Download as txt, pdf, or txt
Download as txt, pdf, or txt
You are on page 1of 1

kul washigton shehr ki hum nay seir buhat ki yad goonj rahi thi sab dunia main jis

ki jay jay kaar mulko mulko hum ghoomay thay, bunjaaron ki misl laikin is ki sujdhuj suchmuch dildaron ki misl roshnio kay rung bahain yun, rasta nazar na aye man ki aankhon wala bhi yaan andha ho ho jaye Unchay baam, chiragan rastay, roop bharay bazar jagti aankho say dekha hay khuwabon ka sansaar aik safaid imarat jis ki nagar nagar main dhoom Andar dunia bhar ki kaalak, bahir se masoom Yehi safaid imarat jis main buhat burri sarkar yahin karain sodagar choti qomon ka beupaar yehi pe jadogur betha jab kahin ki dor hilaye har basti nagasaki herosheema ban jaye is safaid imarat say kuch door hi ik KAALI DEWAAR logon ka mela aisay laga tha jaise koi tehwaar is kaali dewaar pe kanda dekhay hazaron naam in naamo kay beech likha tha shoda-e-vietnam Aas paas se jama huay tha khalqat ka anbhoh Sab ki aankhon main sannata, chehron par andhoh baykul behnay,ghayal maaey or dukhi bewayen sajuna tum kis dais sudharay, pochain mehbobayn apne pyaron dildaron ka oojhul mukhra dhoondain is kaali dewaar pe un k naam ka tukra dhoondain dilon main dukh, ankhon main shabnum, haatho main phool uthaye is naamo kay qabristan ka bhaid koi kia paye na turbut na kutba koi, na huddi na maas phir bhi nadan naaina ko thi pia milan ki aas kahin kahin is kali sil par koi safaid ghulab Yun be jaan para tha jaise andhi aankh ka khwaab sabhi kay dil main kaanta ban k khatkay aik sawal kis kaaran mitti main milaye heeron jaise laal Hochi minh k dais pe hum ne kia kia sitam na dhaye us kay jialay to azadi ka suraj lay aye lekin itne chaand gava kr hum ne bhala kia paya hum badqismat aisay jin ko dhoop milli na saya Mukh moti de kar haasil ki ye kaali dewar ye kaali dewar jo hay bas ik khali dewaar Is kaali dewaar pe ha naamo ka qabristan washigton k shehr main dafn hain kis kis k arman

You might also like