Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 3

1Ik baat honton tak hai jo aayi nahin Bas ankhon say hai jhaankti Tumse kabhi, mujhse

kabhi Kuch lafz hain woh maangti Jinko pehanke honton tak aa jaaye woh Aawaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaye woh Lekin jo yeh ik baat hai Ahsas hi ahsas hai Khushboo si hai jaise hawa mein tairti Khushboo jo be-aawaaz hai Jiska pata tumko bhi hai Jiski khabar mujhko bhi hai Duniya se bhi chupta nahin Yeh jaane kaisa raaz hai There is a matter that has almost come to my lips This is evident in my eyes Sometimes from you, sometimes from me They ask for words To take their shape and come to my lips And to be embraced by my voice But this matter Is a feelingonly a feeling Floating in air like fragrance Fragrance becomes its voice That you know of That i know of Its not hidden from the world Dont know what kind of secret is this

2Jab jab dard ka baadal chaya Jab ghum ka saya lehraya Jab aansoo palkon tak aya Jab yeh tanha dil ghabraya Humne dil ko yeh samjhaya Dil aakhir tu kyun rota hai Duniya mein yunhi hota hai Yeh jo gehre sannate hain Waqt ne sabko hi baante hain Thoda ghum hai sabka qissa Thodi dhoop hai sabka hissa

Aankh teri bekaar hi nam hai Har pal ek naya mausam hai Kyun tu aise pal khota hai Dil aakhir tu kyun rota hai Every time the cloud of pain loomed A tear filled my eyes When this lonely heart was scared I told my heart Why do you cry for such reason? This happens everywhere in this world These dark lonely times, time has distributed them to all. Some sadness is part of everyones story, Some sunshine is a part of everyones life Your eyes are damp for no reason Every second is a new season Why do you waste your time over such matters Why do you cry I asked my heart

3Pighlay neelam sa behta hua yeh samaan Neeli neeli si khamoshiyaan Na kahin hai zameen Na kahin aasmaan Sarsaraati huyi tehniyaan, pattiyaan Keh rahi hain ki bas ek tum ho yahaan Sirf main hoon meri saansein hain aur meri dhadkanein Aisi gehraiyaan Aisi tanhaiyaan Aur main sirf main Apne honay pe mujhko yaqeen aa gaya The moment flows by like molten sapphire Deep Blue silences No Earth below No Sky above The rustling branches and leaves Saying that only you are here Only me My breath My heartbeat Such Depth like this Such Loneliness like this And me only me I now believe I exist Credit:Sudha

4Dilon mein tum apni Betaabiyan leke chal rahe ho Toh zinda ho tum Nazar mein khwabon ki Bijliyan leke chal rahe ho Toh zinda ho tum Hawa ke jhokon ke jaise Aazad rehno sikho Tum ek dariya ke jaise Lehron mein behna sikho Har ek lamhe se tum milo Khole apni bhaayein Har ek pal ek naya samha Dekhen yeh nigahaein Jo apni aankhon mein Hairaniyan leke chal rahe ho Toh zinda ho tum Dilon mein tum apni Betaabiyan leke chal rahe ho Toh zinda ho tum

You might also like