Nasri Nazam Ka Emteyaz

You might also like

Download as txt, pdf, or txt
Download as txt, pdf, or txt
You are on page 1of 1

NASRI NAZAM KA EMTEYAZ

Urdu main Nasri Nazam shoru say mutnazeah senaf-e-sukhan rahi hai aur essay kabi
farakh delli say qobool nahain kiya giya. Aazad nazam ki kush nasibi hai kah
rovaeti shoraa nay na’seraf ossay tasleem kar liya hai balkah woh es main taba
aazmae bhi kartay hain. Halaankah aam qari nasri aur aazad nazam main koe faraq
nahain karta. Woh nazam kay andar mojood mowad say lutaf andoz hota hai. Woh essay
shaeri es lea tasleem kata hai kah es main alfaz ki tareeb-o-tanzeem nasar say hat
kar hoti hai. Dusra lehja aur asloob bhi nasar sa nahain hota. Alfaz nasar kay
barakas khoobsurat aur muntakhab hotay hain.

Jin omoor ka darj-e-bala main zikar kiya giya hai, kiya woh nazam ko nasar say
alag kar dainay kay liay kafi nahain hain?

kiya en hawaloon say nazam aur nasar kay paimanay teh nahain patay?

Agar mazkorah aanasar kisi fun’paray main mojood hain to ossay sha’ery kahna
kayoon’kar ghalat aur qabal-e-etaraaz ho ga.

Nasar ravaan davaan hoti cheez hai, es ka nahvi set up nazam say qatae mukhtalif
hota hai. Assal moamlah mehsos karna hai. Kisi tehreer ko parh kar aap kaisa aur
kiss andaz say mehsos kartay hain, Yahhi assal cheez hai. Aam rozmara ki baat
cheet ya phir wakeel ki aadalat main wakalat aur mahbooba say aankhoon say ya
lafzoon say batain karnay ka andaz, lehja, asloob, aur chalan eak sa hota hai ya
ho sakta hai?!

Aab-e-hayat main, Mohammad Hussain Aazad nay Hazrat Meer sahib ka kaha naqal kiya
hai. Meer sahib nay kaha tha maira mohavra samjhna ho to Jamea Masjad Deli ki
serioon per jao. Oon kay kahnay ka maqsad yah tha kah main aawam ki zoban main
likhta hoon. Ehal-e-Zoban kitnay laeq alam fazal aur phannay khan kayoon na hoon,
Onhain pazerae aur tarekh main zinda rahnay kay liay aawam say sand-e-qobuliat
hassil karna paray gi. Sari tehrerain logoon kay liay hi to hoti hain. Aawam ki
sand kay bagher gari nahain chal sakti.

Her sha’er shohrat nahain pata aur yah bhi zaroori nahain hota kah koe dusara bhi
ossi sha’er ko pasand karay. Her koe eak shai’ar ki qerat eak andaz say karay, yah
mumkin hi nahain. Bohat kam chizain hoti hain jo qabool-e-aam kay darjay par faez
hoti hain. Ustad Ghalib kay Dewan ko hind ki alhami kitab kaha gaya. Yah baat
ghalat nahain aur es main koe mobalgha bhi nahain kah Ghalib ko aglay pach soo
saloon main fikri hawala say samjha or jana ja sakay ga. Kiya log Ustad Ghalib kay
saray ashaar gatay aur batoor hawala boltay hain. Nahain bilkul nahain. Oon ka
mohavra qabool-e-aam kay darjaay par faez nahain ho saka. Oon ka seraf eak misrah,
jo mohavra nahain likin mohavra ban gaya hai “Koon jeta hai teri zulaf kay sar
honay tak” Es misray ko parh lain aur mazmoon ki dusri tehreer ko perh lain nazam
or nasar main faraq wazey ho ja’ay ga. Yah mesra tehreer ka hessa hotay howay bhi
apni alag say shanakht rakhta hai.

Khud aaghi aur zarorat kay motabaq dhalnay ki salaheat nasri nazam ko dusri asnaf-
e-adab say mumtaz karti hai. Doo tein nasri Nazmain likhta hoon. Aam nasar aur es
main faraq wazay ho ja’ay ga:

• Rangoon ka paband mosawar jiwan ka hosein tasawar kaisay daikh sakay ga

• Tu lakhoon main eak sahi hosn par itna na itrao hamala ko sar kiya hai
logoon nay

• Jab tak roshni aasman say aati rahay gi taira jism bai’noor rahay ga jognu
ko misal bana’ay ga koon

You might also like