay olma nay Deen ko baap ka maal samjh rakha hai aur es
ki jarain roti say jour di hain. Yah log barsar-e-aam eak doray ko bora
bhala kehtay hain. Eak dosray kay jazbaat ko thas ponchatay hain.
Apnay kehay ko sach sabat karnay kay liay dalael kay ambaar laga
daitay hain. Agar monh say nikal giya kah hathni anday daita hai to es
baat ko sabat karnay kay liay zamein aasman eak kar daitay hain.
Onhain es baat say koe kaam nahain hota kah hatni kiya daiti hai.
chounkah oon kay monh say nikal giya hota hai hathni anday daiti hai
lihaza yahhi haqiqat aur yahhi donya ki sab say bari sachae hoti hai.
Mein en batoun ko daikhtay howay aksar sochta houn kah yah eak
dosray ko kafar qarar daitay hain to phir mosalman kahaan aur koun
hain?!

Aaj tamam mazahib kay log khasusan mosalman donyaan main zaleel-
o-khar ho rahay hain. Inhain aur qomoun say kahein ziyada in ki
kartotoun kay sabab litar par rahay hain. Es zillat-o-khari ki dou vajo
samjh main aati hain:

1- Her kisi nay apni dhar eint ki masjad bana rakhi hai hai aur
woh essi ko darust qarar dainay par tola howa hai. yahhi
nahain es moamlay main aourun ko khatam kar dainay ki
thanay howay hai. Taqseem kay amal nay insan say os ki
insaniat chein li hai.

2- Insan ki taqseem kay natija main jah aur maal pasand log,
logoun kay moash aur moashrat ka satyanas maar rahay
hain.

Es dour main zarourat es amar ki hai kah insani haqouq kay taiky’dar
insan ko in moash’dushman jonkoun say bachaein aur tafreeq kay
amal ko rokain. Gonda qovat jo auroun ko to paband karti hai likin
ossay apni pabandi qaboul nahain. Adaroun ko taqat say aazad
karanay aur onhain oon kay daera-e-kaar main kaam karnay ki ijazat
milni chahiay. Onhain es kay liay tein hawaloun say kaam karna ho
ga:

a. logoun ko yah bawar karwanay ki zarorat hai kah woh kuch bhi
honay say pehlay insan hain aur her insan barabar hai. Essi tara
her insan ka dosray insan par haq faeq hai. Dukh takleef ya
mosibat main koe bhi ho os ki madad karna hi insaniat hai.
b. Moashi jonkoun kay liay joun’mar dawa bananay ki sae ki jani
chahiay.
c. Siyasisi aur mazhabi logoun ka daera tang kiya jana chahiay
ta’kah woh insan ko taqseem na karain.
d. Her koe apnay mansabi kaam tak mahdoud rahay. Zarori hai kah
woh pehlay sochay kah ossay kiya karna hai es kay baad woh os
paishay ko ekhtaiar karay. Bai’shumar daktar, anjiniar waghera
malain gay jo nach ganay, iqtadari dafatar, mazhab say
monsalik ho kar os shubay kay mamay khan banay howay hain.
Jo yah mazhab ya khidmat day rahay hain insan ko es ki
zarourat nahain. Eak shakhas kansar ya phir aids main mobtala
hai woh nach ganay taqareer, siyasat ya mazhab ko kiya karay
ossay dawa ki zarouat hai jo en kam’kosoun nay taiar hi nahain
ki aur nahi es janib en ki koe tovajo hai. insan ko aaj insan
bananay ki zarourat hai na’kah wahabi soni shiya bananay say
koe matlab hai.
e. Ghonda qovat ko lagam di ja’ay aur insani akhat main os ki ra’ay
bhi dosroun kay barabar honi chahiay na’kah sab ki ra’ay ko vito
ka estamal karkay haraf-e-ghalt ki tara mita kar rakh day.

Agar insani haqouq kay dae aisa nahain kartay ya kam az kam es
qisam ki aawaz nahain othatay to phir onhain insani haqouq kay
daway aur nambar’dari say alag ho jana chahiay Ba’surat digar log
samjhnay par majbour ho jaein gay kah yah bhi khali zoban kay dhani
hain amal sach aur haqiqat say en ka koe ta’alaq wasta nahain.

Paiat’pojari logoun ko mairi batain talakh lagi houn gi likin zara giriban
main monh daal kar to daikhain onhain maira kaha sach dikhae day
ga. Onhain es jahan main wah wah aur jay jay kaar to mil ja’ay gi likin
qiyamat kay rouz oon kay galay main baad’nasibi ka touq ho ga yahhi
nahain aati naslain oon par phatkar aur lantain bhaijain gi.

Otho otho,

Dard walo Khuda kay liay jago aur insan bachao agar aap nay apni se
koshesh na ki to na’seraf apnay sath ziyadti karo gay balkah aati
nasloun par bhi oon kay Na’karda gonahoun kay hawala say zulm dhao
gay.
Otho aur insan bachao mohim shuru kar doo.

You might also like