Kuchh Baaten Bhooli Huyi

You might also like

Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 2

“KUCHH BAATEN BHOOLI HUYI, 

KUCHH PAL BEETE HUYE. 


HAR GALTI KA EK BAHANA, 
AUR PHIR SABKI NAZAR ME AANA, 
EXAM KI POORI RAAT JAGNA, 
PHIR BHI QUESTION DEKH KAR SAR KHUJLANA. 
MAUKA MILE TO CLASS BUNK KARNA, 
PHIR DOSTO KE SATH COFFEE PINE JANA. 
USKI EK JHALAK DEKHNE ROJ COLLEGE JANA, 
AUR DEKHTE DEKHTE ATTENDANCE BHOOL JANA. 
HAR PAL EK NAYA SAPNA, 
AAJ TO TUTE PHIR BHI HAI APNA. 
YE COLLEGE KE DIN, 
IN LAMHO KO ZINDGI MEIN JEE BHAR KAR JEELO, 
PHIR KAL YAAD KARKE MUSKURANA ………”

Abhi kuch der pehle hi to....


kab kahaa aur kaise hum mile the,
bade hi khoobsurat wo lamhe the,
abhi kuch der pehle hi to hum saath chale the,
naa hi hame kuch shikwe aur gile the.

abhi kuch der pehle hi to

din par din rahe the beet,


chali aa rahi thi woh reet,
ki karte the hum sabse preet,
aur gaate the woh sunder geet.

abhi kuch der pehle hi to

beet gai woh saawan ki fuhaare,


ha beet gai woh sheet ki lahre,
mil ke humne the woh din guzare,
dekhte hooye college ke nazaare.

abhi kuch der pehle hi to


woh canteen pe ikatthe khana,
woh ek duje ka roothna manana,
woh Electronics ki class samajh na aana,
yehi to tha hamari zindagi ka fasaana.

abhi kuch der pehle hi to


log kehte hai ki hamein ab jaana hai,
par yaaron maine to ye maana hai,
ki abhi to hamein ye rishta nibhaana hai,
kyonki yehi to asli dostaana hai.

abhi kuch der pehle hi to

Multani yarYeh Student Ki pehchan Hai


Hath main Cigrette Moo Main pan hai
Mashoor yeh Shaitan hai
Yeh Student Ki pehchan Hai
Parhna iSey aata nahi
Class kabhi jata nahi
Canteen iS ki jaan hai
Yeh Student Ki pehchan Hai
Jalson main Sab Se aagey hain
Naron main Sab Se aagey hain
Imtehaan main naqal iS ki aan hai
Yeh Student Ki pehchan Hai
Larkiyon ke peechey hai Para
Jo larki ghussa ho zara
Tab yeh banta Bhai jaan hai
Yeh Student Ki pehchan Hai

Khush hoon k kya Pal tha woh


Aaj bhi saath hai,kya sach mein kal tha woh
Ek besudh zindagi,mast si har sham dhalti thi
Khushio ka samaa,hawa paayal baandh chalti thi
Dosto ki yaad hain har baat woh mujhko
Gaate,bajaate guzri har raat woh mujhko
Din mein ghumne-phirne se kab fursat thi
Raat mein padhte huwe chai peene ki aadat thi
Sunday to der tak so kar hi guzarte the
Monday ko jaldi uthne ki,mushkil se koshish karte the
College jana to jaise ek choti mulakat thi
Phir se class bunk ,aaj movie jaane ki baat thi
Mauj karte huwe din jaldi se guzarta tha
Hostel aane mein jane kyun late hi hota tha
Bekhauf se jeete the,khud me khoye rehte the
Kabhi ladte bhi the,aur der tak rote the
Raat karwato mein,khuli aankho se sote bhi the
Lunch se pehle hi canteen chale jaate the
Waha se class phir shayad hi laut pate the
Do dosto ka woh saath,Kitna yaad aata hain
Wo guzra haseen waqt,aankhe nam kar jata hain
Wo guzre lamhe,kuch adhure se pure sapne
Naa lautegi jo raahein,kuch log apno se bhi apne
Manzil ko bhul gaye,Itne haseen raaste the
Manzil pe bichad jaege,ye bhi hum jaante the
Samjha lege dil ko,har roz sochte the
Par woh khushnuma,khwaabo ki duniya
Kaise bhula doon aakhir........
Jahan hum kitna KHUSH rehte the

You might also like