Download as txt, pdf, or txt
Download as txt, pdf, or txt
You are on page 1of 1

Jab akhiri salaam ko aye Shahe Huda Asghar ka khoo tha maathe par kaune malaa hua Sajjad

ke kareeb gaye Shahe Karbo-bala Al Hamd parh ke Abid-e-Bimar par ye kaha Aye bekaso ke qafila salaar alvida Tumko shifa ho Aabi-e-Beemaar alvida Sajjaad Khuda Haafiz beta Hai tere hawaale ghar mera, Sajjaad Khuda Haafiz beta Dastar utaar ke maqtal me Nana mujhe lene aye hai Mohsin ko uthaye godi me Baba mujhe lene aye hai Aur saath khari hai maa Zahra Aya hai alam khaali jabse wo sar ko jhukaye baithi hai Ghazi to nahi duniya me magar, Zainab ke liye tu Ghazi hai Ab tu ha muhafiz chadar ka Poochunga tumhari jaanib se, hai dard gale ka b kaisa Ye pahli shaam hai turbat me, dar jaye na wo bachaa mera Besheer hi maqtal me tanha Seene pe sula lena apne roye jo teri mazloom bahan Beta kah dena zaalim se aahista gale me baandhe rasan Hai meri amanat Massoma Kahta tha takallum ibne Ali, jab dafn hume karna beta Sughra ne hume jo likha tha, wo khat bhi sirhaane rakh dena Aur laana use tu Karbo balaa

You might also like