Mahek

You might also like

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 1

"Mahek"..

Dil ka to kaam hai dhadkana


woh to dhadkatehi jata hai ,
par bagair tere
muze chain kaha aata hai !

Din guzar jate hai


rate guzar jati hai ,
par teri sune ahesaas se
ye dil bhar aata hai !

Jab yuhi firta raheta hu


khayalo main gum hokar ,
kahi se ek hawa ka jhonka aata hai
aur fir muze tanhai de jata hai !

Katra katra sa sameta hai


tera ye ahesaas maine ,
ki ye ahesaas bhi ab mera na raha ,
teri bas ek chiz meri hai
jise is dil ne hamesha apna hai kaha !

Saath deti hai ye hawa bhi use


ki mera dil bhi hai use samaz pata ,
samet leta hai teri bhi har dhadkan
jo hamesha mere dil ke karib hai raheta !

Ha, teri khushboo..,


teri Mahek..,
muze bas apnisi lagti hai ,
aakhir use hi pahechanane muzase
ye sard hawa baaten karti raheti hai !

By - Anand...
Dt - 19/02/2007..

You might also like