Madina Ka Safar Ha

You might also like

Download as txt, pdf, or txt
Download as txt, pdf, or txt
You are on page 1of 1

madine ka safar hey aur mey namdeda namdeda

jabeen afsurda afsurda qadam laghzeda laghzeda

chala hoon eik mujrim ki tarha mey janib e taiba


nazar sharminda sharminda badan larzeda larzeda

kise key hath ney mujh ko sahara dey diya warna


kahan mey aur kahan ye rasty pechida pechida

kahan mey aur kahan us roza e aqdas ka nazara


nazar us samat uthte hey magar duzdeda duzdeda

ghulaman e mohammad dour sey pehchany jaty hein


dil e girweda girweda sare shoreda shoreda

madine jaa key hum samjhy taqadus kis ko kehty hein


hawa pakeeza pakeeza faza sanjida sanjida

basarat khoo gai lekin basirat to salamat hey


madina hum ney dekha hey magar nadeda nadeda

wohi iqbal jis ko naaz tha kal khush mezaji par


firaq e taiba mey rehta hey aab ranjida ranjida

madine ka safar hey aur mey namdeda namdeda


jabeen afsurda afsurda qadam laghzeda laghzeda
__________________

You might also like