Download as rtf, pdf, or txt
Download as rtf, pdf, or txt
You are on page 1of 1

kahan aa ke rukte thay rastay kahan morh tha usay bhool ja

jo mil gaya ussay yaad rakh jo nahi mila usay bhool ja


wo tary naseeb ki barishain kisi or chat pe baras gain
dil-e-bekhabar meri baat sun usay bhool ja usay bhool ja
mein to gham tha tairay khayal mein teri aas mein teray gumaan mein
sabah keh gai mairay kaan mein mairay sath aa usay bhool ja
kisi aankh mein nahi hai ashk gham taray baad kuch nahi hai kam
tujhe zindagi nay bhula diya to bhee muskura usay bhool ja
na woh aankh teri hee aankh thee na khawab tera khawab tha
dil-e-muntazar to yeh kaisa tera jaagna usay bhool ja
woh jo bastay jaan hi ulat gaya woh jo rastay se hee palat gaya
usay rokne se hasil kya usay mat bulaa usay bhool ja
tujhe chaand ban ke mila tha jo tere sahilon pe khila tha jo
woh tha ik darya wasaal ka so woh utar gaya usay bhool ja

You might also like