Download as doc, pdf, or txt
Download as doc, pdf, or txt
You are on page 1of 1

DAD kaa Aam kaa ped our Gilhari...

by Abhay Kumar Gupta on Saturday, 21 May 2011 at 21:33 DAD kaa Aam kaa ped our Gilhari...

Bageeche me aam kaa ped hai, dad ne lagayaa tha shaayad goloo ki age kaa hi hai, fal detaa nahi par ham kaatate nahi use, kai baar bolaa to dad ke chehare ne naa bol diya, dad kabi bhi muh se naa nahi bolate, dad ka cheharaa naa bolataa hai chaahe bhale hi words me yes ho. Us pe bahut si gilahariyaan rahati hain 100 se b jaadaa, aam ki koi daali nahi bachi jis pe, kisi gilahari kaa ghonsalaa naa ho, din bhaar gilahariyaan aam ke sir pe, kandhon pe, haathon pe, aam ki chaati pe dhamaal machaati rahati hain, badaa achhaa lagataa hai, ek bahut hi pyaara wishwaas mahsoos hua, jo aam our gilaharioyn ke beech jeevan ki shakl le chuka hai, Aam ke ped ko maine kabhi hilate nahi dekhaa, aam jaanataa hai ki agar mai hilaa to naa jaane kitane ghonsale toot jaayenge. Aandhee our toofaan me bhi aam, apani sabhi daaliyon se kas kar ghonsalon ko baandhe rahataa hai ki, mujse jude sab gilahariyaan safe and khush rahen.AAm kuch nahi kahataa apani baat, chup chaap khadaa rahataa hai our gilahariyon ke dhamaal kaa aannand letaa rahataa hai. shaayd dad ko bi aam ke ped ko kaatanaa

isiliye achhaa nahi lagataa, kynki itani saari gilaharion kaa ghar jo ban chukaa hai dad kaa lagayaa hua aam, jo ab fal to nahi deta par jeevan ko safety and khushi de rahaa hai. No words to say thanks to dad..binaa bole dad ne aam ke ped se muje jeevan kaa sabse badaa sabak sikhaa diya. I can just say...LOVE U DAD

You might also like